2016
Parmeshwar Dwara Pariwaar ki Niyukti hota hai
October 2016


Shikshan Sandesh Bhent, October 2016

Parmeshwar Dwara Pariwaar ki Niyukti hota hai

Prarthnashilta se is utpadan ka adhyan karein aur dhoondo jo batlana hai. Kaise “Parivaar: Duniya ke liye aupchaarik Goshna” ko samajhna Parmeshwar ke prati aapka vishwaas badhata hai aur unko ashish pradaan karta hai jise aap shikshan bhent dwara dekh bhaal karti hain?Aur zyaada jaankaari ke liye, dekhiye reliefsociety.lds.org.

Vishwaas, Parivaar, Sahayta

“[Primary ke geet] ki bol mei, ‘The Family Is of God,’ … hume sudh dharamsidhant ki yaad dilaati hai,” Carole M. Stephens, Maha Sahayak Sanstha mei Pehli Salahkaar ne kaha. “Hum sirf yeh nahi seekthe hain ki parivaar Parmeshwar ka hai par yeh bhi ki sab Parmeshwar ke parivaar ka hissa hain. …

“… Pitah ki yojna unke bachcho ke liye pyaar ki yojna hai. Yeh Unke bachcho ko milane ki yojna hai—Unke parivaar—unke saath.”1

Elder L. Tom Perry (1922–2015) Barah ke Parishad ke ne kaha: “Hum yeh bhi vishwaas karte hain ki taqatwar paramparik parivaar sirf society, achal economy, aur achal maanyatha ki sanskriti—sirf basic units nahi par wah nirantarta aur Parmeshwar ke raajya aur sansadh ka basic unit bhi hai.

“Hum vishwaas karte hain ki swarg ki sansadh aur sangatan parivaar aur vistrith parivaar par bana hai.”2

“Sabhi log, chahe unki shaadi ki sthiti kuch bhi ho yah unke kitne bhi bachche ho, Parmeshwar ke yojna ko bacha sakte hain jaise Parivaar aupchaarik ghoshna me likha hai,” kaha Bonnie L. Oscarson, Jawaan Mahilaaon ki Maha Pradhaan. “Ägar wah Prabhu ki yojna hai, to woh humari bhi yojna honi chahiye!”3

Anye Dharamshaastra

Doctrine and Covenants 2:1–3; 132:19

Parivaar ka Dharamsiddhant

Sister Julie B. Beck, Maha Sahayak Sanstha ki purva Pradhaan, ne sikhlaya parivaar ka dharamshastra shristi, Girna, aur Ishu Maseeh ke Balidaan par aadharit hai:

“Is dharti ki Shristi ne parivaar ko jine ke liye jagah diya. Parmeshwar ne ek aadmi aur ek aurat ki shristi ki jo parivaar ke do avashyak bhaag hain. Wah Pitah Parmeshwar ki yojna thi ki Aadam aur Hauwa ek dusre se nirathar parivaar ke rup me bandhe.

“… Girne se unko putra aur putri ka janam dena sambhav hua.

“[Maseeh] ka pashchataap mumkin banati hai ki parivaar ek saath niranthar rup se bandh sake. Yeh parivaar ko niranthar badhanti aur parishudi paana mumkin banati hai. Khushyaali ki yojna, jise uddhaar ki yojna bhi kaha jaata hai, ek yojna hai jise parivaaron ke liye racha gaya tha. …

“… Yeh Maseeh ka dharamsidhant tha. … Parivaar ke bina, koi yojna nahi; aur is maranshil jeewan ka koi matlab nahi.”4

Vivaran

  1. Carole M. Stephens, “Parivaar Parmeshwar se Hai,” Liahona, May 2015, 11, 13.

  2. L. Tom Perry, “Kyun Vivaah aur Parivaar—Har Jagah Maaine Rakhti Hai,” Liahona, May 2015, 41.

  3. Bonnie L. Oscarson, “Parivaar Aupchaarik Ghoshna ke Rakshak,” Liahona, May 2015, 15.

  4. Julie B. Beck, “Teaching the Doctrine of the Family,” Liahona, Mar. 2011, 32, 34.

Yeh Sochiye

Parivaar is samay aur anantha ke liye kyun mahatvapurn hai?