2012
Main Unhe Phir Se Dekhunga
April 2012


Yuva

Main Unhein Phir Se Dekhunga

Mere pita ne hum sab bachchon ko khaas hone ka ehsaas dilaya. Woh humse prem karta aur asaani se maaf kar diya karta tha. Woh sab kuch karta jisse ki hum sab khush rehte, aur usne yeh saaf batlaya tha ki woh hamare liye sabse behtar chahata tha. Main unse bahut prem karti thi.

Jab main 6th kaksha mein thi, mere pita ek caar durghatna mein chal base. Main aur mera parivaar to bahut niraash the. Hamare parivaar mein ek bhaari khoklapan ho gaya tha. Pitaji hi woh ek aadmi tha jispar hum nirbhar the. Unke mrityu ke baad madad maagne ke bajaae, mainne krodh aur peeda ko palne diya. Mainne nishchay kar liya tha ki yeh sab Parmeshwar ki karni thi. Mainne dharamshaastra padhna aur prarthna karna chod diya tha. Main girjaghar jaati thi isliye ki meri maa chahati thi. Main apne Swarg ke Pita se door rehne ki koshish karti thi.

Phir main Jawaan Mahilaaon ke camp mein gayi pehli baar. Main naye saheliyaan banana pasand karti thi, magar phir bhi apne dharamshaastra nahin padhti thi. Antim raatri ko, humne gawahi dene waale sabha mein bhaag liya. Mainne woh mehsoos kiya jo lambe samay se nahin kiya tha: Aatma. Mainne un ladkiyon ki prashansa ki jo jaakar apni gawahi deti thi, magar main baethi rahi kyunki mainne socha mere paas gawahi nahin thi. Achanak mujhe laga ki main bhi uthun. Mainne apna muh khola, sochti rahi kya kehna hai. Tab mainne kaha main Jawaan Mahilaaon ke camp se khush hoon. Phir mainne khud ko kehte suna ki main jaanti hoon Ishu Masih mere liye mare aur ki Swarg ke Pita mujhse prem karte aur ki Girjaghar sachcha hai.

Mujh mein ek ashcharyejanak shaanti aayi. Dhanyevaaad is anubhav ke liye jisse ki main keh sakti hoon ki main jaanti hoon ki main apne pita ko phir dekh sakungi Uddhaarkarta ke Praeshchit aur Punarjiwit hone se.