2010
Choti Peeli Chidiyaan Jinke Pankh Bhura Ho
June 2010


Pratham Adhyakshta ka Sandesh, June 2010

Choti Peeli Chidiyaan Jinke Pankh Bhura Ho

Kariban Saath varsh pehle, jab main ek jawaan bishop ke rup mein sewa pradaan kar raha tha, Kathleen McKee, mere ward ki ek vidhwa, guzar gayi. Unke saamaanon mein teen paaltu choti peeli chidiyaan thi. Do, jinke pankh pure peele rang ke the, ko doston ko dena tha. Teesra, Billie, jinka rang peela tha par pankh mein bhure rang ka dhabba tha. Bahan McKee ne ek not mein mere paas likha tha: “Kya aap aur aapka parivaar iske liye ek ghar bana sakte ho? Woh sabse sundar to nahin, magar uski geet sabse uttam hay.”

Bahan McKee bhi apne peeli chidiya ki tarah thi jiske pankh par bhura rang tha. Use sundarta ka ashirvaad nahin mila tha, na to milansaar hone ka gun, ya apne vanshaj (posterity) ka sammaan mila. Phir bhi unka geet auron ki sahayta karta tha apne bojh ko aasaani se dhone mein aur zyaada achchi tarah apne kaarye ko pura karne mein.

Duniya choti peeli chidiyon se bhari hay jinke pankh bhure hay. Dukh ki baat yeh hay ki in mein se kuch hi ne gaana sikha hay. Kuch to yuva log hay jo nahin jaante woh kaun hay, woh kya ban sakte hay ya phir banna chahate hay; woh sirf bada aadmi banna chahate hay. Anye log umra se jhuke hay, musibaton se dabe hay, ya avishwaas se bhare hay—ayse jiwan jeete hay jo unke chamtaaon ke milaan mein bahut chote hay.

Mahaanta se jeene ke liye, hamein musibaton ka saamna karna sikhna chahiye himmat se, niraasha ka saamna prasannta se, aur vijay ko vinamrata se. Tum puchte ho, “Hum kaise in lakshye ko haasil kar sakenge?” Mera jawab hay, “Hum vaastav mein kaun hay ka sachcha gyaan praapt karne dwara!” Hum ek jiwit Parmeshwar ke betein aur betiyaan hay, jinke swarup mein hum utpann hue hay. Yeh sochiye: Parmeshwar ke swarup mein utpann hue hay. Hum ispar purn vishwaas nahin kar sakte ek naya bal aur shakti ke ehsaas ko anubhav karein bina.

Hamari duniya mein, naetik charitra aksar sundarta ya aakarshan se kam zaroori lagta hay. Magar bahut samay pehle se Prabhu dwara bhavishyevakta Samuel ko diya gaya salaah kehta hay: “Kyunki Prabhu ka dekhna manushye ka sa nahin hay; manushye to baahar ka rup dekhta hay, parantu Prabhu ki drishti mann par rehti hay” (1 Samuel 16:7).

Jab Uddhaarkarta ne ek vishwaasi ko talaashna chaha, Usne nek logon ki bhid mein se nahin chuna jo zyaadatar prarthna bhawan jaate the. Balki, Usne unhein Capernaum ke machwaaron mein se chuna. Shanka karne waala, aprashikshit, utaaola Simon bana Peter, vishwaas ka Devdut. Ek choti peeli chidiyaan jiska pankh bhura tha Swami ke purn vishwaas aur tikaau prem ke liye yogye hua.

Jab Uddhaarkarta ek joshile aur shaktishaali prachaarak ko chunta, Woh use Apne chahane waalon ke beech nahin dhoodhta par Apne virodhiyon ke beech. Atyachaari Saul prachaarak Paul ban gaya.

Muktidaata ne asampurn logon ko chuna purnata ka maarg sikhlaane ke liye. Usne pehle waisa kiya tha. Woh abhi waisa kar raha hay—jaise choti peeli chidiyaan jinke pankh bhure hay. Woh tumko aur mujhko bulaata hay yaha is dharti par Unki sewa karne ke liye. Hamari vachan badhta sampurn honi chahiye. Aur hum apni koshishon mein, agar thokar khaate hay, to aao hum niwedan karein: “Le chal, o le chal, manushye ke mahaan Kaarigar, andhere se baahar ek baar phir sangharsh karne ke liye.”1

Mera prarthna hay ki hum Galilee ke is Aadmi ke uddhaaran par chalein, jise garibon, girehuwon, atyachaari, aur peedit logon ke beech dekha jaata tha. Hamare dilon se ek sachcha geet nikle jab hum aisa karenge.

Vivaran

  1. “Fight Song,” Yonkers High School.

Is Sandesh mein Se Shikshan

Jab tum sikhlaao … , aksar laabhdaayak hota hay ki sikhne waale kuch vishesh dekhein ya sune” (Teaching, No Greater Call [1999], 55). Parivaar sadasyon ko Pradhaan Monson ke sandesh ko samajhne mein sahayta karne ke liye, sochein unse puchne ke liye ki woh tayyaar rahein woh baantne ke liye jo unhonne sikha hay is sandesh ko ek saath padhne ke baad. Har ek vyakti ko amantrit karein woh baantne ke liye jo woh mehsoos karte hain is sandesh mein se zaroori hay. Samaapt karein Pradhaan Monson ke sandesh par bayaan dene se.

Parmeshwar ke shabd ko sikhlaana, jaise Unke bhavishyevaktaaon dwara diya gaya hay, ek shaktishaali prabhaao ho sakta hay unke jiwan ke liye jinhein hum sikhlaate hay (dekhiye Teaching, No Greater Call, 50). Pradhaan Monson ne kaha hay bal aur shakti milti hay yeh gyaan rakhne se ki hum Parmeshwar ke bachchein hay. Sandesh ko padhne ke baad, parivaar se puchiye kaun si cheez unhein yaad karne mein sahayta karti hay ki woh kaun hay.