2010-2019
Joseph Smith
October 2014


Joseph Smith

Hamare Ishu Maseeh ne ek pavitra manushye, ek dhaarmik purush ko chuna, jo Unke susamachaar ke purnata ki Punahsthaapna kar sakta tha. Usne Joseph Smith ko chuna.

Jab Bhavishyevakta Joseph Smith 17 ke umra ke the, ek devdut ne Joseph se pehla bhent kiya use naam se pukaara aur usse kaha ki woh, Moroni, ek shubhchintak hai jo Parmeshwar ki upasthiti se aaya hai aur kaha ki Parmeshwar ne uske liye kuch kaam diya hai. Kalpana kijiye Joseph ne kya socha hoga jab us devdut ne use batlaya ki “sansaar ke har ek desh, jaati aur bhaasha ke log use bhala bura kahenge.”1 Shaayad Joseph ke aankhon ka achambha dekh Moroni ne dohraya, ki sansaar ke sabhi log use bhala bura kahenge.2

Joseph Smith ke baare mein achcha kahawat aahista se aaya; buri kahawat turant shuru ho gayi. Joseph ne likha, “Kitna niraala hai ki ek gumnaam ladke … ko laayak samjha gaya  … aur yogye mein mahimaa moh lena ... ki woh sabse kadwa atyachaar hai.”3

Jab ki Joseph ke prati logon ka pyaar badhta gaya, anye log unke virodh bante gaye. 38 varsh ke umar mein, 150 aadmiyon ke giroh, jinke chehre pe kaala rang tha, dwara uski hatya ho gayi thi.4 Jabki Bhavishyevakta ka jiwan achaanak khatam ho gaya, Joseph ke khilaaf bhala aur bura baat abhi shuru hi ho raha tha.

Kya hamein ashcharyechakit hona chahiye ki uske khilaaf bura kaha jaa raha hai? Devdut Paul ko paagal aur dimaag kharaab kaha jaata tha.5 Hamare Priye Uddhaarkarta, Parmeshwar ke Putra ko, petu, piyakkad, aur usmein dushtaatma hai kaha gaya tha.6

Prabhu ne Joseph ko uska bhaagye batlaaya tha:

“Dharti ke kone kone ke log tumhara naam puchenge, aur murakh log tumhara hasi udaaenge, aur narak tumhari or tezi se faelega;

“Jabki jo hriday se pavitra hai, … budhimaan, … aur dhaarmik log, tumhare haathon … se ashirvaad dhoondhege.”7

Prabhu kyun achchaai aur buraai ko ek saath ghatne deta hai? Ek vajah hai ki Parmeshwar ke vastuwon ke khilaaf jaa kar sachchaai ki khoj karne waale apne ghutnon par ho ke jawaab dhoondhte hai.8

Joseph Smith Punahsthaapna ka Bhavishyevakta hai. Uska dhaarmik kaarye shuru hua jab Pita aur Putra use dikhe, jiske baad kayi anye swarg ke dut unse mile. Woh Parmeshwar ke haathon mein saadhan bana pavitra dharamshaastra, nazarandaaz kiye aur khoya hua dharamsiddhaant, aur purohiti ko saamne laane ke liye. Budhimaani se zyaada kuch hona chahiye yeh janne ke liye ki Joseph ka kaam kyun avashyak tha; iske liye hamein Joseph ki tarah, “Parmeshwar se maangna chahiye.”9 Aatmik sawaalon ke aatmik jawaab hotein hai Parmeshwar ke dwara.

Kayi log jo Punahsthaapna ke kaam mein nahin vishwaas karte hai nahin jaan paate ki swarg dut dharti par insaanon se baatein karte hai. Woh kehte hai yeh namumkin hai, ki sone ke patte ek devdut dwara pahunchaae gaye the aur Parmeshwar ke shakti dwara anuwaad kiya gaya tha. Use vishwaas na karne se, woh jald Joseph ke gawahi ko thukraate hai, aur durbhaagye se kuch log Bhavishyevakta ke jiwan ko badnaam karne ka paap karte hai aur unke charitra ke baare mein jhoot bolte hai.

Hum khaas kar udaas ho jaate hai jab woh jo kabhi Joseph se prem karta tha apne gawaahi se mukar jaata aur phir Bhavishyevakta ke baare mein bure shabd kehta hai.10

“Elder Neal  A. Maxwell ne ek baar kaha tha, “Girjaghar ke baare mein un logon se seekhna jo Girjaghar se nikal gaye hai, us tarah hoga “jaise Ishu ke baare mein Judas se salaah lena. Jo ab girjaghar nahin aate hamein apne baare mein zyaada batlaate hai aur jisse woh nikle hai(girjaghar) uske baare mein kam batlaate hai.”11

Ishu ne kaha, “Apne baeriyon se prem rakho, … aur apne satanewaalo ke liye prarthna karo.”12 Chalo hum unpar daya karein jo Joseph Smith ki aalochna karte hai, hum apne hriday mein jaante hai ki Joseph Parmeshwar ka bhavishyevakta tha aur hum samajhte hai ki yeh sab Moroni ne pehle batlaya tha.

Hamein us vyakti ko kaise jawaab dena chahiye jo Bhavishyevakta Joseph Smith ke baare mein sune ya padhe hue galat baaton se pareshaan hai? Zaroor, hum humesha swagat kartein hain, sachche aur sahi swaalon ka.

Joseph ke charitra ke baare mein sawaal aayein, hum un hazaron logon ke shabdon ko kahe jinhonne unhein niji rup se jaana tha aur jinhonne apna jaan diya taaki unke dwara sthaapit hue kaam ko pura kar sakein. John Taylor, jise chaar baar goli maari gayi thi us giroh ke dwara jisne Joseph ko maara tha, wohi baad mein ghoshna karega: “Mai gawahi deta hoon Parmeshwar, devduton, aur manushyon ke samaksh, ki [Joseph] ek achche, aadarniye, [aur] dharmaatma vyakti the—…[aur] ki uska niji aur saarvajanik charitra doshrahit tha—aur ki woh Parmeshwar ke bhakt ke tarah jeeta aur marta tha.”13

Hamein us imaandari prashanktra vyakti ko yaad dilaana chahiye ki Internet jaankari “sachchai” filter nahi hai. Kuch jaankaariyaan, bhale kinti bhi vishwaasniye lage, sachchaai nahin hai.

Kai saal pehle mainne ekTime megazin ka article padha ki kisi ne ek patra paaya hai, shaayad Martin Harris dwara likha hua, jismein Joseph Smith ne jaise kaha use Mormon Dharamshaastra mila tha uske khilaaf tha.14

Girjaghar ke kuch sadasyon ne is patra ke kaaran girjaghar aana hi chod diya.15

Afsos, woh bahut jald chale gaye. Mahinon baad visheshagyon ne paaya (aur jaalsaaj ne batlaya) ki woh patra ek dhoka tha.16 Tum jo khabron mein sunte ho uspar sawaal kar sakte ho, par kabhi bhi Parmeshwar ke bhavishyevaktaaon ke gawahi par sandeh mat karna.

Hum jaanch karne waale ko bata sakte hai ki Joseph ke baare mein kuch jaankaari, jabki sach ho, shaayad kisi alag tarah se pesh ho jo uske dinon aur haalaathon ko dekh kar nahin batlaaya jaata hai.

Elder Russell M. Nelson ne is baat ko samjhaya tha. Usne kaha: “Mai United States sarkaar ke liye chikitsak tha unke Atlanta, Georgia ke National Center for Disease Control mein. Ek baar jab mai taxi ka intazaar kar raha tha ek bhentvarta ke baad taaki woh mujhe hawai-adda le jaa sake, mai zameen par let gaya kuch dhup lene ke liye waapas Utah ke thandi mausam mein jaane se pehle. … Baad mein mujhe daak dwara ek tasveer mila mera jab mai leta tha jo koi chitrakaar ne dur se khincha tha ek khaas telephoto lens waale camera se. Uske niche tha ek likhawat, ‘National Center ka Sarkaari Chikitsak.’ Tasveer to sach tha, likhawat bhi sach tha, par sachchaai ka istemaal kiya gaya galat nazariya pesh karne ke liye.”17 Jo hum jaante hai ki sach hai use hum nahin phenk dete kyunki kuch baaton ko hum abhi samajhte hi nahin.

Hum jaanch karne waale ko yaad dilaaenge ki Joseph ek hi insaan nahin tha jisne devduton se bhent kiya.

Mormon Dharamshaastra ke gawaahon ne likha, “Hum gambheerta ke saath yeh bhi suchit karte hai ki Parmeshwar ka ek dut swarg se niche aaya aur … humne un swarn pushto tatha unmein khodi hui lipi ko apni aankhon se dekha hai.”18 Hum kayi anye gawahiyon ko bhi dohraa sakte hai.19

Ek jaanch karne waale ko punahsthaapit susamachaar ko baatne ke kaam ko Prabhu ke kaam ka parinaam ki tarah dekhna chahiye jo Bhavishyevakta ke zariye utpann hua.

Ab duniya mein 29,000 bhaktgan ke dalein hai aur 88,000 prachaarakein hai duniya bhar mein susamachaar sikhlaate hue. Laakhon Antim-din Sant ab Ishu Maseeh ke uddharan anusaar jeena chahate hai, sammaanit jiwan, gareebon ki dekhbhaal, aur dusron ki sewa karne ke liye apna samay aur gunon ka istemaal karna.

Ishu ne kaha:

“Achcha ped bura fal nahin laa sakta, aur na nikamma ped achcha fal laa sakta hai. …

“…Is prakaar unke falon se tum unhein pehchaan loge.”20

Yeh varnan phuslaane laayak hai, par jaanch karne waale ko sirf unhi par bharosa karke apne sachchaai ke khoj ko ant nahin karna hai.

Har ek vishwaasi ko Bhavishyevakta Joseph Smith ke divye mission aur charitra ke dhaarmik pushtikaran ki zaroorat hai. Yeh sach hai har ek peedhi ke liye. Dhaarmik sawaalon ke dhaarmik jawaab chahiye Parmeshwar se.

Haal hi mein main United States ke Purabi tat par tha, ek mission samaapt kiye prachaarak ne mujhse ek dost ke baare mein kaha jo Bhavishyevakta Joseph Smith ke baare mein jaankaari paakar niraash ho gaya tha. Woh kayi baar baat kar chuke the, aur us prachaarak ke bhi mann mein sandeh paeda hone laga tha in baatcheeton ke kaaran.

Mainne to socha tha woh apne dost ko mazboot karega, mujhe uske apne gawaahi ki chinta ho rahi thi. Bhaaiyon aur bahanon, mai tumhe saodhaan karna chahata hoon: tum auron ki madad nahin kar sakoge agar tumhara apna vishwaas surakshit nahin hai apni jagah par.

Kuch saptaah pehle mai Dakshin America mein ek hawaijahaaj par gaya. Hawaijahaaj sahayak ne hamara dhyaan ek suraksha vidio ki or moda. Hamein chetaoni di gayi thi, “Aysa hoga to nahin, par agar jahaaj ka pressure badle, tumhare seat ke upar ka bhaag khulega, aur oxygen mask dikhenge. Agar aysa hua, aage badhiye aur ek mask ko apni or khinchiye. Mask ko apne naak aur muh ke upar rakhiye. Elastic rassi ko apne sir ke upar pehne aur mask ko theek karkepehne.” Uske baad yeh chetaoni: “Dyaan rakhiye ki aap apne mask pahen liya hai kisi aur ko madad karne se pehle.”

Jo buraai hui thi Bhavishyevakta Joseph Smith ke baare mein badhti rahengi jaise Uddhaarkarta ka Dusra Aagman nazdeek aata hai. Woh aadhe-sachchaai waali baatein aur chatur dhoke kam nahin honge. Kuch tumhare parivaar aur dost honge jinhe madad ki zaroorat hogi. Abhi samay hai apne dhaarmik oxygen mask ko theek karne ka taaki tum tayyaar raho sachchaai ki khoj kar rahe anye logon ki madad karne ke liye.21

Bhavishyevakta Joseph Smith ki gawahi hum sab ke paas alag alag dhang se aayegi. Woh shaayad ghutno par prarthna karte samay aayega, Parmeshwar se puchte samay ki woh ek sachcha bhavishyevakta tha. Woh shaayad Bhavishyevakta ke Pehle Drishti ka varnan karte samay aayega. Baar baar Mormon Dharamshaastra padhne se tumhare hirday mein ek gawahi sama sakti hai. Woh tab aayega jab tum Bhavishyevakta ke baare mein apna gawahi de rahe ho ya jab tum mandir mein khade ho aur yeh samjhoge ki Joseph Smith ke zariye pavitrata badhaane ki shakti dharti par waapas aayi thi.22 Vishwaas aur achchi abhilaasha se, Bhavishyevakta Joseph Smith ki tumhari gawahi mazboot ho jaaegi. Maedaan ke baahar se paani se humesha gubbaaro ke khel tumhe bigho sakte the, par woh kabhi bhi tumhari vishwaas ki jalti jwala ko bujha nahin sakti thi.

Aaj jo yuva log sunn rahe hai ya anewaale dinon mein in shabdon ko padhoge, ko main ek khaas chunaoti deta hai: Bhavishyevakta Joseph Smith ki gawahi khud haasil karo. Apne aawaaz ko, Moroni ke bhavishvaani anusaar, Bhavishyevakta ke baare mein achcha kehne ke liye istemaal karo. Yeh hai do sujhaao: Pehle, Mormon Dharamshaastra mein woh shaastra dhoondhiye jo tum mehsoos karte aur jaante ho ki ekdam sach hai. Tab use parivaar aur doston ke saath gharelu shaam sabha, seminary, aur apne Jawaan Purush aur Jawaan Mahilaaon ki kakshaaon mein batlaao, yeh kehte hue ki Joseph Parmeshwar ke haath ka saadhan tha. Iske baad, Bhavishyevakta Joseph Smith ki gawahi padhiye Pearl of Great Price ya is patrika mein, jo ab 158 bhaashaaon mein uplabdh hai. Tum ise online paa sakte ho LDS.org par ya prachaarakon ke paas. Yeh Joseph ki apni gawahi hai jismein har waardaat likha hai. Aksar ise padhe. Joseph Smith ke gawahi ko apne aawaaz mein record kijiye, use lagataar suniye, aur doston ko sunaae. Bhavishyevakta ke gawahi ko apne hi aawaaz mein sunne se tumhe sahayta milega gawahi ko badhaane mein.

Aage chal ke badhiya aur anokhe din aayenge. Pradhaan Thomas S. Monson ne kaha: “Yeh mahaan kaaran … aage badhta rahega, jiwanon ko badalta aur ashirvaad deta hua. … Duniya ki koi bhi shakti Parmeshwar ke kaarye ko nahin rok sakta hai. Chaahe jo bhi ho, yeh mahaan kaarye aage badhta rahega.”23

Mai aapko apni gawahi deta hoon ki Ishu hi Maseeh hai, hamare Uddhaarkarta aur Muktidaata. Usne ek pavitra manushye, ek dhaarmik purush ko chuna, jo Unke susamachaar ke purnata ki Punahsthaapna kar sakta tha. Usne Joseph Smith ko chuna.

Mai gawahi deta hoon ki Joseph Smith ek aadarniye aur dharmaatma aadmi the, Prabhu Ishu Maseeh ka chela. Pita Parmeshwar aur Unke Putra, Ishu Maseeh, unko dikhe the. Usne Mormon Dharamshaastra ko Parmeshwar se di gayi uphaar aur shakti ke dwara anuwaad kiya.

Hamare samaaj mein mrityu ke parde ke piche, hum achchi tarah samajh jaaenge Bhavishyevakta Joseph Smith ke pavitra niyukti aur divye mission ke baare mein. Us din, jo ab-door-nahin hai, tum aur mai aur “[kayi]laakhon anye log ‘Bhaai Joseph’ ko dobara jaanenge.”24 Ishu Maseeh ke naam se, amen.

Vivran

  1. Joseph Smith—History 1:33.

  2. Dekhiye Joseph Smith—History 1:29–46.

  3. Joseph Smith—History 1:23.

  4. Dekhiye Doctrine and Covenants 135:1.

  5. Dekhiye Acts 26:24.

  6. Dekhiye Matthew 11:19; John 10:20.

  7. Doctrine and Covenants 122:1–2.

  8. Pradhaan Dieter F. Uchtdorf ne kaha: “Pehle apne sandeh par sandeh kar apne vishwaas par sandeh karne se pehle. Hamein kabhi sandeh ko hamein bandi banane nahin dena chahiye aur divye prem, shaanti, aur anmol uphaar se vanchit nahin hona hai jo Prabhu Ishu Masih mein vishwaas se milta hai” (“Come, Join with Us,” Ensign or Liahona, Nov. 2013, 23). Elder Jeffrey R. Holland ne kaha: “Yeh ek divye kaam ho raha hai, jiske pradarshan aur ashirvaadein har ek or pe badh rahi hai, isliye kripya utsuk mat hoiye jab kabhi kabhi aysi stithiyaan utpann hoti hai jise parkha, samjha, aur suljhana hota hai. Woh to aate rahenge. Is Girjaghar mein, jo hum nahin jaante woh hamesha zyaada hoga usse jo hum jaante hai” (“Lord, I Believe,” Ensign or Liahona, May 2013, 94).

  9. James 1:5; Joseph Smith—History 1:11–13 bhi dekhiye.

  10. Daniel Tyler ne yaad dilaya: “Bhaai Isaac Behunin aur mai[Bhavishyevakta se bhent karne gaye] uske ghar par. Uske saath hue atyachaaron ki baat ho rahi thi. Usne kayi galat, ayogye aur vipreet ghoshnaaen dohraae jo girjaghar se chale gaye sadasyon ne kaha tha. … Usne yeh bhi batlaaya ki kaise kayi afsarein jo … [aasaani] se uska jaan lene jaa rahe the, jab woh kaed mein tha, uske hit mein ho gaye [jab unhonne use achchi tarah pehchaana].…“…Bhaai Behunin ne kaha: ‘Agar mai yeh Girjaghar chodun mai waisa nahin karunga jaisa anye vyaktiyon ne kiya tha: Mai itni dur chala jaaunga jahan Mormonism ke baare mein koi nahin jaanta, wahan bas jaaunga, aur koi nahin jaanega ki mai uske baare mein kuch jaanta hoon.’“[Joseph] ne turant jawaab diya: ‘Bhaai Behunin, tum nahin jaante tum kya karoge. Iska koi sandeh nahin ki yeh log bhi kabhi tumhari tarah sochte the. Is Girjaghar mein aane se pehle tum nispaksh the. … Jab tumne is Girjaghar ka bhaag bana tumne Parmeshwar ki sewa karne ka wachan liya. Jab tum ne aysa kiya tum nispaksh zameen chod diye the, aur tum kabhi uspar waapas nahin jaaoge. Agar tum us Swami ko chod do jiska sewa karna ka vaada kiya tha, tab woh shaetaan ka behkaawa hoga, aur tum uska kaha maanoge aur uska sewak banoge’” (in Teachings of Presidents of the Church: Joseph Smith [2007], 324).

  11. Neal A. Maxwell, “All Hell Is Moved” (Brigham Young University devotional, Nov. 8, 1977), 3; speeches.byu.edu.

  12. Matthew 5:44.

  13. Teachings of Presidents of the Church: John Taylor (2001), 83; Doctrine and Covenants 135:3 bhi dekhiye.

  14. Dekhiye Richard N. Ostling, “Challenging Mormonism’s Roots,” Time, May 20, 1985, 44.

  15. Dekhiye Ostling, “Challenging Mormonism’s Roots,” 44; Gordon B. Hinckley, “Lord, Increase Our Faith,” Ensign, Nov. 1987, 52; Neil L. Andersen, “Trial of Your Faith,” Ensign or Liahona, Nov. 2012, 41 bhi dekhiye.

  16. Dekhiye Richard E. Turley Jr., Victims: The LDS Church and the Mark Hofmann Case (1992).

  17. Russell M. Nelson, “Truth—and More,Ensign, Jan. 1986, 71.

  18. “Teen Gawahon ki Saakshi,” Mormon Dharamshaastra.

  19. Dekhiye Joseph Smith—History 1:71, note; Doctrine and Covenants 76:23 bhi dekhiye.

  20. Matthew 7:18, 20.

  21. Pradhaan Henry B. Eyring, jab un sandehon ke baare mein bol raha tha, ne kaha: “Unke prati tumhare prem ke kaaran shaayad tum unhe woh de doge jo woh chahate hai. Tum shaayad bahak jaaoge unke sandehon mein unka saath dene mein, is aasha ke saath ki tumhe koi vajah milegi unke sandehon ko door karne ke liye. Jo log sandeh karte hai aksar un cheezon ki baate karna chahate hai jo unhe unke sandeh ka sach ya daleel lagta hai, aur kitna unhein dukh lagta hai uske kaaran. …“Tum aur mai bahut behtar karenge agar hum der tak apne chaatron ke saath na tike rahe unke sandehon ka kaaran jaanne ke liye. … Unka samasya usmein nahin jo woh sochte hai woh dekh sakte hai; woh usmein hai jo woh abhi dekh nahin sakte. … Hum behtar karte hai jab hum baatcheet ko jald hriday se jude cheezon ki or mod dete hai, hriday ke woh badlaao jo dhaarmik aankhon ko kholtein hai” (“‘And Thus We See’: Helping a Student in a Moment of Doubt” [address to Church Educational System religious educators, Feb. . … 5, 1993], 3,4; si.lds.org).

  22. Pradhaan Gordon B. Hinckley ne kaha: “Kayi saal pehle jab barah varsh ki umra mein mai deacon bana tha, mere pita, jo hamare stake ke pradhaan the, mujhe mere pehle stake purohiti sabha mein le gaya. … [Shuruaat prarthna tha “Praise to the Man.”] Woh Bhavishyevakta Joseph Smith ke baare mein gaa rahe the, aur use sunkar mere hriday mein bahut saara prem aur vishwaas umad aaya is yug ke Bhavishyevakta ke liye. … Tab mai jaan gaya, Pavitra Aatma ki shakti ke dwara, ki Joseph Smith sach mein Parmeshwar ke ek bhavishyevakta the” (“Praise to the Man,” Ensign, Aug. 1983, 2; Tambuli, Jan. 1984, 1, 2).

  23. Thomas S. Monson, “As We Gather Once Again,” Ensign or Liahona, May 2012, 4.

  24. “Praise to the Man,” Hymns, no. 27.