2010-2019
Pavitrata ka Shobha
April 2017


Pavitrata ki Shobha

Hamare Swarg ke Pita ne hamein sab kuch pradaan kiya jo chahiye taaki hum Unke jaisa pavitra bane.

Is sabha ke liye tayyaari karte samay, mere dil ne un kayi vishwaasi bahano ko yaad kiya jinse mai mil chuki hoon, kareeb ya door ke. Mere liye, inki tulna achchi tarah Raaja David ke kritigyata ke psalm mein hai: “Prabhu ki naam ki mahima aysi maano jo uske naam ke yogye hai: bhent lekar, aur uske paas aao: pavitrata ki shobha se Prabhu ki bhakti karo.”1

Mai bahano mein pavitrata ki shobha dekhti hoon un bahano mein jinke dil sabhi achchaai par tike hai, jo Uddhaarkarta ke jaisa banna chahati hai. Woh apna pura hriday, dil, mann, aur shakti deti hai Prabhu apne har din rawaiya se. 2 Pavitrata Parmeshwar ke saath kiye aagyaaon ka paalan karne aur vachanon ka sammaan karne ki hamare koshish aur sangharsh mein hai. Pavitrata hai Pavitra Aatma ka apna maargdarshak bane rehne ko chunna. 3 Pavitrata hai apne prakritik swabhaao ko dur karna aur “Masih Jo Prabhu hai ke praeshchit dwara ek sant” banna.4 “[Hamare jiwan] ka har pal Prabhu ke liye pavitrata honi chahiye.”5

Swarg ke Parmeshwar ne Israel ke bachchon ko aagya diya, “Kyunki mai tumhara Prabhu Parmeshwar hoon: is kaaran apne ko shudh karke, pavitra bane raho; kyunki mai pavitra hoon: na hi tum khudh ko ashudh karna.” 6

Elder D. Todd Christofferson ne sikhlaya: “Hamara Swargiye Pita unche umeedon waala Parmeshwar hai. … Woh hamein pavitra banana chahata hai taaki hum ek celestial mahima jaari rakhein (D&C 88:22) aur unke upasthiti mein rahein (Moses 6:57).”7 Lectures on Faith batlata hai, “Koi bhi insaan apni mahima ka anand nahin le paaega agar uske paas nipunta aur pavitrata nahin hai.”8 Hamare Swarg ke Pita hamein jaante hain. Woh humse prem karta hai, aur Usne hamein sab kuch pradaan kiya jo chahiye taaki hum Unke jaisa pavitra bane.

Hum Swargiye Pita ki putriyaan hai, aur hum mein se har ek ka ek divye virasat hai. Hamare Swargiye Pita ne ghoshna kiya, “Dekho, mai Parmeshwar hoon; Pavitrata ka Manushye hai mera naam.” 9 Marasheel duniya se pehle, hum hamare Pita se prem karte aur Unki bhakti karti the. Hum Unke jaisa banna chahate the. Apne pita hone ke sampurn prem se, Usne Apna Priye Putra, Ishu Masih ko diya, hamara Uddhaarkarta aur Muktidaata banne ke liye. Woh Pavitrata ka Manushye ka Putra hai.10 Unka “naam Pavitra hai,” 11 “Israel ka Pavitra Prabhu.”12

Pavitrata ki hamari aasha Masih par tika hai, Unke kripa aur Unke upkaar mein. Masih aur Unke Praeshchit mein vishwaas se, hum saaf ho sakte hai, bina koi dhabbe ke, jab hum apvaitrata se dur rahenge 13 aur dil se pashchataap karein. Hum paani ka baptisma paapon se chutkaara paane ke liye lete hai. Hamare hriday saaf ho jaate hai jab hum Pavitra Aatma ko khule dil se apnaate hai. Har hafte, hum prabhubhoj ke dharamvidhi ko grahan karte hai. Pashchataapi aatma se, achchaai karne ke ichcha se, hum vachan lete hai ki hum Masih ka naam apne upar lenge, Unhe yaad karenge, aur Unke aagyaaon ka paalan karenge taaki Unki Aatma hamesha hamare paas rahein. Aage chal ke, jab hum Pita, Putra, aur Pavitra Aatma ke samaan ek hone ki lagataar koshish karte hai, hum Unke divye prakriti ke bhogi ho jaate hai. 14

Apne Vachanon ko Nibhaana Pavitrata Hai

Hum jaante hai ki kayi parikshaaen, behkaawein, aur mushkilein hai jo hamein Parmeshwar ke aage dhaarmik aur prashansa laayak nahin hone deta. Magar hamare maranhseel anubhavon se humko mauka milta hai pavitrata chunne ko. Zyaadatar vachanon ko nibhaane ke liye hum jo balidaan karte hai hamein shudh aur pavitra karta hai.

Tasveer
Evangeline, ek jawaan mahila Ghana mein

Maine Ghana mein Evangeline, ek 13-saal-ke ladki ke mukh mein pavitrata dekhi thi. Apne vachan ko nibhaane ke liye jo ek tarika woh apnaati hai Beehive class pradhaan ka niyukti nibhaane se. Usne shaanti se samjhaya ki woh apne doston ke ghar jaati hai, jo less-active mahilaaen hai, unke maata-pita se puchne ke liye ki unhe girja bejh dein. Maata-pita use batate hai ki kathin hai kyunki Raviwaar ko bachchon ko ghar ke kaam karna chahiye. Isliye Evangeline jaakar kaam mein haath batati hai, aur uske koshishon ke kaaran uske dost girjaghar aa paate hai.

Agar hum isse jude huwe vachanon ko nibhaaenge, purohiti ke pavitra dharamvidhiyaan hamein sudhaaregi, shudh karegi, aur Prabhu ke upasthiti mein jaane ke liye tayaar karegi.14 Isliye, hum ek dusre ke bojh uthaate hai; hum ek dusre ko mazboot karte hai. Hum apne paapon ko chama karwaane ki vyavastha ko sthir rakhte hai jab hum dhaarmik aur anye vastuwon ko kareebon, bhukon, nangon, aur beemaaro ko dein.15 Hum apne aap ko sansaar se nishkalank rakhte hai jab hum Raviwaar ke din ko nibhaate hai aur Prabhu ka prabhubhoj yogye se lete hai us pavitra din par. 17

Hum apne parivaaron par ashish dete hai aur apne gharon ko pavitra jagah banate hai. Hum apne uttejnaaon par lagaam rakhte hai jisse hamein shudh aur anant prem mile.18 Hum dusro ko kripa, dayaluta dikhate hai aur Parmeshwar ke gawaah bankar khade rehte hai. Hum ek Zion ke log bante hai, ek dil aur ek mann ke, ek shudh jaati jo ek saath ekta aur dhaarmikta mein jeete hai. 19 “Zion ko sundarta, aur pavitrata mein badhna hai.”20

Bahano, mandir aao. Agar hamein pavitra log banna hai jinhe Uddhaarkarta ke aagman par use swaagat karna hai, hamein uth kar aur apne sundar poshaak pahenne chahiye.21 Shakti aur sammaan mein, hum sansaar ke tariko ko thukraate hai aur apne vachanon ko nibhaate hai, ki hum “shudhta ordh sake, haan, dhaarmikta ka vastra.” 22

Pavitra Aatma ko Apna Maargdarshak Banana hi Pavitrata Hai

Pavitrata Aatma ka ek uphaar hai. Hum is uphaar ko apnaate hai jab hum un cheezon ko karenge jinse hamare jiwanon mein Pavitra Aatma ki shudh karne ki shakti badhegi.

Tasveer
Mary ne Uddhaarkarta ke vachan sune

Jab Martha ne Ishu Masih ko apne ghar mein swaagat kiya, use bahut ji chaha ki woh sabse achchi tarah Prabhu ki sewa kare. Uski bahan, Mary, ne “Ishu ke kareeb baethkar” Unke vaani ko sunna chuna. Jab Martha ko laga ki bina madad ke woh sewa kar rahi hai, usne shikayat kiya, “Prabhu, kya tujhe kuch bhi soch nahin ki meri bahan ne mujhe sewa karne ke liye akeli hi chod diya?”

Mujhe is sabse komal daant ke shabd pasand hai. Sampurn prem aur anant daya ke saath, Uddhaarkarta ne kaha:

“Martha, Martha, tu bahut baato ke liye chinta karti aur ghabraati hai:

“Parantu ek baat avashye hai: aur Mary ne us uttam bhaag ko chuna hai, jo usse cheena na jaaega.” 23

Bahano, agar hum pavitra rehna chaahe, hamein Israel ke Pavitra Prabhu ke kareeb baeth kar sunna hai aur pavitrata ke liye samay dena hai. Kya hum phone, kabhi-na-khatm hone waali parchi ko, aur duniyadaari ke chintaaon ko bagal rakhte hai? Parmeshwar ke shabdon par prarthna, adhyan, aur use sunne se Unke shudh aur changa karne ka prem hamare hriday mein amantrit hota hai. Aao hum pavitra hone ke liye samay nikaalo, ki hum Unke pavitra aur swach karne waale Aatma se bhar jaaye. Pavitra Aatma ko apne maargdarshak bana kar, hum Uddhaarkarta ko apnaane ke liye tayaar hai pavitrata ki shobha mein. 24

Pavitrata hai ek Sant Banna Ishu Masih ke Praeshchit ke Zariye

Raaja Benjamin ke prerit shabdon ke anusaar, jo log Ishu Masih ke Praeshchit ke zariye sant bante hai woh log aagyakaari, vineet, vinamra, sahansheel, aur prem se bharpur hote hai, Uddhaarkarta ki tarah.25 Usne bhavishyevaani kiya ki Ishu Masih, “woh Sharvashaktimaan Prabhu jo shaasan kar raha hai, aur jo pehle se tha, aur anant tak rahega, woh swarg se utar kar manushye ke mitti ke shareer arthaat maanav vansh mein raha.” Usne rogiyo, langdo, behro, aur andho ko ashish diya aur mritakon ko jiwan diya. Aur phirbhi Usne zyaada peeda saha “jitna manushye sahan nahin kar sakta, siwaae woh mrityu paaye.”26 Aur bhale hi Wohi hai jiske dwara uddaar milta hai, Uski hasi udaai gayi, chaabuk maara gaya, aur krus par chadaya gaya. Parantu Parmeshwar ka Putra kabra se utha, taaki hum sab bhi mrityu se vijay paa sake. Wohi hai jo nirnay karega duniya ke liye dhaarmikta se. Wohi hum sab ko mukti dilaega. Wohi hai Israel ka Pavitra Prabhu. Ishu Masih pavitrata ka shobha hai.

Jab Raaja Benjamin ke logon ne unke bol sune, woh zameen par gir pade, itna zyaada vinamrata aur sammaan tha unmein hamare Parmeshwar ke kripa aur mahima ke liye. Unhonne khudke battar vishay-vaasnaaon ko pehchaana. Kya hum apne aap ko Masih, hamare Prabhu ke kripa aur daya ka aasra lete dekhte hai? Kya hum jaante hai ki har achcha uphaar, asthaayi aur dhaarmik, Masih se milta hai? Kya hamein yaad hai ki Pita ke anant yojna anusaar, is jiwan mein shaanti aur anantta mein mahimaaen sirf hamari hai Unke pavitra Putra mein aur Unke zariye?

Hum bhi Raaja Benjamin ke logon ke saath ho le ek awaaz mein chillaa kar, “O hum par daya karo, aur Masih ke praeshchit ke rakt ko hum par lagaao jisse hamare paapo ko chama kiya jaaye, aur hamare hridayo ko shudh kiya jaaye; kyunki hum Ishu Masih par vishwaas karte hai, jo Parmeshwar ka Putra hai, jisne swarg aur dharti, aur sab vastwon ko racha.” 27

Mai gawahi deta hoon ki jab hum Israel ke Pavitra Prabhu ke kareeb aayenge, Unka Aatma hum par aayega ki hamein bahut khushi aur paapon se chama aur mann ki shaanti milegi.

Swarg ke Pita ne hum sab ko pavitra banne ki chamta di hai. Hum sabse zyaada koshish karein apne vachanon ko nibhaane mein aur Pavitra Aatma ko apna maargdarshak banane ke liye. Ishu Masih mein vishwaas ke saath, hum Unke Praeshchit ke dwara sant ban jaate hai, taaki hamein amaransheelta aur anant jiwan mile aur Parmeshwar hamare Pita ko Unke adhikaar ka mahima dilaenge. Hamare jiwanein hamesha ek pavitra bhent rahein, ki hum Prabhu ke saamne pavitrata ke shobha mein khade honge. Ishu Masih ke pavitra naam se, amen.