2010-2019
In Baaton ko Main Swaye hi Jaanta Hoon
October 2014


In Baaton ko Main Swaye hi Jaanta Hoon

Khud ke liye yah jaanna ki Ishu Maseeh ka punaharsthapit susamachaar sachcha hai jiwan ke anubhao mein sab se mahaan aur khushi ka ho sakta hai.

Mere priye bhaaiyon, hume Pradhaan Thomas S. Monson ke vyaktigat uddhaaran aur purohiti ki sewa se humesha prerna prapt hota hai. Abhi jald, kai deacons se pucha gaya, “Pradhaan Monson mein tumhe sab se achcha kya lagta hai?” Ek deacon ne batlaya ki kis tarah Pradhaan Monson, jab wah bachcha tha, ne apne khilaunon ko zarooratmand doston ko diya tha. Dusre ne kaha ki kis tarah Pradhaan Monson apne ward ke kai vidwaoun ka dhyaan rakha. Teesre ne batlaya ki wah bahut hi kam umar mein ek Devdut ban gaya tha aur duniya bhar ke logon ko ashirwaad diya hai. Phir ek jawaan purush ne kaha, “Wah cheez jo mujhe Pradhaan Monson ke bare mein sabse achcha lagta hai Unki gawahi.”

Sahi mein, hum sab ne apne bhavishyevakta ke khaas gawahi Uddhaarkarta Ishu Maseeh ka aur usko Aatma ke prerna par humesha chalne ko mehsoos kiya hai. Har ek uddhaaran jo wah bataata hai, Pradhaan Monson chahtein hai ki hum susamachaar mein aur zyaada jiwan bitaaein aur humare vyaktigat gawahi ke liye dhoondhein aur shaktishaali banaye. Yaad karo kuch pahale sammelan mein usne isi manch par yah kaha tha: “Hume shaktishaali rahane ke liye aur bure disha mein jaane se bachne ki koshish karo … , hume khud ki gawahi hona chahiye. Chahe tum 12 ya 112 ke ho-yah beech ke bhi-tum khud hi jaan saktey ho ki Ishu Maseeh ka susamachaar sahi hai.”1

Bhale hi mera aaj raat ka sandesh12 se 112 tak ko maargdarshan dene ka hai, siddhaantein sabhi par laagu hota hai. Pradhaan Monson ke kahe hue par, main puchta hoon: Kya hum sab apne liye jaantein hain ki susamachaar sachcha hai? Kya hum atma-nirbharta se kaha saktein hain ki humare gawahi sach mein khud ka hai? Pradhaan Monson ne dobara batlaya tha: “Main batlata hoon ki Uddhaarakarta aur Uske susamachaar ki gawahi ko jo… shakti tumhe tumhare ird-gird ke paap aur buraai se bachayega. … Agar tumahre paas abhi yah gawahi nahi hai, jo kuch bhi ho yah gawahi ke parapt karne ke liye karo. Tumhara khud ki gawahi hona zaroori hai, kyunki dusron ki gawahiyan kuch der hi saath dega.”2

In Baaton ko Main Swaye hi Jaanta Hoon

Khud ke liye yah jaanna ki Ishu Maseeh ka punaharsthapit susamachaar sachcha hai jiwan ke anubhao mein sab se mahaan aur khushi ka ho sakta hai. Hum dusron ki gawahi par nirbhar hone se shuruwaat kartein hain- kahatey hue, jaese kishor yodha ne kiya tha, “Hum is mein sandeh nahi kartey ki humari maataaein bhi yeh baatein jaanti thi.”3 Yah achcha tarika hai humare gawahi ka shuruwaat karne ka, parantu hume zaroori hai ki hum madad karein use aage badhane mein. Susamachaar mein humesha jine ke liye, yaha apne khud ke gawahi ko prapt karne aur mazboot karne se zyadaa zaroori kuch bhi nahi hai. Hume bhi, Alma ki tarah batlana chahiye, “In baaton ko main… swaye hi jaanta hoon.”4

“Aur tum yah kaese maantey ho ki main in baaton mein nishchit hoon?” Alma aage batlaya. “Sunno, main tumse kahta hoon ki Parmeshwar ki Pavitra Aatma ne un baaton ki jaankaari mujhe karaaai hai, in baaton ko swaye jaanne ke liye maine kai dinon tak upwaas aur prarthna ki hai. Aur main jaanta hoon ki weh sab sathye hai.”5

Main un Baaton ko Dekhna Chahata hoon jo Mere Pita ne Dekha hai

Alma ki tarah, Nephi ne bhi khud ke liye sachchaai ko jaana. Apne pita ko khud ke kai aatmik anubhaaoun ko batlatey sun kar, Nephi wah jaanna chahata tha jo uske pita ko pata tha. Yah jaanne ke liye bahut hi utsuk tha- yah wah tha jis ki use bahut ikcha thi. Bhale hi wah “bahut hi kam aayu ka tha, “usko “Parmeshwar ke bhedon ko jaane ke liye badi abhilaasha thi.”6 Aur maine Prabhu ko pukara aur sunno, aur mainn jaanta hoon, Pavitra Aatma ki shakti dwara.”7

Jab Nephi “in vichaaron mein [apne]mann mein khoya hua tha,” wah “Aatma mein leen ho gaya tha … bahut unche parwat ko dekha, “jaha usse pucha gaya, “Tum kya chahatey ho?” uska jawaab saral tha: “Main un baaton ko dekhna chahata hoon jinhein mere pita ne dekha tha.”8 Kyunki usko bahut vishwaas tha aur uska saaodhni se kaarye ke bal tha, Nephi ko mahaan anubhaoun ke saath ashirwaad diya gaya. Usne Uddhaarkarta Ishu Maseeh ke payedaish, jiwan, aur Krus par chadhane ki gawahi ko prapt kiya tha; usne Mormon ki Dharamshaastra aur antim dinon mein susamachaar ki Punaharsthaapna ko pahale hi dekha tha-khud se pura jaane ki sachchi ikcha ke parinaam mein.9

Prabhu ke in vyaktigat anibhaoun ke saath Nephi ko taeyaar kiya tha use anewaale virodhiyon aur musibaton ko jhelne ke liye. Us ne uski madad kiya tha sthir rahane mein jabki parivaar ke dusre sadasye jhel rahe the. Wah yah kar sakta tha kyuki usne khud hi sikha tha aur wah khud jaanta tha. Uske paas uski khud ki gawahi prapt thi.

Tum Parmeshwar se Maango

Nephi ki tarah, Bhavishyevakta Joseph Smith bhi “bahut kam aayu ka tha” jab uska “man mein ghabeer parchaai dikhaai diya” dhaarmik sachchaai par. Joseph ke liye, wah samay “mahaan kathinaaiyon ka tha,” jaati ke sandesyon ko lekar jhagde aur galat faramiyon se gira hua. Wah jaanna chahata tha ki kaun sa Girjaghar sachcha tha.10 Bible ke in shabdon se prerit hua: “Par yadi tum mein se kisi ko bhuddhi ki ghati ho to Parmeshwar se maango,”11 usne apne jawaab ko dhoondhne ke liye kaarye ko kiya. 1820 ke garmi mein ek sundar subeh ko, usne jangal mein jakar padon ke beech ghotne par hokar prarthna kiya. Kyunki usko vishwaas aur kyunki Parmeshwar ke paas uske liye khaas kaam tha karne ko, Joseph ko Parmeshwar jo Pita hai aur Uske Putra, Ishu Maseeh ki mahaan drishti prapt hui aur khud ke liye sikh ki use kya karna chahiye.

Kya tum Joseph ke anubhao mein wah uddhaaran dekhtey ho jo tum apne gawahi ko paane aur mazboot karne mein kar saktey ho? Joseph ne dharamshaastra ko apne hriday ko prabhaawit karne diya. Usne us par bahut socha aur apne khud ke stithi mein kaam mein laya. Usne phir uspar kaarye kiya jo usne sikha tha. Parinaam mein mahaan Pahela Drishye tha-aur Punaharsthaapna ka kariye baad mein aaya. Girjaghar sachche siddhaanton par paya gaya tha jo sabhi log—jismein shaamil hai 14-saal ka kisaan ladka—“Parmeshwar se maang sakta hai” aur apne prarthnaon ke jawaab ko prapt kar sakta hai.

To Gawahi Kya Hai?

Hum humesha Girjaghar ke sadasye ko yajh kahatey hue suntein hai ki unke susamachaar ke gawahi sab se anmol cheez hai. Yah Parmeshwar se prapt hui pavitra uphaar hai jo hume Pavitra Aatma ke shakti dwara prapt hota hai. Yah wah shaanti, hai jo hum sthir rahane se humesha prapt kartein hain jab hum susamachaar ko sikhtein, prarthna kartein, aur susamachaar mein jeetein hain.Yah Pavitra Aatma ki ka ahesaas hai jo humare aatmaoun ko gawahi deta hai ki hum jo sikh rahein aur kar rahein hai waha sahi hai.

Kuch log gawahi ko is tarah batlatein hai jaese ki kuch tumhare paas hai ya nahi—ussi tarah jaese batti ki swich jal rahi hai ya bandh hai. Sahi mein, ek gawahi ped ki tarah hai jo fule aur falne ke liye kai awastha se guzarta hai. Kuch sab se bade ped pakchim United States ke Redwood National Park mein paya jata hai. Jab tum is bade ped ke niche khade hoge, yah aschriye hoga yah dekhna ki har ek chote se beejh se hua hai. Yah humare gawahi ke saath bhi hai. Bhale hi hum ne ek hi dhaarmik anubhao se shuruwaat kiya ho, weh samay ke saath fultey aur faltey hain humesha ke poshan aur humesha dhaarmik anubhao ke dwara.

Yah ascharye nahi hai, phir, jab bhavishyevakta Alma ne gawahi ko badhaane par samjhaya tha, usne beejh ko ped banne par batlaya tha. “Agar tum sthaan doge,” usne kaha, “ek beejh tumhare hriday mein boya jayega, sunno, agar wah sachcha ya achcha beejh hai aur tumne apne aswaashan ke karan use fekh nahi diya, jisse ki tum prabhu ki aatma ka virodh karo, tab wah tumhari chaati ke andar vikaash karega aur jab tumhe is vikaash ka anubhao hoga tab tum apne maanas mein kahoge—yah beejh ek uttam beejh hai arthat yah achchie vaani hai kyuki yah meri aatma ka vikaash karti hai; ha, usne mere vivek ko badhaana arambh kiya aur is ka swaad mujhe achcha lag raha hai.”12

Ayese hi gawahi badhata hai: pavitrata, roshni, wah ahesaas ke saath jo batlata hai ki Parmeshwar ki vaani sachchie hai. Phirbhi, is ka ahesaas aschariye hai, yyah sirf shuruwaat hai. Tumahre gawahi ko badhane ki kaarye bhi katam nahi hua hai—redwood ped ko bone ke kaam jayse hota hai jab dharti mein se pahala patta nikalta hai. Agar hum haal ke dhaarmik prerna ko andekha aur nikaar kartein hain, agar hum uski paalan poshan humesha dharamshaastra ko sikhne aur prarthna aur Aatma ke aur zyaada anubho ko dhoondhtein nahi hain, humare ahesaas mar jayega aur humare gawahi kam ho jayega.

Alma ne is tarah kaha: “Lekin agar tum us vriksh ko tukraya hai aur use sichne ki parwa na ki, tab dekho, usmein jad na hoti aur jab surye ka dhup use jhulsayega tabjad na hone se wah sukh jayega, aur tum use ukhaad kar fenk doge.”13

Kai stithiyon mein, humare gawahi ped ki tarah hi badhenge: humesha, us tarah se ki vishwaas nahi kiya ja sakta hai, humare humesha ke dekhbhaal aur pariksham ke kaarye ki parinaam mein. “Agar tumne vaani ka paalan poshan kiya,” Alma ne vaada kiya, “ha, agar viraksh jab badhana aarambh karta hai tabhi tumne uska paalan poshan agar pariksham dwara vishwaas ke saath dhayerpurwak fal ko prapt karne ki asha se kiya tab us mein jadh padegi; aur dekho, wah badh kar viriksh hoga aur anant jiwan prapt karega.”14

Abhi Samay Hai; Aaj Wah Din Hai

Mera khud ki gawahi shuru hua jab maine Mormon mein paaye hue shikshan ko sikha aur vichaar kiya hai. Jab main Parmeshwar se vineet prarthna mein ghutne par hokar pucha tha, Pavitra Aatma ne mere aatma ko gawahi diya tha ki jo main padh raha tha wah sachcha hai. Yah haal ki gawahi ne mujhe apne kai dusre susamachaar sachchaaiyon mein se ek gawahi tak pahuchaya tha, kyunki, jaesa Pradhaan Monson ne sikhlaya tha: “Jab hum jaantein hai ki Mormon ki Dharamshaastra sachcha hai, tab phir jaantein hai ki Joseph Smith sahi mein ek bhavishyevata hai aur usne Parmeshwar jo Anant Pita hai aur Uske Putra, Ishu Maseeh ko dekha tha. Yah bhi jaantein hai ki antim-din mein Joeph Smith ke dwara susamachaar punaharsthapit hua tha—saath mein Aaronic aur Melchizedek Purohitiyan bhi punaharsthapit hua tha.”15 Us din se, mujhe Pavitra Aatma ke dwara kai pavitra anubhaoun ko prapt hua hai jisne mujhe aswaasan diya hai ki Ishu Maseeh duniya ka Uddhaarkarta hai aur Uska punaharsthapit susamachaar sachcha hai. Alma ke saath, main yah kahe sakta hoon ki main jaanta hoon ki yah sab sachcha hai.

Mere jawaan doston, abhi aur aaj samay hai hume sikhne ya jaane ka ki susamachaar sachcha hai. Har ek ke paas zaroori kaarye hai karne ko.Yah kaarye karne ke liye, aur duniya ke us prabhaao se bachne ke liye jo humesha musibat mein daalta hai, humare paas Alma, Nephi, aur jawaan Joseph Smith ke jaesa vishwaas hona chahiye humare khud ke gawahi ko paane aur badhaane ke liye.

Us jawaan deacon ki tarah jis ke bare mein maine pahale baatein kiya tha, main Pradhaan Monson ke gawahi ko pasand karta hoon. Yah redwood ped ki tarah shaktishaaly bada ped hai, Pradhaan Monson ki gawahi bhi samay ke saath fale aur bade. Hume khud hi jaan saktein hain, jaesa Pradhaan Monson ne jaana tha, ki Ishu Maseeh humare duniya ke Uddhaarkarta aur Muktidata hai, ki Joseph Smith Punaharsthapna ka bhavishyevakta hai, saath mein Parmeshwar ki purohiti ko bhi punaharsthapit kiya hai. Hum us purohiti ko rakhtein hain. Main vineet se prarthna karta hoon ki hum in cheezon ko khud hi sikhein aur jaane Ishu Maseeh ke naam se, amen.