Maha Sammelan
Parichay Bhaashan
April 2022 General Conference


Parichay Bhaashan

Ham is vishesh sabha mein Parmeshwar ki betiyon ki chintaon aur unke sangathanon par dhyaan kendrit karke unka sammaan karte hain.

Mere pyaari bahano, jabki ham maha sammelan ke is anokhe mahila sabha ko shuru karte hain, mujhe First Presidency se yah parichayaatmak sandesh dene mein prasannta ho rahi hai.

Hamare Shaniwaar sabhaaen alag-alag uddeshyon aur alag-alag darshakon ka itihaas hai rakhti hai. Aaj shaam ham us itihaas ko jodte hain kyunki ham nikat bhavishye ke liye ek nae uddeshye aur prakriya ko apnaate hain. Ishu Masih ka susamachaar nahin badalta hai. Susamachaar siddhaant nahin badalta hai. Hamari vyaktigat vaachanein nahin badalti hain. Lekin in varshon mein, ham apne sandeshon ko batlaane ke liye jo baithakein karte hain, weh badalte hain aur bahut sambhaavna hai ki yeh aane waale varshon mein badalte rahenge.

Abhi ke liye, Sanichar ki shaam ki yah baithak maha sammelan ka sabha hai, na ki kisi sangathan ka sabha. Maha sammelan ke sabhi sabhaon ki tarah, planning, bhashankartaaen aur sangeet ko First Presidency dwara naamit kiya gayaa hai.

Hamne is sabha ka sanchalan karne ke liye, Relief Society ke General President, President Jean B. Bingham se kaha hai. Bhavishye ke Sanichar ki shaam ke sabha Girjaghar ke anye General Afsaron mein se ek dwara aayojit kiya ja sakte hain, jaise ki Relief Society, Jawaan Mahilaaon, aur Primary ki General Presidencies ke sadasyon dwara.

Aaj raat maha sammelan ka yah Sanichar shaam ka sabha Antim-dino ki Sant mahilaaon ki chintaon par kendrit hoga. Ismein Ishu Masih ka Girjaghar Antim-dino ke Santo ka siddhaant, Girjaghar ki neetiyaan jo vishesh rup se mahilaaen se sambandhit hain, aur sahayak ki sanghathan jimmedaariyaan aur kaarye jismen Girjaghar ki mahilaaen aur ladkiyaan shaamil hain. Haalaanki bhale yeh sabha maha sammelan ke sabhi sabhaon ki tarah duniya bhar ke darshakon ke liye jaanboojhkar prasaarit kiya gaya, is sabha ke liye Sammelan Kendr mein upasthit hone ke liye aamantrit darshakon mein 12 varsh aur usse adhik umr ki mahilaaen aur ladkiyaan hain. Hamne kuch purohiti netaon ko shaamil kiya hai jo bhaag lene waale sangathanon ki adhyakshta karte hain.

Ham yaha jo shuruaat kar rahe hain woh Prabhu ke vishwavyaapi Girjaghar netrtv aur sadasyata ke liye vartamaan mein uplabdh sanchaar sansaadhanon ke prati uttaradaayi hai. Ishu Masih ke susamaachaar ka siddhaant sabhi ke liye hai, isliye yahi hamara mukhye uddeshye aur prasaar ki seema hai. Ham is vishesh sabha mein Parmeshwar ki betiyon ki chintaon aur unke sangathanon par dhyaan kendrit karke unka sammaan karte hain.

Ham abhari hain ki broadcast technology ab Girjaghar ke netaon ko baahar desh mein vishisht shrotaon ko sambodhit karke vistrt prashikshan aayojit karne ki kshamata pradaan karti hai. Ham is tathye ka bhi swaagat karte hain ki vartamaan yaatra ke mauke badh rahe hain. Yah hamein Girjaghar ke netaon ko baahar aavashyak niyamit aamne-saamne netrtv prashikshan aayojit karne ke liye bhejne ki anumati deta hai.

Yeh Prabhu Ishu Masih ka kaarye hai. Ham Unke sewak hai, Unki Pavitr Aatma dwara nirdeshit hai. Ham in sangathanon ke netaon par apne Prabhu ke aashirvaad ka aahvaan karte hai aur un wafaadaar mahilaaon aur ladkiyon par jo in sangathanon mein Prabhu ki sewa karti hai, aur unke vyaktigat jiwan mein. Ishu Masih ke naam se, amen.