2010
Vaadon ko Prabhubojh dwara Punaharambh Karna
June 2010


Shikshan Sandesh Bhent, June 2010

Vaadon ko Prabhubojh dwara Punaharambh Karna

In dharamshaastron aur uddharanon ko ya, agar zaroorat pade, dusre siddhaant ko sikhlaiye jo un bahanon ko ashirvaad denge jinse tum bhent karti ho. Dharamsiddhaant ki gawahi dijiye. Jinhein tum sikhlaati ho unhein amantrit kijiye ki unhonne jo mehsoos kiya aur sikha hain unhein baantein.

Ishu Masih ne Prabhubojh ko Sansthaapit Kiya

“Ishu ne roti li, aur aashish maangkar todi, aur chelon ko dekar, kaha, ‘Lo, khaao’ (Matt. 26:26). ‘Yeh meri deh hay jo tumhare liye diya gaya hay: aysa karo meri yaad mein’ (Luke 22:19). Kuch isi prakaar usne katora mein angoori sharaab liya, jismein paani milaaya gaya ho, dhanyevaad diya uske liye, aur unke aaspaas jo baethe the mein baanta, yeh kehte hue: ‘Yeh katora mere us lahoo ka naya niyam,’ ‘jo paapon ke praeshchit … ke liye bahaaya gaya hay.’ ‘Yeh meri yaad mein kijiye.’ …

“Us upar ke kamre ke anubhav ke baad Gethsamane aur Golgotha jaane se pehle, pratigya ke santaan vachanbadh hay Masih ke balidaan ko yaad karne ke liye is naye, unche, zyaada pavitra aur vyaktigat tarike se.”1

Elder Jeffrey R. Holland Barah Devduton ke Parishad ke.

Hum Prabhubojh Dwara Apna Baptisma ka Vaada Punaharambh Karte Hay

“Jab hum baptisma lete hay, hum Ishu Masih ka pavitra naam apne upar lete hay. Unka naam apne upar lena hamare jiwan mein bahut mahatwapurn anubhav hay.. …

“Har saptaah prabhubojh sabah mein hum vaada karte hay ki hum Uddhaarkarta ke praeshchit ke balidaan ko yaad karenge jab hum apna baptisma ke vaade ko punaharambh karte hay. Hum vaada karte hay ki hum Uddhaarkarta jaisa karenge—Pita ke or aagyakaari rahenge aur sada Unke aagyaaon ka paalan karenge. Aysa karne se jo ashirvaad hamein milta hay woh hay ki Unki Aatma sada rahegi.”2

Elder Robert D. Hales Barah Devduton ke Parishad ke.

“Ek aath-varshiye ladki ke baptisma ke din main uske saath tha. Din ki samaapti par usne pure vishwaas se kaha, ‘Mera baptisma hue pura ek din ho gaya, aur mainne ek bhi paap nahin kiya!’ Magar uska paaprahit din hamesha ke liye nahin tha, aur main yakeen se keh sakta hoon woh ab sikh rahi hay, jaise hum sab sikhte hay, ki hum jitna bhi koshish karein, hum hamesha ek buri stithi se bach nahin sakte, har ek galat chunaao se. …

“… Yeh mumkin nahin ki hum vaastavik badlaao khud kar sakte hay. Hamara apna dhridh iraada(willpower) aur hamare apne sadashay(good intentions) kaafi nahin. Jab hum galti karte hay ya achcha chunaao nahin karte, hamare liye Uddhaarkarta ki sahayta honi chahiye phir se sahi maarg par lautne ke liye. Hum prabhubojh har saptaah lete hay hamein badalne waali Unki shakti mein apna vishwaas dikhaane ke liye. Hum apna paap apnaate hay aur vaada karte hay ki phir nahin karenge.”3

Julie B. Beck, Sahayak Sanstha maha adhyaksh.

Vivaran

  1. Jeffrey R. Holland, “This Do in Remembrance of Me,” Ensign, Nov. 1995, 67.

  2. Robert D. Hales, “The Covenant of Baptism: To Be in the Kingdom and of the Kingdom,” Liahona, Jan. 2001, 8.

  3. Julie B. Beck, “Remembering, Repenting, and Changing,” Liahona, May 2007, 110–11.

Shikshan Sandesh ke liye Sahayta

Jaise tum ek bahan aur uske parivaar ko pehchaanogi, tarike dhoondhiye ki tum kaise use madad kar sakogi uske vaadon ko prabhubojh dwara punaharambh karne mein. Agar woh prabhubojh sabha mein nahin aati, kya tum use aane ke liye amantrit kar sakti ho ya use sahayta dene ki ichcha vaytit karein aysa karne ke liye (aane jaane ka zariya, bachchon ke liye madad, saath baethne ka ek dost, aur vagayra vagayra)?

Vyaktigat Tayyaari

Luke 22:19–20

1 Corinthians 11:23–28

3 Nephi 18:1–12