2010
Meri Apni Mormon Dharamshaastra
September 2010


Yuva

Meri Apni Mormon Dharamshaastra

August 2005 mein, jab Pradhaan Gordon B. Hinckley (1910–2008) ne girjaghar ke sadasyon ko chetaaoniyaan diya Mormon Dharamshaastra ko padhne ke liye saal ke anth se pehle, Mainne apne aapse vaada kiya ki main pure Dharamshaastra ko padhungi. Main Mormon Dharamshaastra ke kahaniyon se wakif thi magar puri tarah se use kabhi padhi nahin thi. Ab main apne vaadon ko nibhati hoon.

Mainne yeh sikha hai ki kaise apne susamachaar ko apni zindagi mein la sakti hoon aur use apna bana sakti hoon. To jab mainne padha, mainne panne ke kinaare likh diya jo mainne us adhyaaye ka sahi vichaar socha tha. Mainne dobara aanewaali shabdon aur kahawaton ke niche rekha khicha taaki us par zor daaloon.

Mainne apne naam ko susamachaar ke naamon ke bagal mein likh diya taaki main yaad rakh paaun ki Ishwar ka vachan jo dusron ko batlaaya gaya hai woh vachan mujhse bhi batlaaya jaye. Uddharan se, 2 Nephi 2:28 mainne apna naam likha: “Aur ab, [Hillary], Main dekhunga ki tum sab se bade madysth ko dekho, aur uske sabhi aadeshon ka paalan karo.” Jitna zyaada mainne Mormon Dharamshaastra ko apna banaya, utna hi zyaada main uttejit hua use padhne mein har din.

Jab mainne har samay padha, Meri prarthnaaen haardik aur niji hoti gai. Main apne kaksha mein dhyaan bhi laga saki aur Aatma ko turant picha kiya dusron se dost banne ke liye. Saal ke aakhri raat ko, mainne Mormon Dharamshaastra ko padh kar khatam kiya.

Tab mainne pure Mormon Dharamshaastra ko padhne ki aavashyakta ko samjha, aur dusre dharamshaastron ke saath, aur yeh karna apni zindagi mein aur bhi kai baar chahata hoon.