2010
Vishwaasniye Dost
July 2010


Pratham Adhyakshta ka Sandesh, July 2010

Vishwaasniye Dost

Uddhaarkarta ka sabse mahaan uphaar hamare liye hai ki woh hamein “dost” kahein. Hum jaante hai ki woh prem ki purnata se sabhi Pita Parmeshwar ke bachchon se prem karta hai. Phir bhi jo Unke saath sewa mein vishwaasi rahein hain, Woh unhein yeh darja deta hai. Tumhein Dharamsiddhaant aur Vaade ke 84th bhaag to yaad hoga jismein Prabhu santon se kehta hai, unke dost---kyunki ab se Woh unhein dost kahenge---ki yeh uchit hai ki Woh unhein yeh aagya de, ki woh Unke us samay ke dost ke tarah ho jo saath the jab Woh yahan the, yaatra karke Unke shakti mein susamachaar ka prachaar karte (D&C 84:77).

Hum Unke dost ban jaate hai jab hum Unke liye dusron ki sewa karte. Woh hi sampurn uddhaaran hai ki hamein kaisa dost banna hai. Woh sirf sabse achcha chahata hai apne Swargiye Pita ke bachchon ke liye. Unki khushi Inki khushi hai. Unke dukh ko Woh Apna mehsoos karta hai kyunki Usne unke sabhi paapon ki keemat chukaai hai, unke sabhi khaamiyon ko apne upar liya, unke sabhi musibaton ko saha, aur unke sabhi chahaton ko mehsoos kiya. Unke abhipraae(motives) pavitra hai. Woh Apne liye sammaan nahin dhoondhta magar saari mahima Apne Swargiye Pita ko deta. Woh sampurn dost, Ishu Masih, dusron ko khushiyaali dene ke liye puri tarah se nisswaarthi hai.

Hum sab mein se jinhonne baptisma ke vaade ko liya hai ne Unke uddhaaran par chalne aur ek dusre ke bojh dhone ka vaada kiya jaise Woh karta (dekhiye Mosiah 18:8).

Aane waale kuch dinon mein tumhein mauka diya jaaega Unke liye dost banne ka. Shaayad ek garda waale raaste par chalne jaise anubhav hoga. Shaayad ek relgaadi ke dibbe mein baethne jaisa anubhav hoga. Shaayad Girjaghar ke dharm sabha mein ek baethne ka sthaan dhoondhne jaisa anubhav hoga. Agar tum dekhte rahoge, tum kisi ko wajandaaar bojh le kar chalte dekhoge. Woh bojh shaayad dukh ya akelapan ya aprasannta ka hoga. Woh tumhein tab dikhega jab tumne prarthna ki hogi ki Aatma tumhein aankh dein jo dilon mein dekh sakein aur vaada kiya hoga ki dheele haathon ki sahayta karoge.

Tumhare prarthna ka jawaab shaayad ek puraane dost ka chehra hoga, jisko tumne kai saalon mein na dekha ho magar achaanak uski zarooratein mann aur dil mein aati aur tum mehsoos karte ho ki woh tumhaare hai. Mere saath aisa hua hai. Puraane dost mujh tak pahunche hai bahut dur dur se aur kai saalon baad bhi mujhe protsaahan dene ko jab sirf Parmeshwar hi unhein batla sakte the mere bojh ke baare mein.

Parmeshwar ke jiwit bhavishyevaktaaon ne hamein batlaaya ki hum Girjaghar ke naye sadasyon ke liye vishwaasniye dost banein aur unhe bachaane jaaye jo dur ho gaye hai. Hum aisa kar sakte hai, aur hum aisa hi karenge agar hum Uddhaarkarta ko hamesha yaad karenge. Jab hum madad karne aur bojh uthaane ke liye aage badhenge, Woh bhi hamare saath aage badhega. Woh hamein zarooratmandon ke paas le jaaega. Woh hamein ashirvaad dega ki hum bhi unke jaisa mehsoos karein. Jab hum unki sewa karne ki apne prayaas mein date rahenge, hum unke prati Unke prem ko mehsoos karne ke uphaar ko zyaada paaenge. Usse hamein himmat aur bal milega vishwaas se zyaada sahayta pradaan karne ke liye.

Aur, is samay aur swargmukhti mein, hum Unke vishwaasniye doston ke sangathan mein amantrit hone ka anand mehsoos karenge. Main prarthna karta hoon ki hum sab ko aur jo sewa pradaan karenge ko yeh ashirvaad mile.

Is Sandesh mein Se Shikshan

Parivaar sadasye arthpurn sahyog denge jab unhein dharamshaastra aur bhavishyevaktaaon ke shabdon mein se kuch dhoodhne ko kaha jaaye (dekhiye Teaching, No Greater Call [1999], 55). Jab tum lekh padhoge, parivaar sadasyon se kaho ki woh un siddhaanton ko pehchaane jo unhein sahayta dein Prabhu ke dost banne ke yogye hone mein.

Teaching, No Greater Call batlaata hai: “Agar tumhare paas Ishu jaisa Prem hai, tum achchi tarah tayyaar rahoge susamachaar prachaar karne ke liye. Tum prerit hoge anye logon ko Uddhaarkarta ko jaanne aur Uski aagya paalan karne mein madad dene ko” (12). Lekh mein se un siddhaanton ko pehchaaniye jo tumhein behtaar gharelu shikshak banne mein madad karein. Apne saathi ke saath ispar charcha karein, aur prarthnashilta se jaane ki kaise tum “vishwaasniye dost” ban sakoge unke liye jinki tum sewa karte ho.