2010
Mormon Dharamshaastra Vyaktigat Maargdarshak ki tarah
September 2010


Pratham Adhyakshata ka Sandesh, September 2010

Mormon Dharamshaastra Vyaktigat Maargdarshan ki tarah

Hum sab mehsoos karte hain, jab hum sabse zyaada dhaarmik chan mein hote hai, ek chahat waapas ghar jaakar Ishwar ke saath jine ke liye. Usne hamein Apne Priye Putra ka uphaar diya hamare Uddhaarkarta ki tarah raasta dikhlaane ke liye aur hamein batlaane ke liye use kaise nibhaaye. Usne hamein bhavishyevakta diya raasta dikhlaane ke liye. Pradhaan Joseph Smith ko Mormon ki Dharamshaastra ki bhavishveyktaaon ke lekha ko anuwaad karne ke liye prerna mili. Yeh hamari sahi maargdharshan hai Ishwar ke paas ghar jaane ke liye.

Joseph Smith ne is bahumulye dharamshaastra ke baare mein kaha, “Mainne bhaaiyon se kaha ki Mormon Dharamshaastra is dharti par sabhi pustakon mein se sabse sahi hai, aur hamare dharm ka mukhye patthar hai(jaise ek arch ka mukhye patthar), aur insaan Ishwar ke kareeb ja sakta hai uske niyamon ko nibhaane se, kisi aur kitaab ke milaan mein.”1

Mormon ki Dharamshaastra ka updesh hai Ishwar ke vaade jo hum us mein paate hain. Kuch vaade Uddhaarkarta se sidhe milti hai Uske Bhavishyevaktaaon se ki hamein kya karna chahiye aur hamein kya banna chahiye. Mormon ki Dharamshaastra hamein Uddhaarkarta ki udhaaran deti hai hamare vishwaas ko badhaane ke liye aur Uske vaadon ko puri tarah se nibha kar uske piche chalne ke liye. Dharamshaastra Ishu ke siddhanton se bhari hui hai hamein maargdarshan dikhaane ke liye. Yeh ek uddharan hai 2 Nephi se:

“[Ishu] ne maanav vansh se kaha hai: Tum mera anukran karo. Isliye mere bhaaiyon, bina Pita ki aagyaaon ka paalan kiye kya Masih ka hum anukran kar sakte hain?

“Aur Pita ne kaha: apne paapon par praeschit karo, pashchataap karo, aur mere Priye Putra ke naam se baptisma lo” (2 Nephi 31:10–11).

Dharamshaastra yeh batlaati hai ki yeh zaroori hai ki hum Pavitra Aatma ko praapt karein agni ki baptisma se taaki hum sakre raaste par chal sake. Hamein yeh padhaaya gaya hai ki hum sadeo Ishu ke naam se prarthna karein, bina behosh hue, aur agar hum aesa karein, hamein yeh vaada mila hai: “Is kaaran tum Masih mein dhrid vishwaas rakhte hue aasha ki akhand joyti mein aur Parmeshwar aur sabhi manushyon se prem rakhte hue, sadeo aage badhte chalo. Isliye agar tum aage badhte rahe, Masih ki vaani ka pyaala pite rahe, aur anth tak maransheel bane rahe, tab suno, Pita is prakaar keh raha hai: Tumhe ananth jiwan milega” (2 Nephi 31:20).

Mormon ki Dharamshaastra mein King Benjamin ki achche bayaan ko batlaya gaya hai ki uska matlab hai ki Ishwar aur sabhi manushyon se pyaar karo. Jab hamari prakriti badal jaati hai praeshchit karne ki shakti se aur hamare vishwaas se vaadon ko aagyaakaari rup se nibhaane se, hum Ishwar ke prem se bhar jaayenge (dekhiye Mosiah 4:1–12).

Mormon ki Dharamshaastra hamein vishwaas bhi deti hai ki hum is zindagi mein kitne saaf ho sakte hain jisse ki hum shaetaan ki kaaryon ko nahin karenge (dekhiye Mosiah 5:2). Yeh aasha hamein himmat aur shaanti deti hai jab shaetaan hamein behkaana aur kamzoor banane ki koshish karta hai hamare raaste mein.

Har samay jab main kuch bhi waakyon ko Mormon ki Dharamshaastra se padhta hoon, main apne gawahi ko shaktishaali mehsoos karti hoon ki dharamshaastra sachcha hai, ki Ishu Masih hai, ki hum Usse ghar lautne mein picha kar sakte hai, aur jinhe hum pyaar kartein hain unhe ghar apne saath leja sakein. Yeh mere liye dharamshaastron ka dharamshaastra hai. Yeh Ishwar ka vachan hai.

Main prarthna karta hoon ki hum aur sab jo pyaar kartein hain gehraai se har samay isi se piyenge. Main Ishu Masih ke naam se kehta hoon ki yeh maargdarshan sachcha hai.

Vivaran

  1. Teachings of Presidents of the Church: Joseph Smith (2007), 64.

Is Sandesh mein Se Shikshan

“Jab hum susamachaar aur antim-dinon ki bhavishyevakta ki shabdon ko padhaane ki sroth ki tarah istemaal karte hain, hum Aatma ko gawahi dene ke liye amantrit karte hain. Yeh hamare padhaane mein Ishwar ki shakti ko shaamil karti hai manushyon ko badalne mein. (D&C 11:21)” (Teaching, No Greater Call [1999], 51). Pradhaan Eyring ke achche sandeshon ko dhyaan se padhiye, Joseph Smith ka Mormon Dharamshaastra ke bayaan ke baare mein. Parivaaron ko amantrit kijiye yeh batlaane ke liye ki Mormon Dharamshaastra ko nibhaane se kaise madad milti hai Ishwar ke kareeb jaane mein.

“Jab sikhnewaale susamachaaron ke siddhaanton se batlaate hain, woh apne nipunnta ko badhaate hain jo unhe zaroorat hai apne vyaktigat susamachaar ko sikhne ke liye” (Teaching, No Greater Call, 54). In susamachaaron ko padhte rahiye jo is sandesh mein hai aur dekhte rahiye aur un sidhaanton par charcha kijiye jo woh sikhlaatein hain.