2017
Jo Bhatak Jaate Hain Unhe Pyaar se Sametna
October 2017


Shikshan Sandesh Bhent, October 2017

Jo Bhatak Jaate Hain Unhe Pyaar se Sametna

Prarthnapurv is samaan ko padho aur prerna haasil karo jaanne ke liye ki kya baatna hai. Kaise Sahayak Sanstha ke lakshye ko samajhne se Parmeshwar ki betiyaan apne aap ko anant jeevan ke liye tayaar karengi?

Tasveer
Relief Society seal

Vishwaas Parivaar Sahayak

“Sacchai yeh hai ki yaha koi parishud parivaar nahi hai… ,”Pradhaan Dieter F. Uchtdorf, Pratham Adhyakshtha me Dusra Salahkaar ne kaha. “Chaahe jo bhi musibatein tumhare parivaar par aa padi hai, chaahe jis tarah bhi woh suljha sako, us sujhaao ka shuruaat aur ant dayaluta hai, Maseeh ka sampurn prem.”1

Woh jo susmachaar me puri tarah se bhaag nahi le rahe hain, ke vishay me, Linda K. Burton, Bhutpurva Sahayak Sanstha ki Maha Pradhaan, ne kaha: “Pitah Parmeshwar apne baccho se prem karte hain. … Chahe woh jaha kahin bhi ho—maarg me yah usse bahar—Wah unhe waapas ghar par chahate hain.”2

“Chahe kitne bhi ziddi [aap ke bacche] ho, … jab aap unse baath karte hain, gusse, yah kathortha, yah unhe niche dikhane ki bhavne se na karein,” Pradhaan Joseph F. Smith (1838–1918) ne sikhlaya. “Unse anukultha se baate ki jiye.”3

Elder Brent H. Nielson Sattar ka ne Uddhaarkarta ke updesh ko doharaya jinke paas 10 chaandi ke sikke ho agar ek kho deta hai: “Tab tak dhundo jab tak wah mil na jaye. Jab wah khoya huwa vyakti aap ka beta yah beti ho, aap ka bhai yah bahan, … hum jo sab kar sakte hain wah karne ke baad, hume us vyakti se pure hirday se prem karna chahiye. …

“Ki aap aur mai prakaashan paye yah janne ke liye ki humare jeewan me jo log gumrah ho gaye hain, hum un tak kaise pahunch sakte hain, aur jab zaroorat pade Pitah Parmeshwar aur Unke Putra Ishu Masih ki sahanshiltha upyog kar sake, jab hum pyaar se us kharcheeli vyakti ka intazaar karte hain.”4

Pradhaan Henry B. Eyring, Pratham Adhyakshta ke Pratham Salahkaar, ne kaha: “Maine vishwaas ke saath prathna kiya hai ki koi ek vyakti jisse mai prem karta hoon praeschith ke taqat ko mehsoos karega. Maine prathna kiya ki manushya dooth unki madad ke liye aye, aur weh aye.

“Parmeshwar ne Apne Baccho ko bachane ka zarya tayaar kiya hai.”5

Athirikth Dharamshaastra aur Jaankari

Matthew 18:12; Alma 31:35; 3 Nephi 13:32; D&C 121:41–42

reliefsociety.lds.org

Vivran

  1. Dieter F. Uchtdorf, “In Praise of Those Who Save,” Liahona, May 2016, 79, 80.

  2. Linda K. Burton, Sarah Jane Weaver mein, “Sister Burton, Sister Wixom Visit Church’s Pacific Area,” Church News, Apr. 2, 2013, lds.org/church/news.

  3. Teachings of Presidents of the Church: Joseph F. Smith (1998), 254.

  4. Brent H. Nielson, “Waiting for the Prodigal,” Liahona, May 2015, 103.

  5. Henry B. Eyring, “To My Grandchildren,” Liahona, Nov. 2013, 71.