2023
Ishu Masih ke Girjaghar ka Sangathan
October 2023


“Ishu Masih ke Girjaghar ka Sangathan,” Liahona, Oct. 2023.

Har Mahine ka Liahona Sandesh, October 2023

Ishu Masih ke Girjaghar ka Sangathan

Tasveer
Ishu Masih ki tasveer

The Lord Jesus Christ[Prabhu Ishu Masih]Del Parson dwara

Ishu Masih ka Girjaghar Antim-dino ke Santo ka mukhya hai Ishu Masih. Usne profats aur devduton ko prerit kiya hai aaj Girjaghar ki aguwaai karne ke liye, jaise Uske Nawa Niyam ke samay me kiya tha. Girjaghar ke anye sadasye unki sahayta karte hai.

Ishu Masih ka Girjaghar Antim-dino ke Santo ka Rakshak ka Girja hai. Yeh “devduton aur profats ki buniyaad pe banaya gaya hai, jiske mukhye kone ka patthar khud Ishu Masih hai” (Ephesians 2:20). Iska matlab yeh hai ki woh buniyaad ka sabse mahatwapurn hissa hai. Woh profats aur devduton ke dwara Girja ka maargdarshan karta hai jinhein Usne leadar banne ke liye chuna hai.

Tasveer
First Presidency[Pratham Adhyakshta]

First Presidency

Parmeshwar ka profat aaj Girjaghar ka Pradhaan hai dharti par. Woh senior Devdut aur dharti par ekmaatr vyakti hai jinhein sampoorn Girja ka maargdarshan karne ke liye revelaishan praapt hota hai. Prabhu use yeh jaanne ke liye prerit karte hai ki kin do Devduton ko apne salahkaaron ke roop me sewa karne ke liye bulaana hai. Woh Pratham Adhyakshta ka bante hai. Yeh sab teen profats, paegambar, aur praktikarta[revelators] hai.

Barah Devduton ka Quorum

Barah Devduton ka Quorum ke sadasye bhi profats, paegambar, aur praktikarta hai. Unhe Ishu Masih ke khaas gawaahon ki niyukti di gayi hai. Woh Uske baare me sikhaane aur gawahi dene ke liye duniya bhar me yaatra karte hai. (Dekhiye Doctrine and Covenants 107:23, 33.)

Sattar ke Quorums

Sattar ke sadasyon ko Ishu Masih ka gawaah banne ke liye bhi bulaaya jaata hai (dekhiye Doctrine and Covenants 107:25). Woh Barah ke Quorum ko susamachaar sikhaane aur duniya bhar me Girjaghar ka nirmaan karne me madad karte hai.

Tasveer
leadars ek saath salaah mashora kar rahe hai

Machiko Horii dwara tasveer

Sthaaniye Leadars

Aapke stake ya district(jila) presidency, bishopric ya branch presidency, aur elders quorum aur Sahayak Sanstha ke presidencies ko bhi Parmeshwar dwara niyukt kiya gaya hai. Woh aapko susamachaar seekhane aur jeene me madad kar sakte hai. Aap March 2022 ke Gospel Basics artical, “Serving in Church Callings[Girjaghar Niyuktiyon me Sewa karna]” me inme se kuch niyuktiyon ke baare me jaan sakte hai.