2010-2019
Upwaas ka Niyam: Ek Vyaktigat Zimmedari Gareeb aur Zarooratmand ki Dekhbhaal ke Liye
October 2014


Upwaas ka Niyam: Ek Vyaktigat Zimmedari Gareeb aur Zarooratmand ki Dekhbhaal ke Liye

Uddhaarkarta ke chelon ke tarah, hume bhi vyaktigat zimmedari di gayi hai gareeb aur zarooratmandon ki sewa karne ka.

Mere pyaare bhaaiyon, main purohiti ko pasand karta hoon, aur main tumhare saath hone mein khush hoon. Main bahut abhari hoon ki hum is mahaan kaarye mein saath kaam kar saktein hain.

Hum prabhaaoshaali samay par rahete hain. Chamatkaari chikitsa, vigyaan, aur tekonolgy ki unnati ne kai logon ke jiwan mein sudhaar laya hai.Phirbhi yaha par bahut insaan ko jhelne aur kasht uthane ki bhi gawah hai. Yudh aur yudh ke afwaaon ke saath saath, prakritik apattiyon mein badhanti—baadh, aag, bhookam, aur bimaariyon ke saath—duniyabhar ke miliyaon ke jiwan mein prabhaao daal raha hai.

Girjaghar ke netaen Parmeshwar ke bachchon ki achchaai ke liye sabhi sthaan par dekhbhaal kar rahein hain aur saaodhaan hain. Jab aur jaha par ho sake, Girjaghar aapat saadhanon ko jinhe zaroorat hai unhe diya jata hai. Uddhaaran mein, pichle November, Philippines ke duwip desh mein Typhoon Haiyan ne pahaar kiya tha.

Ek 5 Darje ka mahaan tyhoon, Haiyan ne bahut chati aur peeda pahuchaya tha.Pure shaheren nasht ho gaye the; kai mar chuke the; milinoon se ghar barbaad ya nasht ho gaye the; aur mukyr sewaein jayse paani, naale, aur bijali bandh ho chuka tha.

Girjaghar saadhanein tofaan khatam hone ke baad turant hi ghanton mein uplabhd ho gaya tha. Philippines nein rehne waale girjaghar ke sadasyon ne apne bhaaiyon aur bahanon ko saath milkar madad kiya tha bhojan, paani, kapde, aur swaasthiye vigyaan cheezon ko girjaghar ke sadasyon aur gaer-sadasyon ko pradaan kiya tha.

Girjaghar shabhgharein jinke ghar nasht ho gaye the ke sahara dene ka sthaan ban gaya tha. Sthaan Adhyakshta aur sthaaniye purohiti ke netaoun ke netatav ke nirdeshan mein, kai jinhone sab kuch jo unke paas tha ko ho diya tha, raaye liya gaya ki sabhi sadasyon ke stithi aur surakhcha ke liye. Prerit yogna banaye gaye aur daesyon ko jine ke stithiyon aur aatam-nibharta ko swikaar karne ke liye dobara shuruwaat kiya gaya.

Saral saadhanein Girjaghar sadasyon ki madad ke liye pradaan kiya gaya unke lakadi ke fram ko bandhne aur gharon ko banane ke liye. Yah nuft mein nahi pradaan kiya gaya tha. Sadasyon ko sikhlaya gaya aur phir zaroorat ke karamchaari ki tarah khudh aur dusron ke liye pradaan kiye.

Parinaam ke taur par ek ashirwaad jo prapt hua tha ki sadasyon ne karpentar, palambar, aur dusre ghar banane waale kaaryon ko sikha tha, weh achche kaam ke aosaron ko dhoondh paye the jab nazdeek ke shaharon aur sangatonon mein ghar banana dobara shuru hua tha.

Gareeb aur zarooratmandon ka dekhbhaal karna susamachaar siddhaant ke ek mul hai aurmukti ki yogna ka ek khaas zaroorat.

Uske maranshil dekhrekh se pehle, Jehovah ne apne bhavishyevakta dwara batlaya: “Tere desh mein daridar to sada paaye jaenge; isliye main tujhe yah aagya deta hoon, ki to apne desh mein apne deen daridar bhaaiyon ko apna haath dhila karke awashye daan dena.”1

Humare dinon mein, gareeb aur zarooratmandon ki dekhbhaal karna Girjaghar zimmedaariyon mein chaar mein se ek diviye niyukti mein se hai jo vyaktigat aur parivaaron ko mukti ke liye laayak rehne mein madad karta hai.2

Greeb aur zarooratmandon ki dekhbhaal karna mukti ke dono shansaarik aur dharmik kaarye mein hain.Is mein vyaktigat Girjaghar ke sadasye ki sewa shaamil hai jabki weh khud hi gareeb aur zarooratmandon ki dekhbhaal vyaktigat rup se kartein hain, Girjaghar kalyaan bhi sahi tarah se karta hai, jo purohiti adhikaar dwara dekhbhaal kiya jata hai.

Prabhu ke yogna ka ek zaroori bhaag hai gareeb aur zarooratmandon ki dekhbhaal karna upwaas ki niyam mein. “Prabhu ne upwaas ka niyam banaya hai aur upwaas bhent se Apne logon ko ashirwaad dene ke liye aur ek tarika jisse weh zarooratmandon ki sewa kar saktein hain.”3

Uddhaarkarta ke chelon ke tarah, hume bhi vyaktigat zimmedari di gayi hai gareeb aur zarooratmandon ki sewa karne ka. Girjaghar ke vishwaasi sadasye sabhi sthaan par har mahine upwaas kartein hain—24 ghanton tak bhojan aur paani nahi khana ya pina—aur phir Girjaghar ko wah upwaas ke samay bhojan ko karne waale keemat ke barabar upwaas bhent ko dena.

Isaiah ke shabdon ko sabhi gharon mein prarthnashilta se dekhna aur sikhlana chahiye:

“Jis upwaas se main pasand hota hoon, wah yah kya nahi hai? ki annaye se banaye huedason, andhera sahanewaalon ka jua todkar unko chuda lena, aur sab juaon ko tukade-tukade kar dena?

“Kya wah yah nahi hai ki apni roti ko bhukhe ko baat dena, anaath aur maare-maare firtey huon ko apne ghar le aana? kisi ko nanga dekh kar, wastar pahanana; aur apne jaatibhaaiyon se apne ko na chipana?”4

Isaiah ne phir Prabhu ke diye hue aschariye ashirwaadon ke vaadon ki suchi mein aage badha unke liye jo upwaas ke niyam ko nibhaatein hain. Usne kaha:

“Tab tera prakaash pao ke fatne ke samaan chamkega, aur tu shidh changa ho jayega: tera dharam tere aage age chalega; Prabhu ka tej tere piche raksha karte chalega.

“Tab tu pukare aur Prabhu uttar dega; tu duhaai dega aur wah kahega, Main yaha hoon. …

“Udhaarta se bhukhe ki sahayata kare, aur deen dhukhiyon ko santusht kare; tab andhiyare mein tera prakaash chamkega, aur tera ghor andhikaar dopahar ka sa ungiyala ho jayega:

“Prabhu tujhe lagataar liye chalega, aur akaal ke samay tujhe madad karega.”5

Is dharamshaastra ke liye, Pradhaan Harold  B. Lee ne yah kaha: “Mahaan ashirwaad jo [upwaas rakhne] se prapt hota hai sabhi sadi mein saaf taur se batlaya gaya hain, aur yahan Prabhu apne mahaan bhavisyevakta dwara batlatein hain kyo yaha upwaas hai, aur wah ashirwaad jo upwaas ko rakhne se prapt hota hai. … Agar tum Isaiah ke kitaab ki 58th adhyaye ko vishleshan karte ho tum waja jaanoge ki kyo Prabhu chahatein hain ki hum upwaas bhent ko bhare, kyo Wah chahata hai ki hum upwaas karein. Kyunki hume yaha karne se hum pukaarenge aur Prabhu jawaab dega. Hum prarthna karenge aur Prabhu kahega, ‘Yaha main hoon.’”

Pradhaan Lee aage kehte hai; “Kya tum kabhi us stithi mein hona chahate ho jaha hum pukaarein aur Prabhu jawaab na de? Hum musibaton mein prarthna karenge aur Wah humare saath nahi hoga? Mujhe lagta hai ki ab wah samay ah gaya hai jab hum is mul par vichaar karenge kyunki issi prakaar ke din honge ane waale jiwan mein, jab hume aur zyaada Prabhu ki ashirwaad ki zaroorat hogi, jab dharti par vichaar ka sahi ko padega.”6

Humare pyaare bhavishyevakta, Pradhaan Thomas S. Monson, ne in siddhaanton par apni gawahi ko diya hai—ek vyaktigat rup se anubhao kiya gaya hua gawahi. Usne kaha: “Girjaghar ke sabhi sadasye jinhone un zarooratmandon ki madad kiya hai anubhao ko kabhi nahi bhoolenge ya pastawa hoga. Mehanat, saaodhaani, aatam-nibharta, aur dusron ke saath baatna humare liye koi naya baat nahi hai.”7

Bhaaiyon, Ishu Maseeh ka Girjaghar Antim-din Santon ka ke sadasyon vaadon ko banane waale aur aagyaon ka paalan karne waale log hain. Main kisi bhi niyam, kisi aagya ko nahi jaanta, jo, agar sahi dhang se kiya gaya, saral hai karna aur jo upwaas ke niyam se zyaada ashirwaad ko deta hai. Jab hum upwaas rakhtein hain aur sachche upwaas bhent ko bhartein hain, hum Prabhu ke bhandaar mein us samay ke bhojan ke keemat ko detein hain. Yah zaroori nahi hai ki payese ka balidaan us samay ke kharch se zyaada ka ho. Usi samay, hume aur zyaada ashirwaad milne ko vaada kiya gaya hai jyesa pahale batlaya gaya tha.

Upwaas ka niyam sabhi Girjaghar ke sadasyon par laago hota hai. Jawaan bachchon ko bhi upwaas karna sikhlaya ja sakta hai, ek samay ka bhojan aur phir baad mein do se shuruwaat kiya ja sakta hai, jab ki weh upwaas ke niyam ko samajhte aur sharirik rup se kar saktein hain. Patiyon aur patniyon, yuva, aur bachchon ko prarthna ke saath shuruwaat karna chahiye, apne jiwan mein ashirwaad ko prapt karne ke liye dena chahiye jab ki Prabhu ke ashirwaad aur upwaas ke samay shakti ko dhoondhte ho. Upwaas ka niyam us samay pura hota hai jab upwaas bhent ko Prabhu ke abhikarta, bishop ko bhara jata hai.

Bishops, tum ward mein kalyaan maarg diklate ho. Tumeh gareeb ke liye diviye dhoondhane ko aur dekhbhaal karne ka. Sahayak Sanstha pradhaan aur Melchizedek Purohiti parishad netaon ki madad se, tumhara kaarye hai ki sadasyon ko madad karo unko madad mile aur aatam-nibhar banne. Tumhe sadasyon ka sharirk aur dhaarmik zarooraton ka dekhbhaal karna hai upwaas bhent ko saaodhaani se istamaal karke sharirik madad ki tarah aur prashaarit parivaaron aur sangaton saadhanon ko pradaan karne.Jab tum purohitit ke chaabiyon ko prarthnashilta se karoge, aur gareeb aur zarooratmandon ki madad vivek tarah se karoge, tum yah jaanoge ki upwaas bhent ka sahi istamaal jiwan mein madad karne ke liye hai, naaki jiwan shaali ke.

Aaronic Purohiti parishad pradhaanein, tumhare paas chaabiyan hai aur bahari siddhaanton ko dekhrekh karne ki shakti hai. Tum bishop aur parishad sadasyon ko unke purohiti ke kaarye ke liye aagya dete ho aur phir Girjaghr ke sadasyon ko dhoondhatey ho upwaas ka aosar mein shaamil hone ke liye. Jab ki tum Aaronic Purohiti ko rakhne waale apne purohiti zimmedariyon ko badhatein hai aur sabhi Girjaghar ke sadasyon ko yah aosar pradaan kartein hain, tum turant hi upwaas ke vaada bhare ashirwaadon ko unko batlaao jinhein sab se zyaada zaroorat hai. Tum yah gawahi doge ki greeb aur zarooratmandon ki dekhbhaal karne ki aatma ke paas kathor hriday ko komal banane ki shakti hai aur un logon ki madad karne ke jo humesha Girjaghar aatein hain.

Pradhaan Monson ne batlaya hai, “Jo bishop apne Aaronic Purohiti parishad ko upwaas bhent ko batorne mein shaamil hone ke liye sangatith kartein hain is pavitra zimmedari mein bahut safalta prapt karenge.”8

Bishops, yaad rakho ki yah stithi alag ho sakta hai ek sthaan se dusre aur ek desh se dusre mein. Darwaze par ja kar Aaronic Purohiti parishad sadasyon ko payese batorne ka kaam shaayad waha nahi hota ho jaha tum rehte hoge. Phirbhi, hum tumhe prarthnashilta se bhavishyevakta ki salaah ko karne ko amantirith kartein hain aur un prerit bhare kaaryon ko dhoondho jaha tumhare ward ke Aaronic Purohiti rakhne waale apne purohiti ko badha saktein hain upwaas bhent ko batorne ke kaam mein shaamil hokar.

3  Nephi ke 27 adhyaye mein, phir prakat hue Prabhu ne pucha, “Isliye tumhe kis tarah ka vyakti hona chahiye?” Usne jawaab diya, “Meri tarah.”9 Jab hum apne upar Maseeh ke naam ko letein hain aur Uske piche chale ki koshish kartein hain, hum Uske parchaai ko dekhenge aur Ussi ki tarah bannege. Uddhaarta ke dekhbhaal ke samay se gareeb aur zarooratmandon ki dekhbhaal hota chala aaya hai. Yah sabhi kuch mein hai jo Wah karta hai. Wah hum sab ke paas aata aur humein madad karta hai. Uska kaarye asaan hai, aur Uska bhoj halka. Main tum sab ko Uddhaarkarta ki tarah banne ko batlata hoon gareeb aur zarooratmandon ki dekhbhaal karke, upwaas ke niyam ko puri tarah se nabha kar, aur puri upwaas bhent ko bhar kar. Main yah vimanrata se gawahi deta hoon ki gareeb aur zarooratmandon ki dekhbhaal ko achchie tarah se karne se dhaarmik awadhi ki parchaai dikhta hai aur dono dene waale aur prapt karne waale ko ashirwaad prapt hoga. Ishu Maseeh ke naam se, amen.

Vivran

  1. Deuteronomy 15:11.

  2. Dekhiye Handbook 2: Administering the Church (2010), 2.2.

  3. Handbook 2, 6.1.2.

  4. Isaiah 58:6–7.

  5. Isaiah 58:8–11.

  6. Harold B. Lee, “Listen, and Obey” (Welfare Agricultural Meeting, Apr. 3, 1971), copy of typescript, 14, Church History Library, Salt Lake City.

  7. Thomas S. Monson, “Are We Prepared?” Ensign ya Liahona, Sept. 2014, 4.

  8. Thomas S. Monson, in a meeting with the Presiding Bishopric, Feb. 28, 2014.

  9. 3 Nephi 27:27.