2012
Prem karein, Suraksha dein, aur Shakti dein
April 2012


Shikshan Sandesh Bhent, April 2012

Prem karein, Suraksha dein, aur Shakti dein

Prarthnashilta se is utpaadan ka adhyan karein aur, jaise upyukt ho, jin bahanon se aap bhent karti hai unse vichaar-vimarsh karein. In sawaalon ka istemaal karein apne bahanon ko mazboot karne mein madad karne ke liye aur Sahayak Sanstha ko apne jiwan ka chust bhaag banane ke liye.

Vishwaas, Parivaar Sahayak

Uddhaarkarta ki tarah, bhentkarne waale shikshak ek ek ko lekar bhent karte hai (dekhiye 3 Nephi 11:15). Hum jaante hain ki hum bhentkarne waale shikshak ke rup mein safal hai jab hamare behne keh sake: (1) meri bhent karne waali shikshak mujhe dhaarmik rup se madad karti hai; (2) main jaanti hoon ki meri bhent karne waali shikshak meri aur mere parivaar ki bahut khyaal rakhti hai; aur (3) agar mere paas samasyaaen hoti hai, main jaanti hoon meri bhent karne waali shikshak madad karegi mujhe kuch kehne ka intazaar kare bagaer.1

Hum kaise bhent karne waale shikshak ke rup mein ek bahan se prem, ki suraksha, aur ko shakti de sakte hai? Niche diye gaye 9 sujhaao hai jo Daughters in My Kingdom: The History and Work of Relief Society pustika ke adhyaaye 7 mein paaya jaata hai bhent karne waale shikshak ki sahayta ke liye:

  • Har din uske aur uske parivaar ke liye prarthna karein.

  • Prerna haasil karein uske aur uske parivaar ko jaanne ke liye.

  • Use aksar bhent karne jaaye jaanne ke liye woh kaisi hai aur use sahanubhuti aur shakti dene ke liye.

  • Aksar bhent karne, phone par baat karne, patra likhne, e-mail, text sandeshon, aur saadhaaran daya ke kaarye karne se unse sampark banaye rakkhe.

  • Usse Girjaghar sabhaaon mein milein.

  • Use madad karein jab zaroorat pade, beemaari, ya koi aur tatkaal madad pahunchaane ke liye.

  • Use dharamshaastra aur Shikshan Sandesh Bhenton mein se sikhlaaye.

  • Uske liye achcha uddhaaran banke prerna dein.

  • Ek Sahayak Sanstha neta ko unke sewa ke aur us bahan ke dhaarmik aur shaaririk swaasthye ki jaankaari dein.

Dharamshaastra mein se

Luke 10:38–39; 3 Nephi 11:23–26; 27:21

Hamare Itihaas Se

“Bhentvaarta shikshan duniya bhar ke Antim-din Sant mahilaaon ke liye ek zariya ban gaya hai prem, poshan, aur sewa karne ka— ‘us daya ke saath kaarye karna jo Parmeshwar ne [hamare] andar daala hai,’ jaise Joseph Smith ne sikhlaya.”2

Ek bahan jo haal hi mein vidhwa hui thi ne apne bhent karne waale shikshak ke baare mein yeh kaha: “Unhonne suna tha. Unhonne mujhe sahanubhuti di. Woh mere saath royi. Aur unhonne mujhe gale lagaya. … [Unhonne] mujhe un shuruaat ke akelepan ke kuch mahino ke ghor niraasha aur dukh se nikalne mein madad ki thi.”3

Saansaarik kaaryon mein haath batana bhi ek tarah ka sewa hai. October 1856 ke maha sammelan mein, Pradhaan Brigham Young ne batlaya ki haathgaadi purvaj gehre barf mein fase the 270–370 meel (435–595 km) door. Usne Salt Lake Shahar ke Antim-din Santon ko unke bachaao ke liye bulaya aur achchi tarah “un cheezon par dhyaan dene ke liye jo saamaajik hai.”4

Lucy Meserve Smith ne likha tha ki usi sammelan kendra mein mahilaaon ne apne niche pehne hue garm kapdon aur mojon ko wahin nikaala aur haath gaadiyon mein daala un thand mein fase purwajon ki madad ke liye. Phir unhonne kambal aur kapde ikattha kiya unke liye jo kam saamaan ke saath aayenge. Jab haathgaadi chaalak pahunche, shahar mein ek imarat mein “unke liye samaan jama the.”5

Vivaran

  1. Dekhiye Julie B. Beck, “What I Hope My Granddaughters (and Grandsons) Will Understand about Relief Society,” Liahona, Nov. 2011, 113.

  2. Daughters in My Kingdom: The History and Work of Relief Society (2011), 112.

  3. Daughters in My Kingdom, 119–20.

  4. Brigham Young, “Remarks,” Deseret News, Oct. 15, 1856, 252.

  5. Dekhiye Daughters in My Kingdom, 36–37.

Main Kya Kar Sakti Hoon?

  1. Main kaise jaan sakti hoon meri bahanon ki kya zaroorat hai?

  2. Kaise meri bahanein jaan paaengi ki main unke baare mein parwaah karti hoon?