Maha Sammelan
Swarg se Madad ki Zaroorat hai
April 2020 maha sammelan


Swarg se Madad ki Zaroorat hai

Aaiye hum apne vishwaas ko Prabhu Ishu Masih par amal me laae!

Yah ek vishist aur adbhut sabha raha hai! Dhanyevaad, pyaare Laudy aur Enzo. Aapne Girjaghar ki shaanadaar yuvatiyon aur yuvakon ka itni achchi tarah se pratinidhitv kiya.

Mere pyaare bhaaiyon aur bahanon, hamne aaj Girjaghar ki Punahsthaapna ke baare me bahut suna hai—yahi Girjaghar jo hamare Uddhaarkarta, Ishu Masih, ne Apne saansaarik dekhrekh ke dauraan sthaapit kiya tha. Yah punahsthaapna 200 saal pahle is bahaar ke maosam se shuru hui jab Parmeshwaar Pita aur Unki Putr, Ishu Masih, Joseph Smith ko dikhai diye.

Is atiuttam drishti ke das saal baad, Bhavishyevakta Joseph Smith aur paanch anye ko Prabhu ke punahsthaapit girjaghar ke sansthaapak sadasyon ke rup me bulaaya gaya tha.

6 April 1830 ko ikatthe hue us chote samuh se, 16 miliyan se adhik sadasyon ka ek vaishvik sangathan ho gaya hai. Yah Girjaghar maanav peeda ko kam karne aur maanav jaati ke liye utthaan pradaan karne ke liye duniya bhar me prasiddh hai. Lekin iska mukhye uddesh purushon, mahilaaon, aur parivaaron ko Prabhu Ishu Masih, ka anusaran karna, Unki aagyaon ko nibhaana aur sabhi aashirvaadon me sabse badhi yogyata ke liye yogye hona hai—jo ki Parmeshwaar aur unke priyajanon ke saath anant jeevan hai.1

Jaisa ki hum ne shuru karne vaali ghatna ko yaad kiya hai 1820 me, yah yaad rakhana mahatvapurn hai ki jab hum Joseph Smith ko Parmeshwaar ke profat ke rup me sammaan dete hai, to yah Joseph Smith ka girjaghar nahin hai, na hi yah Mormon ka girjaghar hai. Yah Ishu Masih ka Girjaghar hai. Usne theek hi aadesh diya ki Uska Girjaghar kya kaha jaana chaahiye “Kyunki antim-dinon me mera girjaghar isi naam se bulaaya jaaega, jo hai Ishu Masih ka Girjaghar Antim-dino ke Santo ka.”2

Mai ne pahale ek aavashyak paathyakram sudhaar ke baare me baat ki hai jis tarah se hum Girjaghar ke naam ko lete hai.3 Us samay se, is sudhaar ko amal me laane ke liye bahut kuch kiya gaya hai. Mai Pradhaan M. Russell Ballard aur pure Barah ke Parishad se abhaari hoon, jinhonne in prayaason ka netrtv karne ke saath-saath ek aur pahal se sambandhit un logon ka netrtv karne ke liye itna kiya hai jo mai aaj shaam ghoshna karunga.

Girjaghar ke leaders aur vibhaag, sambandhit sansthaaen, aur laakhon sadasyon—aur anye log—ab Girjaghar ke sahi naam ka upyog karte hain. Girjaghar ka aadhikaarik naam ka andaaz ab badal diya gaya hai. Girjaghar ki pramukh website ab ChurchofJesusChrist.org hai. Email, domain naam aur soshal midiya chenalon ke naam badal diye gaye hai. Hamara pyaara choir ab Temple Square par Tabernacle Choir hai.

Hum in asaadhaaran prayaason me chale gaye hain kyunki jab hum Prabhu ke naam ko Unke Girjaghar ke naam se hataate hai, to hum anjaane me Unhe hamari pooja aur hamare jiwan ke mukhye dhyaan ke roop se hata dete hain. Jab hum baptisma pe Uddhaarkarta ka naam apne upar lete hai, to hum apne shabdon, vichaaron aur kaaryon dwara gawaah bannte hain ki Ishu Masih hai.4

Pehle, hum waada kara raha ki agar hum log sakegar “tab hum log puri koshish karenge Prabhu ke Girjaghar ka sahi naam phir se laane,” Woh jiska Girjaghar yeh hai Apni shakti aur ashirvaad dega Antim-din ke Santo ko,jon rakam se hum log kabhi dekha nahin hai.”5 Hum aaj uh waade ko punah-aarambh karta hai.

Hamein use yaad rakhne me madad karne aur Ishu Masih ke Antim-dino ke Santo ka Girjaghar ko Prabhu ke Girjaghar, ke roop me pahchaanne me madad karne ke liye, hamein ek prateek prastut karne ki kripa hai jo Unke Girjaghar me Ishu Masih ke mukhye sthaan ka sanket dega.

Is prateek me ek kone ke patthar ke bheetar Girjaghar ka naam shaamil hai. Ishu Masih hi mukhye kone ka patthar hai.6

Tasveer
Wadmak konaston ke saath

Prateek ke beech me Thorvaldsen ki sangemarmar(marble) ki murti ka pratinidhitv Christus hai. Yah punarjeevit, jiwit Prabhu sabhi ko gale lagaane ke liye baahe faelaata Apne paas bulaata hua chitran karta hai.

Prateekaatmak roop se, Ishu Masih ek arch ke niche khada hai. Arch teesre din kabr se ubharane waale Punarjeevit Uddhaarkarta ki yaad dilaata hai.

Tasveer
Naye Girjaghar ki simbal

Yeh prateek kai logon ke liye jaana maana hona chahiye, kyunki humne lambe samay se punahsthaapit susamachaar ko jiwit, punarjeevit Masih ke saath pehchaana hai.

Yeh Prateek ab aadhikaarik saahity, samaachaar aur Girjaghar ki ghatnaon ke liye ek drshy pahachaan ke roop me upyog kiya jaega.7 Yah sab yaad dilaega ki yah Uddhaarkarta ka Girjaghar hai aur jo kuch Uske sadasye ke roop me karte hai Ishu Masih aur Uske susamaachaar par dhyaan le jaata hai.

Ab, mere pyaare bhaaiyon aur bahanon, kal Palm Raviwaar hai, jaise ki Elder Gong ne arthpurn dang se sikhlata tha. Tab hum is khaas saptah me aate hai jo Easter se samaapt hota hai. Ishu Masih ke chelon ke roop me, ayse samay me jab COVID-19 mahaamaari(pandemic) ne duniya ko hangaame me daal diya hai, to aaiye hum kewal Masih ki baat na karein ya Masih ka prachaar ya Masih ka pratinidhitv karne waale prateek ko nahi niyukt karen.

Aaiye hum apne vishwaas ko Prabhu Ishu Masih par amal me laae!

Jaisa ki aap jaante hain, Girjaghar ke sadasye har mahine ek din upwaas ke niyam ka paalan karte hai.

Upwaas ka siddhaant praacheen hai. Yah shuruaati dinon se baibil naayakon dwara abhyaas kiya gaya hai. Moses, David, Ezra, Nehemiah, Esther, Isaiah, Daniel, Joel aur kai anye logon ne upwaas kiya aur upwaas ka updesh diya.8 Isaiah ke lekh ke maadhyam se, Prabhu ne kaha: “Kya yah upwaas nahi hai jo mainne chuna hai? dushtata ki dor dhili karne ke liye, bhaari bojh utaarne ke liye, aur daliton ko aazaad karne ke liye?”9

Devdut Paul ne Corianth me Santon se kaha “upwaas aur prarthana karne ke liye khud ko do.”10 Uddhaarkarta ne khud ghoshit kiya ki kuch cheezen “baahar nahin balki prarthana aur upwaas se jaati hai.”11

Mai ne haal hi me ek soshal meediya vidiyo me kaha tha ki “ek daactar aur surgeon ke naate, hum daactari pesha, vaygyaanik(scientists), aur sab jon din raat kaam kare hai COVID-19 ke faelne se bachaawe me ke bahut sammaan karta hai.”12

Ab, Ishu Masih ka Girjaghar Antim-dino ke Santo ka ke Adhyaksh aur Ishu Masih ke ek Devdut ke roop me, mai jaanta hoon ki Parmeshwar ke paas saaree shakti, saaree buddhi aur saaree samajh hai; vah sabhi cheezon ko samajh leta hai, aur vah ek dayaalu hone ke naate, yaha tak ki uddhaar ke liye bhi, jo pashchaataap karega aur Uske naam par vishwaas karega.”13

Isliye, gahare sankat ke samay, jab beemaari mahaamaari ban jaati hai, to hamare liye sabse svaabhaavik baat yah hai ki hum apne Swarg ke Pita aur Uske Putr—Master Healer se kahen—ki weh prithvi ke logon ko aashirvaad dene ke liye apni adbhut shakti ka pradarshan karen.

Mere veediyo sandesh me, mainne sabhi ko Raviwaar, 29 March, 2020 ko upwaas me shaamil hone ke liye aamantrit kiya tha Aap me se kai logon ne veediyo dekha hoga aur upwaas me shaamil hue honge. Kuch logon ne nahi dekha hoga. Ab bhi hamein swarg se madad ki zaroorat hai.

Isliye aaj raat, mere pyaare bhaaiyon aur bahanon, Mosiah ke beton ki aatma me, jinhonne khud ko bahut upwaas aur prarthana ke liye diya,14 aur hamare April 2020 ke saamaany sammelan ke hisse ke roop me, mai duniya bhar me ek aur upwaas ka aelaan karta hoon. Jo sab log ke swaasth maoka dewe, aao hum ek baar phir upwaas, praathna karein, aur apne vishwaas ko ekjut karien. Aiyee hum is vaishvik mahaamaari se raahat ke liye prarthana karein.

Hum amantrit karta hai sab ke, jon hamare dharm ke na bhi ho, ko Good Friday, April 10 ko upwaas rakhe aur prarthana kare, ki yeh vartamaan mahamaari ko sambhaala jaa sake, dekhbhaal karne waale surakshit rahe, arthvyavastha majboot ho jaae, aur zindagi saamaanye ho jaaye.

Hum kaise upwaas karein? Do samay ka bhojan ya 24 ghante ka samay jaisa hum hamesha karte hai. Lekin aap tay karenge aapke liye tyaag kya hoga, jab aap sarvuchch balidaan ko yaad karenge jo Uddhaarkarta ne aapke liye diya tha. Aaye hum duniya bhar me ektrit hoke changaai ke liye prarthana karein.

Good Friday ekdam sahi din hoga hamareliye apne Swarg ke Pita aur Uske Putr ko sunne ke liye!

Priye bhaaiyon aur bahanon, mai aapse apan gehra prem jatata hoon, saath hi jis kaarye me hum lage hue hai uski divyata ki gawahi bhi. Yeh Ishu Masih ka Girjaghar Antim-dino ke Santo ka hai . Woh uska mukhya hai aur hum jo bhi karte hai uski aguwaai karta hai. Mai jaanta hoon ki Woh Apne logon ki vintiyon ka jawaab dega. Main yah gawahi Ishu Masih ke pavitra naam se deta hoon, amen.