2016
Parivaar: Duniya mein Susamachaar ki Ek Aupchaarik Ghoshna
January 2016


Shikshan Sandesh Bhent, January 2016

Parivaar: Duniya mein Susamachaar ki Ek Aupchaarik Ghoshna

Prarthnashilta se is utpadan ka adhyan karein aur wah dhoondhe jo aapko batlana hai. Kaise jab aap parivaar ke siddhaant ko samajhenge tab aap jise bhent karte hai ko ashirvaad milega? Aur zyaada jaankaari ke liye, dekhiye reliefsociety.lds.org.

Vishwaas, Parivaar, Sahayta

Us 1995 ke maha Sahayak Sanstha sabha mein, jab Pradhaan Gordon B. Hinckley (1910–2008) ne pehli baar “Parivaar: Duniya ke Liye ek Aupchaarik Ghoshna” ko padha tha, Bonnie L. Oscarson, Jawaan Mahilaaon ki maha adhyaksh, ne kaha: “Hum is prakat huwe lekh ke liye abhaari hai aur iske nirmalta, saralta aur sachchaai ke mahatva ke liye. … Parivaar par ghoshna duniya ke gyaanvidhya ko parakhne ka hamara star tha, aur mai gawahi deta hoon ki diye gaye siddhaant … aaj bhi utne sachche hai jitna 20 varsh pehle the jab Parmeshwar ke bhavishyevakta ne use pesh kiya tha.”1

“Parivaar ek ghoshna me se,” Carole M. Stephens, Sahayak Sanstha maha adhyakshta ki pratham salahkaar batlati hai, “hum seekhte hai, ‘Maransheel jiwan se pehle, aatmik putra aur putriyaan Parmeshwar ko apne Anant Pita ke rup mein jaante aur upaasna karte the’2 …

“… Hum sab Parmeshwar ke parivaar ka bhaag hai aur uske liye avashyak hai.”3

Hum ayse samay mein reh rahe hai jab maata-pita ko apne gharon aur parivaaron ko surakshit rakhna hai. “Parivaar: Duniya ke Liye ek Aupchaarik Ghoshna” hamein maarg dikha sakta hai.

Anye Dharamshaastra

Mosiah 8:16–17; Doctrine and Covenants 1:38

Jiwit Kahaniyaan

“Lee Mei Chen Ho jo Tao Yuan Third Ward, Tao Yuan Taiwan Stake ka hai, ne kaha ki is ghoshna ne use sikhlaya ki parivaarik sambandh vishwaas, dhaerye, aur prem jaise divye gun ko badhate hai. ‘Jab mai khud ko ghoshna anusaar sudhaarna chahati hoon, mai sachchi khushi anubhav kar sakti hoon,’ usne kaha.”4

Barbara Thompson, jo upasthit thi jab ghoshna pehli baar padha jaa raha tha aur woh baad mein Sahayak Sanstha maha adhyakshta mein salaahkaar bani, ne kaha: Mainne kuch der ke liye socha ki [paarivaarik ghoshna] mujh par bahut lagoo nahin hota kyunki mai shaadi shuda nahin tha aur mere paas bachche nahin the. Magar bahut jald hi mainne socha, ‘Magar woh mujh par bhi laago hai. Mai ek parivaar ka sadasye hoon. Mai ek putri, ek bahan, ek chaachi, ek cousin, ek mausi, aur ek naatin bhi hoon. … Bhale hi mai apne parivaar ki eklauti jiwit sadasye hoti, mai tab bhi Parmeshwar ke parivaar ki sadasye hoti.’”5

Vivran

  1. Bonnie L. Oscarson, “Parivaar Aupchaarik Ghoshna ke Rakhshak,” Liahona, May 2015, 14–15.

  2. “Parivaar: Duniya Mein Ek Aupchaarik Ghoshna,” Liahona, Oct. 2010, 129.

  3. Carole M. Stephens, “Parivaar Parmeshwar se Hai,” Liahona, May 2015, 11.

  4. Nicole Seymour, “‘Parivaar: Duniya Mein Ek Aupchaarik Ghoshna’ ka Daswi Saalgira Hai, Liahona, Nov. 2005, 127.

  5. Barbara Thompson, Daughters in My Kingdom:mein The History and Work of Relief Society (2011), 148.

Yeh Sochiye

Kaise “Parivaar: Duniya Mein Ek Aupchaarik Ghoshna” hamare samay ka dastawez hai?