2017
Ishu Masih ke Chele ka sukh
August 2017


Yuva

Ishu Masih ke Chele ka sukh

Kya tumhara koi din kharaab beeta hai? Tum ne khush hone ke liye kya kiya? Pradhaan Uchdorf jaante hain ki “hum sabhi ke dil tutte hai, niraashaaen hoti hai, dukhi hote hai. Hum shayad kabhi kabhi bojh yah niraasha mehsoos kar sakte hain.”

Unke jine ka prasthav hai jise woh “ek chele ka jeewan”: “vishwaaskary raho aur vishwaas ke saath aage badthe raho” kehte hain. Jab hum vishwaas ke saath aage badhte hain, hum Parmeshwar par bharosa kar sakte hain, Unke aagya ka paalan kar sakte hain, aur dusro ki sewa kar sakte hain—aur is dauraan khushyaali mehsoos kar sakte hain! Jaise Pradhaan Uchtdorf ne kaha, “Weh jo chele ka jeewan bitaate hain … yeh woh hain jinka chota sa kaam adhik antar karta.”

Chele ki tarah jeewan bitaane ke liye ek tareeko ki parchi banana sochiye. Udharan ke rup me, aap ek sewa ke sujhaav ko likh sakte hain “Maata yah pitah ko bhojan tayaar karne me madad karna” yah aagya ke paalan karne ka vichaar jaise ki “Bhaiyon or bahano ke sang aur shahanshiltha ke liye prathna.” Agle samay jab tum pareshan yah adhik soch mein ho; us parchi ko nikal kar, ek sujhaav ko chuno, aur use aazmaao!