2023
Aatma ko Apna Maargdarshak Banaaiye
October 2023


“Aatma ko Apna Maargdarshak Banaaiye,” For the Strength of Youth, Oct. 2023.

Har Mahine Ka For the Strength of Youth Sandesh, October 2023

Aatma ko Apna Maargdarshak Banaaiye

Ek April 2017 maha sammelan bhaashan se.

Swarg me hamare Pita jaante the ki maransheelta me hamein chunaotiyon, aapati, aur uthal-puthal ka saamna karna padega; Woh jaanta tha ki hum sawaalon, niraashaaon, pralobhano, aur kamzoriyon se mukaabla karenge. Hamein is daoraan shakti aur divye maargdarshan dene ke liye, unhonne Pavitr Aatma pradaan kee.

Divye niyukti ke dwara, Aatma hamein Prabhu ke prakaash me chalane ke liye prerit karati hai, gawahi deti hai, sikhaati hai, aur prabhaawit karti hai. Hamari pavitr zimmedaari hai ki hum apne jiwan me Unke prabhaao ko pehchanna seekhein aur pratikriya dein.

Hum ise kaise kare?

Pehle, hum Aatma ke yogye jiwan jeene ki koshish karte hain.

Dusra, hamein Aatma praapt karne ki ichcha rakhni chahiye.

Teesra, hamein Aatma ko pehchanna chahiye jab woh aata hai.

Chautha, hamein pehli prerna par kaarwaahi karni chahiye.

Hum gambheerta se Prabhu ke baat ko lein “khush raho, kyunki mai aapko saath le jaaunga” (Doctrine and Covenants 78:18). Woh Pawitr Aatma dwara hamari aguwai karta hai. Kya hum Aatma ke kareeb reh sakte hai, apne pehle sanketon par turant kaarye kar sakte hai, yeh jaante huwe ki woh Parmeshwar se aate hai. Mai hamara maargdarshan karne, hamari raksha kerna aur hamesha hamare saath rehne ke liye Pawitr Aatma ki shakti ka gawaah hoon.