2010
Sachchi Sundarta Kya Hay?
June 2010


Yuva

Sachchi Sundarta Kya Hay?

Pradhaan Monson is sandesh mein kehta hay, “Hamari duniya mein, naetik charitra aksar sundarta ya aakarshan se kam zaroori lagta hay.” Jawaan mahilaaen shaayad sangharsh karengi apne swarup mein ki woh kaun hay aur woh kya ban sakti hay. Sachchi sundarta par soch vichaar karein jo Sattar ke Elder Lynn G. Robbins ne kaha:

  • Ek jawaan mahila jiska mukhda donon khushiyaali aur naetik gun se chamakta ho woh andar ki sundarta vaytit karti hay.

  • Woh shuddh hansi vaastav mein sundar hoti hay kyunki woh pure prakritik tarah se chamakta hay. Yeh sachchi sundarta upar lagaai nahin jaati magar Aatma ka ek uphaar hay.

  • Saadgi ek baahri chinha hay aur andar ki sundarta ka aavashyakta.

  • Agar tum apne baahari dikhaawa ko lekar niraash ho, jo tumse prem karte hain unki drishti dwara dekhne se tumhein sahayta milegi. Chupi hui sundarta priyejanon dwara dekhi jaaye to tumhare liye aatma-sudhaar ka shisha ban sakta hay.

  • Jaise purush se ek naetik gunon waali mahila shaadi karna chahati hay bhi “nahin dekhta” jis tarah ek prakritik purush dekhta (dekhiye 1 Samuel 16:7). Woh uski sachchi sundarta ki or akarshak hoga jo woh chamkaati hay ek shuddh aur prasann hriday se. Aysa us jawaan mahila ke baare mein bhi sach hay jo ek naetik gunon waale jawaan purush ko talaashti hay.

  • Hamare Swarg ke Pita chahate hay ki Unke sabhi bachchein sachchaai hi chune, jo ki ekmaatra maarg hay anant khushiyaali aur andar ki sundarta ka.

  • Prabhu ke saath, koi pratiyogita nahin. Sabko ek jaisa mauka diya jaata hay Unki swarup ko apne aakriti(countenance) ke upar khude dekh sakte ho (dekhiye Alma 5:19). Isse sachchi sundarta kahin nahin hay.

Pura sandesh padhne ke liye, dekhiye Lynn G. Robbins, “True Beauty,” New Era, Nov. 2008, 30. Jawaan purush isi tarah ka salaah Errol S. Phippen ke, “Ugly Duckling or Majestic Swan? It’s Up to You,” mein paa sakte hay Liahona, Oct. 2009, 36.