2015
Ishu Maseeh ke Gun: Der tak jhelna aur Dhaerye
March 2015


Shikshan Sandesh Bhent, March 2015

Ishu Maseeh ke Gun: Der tak jhelna aur Dhaerye

Prarthnashilta se is utpadan ka adhyan karein aur wah dhoondhe jo aapko batlana hai. Kis tarah Uddhaarkarta ke jiwan aur mission ko samajhne se tumhari Us mein vishwaas badhegi aur unhein aashirwaad milegi jinhein tum bhent shikshan ke dwara dekhbhaal karte ho? Aur zyaada jaankaari ke liye, dekhiye. Aur zyaada jaankaari ke liye, dekhiye reliefsociety.lds.org.

Tasveer
Sahayak Sanstha Mohar

Vishwaas, Parivaar, Sahayta

Dhaerye ko humesha shaanti, kam-sakriye ki tarah socha jata hai, parantu Pradhaan Dieter F. Uchtdorf, jo Pratham Adhyakshakta ke Dosre Salaahkaar hai ne, kaha, “Dhaerye kam-sakriye hona nahi hai, nato yah humare dar ke kaaran hota hai. Dhaerye ka matalab sakriye ho kar aur ant tak intazaar karna. Is la matlab hai ki kisi cheez ke saath rahana … bhale hi humare hriday ki ichcha kam hoga ho. Dhaerye sirf ant tak jhelna nahi hai; yah achchie tarah se ant tak jhelna hai!”

Humare maranshil jiwan se pahale ke jiwan mein, humare Swarg ke Pita ne hume—Uske Aatma ke bachchon—ke liye yogna banaya tha aur hum dharti par aane ke aosar ke liye anand se gaate the” (dekhiye Job 38:7). Jab hum apne dharti ke jiwan ke dauraan Uske aagya ka paalan karne ko chuntein hain, Wah “[humein] anekh logon ko mukti dene ke liye [Apne] haat ka saadhan banayega” (Alma 17:11).

Pradhaan Uchtdorf ne aage kaha, “Dhaerye ka matlab hai ki swikaar karna ki kuch badal nahi sakta aur dhaerye ke saath himmat, mahima, aur vishwaas hai. Is ka matlab hai ki ‘sabhi kuch tayaag kar Prabhu ko swikaar nahi karta hai, jayese ek bachcha apne pita ki baaton ko swikaar karta hai’ [Mosiah 3:19]. Ussi tarah, dhaerye ka matlab hai ki ‘dird sthir aur Prabhu ke adeshyon ke paalan karne mein adig bane raho’ [1 Nephi 2:10] sabhi din ke har ghanton mein, bhale hi jab bahot hi mushkil bhi ho.”1

Anye Dharamshaastra

Psalm 40:1; Galatians 5:22–23; 2 Peter 1:6; Alma 17:11

Dharamshaastra mein se

Dharamshaastra humein batlaatein hain ki humare dharti ke jiwan ke dauraan, humein “musibaton ke samay dhaerye rakhna hoga, kyuki [hum] kai ka saamna karenge.”Phir Parmeshwar hume yah daya ka vaade karta hai, “Ant tak jhelo, kyunki,lo, Main tumhare saath hoon, aakhri dinon tak” (D&C 24:8).

Yah Dharamshaastra ki kahani ek dhaerye aur vishwaas ki hai.

“Aur ek stri ne jis ko barah warshon se laho bahane ke rog tha …[Maseeh] ke aachal ko chua: aur turant hi changi ho gayi.

“Aur Ishu ne kaha, … Kisi ne mujhe chua hai: kyunki maine jaan liya hai ki mujh mein se saamarth nikali hai.

“Jab stri ne dekha ki wah chip nahi sakti, tab kaapti hui aayi, aur uske payeron par gir kar sab logon ke saamne batlaya, ki maine kisi kaaran se tujhe chua, aur chukar turant changi ho gayi.

“Usne use kaha, beti teri vishwaas ne tujhe changa kiya hai, kushal se chali ja” (Luke 8:43–48).

Uski tarah, hum bhi ashirwaad aur daya aur changaai ko bhi prapt kar saktein hain, jab hum Ishu ke paas jaayenge jiski—Praeshchit humein changa kar sakta hai.

Vivran

  1. Dieter F. Uchtdorf, “Continue in Patience,” Liahona, May 2010, 57, 59.

Yeh Sochiye

Luke 8 ke kahani se, is mahila ki saalon ki dhaerye kis tarah ka tha aur phir uski Ishu Maseeh mein vishwaas ne khushi pradaan kiya tha.