2010-2019
Susamachaar ki Bhaasha
April 2017


Susamachaar ki Bhaasha

Shaktishaali shikshan bahut hi zaroori hai humare parivaaron mein susamachaar ko rakhne mein, aur uske liye saaodhaani aur shakti ki zaroorat hai.

Ek Maha Adhikaari ke rup mein bulaaya jaane ke baad, main apne parivaar ke saath Costa Rica ko chodh kar Salt Lake Shahar gaya apne pehle kaarye ko karne ke liye. Yaha United States mein, mujhe dusre jaati aur parampara ke aschariye logon ko bhent karne ka ashirwaad mila. Unmein kai hain jo, meri tarah, Latin America ke deshon mein payeda hue hain.

Maine dekha hai ki pehle peedi ke adhikaansh Hispanics Spanish bolte hai unki mukhye bhaasha ke rup mein aur sanwaad karne ke liye utna paryaapt Angrezi bolte hain. Dusre peedi, jo United States mein payeda hue hain ya chote umar mein aye the aur yaha par skool gaye, bahut hi achcha Angrezi bolte hain aur shaayad kuch Spanish jo ajeeb lag raha hai aur puri tarah se sahi nahi hai. Aur aksar teesri peedi ke dwara, Spanish, apne purwajon ki mul bhaasha, kho jaati hai.1

Isse kehte hain ki, “bhaasha kho jaana.” Bhaasha kho jaata hai jab parivaar dusre desh chale jaate hai jaha unke matra bhaasha pramukh nahi hai. Yah sirf Hispanics mein nahi hota hai parantu duniyabhar ke logon mein bhi hota hai jaha matra bhaasha ke bajaye dusre ko bola jata hai.2 Nephi bhi, Mormon Dharamshaastra ka ek bhavishyevakta, apne pitaaon ke matra bhaasha ko khone par chintith tha jab wah vaade kiye hue sthaan par jaane ko tayyaar ho raha tha. Nephi ne likha, “Dekho, yah Parmeshwar a vivek hai ki hum in abhilekhon ko prapt kare, jise ki hum apne purwajon ki bhaasha ko apne bachchon ke liye surakhchit rakhe.3

Lekin Nephi bhi kisi anye prakar ki bhasha ko khone ke liye chintith the. Dusre verse mein, usne aage kaha, “Aur hum unke liye un vachanon ko bhi surakhchit rakhe jo ki pavitra bhavishyevaktaaon ke mukh se kahe gaye hain, jo ki unhein Parmeshwar ki Aatma aur saamarth dwara sansaar ke aarambh se lekar, vartamaan samay tak diye jaate hai.”4

Maine ek maatra bhaasha ke sanrachan aur hamare jiwan mein Ishu Masih ke susamachaar ko banaye rakhne ke beej samaantaa dekhi.

Aaj mere samaanta mein, main zor dena chahata hoon koi vishosh saansarik bhaasha nahi balki ek anant bhaasha hai jisse hamare parivaaron mein sanrakchit kiya jaana chahiye aur kabhi khoya nahi. Main Ishu Masih ke susamachaar ke bhaasha 5 ki baat karta hoon. “Susamachaar ke bhaasha” mein, mera matlab hai ki humare bhavishyevaktaaon ke sabi shikshanon, humare un sabhi shikshanon ke laayak rehna, aur humare sachche parampara par chalna.

Main teen tarika batlaunga jisse yah bhaasha bachaai ja skati hai.

Pratham: Ghar mein Adhik Kushal aur Chintit Hone ke Naate

Doctrine aur Covenants mein, Prabhu ne Girjaghar ke kai pramukh sadasyon ko amantrit kiya, Newel K. Whitney ke saath, apne privaaron ko maargdarshan dena chahiye. Prabhu ne kaha, “Mere sewak Newel K. Whitney … ko dandit karne ki aavashyakta hai, aur apne parivaar ko maargdarshan dena chahiye, aur yah dekhna chahiye ki weh apne ghar mein adhik kushal aur chintit hone ke naate aur humesha prarthna kare, ya unko apne sthaan se alag kar diya jayega.”6

Ek ghatak jo bhaasha ko khone ka ek kaaran hai ki jab maata-pita apne bachchon ko maatra bhaasha ko sikhlane mein samay nahi bitaate hain. Sirf ghar par apne bhaasha ko bholna kaafi nahi hai. Agar maata-pita apne bhaasha ko bachana chahate hai, use zaroorsikhlana hoga. Parikshan se pata chala hai ki maata-pita jo apne maatra bhaasha ko bachane ki puri koshish karte hain safalta ko prapt karte hain.7 To kya hoga sabse bada kaaran susamachaar ke bhaasha ko bachane ka?

Barah Devduton ke Parishad Elder David A. Bednar ne chetaaoni di ki “kamzor susamachaar shikshan aur ghar mein modaling”ek shaktishaali karan hai jo Girjaghar ke kai peediyon ke parivaaron ko todh raha hai.8

Hum anth mein kaha sakte hain ki shaktishaali shikshan bahut hi zaroori hai humare gharon mein susamachaar ko rakhne mein, aur uske liye saaodhaani aur shakti ki zaroorat hai.

Hamein kai baar aamantrit kiya gaya hai ki dharamshaastra ki shikshan hamesha parivaar aur vyaktigat taur se karne ki zaroorat hai.9 Kai parivaaron jo har din yah kar rahe hain ko ashirwaad prapt hota hai aur adhikta ke saath aur Prabhu ke saath ek ghanisht sanbandh.

Tasveer
Pitah aur beti dharamshastra padthe hue

Roz dharamshaastra ko sikhlane mein kab hoga? Yah hoga jab maata-pitaa apne haathon mein dharamshaastra lenge aur, prem se, parivaar ko saath mein shikshan ke liye amantrith karege. Yah bahut hi mushkil hai kisi aur bhi tarah se is shikshan ko hote dekhna.

Tasveer
Parivaar dharamshastra padthe hue

Pitaaoun aur maataen, is mahaan ashirwaadon ko khona mat. Itna intazaar mat karo ki der ho jaaye!

Dusra: Ghar mein Mazboot Modaling

Ek bhaashawaadi ne likha ki ek matra bhaasha ko bachane ke liye, “aapko apne bachchon ke liye bhaasha ko jiwit karne ki aavashyakta hai.”10 Hum “apne bhaasha ko manoranjit kartein hain” jab humare shikshan aur modaling ek saath kam karte hain.

Jab main jawaan tha, main chuttiyon ke daoraan mere pita ke kaarkane mein kaam kiya. Sabse pehla sawal mere pitaji humesha mere tankhawa milne ke baad puchtey the ki “Tum apne payese ke saath kya karoge?”

Mujhe jawaab pata tha aur kehta, “Apna dawa-hissa bharunga aur mission ke liye bachaunga.”

Laghbhag aat saalon tak uske saath kaam karne ke baad aur humesha wahi sawaal puchte hue, mere pitaji ne jana ki usne mujhe daswa-hissa bharna sikhlaya tha. Jo wah nahi jaana tha ki yah khaas siddhaant maine sirf ek hi hafton mein sikha tha. Main aapko batlata hoon ki maine yah siddhaant kaise sikha hai.

Mukhye America ke raajnitik ladaai ke kuch kaaryon ke karan, mere pitaji ka kaarobaar band ho gaya. Wah laghbhag 200 pure-samay ke mulaazim se ab sirf 5 silane waale bachche the, jo humare ghar ke garaaj mein zaroori kaam karte the. Un mushkil samay ke daoraan ek din, maine apne maata-pita ko yah vaartalaabh karte hue sunna ki kya weh daswa-hissa bhare ya bachchon ke liye bhojan laye.

Ravivaar ko, main apne pitaji ke saath yah dekhne ko gaya ki wah kya karega. Humare Girjaghar shabhaon ke baad, maine use ek lifaafa le kar aur usmein daswa-hissa ko bharte hue dekha. Yah sirf sikshan ka ek bhaag tha. Mere liye yah sawaal bane rahe wah tha ki hum kya khaaenge.

Somwaar ke subeh hi, kuch logon ne humara darwaaza khatkhataya. Jab maine khola, unhone mere pitaji ke liye pucha. Maine use bulaya, aur jab wah aaya, milnewaala ne unhe jald se jald aavashyak silayi aadesh ke baare mein batay. Unhone use batlaya ki kaarye itna zaroori tha ki weh pehle hi paese ko denge. Us din maine daswe-hisse ko bharne ke siddhaanton ko sikha aur aashirvaadon jo anusaran karte hai.

Naye Niyam mein, Prabhu modalin ke bare mein baate karte hain, Usne kaha, “Main tumse sach sach kehta hoon, Putra aap se kuch nahi kar sakta, kewal wah jo pita ko karte dekhta hai, kyunki gin gin kaamon ko wah karta haiunhein putra bhi ussi riti se karta hai.”11

Tasveer
Mandir jaana

Yah sirf zaroori nahi hai ki apne bachchon se mandir mein shaadi, upwaas rakhna, aur Raviwaar ke din pavitra rehne ki zaroorat ko bataae . Unko hume jitna bhi ho sake mandir jaane ki samay ko dekhna hai. Unhe hume humesha upwaas rakhte hue dekhna hai 12 aur Raviwaar ke din ko pavitra rakhte hue. Agar humare yuva do khaane ke samay upwaas nahi rakh sakte, humesha dharamshaastra nahi padhte, aur Raviwaar ko bade khel ke dauraan TV ko bandh nahi kar sakte, kya unke paas dhaarmik atamnibharta hogi aaj ke duniya ke shaktishaali chunaotiyon ko jhelne ke liye, jismen ashleelchitra bhi shaamil hai?

Teesra: Parampara

Ek aur tarika bhaasha ko badal ya khoya ja sakta hai, jab anye bhaashaon aur parampara maatra bhaasha ke saath milti hai.13

Girjaghar ke punaharsthaapna ke haal hi mein, Prabhu ne Girjaghar ke kai sadasyon ke pradhaan ko apne gharon mein sikhne ke liye amantrith kiya. Usne do tarikon se Apna nimantaran ko bata hum apne gharon se jyoti aur sachchaai ko kho sakte hain se: “Bura insaan aata hai aur jyoti aur sachchaai ko ke, dwara virodhi, le jata hai, insaan ke bachchon se apne pitaaon ke parampara ke karan.14

Parivaaron ki tarah, hume kisi bhi parampara ko bachna se zaroori hai jo hume Raviwaar ke din pavitra rakhne ko rokhta hai ya humesha ghar par dharamshaastra ko sikhne aur prarthna karne se. Hume apne gharon ko ashleelchitra aur dusre sare bure prabhaon se bachna hoga. Humare din ki saansaarik paramparao ka mukablaa karne ke liye, hume dharamshaastra aur humare aadhunik bhavishyevaktaaon ki aawaaz ka upyog karne ki aavashyaktaa hai apne bachcho ko unki divye pahechaan, unke jiwan ka matlab, aur Ishu Masih ke divye mission ke baare mein sikhana.

Samapti

Dharamshaastra mein, hum kai “bhaasha ke khone” ke kai uddhaaran paate hai.”15 Uddhaaran mein:

“Ab ayesa hua ki bahut si nayi peediyon ke log raja Benjamin ki baaton ko samajh nahi paa rahe the, kyunki jab usne apne logon se baate ki thi tab weh chote bachche the; aur weh apne pitaaon ki paramparao par vishwaas bhi nahi karte the.  …

“Aur ab apne avishwaas ke kaaran Parmeshwar ki vaani ko samajh nahi paa rahe the; aur unke hriday bhi kathor ho gaye the.”16

Bharti hui peedi ke liye susamachaar ek aisi bhaasha hai jisse unhonne nahi pahechana aur samajh mein nahi aaya. Aur jab ek maatra bhaasha ko bachchane mein sawaal hote hai, mukhti ki yojna mein bahas kiya jaata hai, hamare gharo mein susamachaar ki bhaasha ko khone ke anant parinaamon ke baare mein koi bahas nahi hai.

Tasveer
Ek Maa apne jawaan bete ke saath prathna karte hue

Parmeshwar ki bachchon ki tarah, hum sahi log nahi hai ek sahi bhaasha ko sikhne ki koshish mein.17 Jaese hi ek maa apne chote bachche ke saath dayalu hai, humare Swarg ke Pita humari kaamiyon aur galtiyon ke saath dhaerye rakhta hai.Wah humare prarthna ko puri tarah se nahi karne ko samajhta aur jaanta hai, sachchaai se kaha, jaese ki weh shayari ho. Wah humare pratham susamachaar ke shabdon ko sunne ke liye khush hai; Wah hume sachche prem ke saath sikhlata hai.

Tasveer
Family praying together

Is jiwan mein koi bhi kaarye, itna zaroori nahi hai, jitna ki agar hum apne parivaaron mein susamachaar ke bhaasha ko kho dein.18 Yah mera gawahi hai ki Swarg ke Pita humare himmat mein ashirwaad dega jab hum Uske bhaasha ko sikhenge, us samay tak jab ki hum is vaartalaabh ke unche sthir ke na ho jaaye, jo humesha humare maatra bhaasha hai. Ishu Masih ke naam se, amen.

Vivran

  1. Among Hispanics, by the third generation “the level of English monolingualism is … 72 percent” (Richard Alba, “Bilingualism Persists, but English Still Dominates,” Migration Policy Institute, Feb. 1, 2005, migrationpolicy.org/article/bilingualism-persists-english-still-dominates).

  2. “Speaking only English is the predominant pattern by the third generation” (Alba, “Bilingualism Persists, but English Still Dominates”).

  3. 1 Nephi 3:19; zor diya gaya.

  4. 1 Nephi 3:20; zor diya gaya.

  5. A language can be defined as “a system of communication used by a particular country or community” (Oxford Living Dictionaries, “language,” oxforddictionaries.com).

  6. Doctrine and Covenants 93:50; zor diya gaya.

  7. “[Preserving a native language] is possible, but it takes dedication and planning” (Eowyn Crisfield, “Heritage Languages: Fighting a Losing Battle?” onraisingbilingualchildren.com/2013/03/25/heritage-languages-fighting-a-losing-battle). “For example, German speakers in the Midwest were successful in maintaining their mother tongue across generations” (Alba, “Bilingualism Persists, but English Still Dominates”).

  8. David A. Bednar, “Multigenerational Families,” in General Conference Leadership Meetings, Apr. 2015, broadcasts.lds.org.

  9. Pratham Adhyakstha ke nirdeshan ka ek udhaaran: “We counsel parents and children to give highest priority to family prayer, family home evening, gospel study and instruction, and wholesome family activities” (First Presidency letter, Feb. 11, 1999).

  10. “You need to bring the language alive for your children, so that they can understand and communicate and feel a part of the people represented by the language” (Crisfield, “Heritage Languages: Fighting a Losing Battle?” Zor diya gaya).

  11. John 5:19.

  12. “A proper fast day observance typically includes abstaining from food and drink for two consecutive meals in a 24-hour period, attending fast and testimony meeting, and giving a generous fast offering to help care for those in need” (Handbook 2: Administering the Church [2010], 21.1.17).

  13. Dekhiye Omni 1:17.

  14. Doctrine and Covenants 93:39; zor diya gaya.

  15. Is bhaasan mei, “language loss” uspar amal deta hai ki kaise siddhant kho sakta hai (dekhiye Judges 2:10; Omni 1:17; 3 Nephi 1:30).

  16. Mosiah 26:1, 3; zor diya gaya.

  17. Dekhiye Matthew 5:48; 3 Nephi 12:48.

  18. Dekhiye Matthew 16:24–26.