2010
Gharon aur Parivaaron ko Mazboot Karna
July 2010


Shikshan Sandesh Bhent, July 2010

Gharon aur Parivaaron ko Mazboot Karna

Is utpaadan ka adhyan karein, aur jaise upyukt ho, jin bahanon se aap bhent karti hai unse vichaar-vimarsh karein. In sawaalon ka istemaal karein apne bahanon ko mazboot karne mein madad karne ke liye aur Sahayak Sanstha ko apne jiwan ka chust bhaag banane ke liye.

Dharamshaastra mein se: Genesis 18:19; Mosiah 4:15; D&C 93:40; Moses 6:55–58

Har Mauke Par Mazboot Karna

“Hum sab ek alag parivaarik stithi mein hai. Kuch parivaaron mein ek maata aur pita ke saath bachchein hai ghar par. Kuch dampatiyon ke bachchein ab ghar par nahin rahein. Girjaghar ke kai sadasye aviwaahit hai, aur kuch aviwaahit maata-pita hai. Anye log chahe vidhwa ya randwa hoke akele ji rahein hai.

“Hamara parivaar chahe jaisa bhi dikhe, hum sabhi kuch kaarye kar sakte hai apne parivaaron ko mazboot karne mein ya auron ko mazboot karne mein sahayta kar sakte hai.

“[Ek baar] main apne bahan ki beti aur uske parivaar ke ghar tehri thi. Us shaam bachchon ke sone se pehle, ek chota paarivaarik gharelu sabha aur ek dharamshaastra kahani ka samay tha. Unke pita ne unhe Lehi ke parivaar ke baare mein bataaya aur kaise usne apne bachchon ko sikhlaaya tha ki unhe lohe ke chad ko pakde rehna hai, jo Parmeshwar ka shabd hai. Lohe ke chad ko pakde rehne se unhein suraksha milegi aur unhein anand aur khushiyaali tak pahunchaaegi. Agar woh lohe ke chad ko chodenge, maele paani ke nadi mein dubne ka khatra tha unke liye.

“Bachchon ko iska upyog batlaane ke liye, unki maa ‘lohe ka chad’ ban gayi jisko unhein pakde rehna tha, aur unke pita ne shaetaan ka kirdaar nibhaaya, bachchon ko suraksha aur khushiyaali se dur khinchta raha. Bachchon ne kahani pasand ki aur sikha kitna avashyak hay lohe ke chad ko pakde rehna. Dharamshaastra ki kahani ke baad prarthna ka samay hua. …

“Dharamshaastra, paarivaarik gharelu shaam sabha, aur parivaar prarthna parivaaron ko mazboot karta hai. Hamein har mauka dhoondhna hai parivaaron ko mazboot karne ke liye aur ek duje ko sahara dena hai sahi maarg par tike rehne ke liye.”1

Barbara Thompson, Sahayak Sanstha maha adhyakshta ke dusre salahkaar.

Hum Kya Kar Sakte Hai?

  1. Parivaaron aur gharon ko mazboot banane ke kin tippaniyon ko tum apne bahanon ke saath baantogi? Jab tum unke vyaktigat paristhitiyon par gaor karoge, Aatma tumhare mann mein tippaniyaan laaega.

  2. Tum kin praathmiktaaon ko badlogi apne parivaar aur ghar ko aur mazboot karne ke liye?

Hamare Itihaas Mein Se

Shuruaat se Sahayak Sanstha ke nigraani mein raha hai parivaaron aur gharon ko mazboot karna. Bhavishyevakta Joseph Smith ne shuruaat ki ek Sahayak Sanstha sabha mein bahanon ko sikhlaaya, “Jab tum ghar jaaoge, kabhi apne pati se gussa ya rukha shabd na bole, magar daya, paropkaar aur prem ke kaarye ko apna bhaag bana lo.”2

1914 mein Pradhaan Joseph F. Smith ne Sahayak Sanstha ki bahanon ko bataaya, “Jahan kahin bhi apeksha ya kuch agyaanta ho parivaar ke sambandh mein, … wahin par yeh sanstha jiwit hota ya kareeb hota hai, aur praakritik endowments aur prerna dwara jo is sanstha se judi hai aur woh tayyaar hai shikshan dene ke liye jo un zaroori kaaryon se judi hai.”3

Vivaran

  1. Barbara Thompson, “His Arm Is Sufficient,” Liahona, May 2009, 84.

  2. Teachings of Presidents of the Church: Joseph Smith (2007), 482.

  3. Teachings of Presidents of the Church: Joseph F. Smith (1998), 186.