2017
Prabhu ko Har Din Yaad rakhna
October 2017


Yuva

Prabhu ko Har Din Yaad rakhna

Dost, ghar ka kaam, homework, TV—kai cheeze hai jise humare dhyaan ki zaroorat hai. Par har saptha hum apne Pitah Parmeshwar se prathna karte hain “ki [hum] humesha yaad karte hain [Unke Putra, Ishu Masih ko]” (D&C 20:79).

Pradhaan Eyring sikhlate hain un cheezo ko chunne ka mahatva jo hume Uddhaarkarta ke kareeb laata hai. Uddhaarkarta ko har din zyada yaad karna, is mahine ka lakshya banaiye. Tum calendar bana sakte ho aur Unke prathi sambandh ko mazbooth karne ke liye har din koi ek cheez karne ki prathishta kar sakte ho. Pradhaan Eyring ne kuch cheezo ko likha hai jaise dharamshastra padhna, vishwaas ke saath prathna karna, aur Udhaarkarta aur anye logo ki sewa karna. Inme journal me likhna, Girja ke sabha me bhaag lena, Maha Sabha ko sunna, mandir jaana, bhajan gaana—ithyadi! Jab hum Udhaarkarta ko har din yaad karenge, Pradhaan Eyring vyada karthe hain ki “ashirvaad… dhire aur lagathaar ayegi… [aur] hume Prabhu Ishu Masih ke sacche chele banne me madad karegi.”