Maha Sammelan
Masih ke Paalan Karne Waale Bane
October 2021 maha sammelan


Masih ke Paalan Karne Waale Bane

Masih ke paalan karne waala banne ka matlab hai anuroop karane ka prayaas kare, aacharan, aur zindagi jo Rakshak jaisa.ho.

Apne dharamshaastr ke vyaktigat adhyan meh, mai Tarsus ke Saul ke parivartan se prabhavit hua, joh baad meh Paul naam se jaana gaya, jaisa ki Bible meh darshaya hai.

Paul ek sakriy aadamee tha Girjaghar aur Eesaiyon ke utpeedan meh. Parantu swarg ki shakti aur Ishu Masih ki Praeshchit ke wajah se, woh puri tarah se badal gaya tha, aur Prabhu ke mahaan sewako me se ek ban gaya tha. Uske jeevan ka aadarsh Rakshak Ishu Masih tha.

Corinthians ko Paul ki ek shiksha meh, usne unko aamantran diya unka paalan kare jaise woh khud Masih ka paalan karta tha (dekhiye 1 Corinthians 11:1). Yah ek eemaanadaar aur valid aamantran tha Paul ke samay se lekar abhi tak: Masih ke paalan karne waale banne ke liye.

Mai Masih ke paalan karne waala banne ka kya matlab hai par vichaar karne laga. Aur uss se bhi zaroori, mai puchne laga, “Mai kis tarah Unki nakal karun?”

Masih ke paalan karne waala banne ka matlab hai anuroop karane ka prayaas kare, aacharan, aur zindagi jo Rakshak jaisa.ho. Is ka arth gun praapt karna hai. Is ka arth Ishu Masih ka sachcha bhakt banna hai.

Mai ne Rakshak ke zindagi ke kuch pahaloo ke baare meh padha hai, aur maine yaad rakkha hai, apne aaj ke sandesh ke hisse meh, Unke chaar gun jiski mai nakal karne ki koshish karta hu aur jo mai aapke saath baatunga.

Rakshak ka pratham gun hai vinamrta. Ishu Masih maransheel jiwan se pehle hi bahut vinamr the. Swarg ke Parishad meh, Unhonne Prabhu ki ichcha ko pahechaana aur maoka diya uddhaar ki yojna ko prachalit hone meh maanav ke liye. Usne kaha, “Pitaji aapki ichcha puri hogi, aur aapki mahima sadev rahegi” (Moses 4:2).

Hum jaante hai ki Ishu Masih ne vinamrata sikhaaya hai aur Khud ko vinamr kiya Apne Pita ki mahima ke liye.

Aao hum vinamrata meh jiye kyunki yeh shaanti laati hai (dekhiye Doctrine and Covenants 19:23). Vinamrata mahima se pahele hai, aur yeh Parmeshwar ki kripaadrishti hum par laati hai: “Haa, aap sab ek doosre ke adheen hai, aur vinamrata ke kapdhe paheniye: kyunki Parmeshwar abhimaani ka virodh karta hai, aur vinamr par kripa karta hai” (1 Peter 5:5). Vinamrata komal uttar deti hai. Yeh nek charitr ka srot hai.

Elder Dale G. Renlund ne sikhaaya:

“Jo log vinamrata se Parmeshwar ke saath chalte hai yaad karte hai ki Swarg ke Pita aur Ishu Masih ne unke liye kya kiya hai.”

“Hum Parmeshwar ke saath vinamrata se chalne se sammaan-poorvak kaarye karte hai” (“Do Justly, Love Mercy, and Walk Humbly with God,” Liahona, Nov. 2020 111, 109).

Rakshak ka dusra gun hai sahaas. Jab mai Ishu Masih ke baare meh sochta hu baara(12) saal ki umar meh, Parmeshwar ke mandir meh kaanoon ke doctors ke beech baith kar unhe daiveey baatein seekha raha tha, maine dhyaan diya ki Uske paas pahele se hi, Apne jeevan meh bahut jaldee, sahaas ki yeh achi bhavana thi, ek vishesh saahas. Jab ki bahut saare apeksha karenge yeh dekhne ko ki ek chota ladhka kaanoon ke doctors se sikhsha haasil kar rahe hai, Woh aise unhe padha rahe the ki “woh unhe sun rahe the, aur unse sawaal kar rahe the” (Joseph Smith Translation, Luke 2:46 [Luke 2:46, footnote c me).

Humne pura samay ka mission sewa pradaan kiya hai Democratic Republic of the Congo ke Mbuji-Mayi Mission meh 2016 se 2019 tak. Mission pe ek zone(ilaaka) se dusre tak sadak se jaana padta tha. Uss ilaake meh ek ghatna shuru hui jahan daakuu tez dhaar waale hathyaaron ko liye sadak par aake yaatriyon ko pareshaan kar rahe the.

Paanch missionaries transfer ke daoraan ek zone se doosre zone jaa rahe the aur is pareshaani ka shikaar ban gaye. Hum khud iss ghatna ke shikaar huwe the kuch samay pahele, ham darne lage humaar hum sab ki zindagiyon aur suraksha ke liye, yahan tak ki iss sadak par yaatra kar ke missionaries se milne aur zone sammelano ke liye jaane se bhi hichkichaane lage. Hum log nahi janta raha kitna din yeh chalega. Humne ekh report banaya, jise maine Area Presidency ke paas bheja, aur maine apna bhay ki bhaavana prakat kiya yaatra jaari rakhne ke prati jabki sadak hi ek madhyan tha apne missionaries tak pahuchne ke liye.

Unke jawaab meh, Elder Kevin Hamilton ne, jo hamaare Africa Dakshin-purabh Area ke President the, mere paas likha: “Mera salaah hai ki aap jitna acha kar sakte ho karo. Samajhdaar raho aur praathna karte raho. Jaan bhuj kar khud ko yaa phir apne missionaries ko khatre ki raah par mat laao, par ussi samay vishwaas meh aage badho. ‘Kyunki Parmeshwar ne hamein dar ki aatma nahin diya; parantu shakti, aur prem, aur ek shaant mann diya hai’ (2 Timothy 1:7).”

Yeh prabodhan hum log ke bahut majboot banais aur maoka dis ki hum log saahas ke saath jaaye ke sewa kara mission pura hoy tak, kyunki humne Swarg ke Pita ke nirdesh ko suna uh shaastra dwara.

Aadhunik shaastra meh, hum sunte hai Prophet Joseph Smith ke prerit kare la shabd humaare liye Prabhu ki protsaahan darshaati hai: “Bhaaiyon, kya hum iss mahaan kaam meh aage nahi badhenge? Aage badho aur piche nahi. Saahasi bano, bhaaiyon; aur aage bhadho, jeet haasil karo!” (Doctrine and Covenants 128:22).

Humaare paas saahas rahe woh karne ke liye jo sahi hai bhale hi woh aprasiddh hai—apne dharm ki raksha karne ka aur vishwaas ke kaary karne ka saahas. Aao hum saahas ke saath roj pashchataap kare, himmat se Parmeshwar ke ichcha swikaare aur Unke aagyaaon ka paalan kare. Saahas rakhe dharm ka paalan karne ke liye aur woh kare jiska humse umeed hai humaare anek zimmedaari aur padhwidwara.

Rakshak ka teesra gun hai maafi. Unke maransheel dekhrekh ke dauraan, Rakshak ne uss mahila ko patharo ki maar se bachaaya jo vaibhichaar karti thi. Usne usse kaha “jaa, aur fir paap na karna” (John 8:11). Yeh use pashchataap aur anth meh maafi ki or le gaya, jaisa ki shaastra meh darj hai, “uss aurat ne Parmeshwar ki mahima ki usi ghante se aur unke naam pe vishwaas kiya” (Joseph Smith Translation, John 8:11 [John 8:11, footnote c me]).

December 2018 meh, ek Badadin ke sandesh ke dauraan, humaare pyaare President Russell M. Nelson ne bataya chhar uphaar ke baare meh jo humaare Rakshak se mila hai. Ek uphaar jo Rakshak se milta hai woh hai maafi dene ki chamta:

“Unke anant Praeshchit ke dwara, aap unhe maaf kar sakte hai jis ne aapko dukh diya hai aur apne kroorta ki zimmedaari nahi lena chahate.

“Zyaadatar unhe maaf karna aasaan hota hai jo sacche mann aur vinamrata se aapse maafi chahate hai. Par Rakshak aapke uh insaan ke maaf kare ke chamta dei jon aapse koi bhi rakam durvyavahaar karis hai” (“Four Gifts That Jesus Christ Offers to You” [First Presidency Bada DIn ka sandesh, Dec. 2, 2018], broadcasts.ChurchofJesusChrist.org).

Chale sachche mann se ek doosre ko maaf kare taaki hamein Pita ki maafi mil sake. Maafi hamein aazaad karti hai aur Raviwaar ko prabhubhoj lene ke yogy banaati hai. Ishu Masih ka sachcha chela banne ke liye hamein maaf karne ki zaroorat hai.

Rakshak ka chautha gun hai balidaan. Yeh Ishu Masih ke susamachaar ka bhaag hai. Rakshak ne sabse uncha balidaan diya Apne jeevan ka hamaare liye taaki hamein mukti mil sake. Balidaan ka peedha sehna, Usne Apne Pita se kaha ki Use mukt kar de, lekin Woh shaashvat balidaan ke anth tak gaya. Yah Ishu Masih ka Praeshchit hai.

President M. Russell Ballard ne yeh seekhaya: “Balidaan sachche pyaar ka [woh] pradarshan hai. Prabhu, susamachaar, aur hamare sangi saathiyon ke liye pyaar ki hamaari hadh, hum unke liye kya balidaan kar sakte hai se pata lagaya jaa sakta hai” (“The Blessings of Sacrifice,” Ensign, May 1992, 76).

Hum apna samay ka balidaan kar sakte hai ministering, dusro ki sewa, achchaai karne ke liye, parivaar itihaas ka kaarye, aur Girjaghar calling me badhanti laane ke liye.

Hum apna dhan ka sahiyog de sakte hai tithing bhar ke, fast offerings ke dwara, aur anye prakaar ke sahiyog de sakte hai Parmeshwar ka raajye dharti par banane ke liye. Hume Rakshak ke saath banaye vachano ko nibhaane ke liye balidaan ki zaroorat hai.

Mera praathna hai ki Ishu Masih ki raah par chalne ke dwara aur Unke Praeshchit dwara mile aashirvaad ke saath, hum aur zyaada vinamr ho jaay, hum aur sahaasi bane, hum aur zyaada maaf kare, aur hum Unke raajye ke liye aur balidaan kare.

Mai gawahi deta hoon ki hamare Swarg ke Pita jiwit hai aur Woh hamein niji rup se jaanta hai, ki Ishu hi Masih hai, ki President Russell M. Nelson Parmeshwar ke aaj ke prophet hai. Mein gawahi deta hu Ishu Masih ka Girjaghar Antim-dino ke Santo ka Parmeshwar ke raajye hai is dharti me aur Mormon Dharamshaastr saccha hai. Ishu Masih, hamare Muktidaata ke naam se, amen.