2010-2019
Raushni aur Sachchaai ke Gawahi ko Prapt Karna
October 2014


Raushni aur Sachchaai ke Gawahi ko Prapt Karna

Tumhare raushni aur sachchaai ki gawahi sirf tumhe aur tumahre parivaaron ko maranshil jiwan mein nahi ashirwaad dega, parantu yah tumhare saath anant tak jayega.

Hawaaijahaaz ke pilat hone se, main rartri ke dauraan kai ghanton tak mahadeshyon aur samudra ko paar karta tha. Choti se khidki se bahar raatri ke baadal ko dekhte hue, khaaskar Milky Way ko, mujhe Parmeshwar ke banaawat par bahut vishaalta aur gaharaai hui- jise dharamshaastra mein batlaya gaya hai ki “kai prakaar ke duniya hai.”1

Abhi ek sao saal nahi hua tha kai astronomers ko humare Milky Way galaxy ko yah bolna ki wah jagat mein sirf ek galaxy hai.2 Weh vishwaas kartey the ki humare galaxy se aage kuch nahi tha, bikul khaali sthaan- khaali, dhand, aur taaron, raushni, aur jiwan rahit.

Jabki durdarshak zyaada aage badh gaya- durdarshak jo akaasha mein launch karne ke saath- astromers shaandaar, lagh bhag sabhi anchit sachchaai ko jaan gaye the: jagat kitna bada tha jo kabhi kisi ne socha hi nahi tha, aur swarg mein kai galaxies hain, hum se bahut hi dur, har ek mein kai haazaaron billionon taarein.3

Bilkul kuch hi samay mein, jagat par humari jaankaari bilkul badal gayi.

Aaj hum in mein se kuch galaxies ko dekh saktein hain.4

Hum jaantein hain ki weh waha hai.

Weh waha bahut samay se hai.

Parantu pehle insaan ke paas untne shaktishaali aozaar nahi tha celestial raushni ko jaanne ke liye aur in galaxies ko dikhlane ke liye, hum yah vishwaas nahi kartein hain ki kuch ayesa ho sakta tha.

Jagat ki vishaalta achaanak se nahi badal gayi hai, parantu hume is sachchaai ko naatikiyadhan se dekhne aur samajhne ki chamta badal gayi hai. Aur zyaada gyaan ke saath, insaan ko mahaan cheezon ko dekhne ko milta hai jo kabhi socha nahi gaya tha.

Jo hum nahi dekh saktein hain uspar vishwaas karne mein hume dikkat hoti hai

Socho ki tum puraane samay mein jaa saktey ho aur haazaaron ya sao saalon pehle ke logon se vartalaabh kar saktey the. Socho ki kis tarah unhein abhi ke kuch naye vigyaanon ko batlaaoge jo abhi tumare aur mere paas hai. Uddhaaaran mein, yeh log humare vishye mein kya sochenge agar hum unhein bade hawaaijahaaz, microwave ovens, haathon mein istamaal karne waale cheezon ka jismein digitel kitaabgar hai ke kahani ko batlaenge, aur apne naatiyon ke filmon ko jo hum duniya bhar ke millionon logon ko dikhlaatein hain.

Kuch humein shaayad vishwaas karein. Kai hum par hasenge, humare khilaaf honge, ya shaayad hume chup karaane ki koshis kare ya nuksaan pahuchaye. Kuch shaayad jo weh jaantein hai nayaaye shaastra, kaaran, aur tatye ko karne ki koshish karein taaki weh dikhlaein ki hum maarg se bhatak gaye hain, paagal hai, ya bahut khatarnaak hain. Weh shaayad hume unhein gumraha karne ke liye galat bhi tahraye.

Parantu sahi hai ki, weh log puri tarah se galat ho saktien hain. Weh madadagaar aur sachche ho saktein hain. Weh shayad yah mehsoos karein ki unki soch sahi hain. Parantu weh ussi tarah nahi dekh saktein hain kyunki unhone pure sachchaai ke raushni ko nahi prapt kiya hai.

Raushni ka Vaada

Yah insaan ka tarika hai bolna ki hum sachche hain bhale hi weh jaantey ho ki weh galat hain. Aur agar yahi sachchaai hai, tho humare liye kya aasha hai? Kya hum bina sachchaai jaane apne jiwan ko bitaaenge kyunki kai jhagadne waale sujhaao hain aur hum apne samajh aur vishwaas par nirbhar rahenge?

Kya sachchaai dhoondhna asaan hai?

Mere tippanniyon ka mahatav hai ki Parmeshwar ke khushibhare sandesh ko batlaaun ki Wah- Senaaoun ke Prabhu hai jo sabhi sachchaai ko janta hai-ne apne bachchon ko vaada kiya hai ki weh khudh hi sachchaai ko jaanenge.

Kripa is vaade ke zaroorat ko jaane:

Anant tak aur Shaktishaali Parmeshwar, pure duniya ko Bananewaala, unse baatein karenge jo Unke paas ek sachche hriday aur sachche iraade se jayenge.

Wah unse sawapan, nigaah, soch, aur ahesaas mein baatein karenge.

Wah us tarike se baatein karega jismein galti nahi hogi aur jo insaan ke tajurbe se bahar hoga. Wah unke jiwan mein diviye maargdarshan aur jawaab denge.

Zaroor, yaha ayse honge jo buraai karenge ki aysa kuch bhi nahi ho sakta hai, ki agar koi Parmeshwar hai, Unke paas aur achcha kaarye hoga karne ko ek vyaktigat insaan ke prarthna ko sunne aur jawaab dene se zyaada.

Parantu main tumhe yah batlaata hoon: Parmeshwar tumhare baarein mein parvah karte hain. Wah tumhe sunnega aur tumhare vyaktigat sawaalon ka jawaab dega. Tumhare swaalon ke jawaab Unke apne tarike aur Unke khud ke samay par prapt hoga, aur isliye, tumhe Unke awaaz ko sunna sikhna hoga. Parmeshwar chahate hai ki hum Unke paas wapis jaane ke raastey ko banaye, Uddhaarkarta hi sirf raasta hai.5 Parmeshwar chahate hain ki Unke Putra, Ishu Maseeh ko sikhein, aur shaanti aur khushi ke mahasaagar ko anubhao karein jo diviye chelatav ke maarg par chalne se prapt hota hai.

Mere priye doston, yaha ek saral asaan tarika hai, Parmeshwar se vaada ke saath, purane dharamshastra mein paya gaya hai, sabhi purush, mahila, aur bachche jo utsukh se ichcha karega:

Pehla, tumhe Parmeshwar shabd ko dhoondhna hai. Is ka matlab hai ki purane aur naye bhavishyevaktaoun ke dharamshaatsra ko padhana aur seekhna Ishu Maseeh ke punaharsthaapit susamachaar ko lekar- sandeh ya buraai karne ke liye nahi parantu sachchaai ko jaanne ke liye. Apne mann ko sachchaai prapt karnewaale ahesaas aur taeyaar karne waale un cheezon ke vishye mein socho.6 “Bhale hi vishwaas karne ki ichcha bhi ki tab is ichcha ko apne andar tab tak kaam karne do … jab tak ki tum [Parmeshwar ki baaaton] ko vishwaas na koro. ”7

Dusra, tumhe yah jaanna, sochna, nidar hokar vishwaas karne ki koshish karo,8 aur dekhna hai ki kitne dayalu Parmeshwar hain Uske bachchon ke saath Adam ke samay se lekar abhi tak bhavishyevaktaon, dekhnewalon, aur Uske Girjaghar ko batlane waalon ke aur Uske paas waapiss jaane ke raaste ko pradaan karke.

Teesra, tumhe apne Swarg ke Pita se puchna hai, Uske Putra, Ishu Maseeh ke naam se, Ishu Maseeh ka Girjaghar Antim-din Ka Santon ke sachchaai ko tumse batlane ke liye. Sachche hriday aur achchie abhilasha se, Maseeh mein vishwaas karke pucho.9

Yaha chautha kaarye bhi hai, humare paas Uddhaarkarta ke dwara: “Yadi koi [Parmeshwar] ki ikcha par chalna chaye, to wah is updesh ke vishye mein jaan jayega, ki yah Parmeshwar ki oar se hai, ya main apni oar se kehta hoon.” 10 Dusre shabdon mein, jab tum susamachaar siddhaanton ki sachchaai ko janna chahtey ho, tumhe use pehle karna hoga. Susamachaar dharam vidhi aur Girjaghar shishanon ko apne khud ke jiwan mein karna padega. Sachche mann aur Parmeshwar ke saath anant tak ke vishwaas ke saath karo.

Agar tum in cheezon ko kartey ho, Parmeshwar tumhe vaada karta hai- jo Apne shabdon ko pura karta11—hai Wah use Pavitra Aatma ke shakti dwara sachchaai ko batlaega. Wah tumhe zyaada raushni dega taaki hankaar mein se tum dekh sako aur akalpniye rup se mahaan gawahi ke vidhi ko bayaan kar sako jo humare sharirik ankhon se nahi dekh sakta.

Kuch yah kahenge ki tarika bahut katin hai ya wah us kaam ke fal ke layak nahi hai. Parantu main batlata hoon ki vyaktigat susamachaar aur Girjaghar ki gawahi sab se zaroori cheez hai jo hum is maranshil jiwan mein prapt kar saktein hain. Yah sirf is jiwan mein tumhe ashirwaad aur maarg nahi dega, parantu uska sidha asar tumhare anant tak ke jiwan mein bhi hoga.

Aatma ki Cheezein Sirf Aatma Dwara Hi Jaani Ja Sakti Hai

Waegyaanik jagat ke aakaar ko nahi jaan pa rahe the jabtak ki aozaarein mahaan raushni ko saath karne ke jatal nahi thi taaki weh puri sachchaai ko samajh sakein.

Devdut Paul ne aatmik gyaan ko lekar ek saral mul ko sikhlaya. “Prakritik insaan Parmeshwar ke Aatma ko grahan nahi kar sakta hai,” usne Corinthians ko likha, “kyunki weh uski drishti mein murkhta ki baaatein kartein hain: aur na wah unhein jaan sakte hain, kyunki unki jaach aatmik riti se hoti hai.”12

Dusre shabdon mein, agar tum aatmik sachchaai ko janna chahatey ho, tumhe sahi aozaar istamaal karna padega. Tum wah aatmik sachchai ko us aozaar se nahi jaan sakoge jo use bata nahi sakta hai.

Uddhaarkarta ne hume humare dinon mein batlaya hai ki, “Jo Parmeshwar se prapt hai wah raushni hai; aur jo wah raushni ko prapt karta hai, aur Parmeshwar ke saath rehta hai, zyaada raushni ko prapt karta hai; aur wah raushni tez hota jata hai jabtak ki aakhari din nahi hota.”13

Jitna zyaada hum apne hriday aur mann ko Parmeshwar ke kareeb le jaatein hain, utna zyaada hi swarg ki raushni hume prapt hota hai. Aur har samay jab hum us raushni ki ichcha karte hain aur sachchaai ke saath dhoondhtein hain, hum Parmeshwar ko zyaada raushni parpt karne ki taeyaari ko dikhlaatein hain. Anth mein, cheezein jo dhundhala, kaali, aur alag dikhta tha ab saaf, unjiyala, aur hume jaana maana lagta hai.

Usi tarah se, agar hum apne aap ko susamachaar ki raushni se alag kar denge, humari raushni kam ho jaegi- ek hi din ya haftey mein nahi parantu kuch samay par- jabtak ki hum piche mudh kar dekhein aur jaane ki hum ne kyo yah vishwaas nahi kiya ki susamachaar sachcha tha. Humare pehle ke gyaan shaayad humein paagalpan lage kyunki jo kabhi bilkul saaf tha wah dobara dhundhala, anishchit aur bahut dur lage.

Issi kaaran Paul bahut vishwaasi tha ki susamachaar un logon ke liye pagalpan tha jo bekaar hai, “parantu jo bach gaye hai [wah] Parmeshwar ke shakti se.”14

Yah Litmus Parikhcham Nahi Hai

Ishu Maseeh ka Girjaghar Antim-din ke Santon ka sabhi tarah ke gawahiyon ke logon ke liye hai. Yah Girjaghar ke kuch sadesyon ka gawahi sachcha hai aur bahot hi shaktishally. Dusre apne liye abhi bhi talaash kar rahein hain. Girjaghar sabhi ke liye ghar hai saath milne ke liye, bhale hi humare gawahi kitne shaktishaaly na ho. Yah upar humare Girjaghar ke darwaaze par koi chin nahi hota jismein likha ho, “Tumhari gawahi mazboot honi chahiye daakhil hone ke liye.”

Yah Girjaghar sirf sahi logon ke liye nahi hai, parantu ya un sabhi ke liye hai jo “Maseeh ke paas aatein hain, aur unke saath paripurn hothe hai.”15 Girjaghar tumahre aur mere tarah ke logon ke liye hai. Girjaghar swaagat aur poshan karne ka sthaan hai, naaki alag karne ya buraai ka. Yah wah sthaan hai jaha ek dusre ko badhanti, madad aur banaye rakha jata hai jaha hum apne vyaktigat taur se diviye sachchaai ko dhoondhtey hain.

Anth mein, hum sabhi musafir hain Parmeshwar ke raushni ki khoj mein jab hum chelaatav ke maarg par chaltein hain. Hum doosron ki tulna nahi kartein ki unke paas kitni raushni hai ya nahi hai; balki, hum sabhi raushni ko poshan aur badhaatein hain jab tak ki saaf, behatar, aur sachcha na ho jaye.

Ek Vaada Sabhi Ko

Hum yah maan le ki gawahi ko prapt karna ek chan, ek ghantey, ya ek din ka karye nahi hai. Yah wah nahi hai jo ek hi baar mein pura ho jaye. Aatmik raushni ko prapt karna ant tak ki safar ka kaarye hai.

Tumhare Parmeshwar ke jiwit Putra aur Uske punaharsthapit Girjaghar, Ishu Maseeh ka Girjaghar Antim-din Santon ka gawahi, shayad utni jald nahi prapt ho jo tum chahatey ho, parantu main tumhe vaada karta hoon ki: agar tum apne maarg par rahoge, wah milega.

Aur wah mahaan hoga.

Main tumhe apne veyaktigat gawahi ko deta hoon ki tumhare hriday mein aatmik sachchaai prapt hoga aur tumahre aatma ko raushni . Yah tumhe pure sachchaai ke saath aschariye khushi aur swarg ke shaanti ko dega. Maine yah apne liye anubhao kiya hai Pavitra Aatma ke shakti dwara.

Jis tarah purane dharamshstra mein vaada kiya gaya hai, nabolne waali Parmeshwar ki Atma ka hona tumhe anandaai prem ke geet ko gaane ki ikcha karaenge,16 apne akhon se swarg ko dekho, aur apne awaaz mein sab se Bade Parmeshwar ki gungaan karo, tumhara Rakhsha, tumhara Asha, tumhara Bachane waala, tumhara Pita. Uddhaarkarta ne vaada kiya ki agar tum dhoondhoge, tum paaoge.17

Main gawahi deta hoon ki yah sachchai hai. Agar tum Parmeshwar ke sachchaai ko dhoondhoge, jo abhi dhundhali lage, na dikhaai de, aur dur lage anth mein prapt hoga aur spashtikaran aur tumahre hriday ke kareeb hoga Parmeshwar ke daya ke raushni ke dwara. Mahaan aatmik vidhi, insaan ke ankhon se na dikhne waale, tum ko prakat hoga.

Yah meri gawahi hai ki yah aatmik raushni Parmeshwar ke sabhi bachchon tak pahunche. Yah tumhare mann mein raushni dega aur tumare hriday ko dheek karega aur tumhare dinon mein khushi pradaan karega. Mere priye doston, kripa apne khudh ke Parmeshwar ke diviye kaarye ke gawahi ko dhoondh kar aur mazboot karne mein der mat karo, raushni aur sachchaai ke kaarye ko bhi.

Tumhare raushni aur sachchaai ki gawahi sirf tumhe aur tumahre parivaaron ko maranshil jiwan mein nahi ashirwaad dega, parantu yah tumhare saath bhi anant tak jayega, is duniya se us duniya tak. Is ka main gawahi deta hoon aur tumhe apne asirwaad ko deta hoon Ishu Maseeh ke naam se, amen.