2010
Naya Vyakti
July 2010


Yuva

Naya Vyakti

Mujhe kathinaai ho rahi thi ward ka bhaag mehsoos hone mein. Mera parivaar haal mein pure desh ko paar kar chuka tha. Hum jis ward mein gaye the ka yuva dal bada tha, magar pehli baar main “naya vyakti” rahunga. Sabse bura baat tha ki mujhe ek naye school mein jaana tha, aur turant mere mann mein ek yaad aaya, “Main dopahar ke bhojan ke samay kiske saath baethunga?” Shaayad mujhe girjaghar ka koi jaanne waala mil jaaye, magar main ghusna nahi chahata tha kisi ke khaane ke table par, khaaskar jab main nahin jaanta ki woh hamein wahaan chahate the ya nahin!

School ka pehla din na khatm hone jaisa lagta tha. Ant main dopahar ke bhojan ka ghanta baja. Jab main dhire se bhojan waale kamre me gaya, mainne Swargiye Pita se prarthna ki ki mujhe koi pehchaan waala mil jaaye. Mainne sabhi or dekha kisi pehchaan waale ko paane ke liye. Koi nahin. Tab main bhojan kamre ke dur ke table par jaakar apna bhojan khaaya.

Usi din baad mein math ki kaksha mein, mainne ek pehchaan ka chehra dekha. Mainne David ko seminary mein subha dekha tha. Usne mera schedule maanga aur dekha ki hamara ek hi bhojan ka samay hai. Usne kaha “tum aaj dopahar ke bhojan ke samay kahan the?”:

“Main kamre ke dur ke kone mein bhojan kiya,” mainne kaha.

“Achcha, kal mere saath aakar baethna bhojan ke samay,” usne kaha.

Main ek premi Swargiye Pita ke liye abhaari hoon, jo hamare har zaroorat ko jaanta aur hamare har prarthna ka jawaab deta. Main uske liye bhi abhaari hoon jo dosti ka haath badhaane ki ichcha rakhta tha. Koi cheez ek nimantran ki tarah saral bhi itna antar laa sakta hai.