2016
Woh Kaarye Jisse Hum Khushiyaali Paa Sakte Hai
January 2016


Yuva

Woh Kaarye Jisse Hum Khushiyaali Paa Sakte Hai

Pradhaan Eyring sikhlaata hai ki “jo khushiyaali hum apne priyejanon ke liye chahate hai unke chunawon par nirbhar hoga.”

Tum chunne ke parinaamon ke baare mein Nephi, Laman, aur Lemuel ke uddharanon se seekh sakte ho. Laman aur Lemuel ne shikayat kiya aur aagyaaon ka paalan nahin karna chahate the (dekhiye 1 Nephi 2:12). Jiske kaaran, woh aur unke purwaj ko shraap mila aur woh Prabhu ke upasthiti se nikaale gaye (dekhiye 2 Nephi 5:20–24). Nephi ne aagya ka paalan karne ko chuna (dekhiye 1 Nephi 3:7), aur is kaaran, woh aur unke log “khushaal jiwan vaytit kar sakein” (2 Nephi 5:27).

Tum sachchaai chun sakte ho aur khush reh sakte ho. Magar tumhare aas paas ke log tab bhi bure chunaao karenge jisse dukh ya takleef pahunchega. Jabki un chunawon ko unhein hi banana hai, tumhara uddharan unke chunao ko achchaai ke liye prabhawit kar sakta hai. Kaise tumhare chunawon se auron ko khushiyaali mil sakti hai? Apne parivaar ke saath vibhinn tarike par baate karo jisse unhe achchaai ki or prabhawit kar sakte ho aur khushiyaali mehsoos karwa sakte ho.