2012
‘Woh Ji Utha Hai’—ek Bhavishyevakta ki Gawahi
April 2012


Pratham Adhyakshta ka Sandesh, April 2012

“Woh Ji Utha Hai”

Ek Bhavishyevakta ki Gawahi

“Isaayi dharm ka daawa hai,” jaise Pradhaan Thomas S. Monson ne kaha, ki Nazareth ke Ishu maut se ji uthe. “Punahsthaapna ki vaastavikta ek aadmi ko aur sabhi ko woh shaanti deti hai jo samajh se baahar hai” (dekhiye Philippians 4:7).1

Aage bole jaane udharan mein, Pradhaan Monson Uddhaarkarta ke Punahsthaapna ki gawahi aur uske liye abhaar prakat karte hai aur kehte hai ki kyunki Putra ne maut se vijay paaya, Pita ke sabhi bachche jo dharti par aayenge phir se ji paaenge.

Maranshilta ke baad ka Jiwan

“Main vishwaas karta hoon Gethsemane mein Masih dwara kiye kaarye ko hum kabhi puri tarah nahin samajh paaenge, magar main apne jiwan ke har din abhaari hoon Unke praeshchit waale balidaan ke liye jo hamare liye tha.

Antim samay mein Woh mukar sakta tha. Magar Usne aysa nahin kiya. Woh sabse niche jhuka taaki Woh sabhi ko bacha sake. Aysa karne se, Usne hamein is maranshil jiwan ke baad ki zindagi di. Usne hamein Adam ke Patan se waapas laaya.

“Main apne rom rom se, Unka abhaari hoon. Usne hamein jeena sikhlaya. Usne hamein marna sikhlaya. Usne hamare mukti ka maarg tayyaar kiya.”2

Mrityu ke Andhere se Chutkara Paana

“Kuch stithiyon mein, jaise bahut takleef aur beemaari mein, mrityu daya ka farishta bankar aata hai. Magar zyaadatar, hum use maanav jaati ki khushiyaali ka dushman sochte hai.

“Mrityu ka andhera hamesha punahsthaapit sachchaai ki jyoti se door ho jaata hai. Swami ne kaha, ‘Punarjiwan aur jiwan main hi hoon.’ ‘Jo koi mujhpar vishwaas karta hai, woh yadi mar bhi jaaye, to bhi jiyega: Aur jo koi jiwit hai aur mujhpar vishwaas karta hai woh anantkaal tak nahin marega.’

“Yeh aashwaasan— haan, kabra ke baad— ke jiwan ka pavitra pushti bhi hamein Uddhaarkarta ke vaada kiye shaanti ko dega jaise Usne Apne chelon ko ashwaasan diya: ‘Main tumhein shaanti diye jaata hoon, apni shaanti tumhein deta hoon: jaise sansaar deta hai, main tumhein nahin deta. Tumhara mann na ghabraye aur na dare.’”3

Woh Yahan Nahin Hai

“Hamare Uddhaarkarta ji uthe. Maanav itihaas ke sabse mahimamay, sukh dene waali, aur protsaahit karne waali ghatna ghat chuki thi—maut par vijay paane ka. Gethsemane aur Calvary ki peeda aur dukh beet chuke the. Maanav jaati ki mukti nishchit thi. Adam ke Patan ko palta gaya tha.

“Us pehli Easter ke subha ka khaali kabra Job ke sawaal ka jawaab tha, ‘Agar koi vyakti mar jaaye, kya woh phir ji sakta hai?’ Jo meri awaaz ko sun sakte hai, main ghoshna karta hoon, woh phir se ji paaenge. Hum jaante hai, kyunki hamare paas prakat hue sachchaai ki jyoti hai. …

“Mere priye bhaaiyon aur bahanon, hamare zyaada dukh ke samay, hum gehri shaanti mehsoos kar sakte hai us pehli Easter ke subha ke devdut ki shabdon mein: ‘Woh yahan nahin hai: kyunki woh ji utha hai.’”4

Sabhi log Phir Ji Uthenge

“Hum haste, hum rote, hum kaam karte, hum khelte, hum pyaar karte, hum jeete hai. Aur phir hum mar jaate hai. …

“Aur mare hue hum rehte agar ek Aadmi aur Uske mission ki baat na hoti, woh hai Nazareth ka Ishu. …

“Main apne pure hriday aur mere aatma ki uttejna se, apne gawahi dene ki awaaz ko uthaaunga ek khaas gawaah ke rup mein aur kahunga ki Parmeshwar jiwit hai. Ishu Unka Putra hai, Pita ka Eklauta, sharir mein. Woh hamara Muktidaata hai; Woh hamara Maadhyam hai Pita se baate karne ka. Wohi tha jo krus par mara tha taaki hamare paapon ka praeshchit ho sake. Woh Punarjiwan ka pehla fal bana. Kyunki woh mare, sabhi phir se ji uth paaenge.”5

Ek Niji Gawahi

“Main apna niji gawahi bayaan karta hoon ki maut ko hara diya gaya hai, kabra par vijay paa liya gaya hai. Unke dwara pavitra kiye gaye shabd jinhonne use jiya hai sabhi ke liye vaastavik gyaan ban jaaye. Unhein yaad rakhiye. Unki Parwaah karein. Unka Sammaan karein. Woh ji uthe hai.6

Vivaran

  1. “He Is Risen,” Liahona, Apr. 2003, 7.

  2. “At Parting,” Liahona, May 2011, 114.

  3. “Now Is the Time,” Liahona, Jan. 2002, 68; John 11:25–26; 14:27 bhi dekhiye.

  4. “He Is Risen,” Liahona, May 2010, 89, 90; Job 14:14; Matthew 28:6 bhi dekhiye.

  5. “I Know That My Redeemer Lives!” Liahona, May 2007, 24, 25.

  6. Liahona, Apr. 2003, 7.

Is Sandesh mein Se Shikshan

Pradhaan Monson ke sandesh ke dohraane ko batlaane ke baad, Easter ke sahi arth par unke gawahi par dhyaan dein. Aap parivaar ke sadasyon se yeh sawaal puch sakte hai: “Aapko kaisa mehsoos hua jab aapne jaana ki ek jiwit bhavishyevakta ne in sachchaaiyon ki gawahi in dinon mein di hai? Aap kaise in shikshan ko apne jiwan mein laagu karoge?” Apni gawahi dene ki soche.