2015
Uske Prem ke Bahon mein Lapeta gaya
March 2015


Pratham Adhyakshta ka Sandesh, March 2015

Uske Prem ke Bahon mein Lapeta gaya

Dusron ki tarah, mujhe bhi kai baar sundar chitra aur sangeet ke kaarye se prerna milta hai. Ek ayesa aosar tha jab main Danish ke chitrakaar Frans Schwarz ke banaaye hue The Agony in the Garden1 naamak ek sundar chitra ke aage khada hua tha.

Us sundar bane hue chitra mein Uddhaarkarta Gethsemane ke Bagiche mein ghutnon par baetey hue hai. Jab Wah prarthna kartein hain, Uske bagal mein ek devdut khada hua hai, Usko prem se bahon mein bhare hue, daya,swarg ke madad, aur sahare ke saath.

Jitna gaor se main is chitra ko dekhta hoon, utna hi mera hriday aur mann mein daya aur abhaar ke ahesaas ubhartein hain. Main mahesoos kar sakta hoon, us stithi ko, jab Uddhaarkarta ne Apne mahaan maranshil kaarye ki shuruwaat kiya tha Apne upar duniya bhar ke paapon ko lene ke dauraan waha upastith rahane mein. Main Uske bachcon ke liye Pita ka anmol prem aur daya ko dekh kar khush hoon. Main sare manushye aur apne liye nishpaap Putra ke kiye hue kaarye ke liye bhahot hi abhaari mehsoos karta hoon.

Parmeshwar ke Putra ki Balidaan

Har saal is samay ke dauraan hum sabhi manushye ke liye Ishu Maseeh ke dwara diye gaye hue balidaan ko yaad kartein aur gaor kartein hain.

Jo Uddhaarkarta ne humare liye Gethsemane se Golgotha mein kiya tha wah mere chamta se bahar hain. Usne humare paapon ke bhojh ko utaya aur sirf Adam ke hi galti ke liye anant tak aur zaroori karze ko nahi bhara parantu un bilianon aatmaoun ke liye jo kabhi jiwit the ke paapon aur galtiyon ke liye bhi. Is anant tak ke, pavitra balidaan ne “Parmeshwar ko bhi, sabhi mahaan, peede se guzarna pada tha, aur sharir ke sabhi ang se laho baha tha, aur dono sharirik aur aatma ne jhela tha”(D&C 19:18).

Usne mere liye jhela.

Usne tumhare liye jhela.

Mera aatma abhar se bhar jata hain jab main is balidaan ke mahaan matlab ko yaad karta hoon.yah jaan kar vinamar ho jata hoon ki sabhi jinhone is uphaar ko swikaar kiya hai aur Usko apne hriday mein jagha diya hai unko paapon se maaf kiya aur mukht kiya jata hain, chahe kitna bada hi paap ho ya kitna hi bhari unke bhoj ho se.

Hum ek baar phir shudh aur saaf ho saktein hain. Hum apne pyaare Uddhaarkarta ke anant balidaan se punaharjiwan praapt kar saktein hain.

Hum Par Kaun Daya Karega?

Bhale hi hum mein se kisi ne Prabhu ke jhele hue ko anubhao na kiya hai, hum sab ko apne khud ke alag tarikon ke buri aur musibat ke samay se guzarna hoga—kabhi kabhi ayesa lagega ki humare dukh peeda sahan se bahot ziyada hai.Yaha par ayesa bhi samay hoga jab humare aaponka bhojh aur paschaataap hum par bhojh lagega.

Bhale hi, agar hum us musibaton ke samay hi Prabhu ko yaad karenge, Wah zaroor jaanega aur sunega. Wah jo bagiche mein aur krus par badi beharahemi se jhela tha hum ko bina madad ke nahi chodega. Wah humein shakti, himmat, aur ashirwaad dega. Wah humein Apne bahon mein prem se lapet lega.

Wah humare liye devdut se zyaada hoga.

Wah humare liye daya, changaai, asha, aur chama ke ashirwaad layega.

Wah humare Muktidata hain.

Humare Bachanewala.

Humare dayawaan Uddhaarkarta aur humare ashirwaad dene waala Parmeshwar.

Vivran

  1. Ek Padri jisne Frans Schwarz ki mrito par “uski kala bahut hi anmol tha aur kai bhaashan se zyaada zaroori tha” (Emmilie Buchanan-Whitlock, “History of Artists’ Lives Gives Greater Context for Exhibit,” Deseret News, Sept. 29, 2013, deseretnews.com).

Is Sandesh Mein se Shikshan

Sikhlane se pehle tum, Aatma ki maargarshan ki madad ko maango taaki jinhe tum sikhlaao unke zaroorat ko samjh sako. Jab tum Pradaan Uchtdorf ke sandeshe mein se sikhlaao, Uddhaarkarta ke bare mein gawahi do aur Uske mahaan balidaan par.Unse yah pucho ki weh Maseeh ke Balidaan ke bare mein kya jaantein hain aur unhone unke “bure aur musibat ke samay” par Prabhu ke daya ko kis tarah mehsoos kiya tha.