Maha Sammelan
Ishu Masih mein Apna Parivartan ko Majboot banana
October 2021 maha sammelan


Ishu Masih mein Apna Parivartan ko Majboot banana

Dharamshaastra aur humaara gyan Prabhu ka uphaar hai—uphaar jo hum kaafi samay halke meh lete hai. Aaiye hum in aashirvaadon ko sanjoen.

Bahut dhanyevaad, Elder Nielson, aapne zaroori sandesh ke liye. Jiski hume zaroorat thi.

Mere pyaare bhaaiyon aur bahano, President Russell M. Nelson ne abhi haal meh sikhaaya: “Kuch abhi achi tarah karne ke liye mehnat lagti hai. Ishu Masih ke sachcha chela bane ke liye koi apavaad nahi hai. Usme apan vishwaas aur bharosa badhaawe me mehnat lage hai.” Unke dwara diye gaye siphaarishon ke beech jo unhone diya hai humaara vishwaas Ishu Masih meh badhaane ke liye hume lage huwe shikshaartee bannana padhega, ki hum khud ko shaastron meh talleen kar le ache se Masih ka mishan aur sewakaee samajhne ke liye. (Dekhiye, “Christ Is Risen; Faith in Him Will Move Mountains,” Liahona, May 2021, 103.)

Hum Mormon Dharamshaastra meh seekhte hai hai ki shaatra Lehi ke parivaar meh ekh ahem hissa tha—Itna ki Nephi aur unke bhaaiyon vaapas Jerusalem gaye pital ke plates ko prapt karne ke liye.(dekhiye 1 Nephi 3–4).

Dharamshaastra Prabhu ki ichcha prakat karti hai humaare liye zyadatar, jaisa Liahona ne Nephi aur unke pita ke liye kiya tha. Apne baan ko todhne ke baad, Nephi ko jaanane ki zaroorat thi ki bhojan prapt karne ke liye woh kaha jaaye. Unke pita, Lehi, ne Liahona ko dekha aur dekha ki kya likha tha. Nephi ne dekha ki gole ki dhuree vishwaas, lagan, aur dhyaan ke anusaar kaarye karti hai. Usne yeh bhi dekha ki jo likha tha padhne me asaan tha aur unhe Prabhu ki raah ki samajh de rahi thi. Unhe ehsaas hua ki Prabhu chote tarike se mahan cheejen laata hai. Woh Liahona dwara diye gaye marg darshan ka paalan karta tha. Woh pahaadh par gaya aur apne parivaar ke liye bhojan prapt kiya, jinho ne bahut kuch saha waha ki khaamiyon ki wajah se. (Dekhiye 1 Nephi 16:23–31.)

Mujhe lagta hai ki Nephi ek vidhyarthi tha jo dharamshaastra mein leen tha. Hum padhte hai ki Nephi dharamshaastra mein prasann the, apne mann mein unka vichaar karte the, aur likhte the taaki unke bacche uss se seekhe aur phaayda paa sake (dekhiye 2 Nephi 4:15–16).

President Russell M.Nelson ne kaha:

“Agar hum ‘aage badhte rahe, Masih ke shabdon pe daavat karte huwe, aur anth tak tike rahe, … [hume] anant jiwan milega’ [2 Nephi 31:20].

“Daavat ka matlab chakhne se zyada hai. Daavat ka matlab kai swad lena. Hum dharamshaastra ka swad lete hai unhe aanandmay aagyaakaarita mann aur wafadaar aagyaakaarita dwara padhne se. Jab hum Masih ke shabdo par daavat karte hai, woh antarnihit hote hai ‘hamare dil ki maansal mej par’ [2 Corinthians 3:3]. Woh hamare prakrti ka abhinn ang ban jaata hai” (“Living by Scriptural Guidance,” Liahona, Jan. 2001, 21).

Kaun se Kaarye Hum Karenge Jab Humaara Aatma Dharamshaastra Granthon mein Aanandmay Hoga?

Hamara ichcha badhega ki hum Israel ke ikatha hone mein hissa le aavaran ke dono taraf se. Hamare liye yeh saamanye aur praakrtik rahega ki hum apne parivaar aur doston ko amantrit kare mishanaree ko sunne ke liye. Hum yogy rahenge, aur humaare paas vartamaan mandir ka anushansa rahegi taaki hum jitna ho sake mandir jaa sake. Hum pata lagaane ka kaarye karenge, taeyaari karenge, aur mandir mein apne purwajo ka naam prastut karenge. Hum wafadaar rahenge Sabbhath din rakhne meh, har Ravivaar ko girjaghar jaayenge aur Prabhu ke saath anubandhon ko naveeneekrt karenge jaise yogye roop se bhaag lenge dharmavidhi mein. Hum sankalp karenge vaacha path par rehene ke liye, pratyek shabd ke dwara jeeyenge jo Parmeshwar ke mukh dwara aayega (dekhiye Doctrine and Covenants 84:44).

Iss ka Kya Matlab hai Aapke liye ki Prabhu ke Kaaryo mein Aanand hona?

Dharamshaastra mein aanand hona gyan ke liye bhooke pyaase hone se zyada hai. Nephi ko apne jiwan ke dauraan bahut khushi ka anubhav hua. Tathaapi, unhone kathinaai aur dukh ka bhi saamna kiya (dekhiye 2 Nephi 4:12–13). “Phir bhi,” unho ne kaha, “Mujhe pata hai mein ne kisko vishwaas kiya hai” (2 Nephi 4:19). Hum jaise dharamshaastra ko padhenge, hum achchi tarah samahjenge Parmeshwar ke moksh aur umang ki yojna ko, aur hum Un vaado par bharosa rakhenge jo Unhone hum se banay hai dharamshaastra anusaar, saath meh un vaado aur aashirvaad par bhi jo aadhunik prophet ke anusaar hai.

Tasveer
David aur Goliath

Ek shaam, meri biwi aur mujhe ek dost ke ghar aamantran mila. Unke saath saal ka beta, David, ne kabhi bhi Bible ki kahani David and Goliath ko nahi suna tha, aur woh sunna chahata tha. Mein ne jaise hi kahani sunana shuru kiya, woh bahut prabhawit huwa ki kaise David apne vishwaas aur apne Israel ke Parmeshwar ke naam se Philistine ko ghayal kiya aur usse maar diya kewal ekh gophan aur ekh patthar se, bina usske haath meh koi chaaku ke (dekhiye 1 Samuel 17).

Apne vishal gahere aankho se mujhe dekhte hue, usne mujhse drtha se pucha, “Parmeshwar Kaun hai?” Meinne usko samjhaya ki Parmeshwar humaare Swarg ke Pita hai aur hum Unke baare meh dharamshaastra mein seekhte hai.

Usne phir mujhse pucha, “Dharamshaastra kya hai?” Meinne unko bataya ki dharamshaastra Parmeshwar ki vachan hai aur uss mein hume khoobsoorat kahani milti hai jo hume madat karti hai Parmeshwar ko achchi tarah jaanane mein. Mainne unki maa se kaha ki jo Bible unke ghar meh hai uska istemaal kare aur David ko bina puri kahani sunaaye sone mat dena. Woh usse sun kar khush huwa. Dharamshaastra aur humaara gyan Parmeshwar ka uphaar hai—uphaar jo hum kaafi samay halke meh lete hai. Aaiye hum in aashirvaadon ko sanjoen.

Ek mission sewak hone ke dawraan, mainne nireekshan kiya ki dharamshaastra ke anusaar padhaane se, bahut saare logo ke jiwan meh badlaao aa gaya. Mujhe iski shakti ka andaaza laga aur kaise yeh humaari zindigi badal sakta hai. Har ek insaan jinhe hum ne punahsthaapit susmachaar padhaaya adviteey vyakti hai alag alag zaroorat ke saath. Pavitr dharamshaastra—haa, pavitr prophet dwara likhe bhavishyvanee—un meh ekh vishwaas lekar aai Prabhu mein aur paschataap karne mein aur unka dil bdal diya.

Dharamashaastra unko khushi se bhar diya aur jaise unhe prerna, disha, saantvana, shakti aur zaroorat anusaar jawab mila. Bahut saaro ne apne jiwan mein badlao ko chuna aur Parmeshwar ke niyam ka paalan kiya.

Nephi protsaahit karta hai hume ki Masih ke shabdo mein aanandmay ho, kyunki Masih ke shabd hume bataaeygi hume kya karna hai (dekhiye 2 Nephi 32:3).

Tasveer
Parivaar dharamshaastra adhayyan

Mein aapko aamantran deta hu ki ekh sthayee yojna banaaye dharamshaastra padhne ka. Come, Follow Me ek acha sansaadhan hai humaare paas gospel seekhne aur sikhaane ke liye, humaara parivartan Ishu Masih mein majboot banaane ke liye, aur Unki tarah bananne mein humaari madat karne ke liye. Jab hum susmachaar padhte hai, hum kewal naya jaankaari nahi haasil karte; balki, hum ekh “naya praani” banane ki chah karte hai” (2 Corinthians 5:17

Pavitr Aatma hume sacchaai ki raah par le jaati hai aur hume sach ki gawahi deti hai (dekhiye John 16:13). Woh humaare dimaah ko roshan karti hai, humaare samajh ko naveeneekrt karta hai, humaare dilon ko chuta hai Parmeshwar ke revelation dwara, saari sachai ka srot. Pavitra Aatma humaare dil ko saaf karta hai. Woh hume prerit karta hai sachaai ki ichcha se jeene ka aur phusphusaanta hai ki kaise aisa kiya jaaye. “Pavitr Aatma … aapko sab kuch seekhaayegi” (John 14:26).

Baat karte hai un shabdo ka jo Unhone Prophet Joseph Smith ko bataya tha, humaare Uddhaarkarta ne kaha:

“Yeh shabd aadmiyon ke ya kisi ek aadmi ka nahi hai, parantu mera hai; …

“Ih hamaar awaaz hai jon tumse bole hai; kaae ki ih hamaar Aatma ke zariye aapke mila hai, … ;

“Isliye, aap sakta hai gawahi de ki aap hamaar awaaz sune sakta hai, aur huma shabd janta hai” (Doctrine and Covenants 18:34–36).

Hume Pavitra Aatma ke saath ki zaroorat hai. Yeh lakhshaya humaare nirnay ko niyantrit aur humaare soch aur kaarye ka margdarshan karni chahiye. Hume woh sab kuch khojna chahiye jo Aatma ko prabhavit kare aur woh sab chodhna chahiye jo iss ke prabhav se door kare.

Main gawahi deta hoon ki Ishu Masih hi hamare Swarg ke Pita ke pyaare Putra hai. Mai apne Uddhaarkarta se prem karta hoon. Hum Uske dharamshaastra ke liye shukraguzaar hu, aur Unke jiwit prophet ke liye. President Nelson Uska prophet hai. Ishu Masih ke naam se, amen.