2017
Saccha Chela Banna
October 2017


Pratham Adhyakshta ka Sandesh, October 2017

Saccha Chela Banna

Har prabhubhoj sabha me, hum Pitah Parmeshwar se vyada karne ka saobhagya paate hai ki hum humesha Uddhaarkarta ko yaad karenge aur Unke agya ka paalan karenge taaki Unki Aatma humare saath rahegi. (dekhiye Moroni 4:3; 5:2; D&C 20:77, 79). Jab hum apne upar Unka naam lenge, Unko Yaad karna humesha asaani se aa jayega. Hum aisa kai tarah se karte hain par khaas kar jab hum dusro ki sewa Unke naam se karte hain, unke pavitra shabdo ko padthe hain, aur Weh kya chahate hain ki hum kare yah jaanne ke liye prathna karte hain.

Aisa mere liye hua jab mai ek jawaan purush ko baptisma de raha tha. Mujhe maalum tha ki mujhe Uddhaarkarta ke niyukt chelo dwara prachaarak ka bulawa mila tha Unke susmachaar ko padhane aur Unke aur Unke sacche Girja ki gawahi dene ke liye. Mere prachaarak saathi aur maine us jawaan purush ko vyada kiya tha ki wah Ishu Masih ke praeshchit ke taqat dwara saaf ho jayega jab wah Uddhaarkarta me vishwaas dwara paschataap karega aur Unke adhikaari chele dwara baptisma lega.

Jab maine us jawaan purush ko baptisma ke talaab se bahar nikala, usne mere kaano me fusfusaya, “Mai saaf hoon, Mai saaf hoon.” Us chann me, maine John the Baptist dwara Jordan nadi me Uddhaarkarta ke baptisma ko yaad kiya. Usse zyada, mujhe yaad aaya ki mai punarjiwit hue aur jiwit Uddhaarkarta ka bachaane ka kriya kar raha tha—Pavitra Aatma dwara bhaag liya gaya jaise John ke samay hua tha.

Mere aur hum sab ke liye, Uddhaarkarta ko yaad karna Unke baare me gyaan aur Unke saath anubhav par nirbhar hone se zyada ho sakti hai. Hum har din chunaav kar sakte hain jo hume aaj Unke aur paas le ja sakta hai.

Sabse sadhaaran chunaav dharamshaastra ko padhna ho sakta hai. Aisa karne se, hum Unke kareeb hone ka ahesaas paa sakte hain. Mere liye, kareeb hona sabse zyada tab aata hai jab mai Mormon ki Pustak ko padtha hoon. 2 Nephi ke adhyaon ko padhne ke pahale minaton me, maine apne mann me Nephi aur Lehi ki awaaz ko suna Uddhaarkarta ka varnan karte hue jaise ki weh Unhe vyaktigat rup se jaanthe the. Ek kareeb hone ka ahesaas aata hai.

Tumhare liye, dharamshastra ke anya bhaag aap ko Unke kareeb layega. Par kahi bhi aur kabhi bhi Parmeshwar ke shabdo ko padho, vinamrata aur sacche dil se Uddhaarkarta ko yaad karne ke liye, tumhari apne upar Unke naam lene ki iccha badh jayegi.

Yeh iccha tum kis tarah se Prabhu ke Girja me sewa karte ho ko badal degi. Chahe tumhari girja me calling kithni bhi choti ho, tum use nibhane ke liye Pitah Parmeshwar se prathna karoge. Jo madad tum mangoge woh hai khud ko bhulne ki kaabliyath aur us par dhyaan dena jo Uddhaarkarta chahate hain unke liye jinki sewa karne ke liye tumhe niyukt kiya gaya hai.

Maine Unke haath aur Unki kareebi ko apne baccho ke saath sewa karne me mehsoos ki, jab maine prathna kiya jaanne ke liye ki unko woh shanti paane me kaise madad karoon jo sirf susmachaar se milti hai. Un channo me, mai ne ek kaamyaab pitah banne ki parvah nahi ki, par apne baccho ki kamyaabi aur parvarish par dhyaan diya.

Dusro ko sewa karne ki iccha us tarah se jaise Uddhaarkarta unki sewa karte hume prathna ki or maarg deti hai ek vinati Pitah Parmeshwar ke prati, sacchai se Ishu Masih ke naam se. Jab hum us tarah prarthna karenge—Uddhaarkarta ke naam mein, unpar vishwaas ke saath—Pitah jawaab dete hain. Weh Pavitra Aatma ko bhejthe hain maargdarshan, dhiraj, aur hume purothsahith karne ke liye. Kyonki Pavitra Aatma Uddhaarkarta ki gawahi deta hai (dekhiye 3 Nephi 11:32, 36; 28:11; Ether 12:41), humari Parmeshwar ko pure hirday, mann aur shakti se prem karne ki haysiyath badh jaathi hai (dekhiye Mark 12:30; Luke 10:27; D&C 59:5).

Rozana aur us chann me yaad rakhne ki ashish dhire aur niyamith rup se ayegi jab hum Unki sewa karenge, Unke vaani ka pyala piyo, aur vishwaas ke saath Unke naam se prathna karo. Aur yeh yaad rakhna hume is dharti par Unke rajya me Prabhu Ishu Masih ka saccha chela banne me madad karega—aur baad me Unke Pitah ke prasidh aane wali duniya me.