2015
Ishu Maseeh ke dwara Jeet
March 2015


Yuva

Ishu Maseeh ke dwara Jeet

Mujhe ek buri adadt thi bahut khaane ka. Mere baar baar bahut zyaada khaane k parinaam mein bahut hi zyaada sharmindagi, rukaawatein, aur takleefein utaani padi. Main bahut hi kamzor mehsoos karta agar nahi khata .

Bahut dinon tak maine andekha kiya hai ki Uddhaarkarta ki Praeshchit sirf hume bachaati nahi hai balki hume mukti deti aur hume sahi banati hai, aur yah mera bahut khaane par bhi laago hota hain.

Maine apne aap ko humare Uddhaarkarta ke raaste par lagane ka faesla kiya. Maine prarthna kiya. Maine abhi haal hi apne khaami aur apne mahima ki zaroorat ko jaana, aur phir maine Uske diviye madad ko aane wale jiwan ke liye Swarg ke Pita se ashirwaad ki tarah maanga. Us raat maine prem karne waale Pita ki madad ko mehsoos kiya ki Uske paas anchaahi ichcha hai Uske putra ko madad karne ki aur Usske aagaya ko pura karne ke liye behisaab shakti.

Us raat ke baad, bhojan ka prabhaao mujh par ussi tarah ka nahi raha. Main jaanta hoon ki Ishu Maseeh hi meri safalta ka raaz hai. Paul ki tarah, main bhi wah seekh raha hoon “Main sabhi kuch Maseeh ke dwara kar sakta hoon jo mujhe shakti pradaan kartein hain” (Philippians 4:13). Aur main koshish kar raha hoon ki Paul ke dusre shikshan ko kabhi nahi bhoolun: “Parantu Parmeshwar ka dhanyewaad ho, jo humare Prabhu Ishu Maseeh ke dwara hume vijay karta hai” (1 Corinthians 15:57).