Maha Sammelan
“Tab Mein Kamzor Baato Ko Mazboot Kar Deta Hoon”
April 2022 General Conference


“Tab Mein Kamzor Baato Ko Mazboot Kar Deta Hoon”

Jaise hum khud ko vinamr kar le aur Ishu Masih meh vishwaas ka abhyaas kare, Ishu ki mahima aur Unka anant praeshchit ka balidaan badlaao mumkin kar deta hai.

President Thomas S. Monson ne ek baar prison warden Clinton Duffy ke baare mein kahani bataya tha. “1940s aur 1950s ke samay, [Warden Duffy] bahut ache se jaane jaate the apni koshish ke liye jo kaidiyon ko punarvaas(rehabilitate) dete the. Ek alochak ne kaha tha, ‘Tumhe jaanna chahiye ki tendue(leopards) apna rawaiya nahi badal paate!’

Warden Duffy ne jawaab diya, ‘Tumhe jaanna chahiye ki mein tendue ke saath kaam nahi karta. Mein aadmiyon ke saath kaam karta hoon, aur aadmi har roz badalta hai.’”1

Shaetaan ka ek sab se badha jhoot hai ki purush aur mahilaaye nahi badal sakte. Yeh asaty bataya jaata hai aur baar-baar bataya jaata hai kayi saari tarikon se jaisa ki duniya kehta hai ki hum bas badal nahin sakate—ya isse bhi badatar, ki hamen badalna nahin chahiye saralta se nahi badal sakte. Hume sikhaaya jaata hai ki humaara paristhiti hume define karta hai. Hume “apnaana chahiye hum jo sach meh hai,” duniya kehti hai, “aur hume apne sachche swabhaav ko asli rakhna chahiye.”

Hum Badal Sakte Hai

Jab ki sach meh asli(authentic) rehna achi baat hai, hume apne sachchaai ke saath asli, sachcha insaan rehna chahiye, Parmeshwar ki bete aur betiyon ki tarah ekh divye prakriti aur Unke tarah banne ka bhaagy le kar.2 Agar humaara lakshye asli banne ka hai iss divye prakriti aur bhaagy ke liye, tabh hum sab ko badlna hoga. Badlaao ke liye shaastriye shabd pashchataap hai. “Bahut saare log,” President Russell M. Nelson sikhaate hai, “pashchataap ko saza samjhe hai—jisse bachna chahiye siwaae bahut gambheer paristhitiyon me. … Jab Ishu aapko aur mujhe ‘pashchataap,’ ke liye kehte hai, Woh hume badalne ke liye amantrit karte hai.”3

Parmeshwar ke Niyam

Computer software banaane waale niyam ka bayaan (conditional statements) ka istemaal karte hai computer ko bataane ke liye ki kya karna hai. Yeh kabhi kabhi agar-tabh jaise bayaan ke or ishaara karta hai. Jaise, agar x sach hai, toh y pata karo.

Prabhu bhi sharton ke maadhyam se kaarye karte hai: vishwaas ki sharten, dhaarmikta ki sharten, pashchaataap ki sharten. Bahut saare udhaaran hai niyamo ke bayaan ka Parmeshwar se jaise ki:

Agar tum mere aagyaaon ka paalan karoge aur ant tak jheloge [tabh] tumhe anant jiwan milega, jo Parmeshwar ke sabhi uphaaron mein se mahaan hai.”4

Ya “agar tum sachche hriday se, aur achchi abhilaasha se, Masih meh vishwaas karke puchoge, [tabh] woh Pavitra Aatma ki shakti dwara tum par sachchaai spasht prakat karega.”5

Yahan tak ki Parmeshwar ka pyaar, bhale hi anant aur paripoorn, niyamo ke adheen bhi hai.6 Udhaaran ke liye:

Agar tum meri aagyaaon ka paalan karoge, [tabh] mere pyaar meh rahoge; jaise ki maine apne Pita ki aagyaaon ko maana hai, aur uske pyaar meh hoon.”7

Elder D. Todd Christofferson aage bataate hai susamachaar ki sachchaai par jab unhonne sikhaaya: “Kuch log aksar khete hai, ‘Hum jaise hai Rakshak humse ussi tarah pyaar karte hai,’ aur yeh toh beshak sach hai. Lekin Woh hum log me se koi ke bhi Apan raajye me nahi le ke jaae sake jaise hum log hai, ‘kaae ki wahan koi ashudh cheez nahi rahe sake, ya uske upasthiti me nahi rahe sake.’[Moses 6:57]. Pehle humaare paapo ka samaadhaan hona chaahiye.”8

Kamzor Cheezein Taaqatwar ban Sakti Hai

Humein badalne me madad karne ka Parmeshwar ka ashish bhi niyamo par nirbhar hai. Rakshak, Mormon Dharamshaastr meh prophet Moroni ke dwara baat karke, sikhaais: “Agar insaan mere paas aate hai mein unko unki kamzori dikhaunga. Mein insaan ko kamzori deta hoon ki woh vinamr bane; aur mera mahima har woh insaan ke liye kaafi hai jo mere saamne vinamr bante hai; ki agar woh khud ko mere saamne vinamr karte hai, aur mujh mein vishwaas karte hai, fir mein unke liye kamzor cheezon ko mazboot karunga.”9

Jo Parmeshwar hame yaha sikhaate hai use aur nazdeek se dekhte hai, Usne pahele kaha ki Woh aadmi aur mahilaao ko kamzori, deta hai, ek vachan, jo ki humaare maramsheel anubhav ka hissa hai patan huwe ya pramuk praani ke tarah. Hum saadhaaran aadmi aur mahilaaye ban chuke hai Adam ke Patan ki wajah se. Lekin Ishu Masih ke Praeshchit dwara, hum apni kamzoriyon ya patan huwe swabhaav pe vijay paa sakte hai.

Usne phir kaha ki Unki mahima hi kaafi hai aur agar hum khud ko vinamr karenge aur Un meh vishwaas rakhenge, tabh Woh “kamzor cheezon [plural] ko [humare] liye mazboot banaega.” Dusre shabdo meh, jab hum pahele apne patan huwe swabhav ko badlenge, apne kamzori ko, tabh hum apne vyavahaar, apne kamzoriyon ko badal paayenge.

Badlaao ki Aavashyaktae

Aaiye badlaao ki aavashyakktae ki taraf phir dekhe Prabhu ke pratiroop anusaar:

Pahela, humko khud ko vinamr karna hoga. Prabhu ke niyam ke anusaar badlaao vinamrta hai. “Agar woh khud ko mere saamne vinamr karte hai,”10 Usne kaha. Vinamrta ke vipreet ghamand hai. Garv tab hota hai jab ham sochte hai ki ham behtar jante hai—ab jo hum sochte ya mehsoos karte hai Parmeshwar jo sochte hai ya mehsoos karte hai se zyaada ahamiyat paata hai.

Raaja Benjamin, ne sikhaaya “saadhaaran insaan Parmeshwar ka dushman hai … aur hamesha hamesha, ke liye rahega, jab tak … swoh aadhaaran insaan ko chodh kar sant na ban jaae Masih jo Prabhu hai ke praechchit ke dwara, aur ek bachche ke tarah ban jaaye, vineet, namr, [aur] vinamr ho.”11

Badlane ke liye, hume saadhaaran insaan ko bagal rakh ke vinamr aur vineet banna hoga. Hume itna vinamr hona hoga ki ek jiwit prophet ka paalan kar sake. Itna vinamr ho jaae ki mandir me vachan le sake aur use nibha sake. Itna vinamr ki roz pashchataap kar sake. Hume itna vinamr hona chahiye ki hum badalna chaahe, “apne dil ko Parmeshwar ko de de.”12

Dusra, hume Ishu Masih par vishwaas karna hoga. Phir se, Rakshak ke shabd: Agar woh khud ko vinamr kar le mere saamne, aur mujh meh vishwaas kar le,”13 Woh hume shakti dega apne kamzooriyon pe vijay paane ke liye. Vinamrta, ke saath Ishu Masih meh vishwaas, hume maoka deta hai Unki mahima aur aashirvaad ke purnata ki shakti hum log ke liye uplabdh kare ke Unke Praeshchit ke kaaran.

President Nelson ne sikhaaya ki, “sachcha pashchataap is vishwaas se shuru hota hai ki Ishu Masih ke paas shakti hai hume saaf, changaa, aur mazboot karne ka. … Woh hamara vishwaas hai jo Parmeshwar ke shakti ko hamare zindagiyon me laata hai.”14

Teesra, Unke mahima dwara Woh kamzor cheezon ko taaqatwar bana sakta hai. Agar hum khud ko vinamr kar le aur Ishu Masih meh vishwaas rakh le, Tabh Unki mahima hume badalne ka maoka dega. Dusre shabdo meh, Woh hume badle meh samarth banaaega. Yeh mumkin hai kyunki, jaisa ki Usne kaha, “mera kripa sabhi insaan ke liye paryaapt hai.”15 Unki majboot banane, kaabil banane waale mahima hume shakti deta hai saare badhaao, saare chunaotiyon, aur saare kamzoriyon ko paar karne me jab hum badalne ki chaah karte hai.

Humaara sab se badha kamzoori humaara sab se badha taaqat ban sakta hai. Hum badal sakte hai aur “naya insaan ban sakte hai.”16 Kamzor baate sach meh “[humaare] liye taaqatwar ban sakta hai.”17

Rakshak ne anant aur shaashvat Praeschit ke yojna banaya taaki hum sach meh badal, pashchataap, aur behtar ban sake. Hum sach meh dobaara janam le sakte hai. Hum aadaton, lath, aur yaha tak ki “bura karne ki swabhaav” se bhi baahar aa sakte hai.18 Humaare pyaare Swarg ke Pita ke bete aur betiya hone ke naate, humaare andar badalne ki shakti hai.

Badlaao ke Uddhaaran

Shaastr ayse udhaaran se bhare huwe hai jisme aadmi aur mahilaaye me badlaao aaya tha.

Saul, ek Pharisee aur shuruaat ke Isaai girjaghar ke sakriy satanewaala,19 Paul ban gaye, Prabhu Ishu Masih ke ek Devdut.

Alma kathor Raaja Noah ke darbaar meh ek pujaari the. Usne Abinadi ke shabd sune, puri tarah pashchataap kiya, aur Mormon Dharamshaastr meh sabse mahaan mishanariyon meh se ek ban gaye.

Unke bete Alma ne apna yuvapan Girjaghar ko barbaad karne meh bitaaya. Woh “sabse kamine paapiyon” meh se ek tha 20 jab tak uske dil meh badlaao nahi aaya aur apne mehnat se sab se shaktishaali mishanary ban gaya.

Moses ko Pharaoh ke parivaar meh godh liya gaya tha aur badhi shaan aur shaukat se pala tha ek Egyptian rajkumaar ki tarah. Par jab unhonne samjha ki woh sach meh kaun tha aur apne divye bhaagye ke baare meh jaana, woh badal gaya aur Puraane Niyam ka mahaan kanoon dene waala prophet ban gaya.21

Mere biwi ke dada ji, James B. Keysor, ne humesha mujhe prabhavit kiya hai apne shaktishaali hriday parivartan dwara.22 1906 meh wafadaar Antim-din Sant jo pioneers the Salt Lake Valley meh ke yaha janme, uski maa guzar gayi thi jab woh chota tha aur apne poore yuva saalon me uh mushkilon ke saamna karis. Unka yuwa aur jawaan baalig ke saal Girjaghar se door beeta, jis samay usne bahut saare galat aadate ko apna liya. Phir bhi, uh ek wafadaar mahila se milis aur shaadi ki aur saath meh unhonne paanch bachchon ko badha kiya.

1943 meh, Mahaan Depression ke kathin saalon ke baad aur Vishwa Yudh II ke daoraan, Bud, jaisa ki unke dosto aur parivaar kehte the, Utah se nikle aur Los Angeles, California, chale gaye, kaam ki talaash meh. Iss samay ke dauraan ghar se door, woh apne bahen aur unke pati ke saath rahete the, jo uss samay unke ward ke bishop the.

Apne bahen aur jija ke pyaar aur unke prabhav se, woh Girjaghar ko dobaara se chaahne lage aur Mormon Dharamshaastr padhne lage har raat ko sone se pahele.

Ek raat, Alma chapter 34 padhte samay, unhone yeh shabd padha aur use achcha laga:

“Haa, Mein chahata hoon ki tum aage aao aur apne dil ko aur zyaada kathor mat karo. …

“Kyunki, yeh samay hai insaan ko apne Parmeshwar se milne ke liye taeyaari karne ke liye, dekho iss jiwan ka yehi samay hai insaan ko apne kaarye karne ke liye.”23

Yeh doha padhte samay, unke paas ek shaktishaali ehsaas aaya aur woh jaan gaye ki unhe badalna hoga, pashchataap karna hoga, aur woh jaan gaye use kya karna hai. Woh apne khaat par se uth gaye aur ghutane par aa kar prathna karna shuru kiya, Parmeshwar se minnate karne laga use maaf karne ke liye aur use shakti dene ke liye taaki use joh badlao ki zaroorat hai use apne jiwan meh laa sake. Uske praathna ka jawaab aaya, aur uss samay ke baad, usne kabhi piche nahi dekha. Bud ne Girjaghar meh sewa jaari rakha aur wafadaar, vachanbandh Antim-Din Sant bane rahe apne jiwan ke anth tak. Woh har tarah se badal gaye. Unka mann, unka dil,unke kaarye, unka sab kuch badal gaya.

Bhaaiyo aur bahano,hamare divye bhaagye aur lakshye ka kaaran hai ki ant meh hum Swarg ke Pita aur Rakshak Ishu Masih ke tarah ban sake. Hum aisa karte hai jab hum badalte hai ya pashchataap karte hai. Hum “[Rakshak] ka chavi [apne] chahere par praapt karte hai.”24 Hum naya, saaf, alag, ban jaate hai aur hum rozaana uss par kaam karte hai. Kabhi kabhi lagega ki hum doh kadam aage aur ek kadam piche aa rahe hai, lekin hum vinamrta ke saath vishwaas meh aage badhte rehte hai.

Aur hum jaise khud ko vinamr kar le aur Ishu Masih meh vishwaas ka abhyaas kare, Ishu ki mahima aur Unka anant praeshchit ka balidaan badlaao mumkin kar deta hai.

Mein gawahi deta hoon ki Ishu Masih sach meh hamare Rakshak aur Muktidaata hai. Unki kripa hi paryaapt hai. Main ghoshna karta hoon, ki Woh “Maarg aur sachhai aur jiwan hi hai.”25 Ishu Masih ke naam se, amen.