2010
Hamari Zimmedaari Ubhadti Peedi ka Poshan Karne ke Liye
September 2010


Shikshan Sandesh Bhent, September 2010

Hamari Zimmedaari Ubhadti Peedi ka Poshan Karne ke Liye

Is utpaadan ka adhyan karein, aur jaise upyukt ho, jin bahanon se aap bhent karti hai unse vichaar-vimarsh karein. In sawaalon ka istemaal karein apne bahanon ko mazboot karne mein madad karne ke liye aur Sahayak Sanstha ko apne jiwan ka chust bhaag banane ke liye.

Tasveer
Relief Society seal

Vishwaas • Parivaar • Sahayak

Dharamshaastron se

Proverbs 22:6; Ephesians 6:4; Enos 1:1; Alma 53:20–21; 56:47; 57:27

Bina poshan ke, hamari ubhadti peedi khatre mein aa sakti hai uski tarah ban kar jo Mosiah 26 mein batlaya gaya tha. Kai yuva ne apne pitaon ke parampra ko vishwaas nahin kiya aur apne vishwaason mein woh alag the, paapon mein hi samlith rahe. Hamari ubhadti peedi is tarah gumrah ho sakti hai agar woh Swarg ke Pita ke yojna mein apne bhaag ko nahin samjhenge.

To woh kya hai jo ubhadti peedi ko sambhaal kar rakhegi? Girjaghar mein, hum siddhant ko sikhlaate hain, aur woh siddhant hain parivaar ke siddhant, woh siddhant jo ubhadti peedi ko apna parivaar banane mein madad karegi, parivaar ko padhaane mein madad karegi, aur us parivaar ko tayyaar karegi dharam vidhi—aur vaade ko lene mein aur phir dusra peedi agle peedi ko sikhlaaegi aur usi tarah chalta rahega.

Maata-pitaaon ki tarah, netaaon, aur girjaghar ke sadasyon, hum is peedi ko tayyaar kar rahe hai Abraham ki aashirwaad ke liye, mandir ke liye. Hamein zimmedari mili hai ki sahi rup se dharamsiddhant ke mul par rahein jo parivaar ke ghoshna mein paaya gaya tha. Maatritav aur pitritav anant bhumika aur zimmedariyaan hai. Hum mein se har ek ke paas zimmedariyaan hai jo chahe aadmi ya aurat ho ko yojna mein bhaag lena hai.

Hum is dharamsiddhant ko kisi bhi tarah se rakh kar padha sakte hain. Hamein izzat se shaadi aur parivaar par baatein karni chahiye. Aur hamare uddharan se, ubhadti peedi ko bahut aasha aur samajhne ki shakti mil sakti hai—na sirf un shabdon se jo hum kehte hain magar jo hum parivaar ki aatma se mehsoos aur utpan karte hain se bhi.

Julie B. Beck, Sahayak Sanstha maha adhyaksh.

Hamare Itihaas Se

Maha Sahayak Sanstha ke sabha September 23, 1995 mein bahanon ko batlaate hue Pradhaan Gordon B .Hinckley ne kaha: “Is duniya jis mein hum reh rahein hain woh ek shorgul ki duniya hai, jis ki aadarsh badalti rehti hai. Zor ki awaazein majboor karti hai woh kai kaarye karne ko jo dhoka deti hai der se banaai hui chaal-chalan ke sthar ko.”1 Tab Pradhaan Hinckley bahanon ko parichey dete hue aage bade, girjaghar, aur sabhi manushyon ko sahi samay par “Parivaar: Duniya Ke Liye Ek Aupchaarik Ghoshna.”

In kai saalon mein bhavishyevaktaavic pralekh kai bhashaaon mein anuwaad kiya gaya hai aur duniya bhar ke netaaon ko baanta gaya hai. Yeh naagrikon aur shaasan ke nataaon se pucha gaya “unko aage badhaya jaye jo usi tarah banna chahe aur jo apne parivaar ko shakti de samaaj ki mul sanstha ki tarah.”2

Yeh ghoshna Antim-dinon ke Santon ka neev ban gaya hai parivaaron ke baare mein, ek vaani jisse hum aacharan kar sakte hain aur jaante hain ki use nibhaane se, hum apni parivaaron aur gharon ko aur bhi shaktishaali bana sakte hain.

Vivaran

  1. Gordon B. Hinckley, “Stand Strong against the Wiles of the World,” Ensign, Nov. 1995, 99.

  2. Dekhiye “The Family: A Proclamation to the World,” Liahona, Oct. 2004, 49.

Main Kya Kar Sakti Hoon?

  1. Kis tarah main apni bahanon ko madad kar sakti hoon “Parivaar: Duniya Ke Liye Ek Aupchaarik Ghoshna” ko istemaal karne ke liye ubhadti peedi ka poshan karne ke liye? Tum is ghoshnaon ke copy ko shaayad baantna chahoge aur apni bahanon ko samajhne aur un bhaagon ko mark karaon jo sab se achchi siddhaanton ki chaabhi ko batlaane mein madad karein.

  2. Main Kaise Ubhadti Peedhi ka Poshan kar Sakti Hoon? Tum un ward, shaakha, parivaar, ya biradri ke sadasyon tak pahuchna chahate hoge jo tumhare dhyaan aur pyaar se faeda utha sakte hai.