2010-2019
Unka Har Din Raah Dikhlana
April 2017


Unka Har Din Raah Dikhlana

Swarg ka Pita kisi aur se behtar jaanta hai tum aur mai kya chahate hai.

Swarg ke Pita ka sabse priye aozaar Apne bachchon ko raah dikhane ka hai dhaarmik aaja-aajiyaan. Mere pita ki maa ek aysi mahila thi. Ek baar jab mai bahut chota tha yaad karne ke liye, mere pita mujhe dand de rahe the. Unki is dand ko dekh, meri aaji boli, “Monte, mai sochti hoon woh dand bahut kathin hai.”

Mere pita ne kaha, “Maa, mai apne bachchon ko apni tarah dand dunga.”

Aur mere hoshiyaar aaji ne dhire se kaha, “Aur mai bhi karungi.”

Mujhe yakeen hai mere pita ne us din apne hoshiyaar maa ka salaah sunn li thi.

Jab raah dikhlaane ki sochenge, hum shaayad ek jaane-maane hymn ko sochenge—“I Am a Child of God.” Chorus mein hamein yeh shabd milte hai “Lead me, guide me, walk beside me, help me find the way (Aguwaai kar, raah dikha, mere saath chal, mujhe raaste mein sahayta de.”1

Abhi haal tak, mai samajh raha tha yeh chorus maata pita ke liye divye aguwaai hai. In shabdon par gaor karne se, maine paaya ki jabki yeh aguwaai karta hai, is mein ek aur matlab hai. Vyaktitva rup se, hum sab Swarg ke Pita se daenik niwedan karte hai aguwaai kar, raah dikha, aur mere saath chal.

Pradhaan Dieter F. Uchtdorf ne samjhaya: “Hamare Swarg ke Pita Apne bachchon ki zarooratein achchi tarah se jaanta hai kisi aur se behtar. Yeh Unka kaarye aur mahima hai hamein har mod par, badhiya sharirik aur dhaarmik saadhanon ko diya hamari madad ke liye Uske paas waapis jaane ke liye.”2

Un shabdon ko suno: Swarg ke Pita jaanta hai ki tumhe aur mujhe aur kisi se behtar ki zaroorat hai. Iske kaaran, Usne ek care package (niji zarooraton ka baksa) hum sab ke liye alag alag banaya hai. Is mein kayi saamaan hai. Is mein Unka Putra aur Praeshchit, Pavitra Aatma, aagyaaen, dharamshaastra, prarthna, bhavishyevaktaaen, devdut, maata-pita, aaja-aji, sthaaniye Girjaghar neta, aur kayi anye saamaan hai—sab Unke paas kisi din jaane ke liye.

Kya mai aaj care package ke kuch saamaanon ka zikr karun jisse mai sochta hoon ki ek pyaare Pita mujhe aur mere parivaar ka aguwaai karta, raah dikhata, aur saath chalta hai? Mera prarthna hai ki tum sab apne anubhavon se pehchaano ki Swarg ka Pita aguwaai karta, raah dikhata, aur tumhare saath chalta hai aur, us gyaan se, tum nidarta se aage badhoge, yeh jaan ke ki tum kabhi akele nahi ho.

Swarg ke Pita ke aagyaaen care package ke mukhye saadhan hai. Alma ne ghoshna kiya “Paap kabhi bhi anandaayi nahin hua hai.”3 Galat vyavahaar ko dekhna bina pyaar se sudhaar kiye jhuti daya hai aur isse aysa samjha jaata hai ki paap anandaayi ho sakta hai. Lamanite ne sidhe is baat par bahas kiya: “Tum paap karte huwe anand ki khoj karte rahe, jo ki hamare Anant Naayak ki dhaarmikta ke swabhaao ke khilaaf hai.”4

Unke bhavishyevaktaaon ke zariye, Swarg ka Pita lagataar hamein yaad dilata hai ki dhaarmikta anandaayi hai. Uddharan ke liye, Raaja Benjamin ne sikhlaya ki Swarg ka Pita “woh chahata hai ki jaisa woh aagya deta hai tum waisa hi karo; agar tum waisa karoge, woh turant tumhe ashirvaad deta hai.” 5 Ek aur geet se ek aysa hi chetaoni deta hai:

Aagyaaon ka paalan karo; aagyaaon ka paalan karo!

Isi mein suraksha; isi mein shaanti.

Woh ashirvaad bhejega. 6

Mere 14th janam din ke kareeb, maine in mein se kuch ashirvaadon ko seekha. Maine apne maata-pita mein ek alag rawaiya dekha. Iske bina pe, maine pucha, “Kya hum mission par jaa rahe hai?” Mere maa ke chehre ka achambha ne mere shakh ko yakeen mein badal diya. Baad mein, ek parivaar salaah ke daoraan, mere bhaai bahan aur maine seekha ki hamare maata-pita ko ek mission ka adhyaksh karna hai.

Hum Wyoming ke ek sundar se ranch(khet) par rehte the. Mere hisaab se, jiwan sampurn tha. Mai skool se ghar aata, apne kaam karta, aur apne kutte ke saath shikaar, machli maarne, ya khojne chala jaata.

Niyukti ke baare mein jaanne ke kuch din baad, mujhe sujha ki mujhe apne kutta, Blue, ko dena hoga. Mai apne pita ke paas gaya, aur pucha Blue ke saath kya karna hai. Mai kehna chahata tha ki jo Parmeshwar chahata hai bahut galat hai. Mai kabhi unka jawaab nahin bhulunga. Usne kaha, “Mujhe nahin pata. Shaayad woh hamare saath nahin jaa sakta, isliye behtar hoga tum Swarg ka Pita se puch lo.” Maine yeh jawaab to nahin chaaha tha.

Mai Mormon Dharamshaastra padhne laga. Maine dil se prarthna kiya jaanne ke liye kya mujhe mere kutta ko dena padega. Mera jawaab ek pal mein nahin aaya; balki, ek khaas khayal mere mann mein aata raha: “Apne maata-pita par bojh mat bano. Bojh mat bano. Maine tumhare maata-pita ko niyukt kiya hai.”

Mai jaan gaya Swarg ka Pita kya chahata tha. Us gyaan se mere kutta ko dena ka peeda kam to nahin hua. Haalaanki, us chote se balidaan se, mera dil pighal gaya aur maine Swarg ke Pita ki ichcha jaanne mein shaanti paayi.

Mai apne Swarg ke Pita ko ashirvaad aur khushi ke liye dhanyevaad deta hoon jo mujhe dharamshaastra, prarthna, Pavitra Aatma, aur ek yogye dharti par pita se mila jisne apne bachcho ka susamachaar shikshak hone ke bhumika ko nibhaya. Woh aguwaai kar rahe the, raah dikha rahe the, aur saath bhi chal rahe the raasta dhoondhne mein—khaaskar jab mujhe kuch mushkil karna padta tha.

Maine jo care package ke saadhan ka zikr kiya uske alaawa, hamare paas ek purohiti neta hai aguwaai karne aur raah dikhane ke liye.

Pradhaan Boyd K. Packer ne kaha: “Bishop prerna paate hai! Hum sab ke paas chunne ka adhikaar hai hamare netaaon ke salaah ko apnaane ya thukraane ka, par kabhi apne bishop ka salaah mat thukraana, chaahe pulpit par diya ho ya khud tumse.”7

Yeh purush Prabhu ke pratinidhi banne ke liye sangharsh karte hai. Chaahe hum budhe ya jawaan hai, jan Shaetaan humse kehna chahega sab khatm hua, bishop wahan hai raah dikhane ke liye. Anye bishop se baat karke, maine paaya ki ek baat to tay hai aagya na maanne waale paap-swikaar mein ya begunah ho ke kathor galti ko jhelne mein. Bishop turant us vyakti ke liye Swarg ke Pita ka pyaar vyakt karte hai aur uske saath chalne ki ichcha jab woh insaan sudharne ka raasta dhoondhta hai.

Shaayad Swarg ke Pita ka sabse bhaari care package saadhan in shabdon mein batlaya gaya hai: “Kyunki Parmeshwar ne jagat se aysa prem rakha, ki usne apna eklauta Putra de diya.” 8

Hamein jo kuch karna hai woh sikhlaane ke liye, Ishu Maseeh ne aguwaai ki hamein nakal karne waale sampurn uddharan de kar. Woh baah pasare niwedan kar raha hai, Unke piche ho le. 9 Aur jab hum haarte hai, jo zaroor hoga, Woh hamein yaad dilata hai, ki Usne yeh sab cheezein sab ke liye jhela hai, ki hum nahi jhele agar hum pashchataap karenge.10

Kitna ashcharyejanak uphaar hai! Pashchataap ek saza nahin hai; woh ek saobhaagye hai. Yeh saobhaagye hamari aguwaai karta aur raah dikhata hai. Isi liye dharamshaastra kehta hai ki hamein pashchataap ke alaawa kuch nahin sikhana hai.11

Swarg ke Pita ke paas kayi saadhanein hai, magar Usne sahayta ke liye Woh aksar kisi aur vyakti ka istemaal karta hai. Har din Woh mauke deta hai aguwaai, raah dikhane, aur kisi ke saath zaroorat ke samay chalne mein. Hamein Uddhaarkarta ke uddharan par chalna hai. Hamein bhi Swarg ke Pita ka haath batana hai.

Jawaan Purshon ki Maha Adhyakshta ke rup mein, hum jaante hai ki yuva ko ashish milta hai jab unke maata-pita aur neta Swarg ke Pita ke liye aguwaai karte, raah dikhaate, aur unke saath chalte hai. Teen siddhaant12 hai jo hamein madad karenge Swarg ke Pita ka niji zarooraton ka baksa ka hissa hone mein auron ke liye:

Pehla, yuva ke sang raho. Pradhaan Henry  B. Eyring ne is baat par zor diya: “Kuch cheezein hai jise jab hum karenge woh bahut maaine rakhega. Siddhaant ko sikhlaate samay shabdon se zyaada shaktishaali hai hamare uddharan siddhaant ko jeene ke liye.”13Yuva ki aguwaai karna ka matlab hai unke saath rehna. Samay nikaalna se pyaar dikhta hai jo hamein mauka deta hai shabdon aur uddharan se sikhaane mein.

Dusra, sahi tarah yuva ko raah dikhane ke liye, hamein unko swarg se sampark karaae. Wo samay hamesha aata hai jab kisi ko akele khada hona padta hai. Sirf Swarg ka Pita wahan ho sakta hai sabhi samay aur jagah mein raah dikhane ke liye. Hamare yuva ko jaanna chahiye kaise Swarg ke Pita ka maargdarshan talashna hai.

Teesra, hamein yuva ko aguwaai karne dena chahiye. Jaise woh pyaar jatane waala maata-pita jo bachche ka haath pakad kar chalata hai, hum unhe jaane dete hai taaki woh aage badh sake. Yuva ko aguwaai ka mauka dene ke liye dhaerye aur prem ki zaroorat hai. Yeh aur kathin hai aur zyaada samay lagta hai khud hi karne se. Woh shaayad raaste mein ladkhadaaenge, par hum uske saath chalenge.

Bhaaiyo aur bahano, hamare jiwano mein samay honge jab raah dikhane ke ashirvaadein dur ya gaayab lagenge. Sankat ke ayse samay mein, Elder D. Todd Christofferson ne vaada kiya: “Apne vachanon ko mukhyeta do aur apna aagyakarita sahi rakho. Tab tum vishwaas se maango, bina hichkichaaye, apne zaroorat ke hisaab se, aur Parmeshwar jawaab dega. Woh tumhe samarthan dega jab tum kaam karoge aur chaokanne rahoge. Apne hi samay aur tarika se Woh Apna haath tumhari or badhaega, yeh kehkar, ‘Mai yahan hoon.’”14

Ek ayse samay par, maine Swarg ke Pita ka salaah liya ek saal se zyaada tak lagataar dil se prarthna karke ek kathin stithi ka sujhaao paane ke liye. Mai to jaanta tha ki Swarg ke Pita sabhi haardik prarthnaaon ke jawaab deta hai. Phir bhi ek din mai itna naazuk hua ki mai mandir gaya is sawaal ke saath: “Swarg ke Pita, kya Tum sach mein parwaah karte ho?”

Mai Logan Utah Mandir ke intazaar waale kamre ke piche baetha tha jab, mere achambha mein, mandir adhyaksh pradhaan, Vaughn J. Featherstone, ek kareebi parivaar dost, kamre mein aaye. Woh sabha ke aage khade huwe aur hamara swaagat kiya. Jab usne mandir aaye huwe logon mein mujhe dekha, usne bolna band kiya, mere aankhon mein dekha, aur phir kaha, “Bhaai Brough, aaj aapko mandir mein dekh kar khushi hui.”

Mai kabhi is saral chan ka ehsaas nahin bhulunga. Aysa laga jaise—us pranaam mein—Swarg ke Pita ne Apna haath badhaya ho kehte huwe, “Mai yahan hoon.”

Swarg ka Pita sach mein parwaah karta hai aur har bachche ke prarthna ko sunta aur jawaab deta hai. 15 Unke ek bachche ke naate, mai jaanta hoon ki mere prarthnaaon ka jawaab Prabhu ke samay anusaar aaya. Aur us anubhav se, maine pehle se bhi achchi tarah jaana ki hum Parmeshwar ke bachche hai aur ki Unhonne hamein yahan bheja hai taaki hum Unke upasthiti ko abhi mehsoos kar sake aur Unke saath jaakar kabhi reh sake.

Mai gawahi deta hoon ki Swarg ka Pita hamari aguwaai karta, raah dikhata, aur saath chalta hai. Jab hum Unke Putra ke piche ho lenge aur Unke sewakon, devduton aur bhavishyevaktaaon, ko sunenge hum anant jiwan ka raasta paaenge. Ishu Maseeh ke naam se, amen.