2016
Aag aur Aagyakaarita ke Paath
October 2016


Yuva

Aag aur Aagyakaarita ke Paath

Pradhaan Thomas S. Monson ne ek baar us samay ke baare me batlaya jab unhone aagyakaari hone ka mahatva samjha. Jab weh aath saal ke the, unke parivaar pahadiyon me unke cabin ghoomne gaye. Weh aur unke dost ghaas waali ek jagah ko saaf karna chahate the campfire ke liye. Unhonne ghaas ko haatho se saaf karne ki koshish ki, jhatka diya aur jitni zor se ho sake khincha, par mutthi bhar ghaas hi nikaal paye. Pradhaan Monson ne samjhaya, “Aur tab mujhe sujha ek badhiya sujhaao mere aath-saal-ke dimaag me jo sahi nahin tha. Maine Danny se kaha, ‘Hume sirf is ghaas ko aag lagana hai. Hum sirf is ghaas mein ek gol sthaan ko jalaenge!’”

Yeh jaante hue ki unhe maachis istamaal karne ki aagya nahi thi, weh cabin gaye, aur unhonne aur Danny ne us ghaas ke chote se bhaag me aag laga di. Unhonne socha ki aag khud bujh jayegi, par wah ek khatarnaak aur bhaari chingaari ban gayi. Unhonne aur Danny ne madad ke liye dauda, aur jald hi bade log aye aur pedo tak pahunchne se pahale aag ko bujha diya.

Pradhaan Monson ne aur kaha, “Danny aur mainne kai mushkil magar zaroori shikshan ko sikha tha us din—aaagyakaari hone ki zaroorat ki ahemiyat ke baare mein.” (Dekhiye “Aagya ka Paalan karne se Ashish Milta hai,” Liahona, May 2013, 89–90.)

Pradhaan Monson ki tarah, kya aap ko aagyakaarita ka paath kathinayi se seekhna pada? Aap kaisa lakshye bana sakte hai taaki aap bhavishye me apne aap ko aagyakaarita dwara surakshit rakh sakte hain?