2017
Abishek kiya hua Jeewan Bitana
August 2017


Shikshan Sandesh Bhent, August 2017

Abishek kiya hua Jeewan Bitana

Prarthnapurv is samaan ko padho aur prerna haasil karo jaanne ke liye ki kya baatna hai. Kaise Sahayak Sanstha ke lakshye ko samajhne se Parmeshwar ki betiyaan apne aap ko anant jeevan ke liye tayaar karengi?

Tasveer
Relief Society seal

Vishwaas Parivaar Sahayak

“Abishek karna, kisi cheez ko pavitra niyukt ya samarpan karna, pavitra lakshye ke liye nisthawaan karna hai,” Elder D. Todd Christofferson jo Barah ke Parishad se hai ne kaha. “Is jeewan me saccchi kaamyaabi apne jeewan—jo hai, humara waqt aur chunaav—ko Parmeshwar ke lakshye me istemaal karne se aati hai.”1

Elder Neal A. Maxwell (1926–2004) jo Barah ke Parishad se hai ne kaha, “Hum abishek karne ko sirf divya margdarshan milne par, apne sthool sampathi ko tyagna sochte hain. Par param abishek khud ko Parmeshwar par tyagna hai.”2

Parmeshwar ke lakshye par apne aap ko abishek karne se, humara vishwaas Ishu Masih aur unke Pashchyataap me badhega. Abishek kiye hue jeewan ko bitane se, hum un kriyaon dwara pavitra ban sakte hain.

Carole M. Stephens, Sahayak Sanstha ke Adhyakstha me Pratham Salhakaar, ne kaha: “Elder Robert D. Hales ne sikhlaya, ‘Jab hum waada karte hain aur use nibhate hain, hum duniya se bahar ho kar Parmeshwar ke rajye aa jaate hain.’

“Hum badal jaate hain. Hum alag dikhthe, aur alag vyavhaar karte hain. Jo cheeze hum sunthe hain aur padthe hain aur kahate hain wah alag hai, aur hum jo pahanthe hain woh alag hai kyonki hum Parmeshwar ki betiyaan ban jaanti hain Unse vyaade dwara jude hue.”3

Abishek vyaada hai jo Parmeshwar karte hai “Israel ke ghar se; Un dino ke baad, Parmeshwar ne kaha, Mai apna kanoon unke bithri bhaagon me rakhunga, aur unke kirday me likhunga, are unka Parmeshwar rahunga, aur weh mere log rahenge” (Jeremiah 31:33). Abishek kiye hue jeewan ko nibhaana humare liye Parmeshwar ke yojna ke anusaar hai.

Anye Dharamshaastra

1 Thessalonians 1:3; Doctrine and Covenants 105:5

reliefsociety.lds.org

Vivran

  1. D. Todd Christofferson, “Reflections on a Consecrated Life,” Liahona, Nov. 2010, 16.

  2. Neal A. Maxwell, “Consecrate Thy Performance,” Liahona, July 2002, 39.

  3. Carole M. Stephens, “Wide Awake to Our Duties,” Liahona, Nov. 2012, 115–16.