2016
Agyaakari hone ke Ashirvaad
October 2016


Pratham Adhyakshta ka Sandesh, October 2016

Agyaakari hone ke Ashirvaad

“Maranshiltha me sabse mahaan paath jo hum seekh sakte hai,” Pradhaan Thomas S. Monson ne sikhlaya, “jab Parmeshwar kahate hai aur hum agyaakari hote hain, hum humesha sahi honge.”1

Hume ashirwaad bhi milega. Jaise haal ke maha sammelan mein Pradhaan Monson ne kaha: “Jab hum agyaaon ka palan karte hain, humara jeewan khusaal, zyada bharpur, aur kam uljha hua rahega. Humari chunauthi aur takleefe ko sahana asaan hoga, aur hume [Parmeshwar ke] vyada kiye gaye ashirvaad milenge.”2

Neeche diye gaye ansh jo Pradhaan Monson ke sikshan Girja ke Pradhaan ke haesiyath se diye gaye, weh hume yaad dilathe hain ki aagyaaen khusi aur shanti ka pakka niyammak hai.

Yaathra ke liye disha nirdesh

“Parmeshwar ke aagyaen hume nishafal karne yah humare khusi me rukawat banne ke liye nahi diya jaata hai. Iska ulta hi sahi hai. Woh jinhone humari shristi ki hai aur jo humse purnata se prem karte hai jaante hai ki hume apna jeewan kaise jeena hai sabse adhik khusiyaali paane ke liye. Unhonne hume disha-nirdesh pradaan kiya hai jise, agar hum paalan kare, hume surakshit taur se is jokhim bhare maranshil yaatra me sahi tarah se pahuchaega. Hum yaad karte hai parichit ishbhajan ke shabd: ‘Keep the Commandments!Isi mein suraksha hai, isi mein shaanti hai’ [dekhiye “Keep the Commandments,” Hymns, no. 303].”3

Taaqath aur Gyaan

“Aaagyakaari hona bhavishyevakton ka khaas gun hai; is se unhe tamaam itihaas se taaqath aur gyaan praapt hua hai. Hume yah jaanna zaroori hai ki, hum bhi, is shakti aur gyaan ke mul ko praapt kar sakte hai. Aaj yah hum sab ko aasaani se praapt ho sakta hai jab hum Parmeshwar ke aagya ka paalan karenge. …

“Jo gyaan hum dhoondthe hain, woh jawaab jiske liye hum tarasthe hain, aur woh taqath jiski hum iccha karthe hain is badalte duniya ke asal chunavthi ka saamna karne ke liye, humara ho sakta hai jab hum khushi se Parmeshwar ke aagyaon ka paalan karenge.”4

Aagya Paalan karna Chuna

“Humare samay ka karm anumodhan hai. Magazine aur televison show movie screen par abhinetha ko prasthuth karti hai, athletic maydaan ke hero—ko bhi jinhe kai jawaan log anukaran karte hain—jo Parmeshwar ke niyam ka ulanghan karte hain aur burai ko shaan se dikhlate hain, jaise ki iska koi asar na ho. Tum iska bilkul vishwaas mat karna! Hisaab kitaab ka samay hai—khate ka santholan bhi karna. Sabhi Cinderella ka madhyaraathri hota hai—chahe is jeewan mei, yah uske baad. Ishwariye Dand ka Din sabhi ke liye ayega. … Mai aap se vinti karta hoon ki aap aagyakaari banna chune.”5

Anand aur Shanti

“Tumhe shayad kabhi kabhi aysa lage ki jo bahar duniya me hai aap se zyada maza le rahe hain. Girja ka jo Kod of Konduct hai jiska hum palan karte hain usse aap me se kuch ko yeh prathibandith lagega. Mere bhaiyon aur bahanon, mai elaan karta hoon, ki, waha Prabhu ki Aatma ke elawa kuch bhi nahi hai jo humare jeewan ko zyaada anand yah humari aatma ko zyaada shaanti de sakti hai jo humare paas aa sakti hai jab hum udhaarkarta ka paalan karenge aur unke aagya ko manenge.”6

Seedhe Chalo

“Mai gawahi deta hoon ki hume vyada kiye gaye ashish naap thol se zyaada hai. Chahe toofaani baadal ghir jaaye, chahe baarish humare upar ho, humare susmachaar ka gyaan aur humara Pitah Parmeshwar aur Udhaarkarta ke prathi pyaar hume samadhaan karega, hume thaamega aur humare hirday mei khushiyaali laega jab hum seedhe chalenge aur unke aagya ka paalan karenge. Is duniya mei kuch bhi nahi hoga jo hume maath de sake.”7

Udhaarkarta ka Paalan karo

“Kaun tha wah dukhit aadmi, jo dukh se parichit tha? Kaun mahima ka Raja hai, yeh athitye ka Swami? Woh humare Swami hain. Woh humare Udhaarkarta hain.Woh Parmeshwar ke putra hain. Woh hamare Uddhaar ke Lekhak hain. Woh pukaarte hain, ‘Mere peeche chalo.’ Woh sikhate hain, ‘Jaao, aur tum bhi aisa karo.’ Woh niwedan karte hain, ‘Mere aagya ka paalan karo.’

“Aao hum Unka paalan karein. Hum Unke uddharan ka anukaran karein. Hum Unke shabdo ka paalan karein. Aisa karne se, hum unko abhaar ka divya tohfa dete hain.”8

Vivran

  1. “They Marked the Path to Follow,” Liahona, Oct. 2007, 5.

  2. “Aagyaaon ka Paalan Karo,” Liahona, Nov. 2015, 83.

  3. “Keep the Commandments,” 83.

  4. “Aagya ka Paalan Karna Azaadi Hai,” Liahona, May 2013, 90, 92.

  5. “Vishwaas Karo, Aagyakaari Raho, aur Ant tak Jhelte Raho,” Liahona, May 2012, 129.

  6. “Pavitra Sthaanon mein Khade Raho,” Liahona, Nov. 2011, 83.

  7. “Khushaal Raho Hamesha,” Liahona, May 2009, 92.

  8. “Yaatra mein Khushi Paana,” Liahona, Nov. 2008, 88.

Is Sandesh Mein se Shikshan

Pradhaan Monson hume un sabhi ashis ke vishay me sikhlate hain jo agyaakari hone se paa sakte hain, inme shaamil hai, taqath, gyaan, anand aur shanti. Jinhe aap padhayege unse yeh puchne ka vichaar ki jiye ki aagyaon ka paalan karne se unhe kaise ashish mila hai.Aap unko protsaahit kare ki weh in ashirvaado ke baare me soche aur unhe aur apni soch aur anubhav ko jernal me dakhil karein. Aap unko protsahit karein ki weh agyaakari ho kar Parmeshwar ki or apne abhaar ko dikhlaye.