2010-2019
Tum Kis Taraf Ho?
October 2014


Tum Kis Taraf Ho?

Parmeshwar ko khush karne se pehle dusron ko khush karte hue woh ek aur dusri aagyaon ko ulta kiya jata hai.

“Tum kis tarah ho?” Pradhaan Boyd K. Packer ne mujhe is pechida sawaal ke sathaschriye mein dala jab hum apne pehle kaarye ke liye saath ja rahe the naye Sattar ki tarah. Bina hi samjhaaye swaal ko stithi dekh kar pucha, Main achambe mein padh gaya. “Ek Sattar,” wah aage bola, “bhavishyevakta se baatein kar raha tha sabhi sadasyon ki oar se parantu wah bhavishyevaktaon ke shabdon ko sadasyon ko batla rahe the. Kabhi na bhulo tum kis tarah ho!” Yah ek shaktibhara shikshan hai.

Parmeshwar ko khush karne se pehle dusron ko khush karte hue woh ek aur dusri aagyaon ko ulta kiya jata hai (dekhiye Matthew 22:37–39). Hum bhul jaatein hai ki hum kis tarah hain. Aur phirbhi, hum sab ne wah galti ko kiya hai kyunki insaan se darten hain. Isaiah mein Prabhu ne hume chetaaoni diya hai, “Tum na to manushye ke tiraskaar se aur na hi unke apshabdon se daro” (Isaiah 51:7;  2 Nephi 8:7bhi dekhiye). Lehi ke sapne mein, yah dar dusre logon ko mahaan aur khule imaarat se ungali ko utane se shuruwaat kiya gaya tha, kai ko bhulate hue ki weh kis tarah the aur ped ko chod diya “lajjit hokar” (dekhiye 1 Nephi 8:25–28).

Dusre logon ke prabhao mein aakar log dhang badal detein hain, agar chaalchalan nahi, ek ko nikar karne ke zimmedar bana kar. Hum jo ungali utatein hain ke liye izzat bhare sah-hastitav ko dhoondhtein hain, magar jab insaani dar hume paap se chama karta hai, yah ek “fanda” ban jaata hai Proverbs ki kitaab mein likhe ki tarah (dekhiye Proverbs 29:25). Yah fanda chalaaki se humare dayaluta ki oar badhta hai, taaki Parmeshwar jo pasand nahi karta ya chahat usi kaarye ko karein. Kamzor vishwaasi ke liye, yah ek mahaan rukaawat ki tarah hai. Uddhaaran mein, kuch praarchaarakhen is insaani dar ko apne saath mission ke sewa mein le jatein hain aur apne saathi ke galat harkaton ko apne mission pradhaan se nahi batlatin hain kyunki weh apne saathiyon ke saath dhoka nahi karna chahate. Chaalchan ka parinaam sahi dhang se pehle aur dusre aagyaon yaad karne se hota hai (dekhiye Matthew 22:37–39). Jab yeh achambe mein pade prachaarakhen Parmeshwar ke khilaaf hone ko jaante hain aur apne saathi ko nahi, unhein himmat se apne dhyaan ko badalna chahiye.

22 ki yuva bhare umar mein, jab Joseph Smith bhool gaya tha ki kis tarah kare tab usne Prabhu manaya tha Martin Harris ko 116 dharamshaastra ke panon ko udhaar dene ke liye. Shaayad Joseph Martin Harris ko uski madad ka abhari hona dikhlana chahata tha. Hum jaantein hain ki Joseph bahut hi utsukh tha dusre gawahi kartaon ko uske khilaaf jhute mute baaaton ko faelne se bachaane ki madad ke liye.

Chaahe kuch bhi Joseph ka kaaran ho, ya kitne bhi kaaran ho, Prabhu ne unhein maaf nahi kiya aur us par rokh laga diya: “Kitni baar tumne galti kiya hai  … aur apne aap ko insaan ke mat kiya hai, Isliye, dekho, tumhe Pareshwar se zyaada insaan se darna nahi chahiye” (D&C 3:6–7; zor diya gaya). Is dukhit anubhao ne Joseph ko yah yaad rakhne mein madad kiya tha, humesha ke liye, kis tarah wah tha.

Jab insaan dusre insaan se achcha rishtarakhne ki koshish kartein hai, weh Parmeshwar se vishwaas ko kho saktein hai. Yah sochte hue ki ek insaan Parmeshwar ko khush kar sakta hai aur usi samay isaan ki aagyakaari na hone par bhi unke taraf ho sakta hai parantu chal ya sachcha insaan nahi ya “do swamiyon ka ek saath sewa” karna chahata hai (Matthew 6:24; 3 Nephi 13:24).

Jabki khatre ko jhelna himmat ki baat hai, sachcha himmat ka chinn insaani dar par jeet raha hai. Uddhaaran mein Daniel ki prarthna ne use sher se jhelne ki madad kiya tha, parantu use Raja Darius ko lalkaarne mein himmat kis ne diya tha (dekhiye Daniel 6). Us tarah ki himmat Aatma ka uphaar hai jo Parmeshwar se dartein hain jisne apne prarthnaon ko kiya hai. Rani Esther ke prarthna ne use wahi himmat diya tha uske pati se saamna karne mein, Raja Ahasuerus, jaanta tha ki yah karne se uske apni jiwan mein khatra hoga (dekhiye  Esther 4:8–16).

Himmat hi ek gun ka mulye nahi hai, parantu jayesa C. S. Lewis ne dekha tha: “Himmat hai …sabhi gun ka parikchan ke samay. …Pilate daya se bhara hua tha jabtak ki daya karne se khatre mein nahi pada.”1 Raja Herod dukh mein tha John jo Baptisma dene waala tha ko nikaalne ke aagre par parantu pasand karna chahata tha “baitne waalon ke sang” (Matthew 14:9). Raja Noah Abinadi ko azaad karne ke liye taeyaar tha jabtak ki uske dusht paadiriyon ne us par duwidha ke dabaao ko dala tha (dekhiye Mosiah 17:11–12). Raja Saul ne Prabhu ke baaton ko nahi sunna tha ladaaiyon ko karwaya tha kyunki wah “logon bhaye mana, aur unki baaton ko sunna” (1 Samuel 15:24). Mount Sinai ke niche vidhrodi Israel ko shaant karne ke liye, Aaron ne sone ke gaaye ko banaya, bhooolte hue ki use kis tarah karna tha (dekhiye Exodus 32). Kai Naye Niyan ke mukhye netaaein “vishwaas kiya [Prabhu] par; Parnatu Phariseeyon ke kaaran prakat mein nahi maante the kahi ayesa na ho ki weh araadhnalaye mein nikaale jaaye: Kyunki manushyon ki oar se prasansha unko Parmeshwar ki oar se prasansha ki apeksha adhik priye lagti thi” (John 12:42–43). Dharamshaastra mein is tarah ke uddhaaran bhare hue hain.

Ab kuch prerit bhare uddhaaran ko sunno:

  • Pehla, Mormon: “Sunno, Main nidarta se kehta hoon, Parmeshwar se aagya lene se; aur main darta nahi ki insaan kya kar sakte hai; sachcha prem har dar ko bhaga deta hai” (Moroni 8:16; zor diya gaya).

  • Nephi: “Isliye, sansaar ko pasand karne waali baaton ko main nahi likhta, lekin jo baatein sansaarik nahi hai, aur jo Parmeshwar ko pasand karne waali baatein hain, unko main likh raha hoon” (1 Nephi 6:5).

  • Captain Moroni: “Sunno, main tumhara pradhaan senapati Moroni hoon. Main shakti ko nahi khojta usedhona chahata hoon. Main sansaarik izzat nahi dhoondhata parantu main apni Parmeshwar ka izzat, apne desh ki swatantrata aur bhalaai chahata hoon” (Alma 60:36).

Moroni ke paas bahut himmat tha yah jaane ke liye ki wah kis taraf tha, ki usne yah kaha, “Agar ateeth aur vartamaan mein sabhi log Moroni jaese hote aur bhavishye mein usi ki tarah loh hote, tab sunno, adholog ki shakti hi sadeo ke liye nasht ho jaati; aur maanao vash ke hridayon par shaitaan ka kabhi bhi koi adhikaar nahi ho pata” (Alma 48:17).

Itihaas bhar mein bhavishyevaktaaoun ki ninda ki gayi hai. Kyo? Dharamshaastra mein, yah hai kyunki “apradhi sachchaai ko katorta maante hai, do tukdon mein karne jesa aadhaat pahunchaati hai” (1 Nephi 16:2), jaise Pradhaan Harold B. Lee ne dekha, “Logon ko sachchaai bura lagta hai!”2 Unke ninda bhare kaarye hai, sahi mein, galti jo khudh ko sahi lage, Korihor ki tarah jisne ant mein maan gaya, “Main jaanta tha ki ek Parmeshwar hai” (Alma 30:52). Korihor jhut bolne mein itna mahir tha ki usne apne khudh hi ke jhut ko vishwash kiya (dekhiye Alma 30:53).

Nintaatmak humesha bhvishyevktaoun ki khilli udaatein hain ki naye zamane ke nahi hai ya kattar hain. Weh Girjaghar ko vishwaas dilate aur un par dabaao dalte hain Parmeshwar ke star ko kam karne ke liye apne khud ke chaalchan ki barabari tak, jo Elder Neal A. Maxwell ke shabdon mein, “khud ko satusht karega, aatam-sudhaar dhoondhane ke bawajood”3  aur paschaataap nahi. Prabhu ke star ko sanstha ke chaalchan tak karna sidhaant chodhna hai. Nephites ke beech kai girjagharein, Uddhaarkarta ko unko bhent ke do sadiyon ke baad, siddhaant ko “saral” karna shuruwaat kiya, Elder Holland ke kahawat ko udhaar maange kar.4

Jab tum 4 Nephi ke is bhaag se suntein ko, humare dinon ke tulna ko dekho: “Aur ayesa hua ki do sao daswa warsh smaapt hote-hote desh mein kai girje ho gaye; ha, bahout se girje Maseeh ko jaanne ka dhong kartey hue uske injil ke adhikaash bhaag ko is kaaran karne lage, yaha tak ki unmein har prakaar ki buraaiyon ah gayi aur ayesi kariyaon karne lage jo ki unke liye anuchit hone ke karan wachit thi parantu un logon ke liye pavitra ho gayi” (4 Nephi 1:27).

Usi tarah ka kaarye aaj Antim dinon mein ho raha hai! Kuch sadasye yah nahi jaan rahein hain ki weh bhi ussi fande mein fas rahein hain jab weh prabhaao daalna chahate hai sthaaniye ya ‘pitaon ke parampara” (D&C 93:39) ko apnatey hain jo susamachaar ke parampara se mel nahi khata Abhi log, khud-jhut bolte hain aur khud ko nikaar detein hain, bishop se guzaarish ya chahatein hain ki mandir ke sifaarish ke star ko kam karein, skool pushti, ya praarchaarak ke arzi mein. Is tarah ke dabaao mein bishop hina asaan nahi hai. Phirbhi, Uddhaarkarta ki tarah jisne mandir jo saaf kiya tha uske pavitrata ke liye (dekhiye John 2:15–16), aaj ke bishop ko mandir ke star ko puri tarah se bachaane ko batllaya gaya hai. Wah Udddhaarkarta tha jisne kaha, “Main apne aap ko apne logon ke liye daya  … agar mere log mere vaade ko pura karenge, aur is pavitra ghar ko maela nahi karenge” (D&C 110:7–8).

Uddhaarkarta, humare mahaan Uddhaaran, humesha Apne Pita par dhyaan diya. Usne Apne logon se prem aur sewa kiya parantu kaha, “Maine logon se izzat nahi paya” (John 5:41). Jinhein Wah sikhlata tha Wah chahata tha ki Uske piche chalein, parantu Usne unke hit mein nahi dhoondha. Jab dayaluta ke kaarye ko karta tha, jaese bimaaro ko dheek karna, uphaar humesha aadar se aaya ki “kisi insaan ko nahi batlaao” (Matthew 8:4; Mark 7:36; Luke 5:14; 8:56). Bhaag mein, yah sahi ko chupaane ka tha jo Uske piche aaya tha Uske bal ko rokhne ke bawaajood (dekhiye Matthew 4:24). Usne Pharisees ko accha kaarye karne ke liye ko bura bhala kaha taaki sirf insaan use jaane (dekhiye Matthew 6:5).

Uddhaarkarta, sirf ek hi sachcha insaan jo jiya tha, sab se nidar tha. Uske jiwan mein, Us par kai ilzaam lagaye gaye parantu unke ungali utaane par kabhi faeda nahi utaya. Wah hi sirf woh insaan hai jo kabhi nahi bula tha kis tarah karna hai: “Main humesha wah karta hoon jo [Pita] ko pasand hai” (John 8:29; zor diya gaya), aur “Main apneaap se kuch nahi kar sakta, parantu apne bhejne waale ki ichcha chahata hoon” (John 5:30).

3 Nephi 11adhyaye aur 3 Nephi 28 adhyaye ke beech, Uddhaarkarta ne shirshak Pita ko lagbhag 163 samay par istamaal kiya hoga, Nephites ko saaf taur se batlatey hue ki Wah waha par Apne Pita ko prastuth karne ke liye tha. Aur John 14 adhyaye se  17 tak, Uddhaarkarta ne lagbhag 50 samay par Pita ke baare mein batlaya hoga. Sabhi stithiyon mein, Wah Apne Pita ka sachcha chela tha. Wah Apne Pita ko prastuth karne mein bilkul sachcha tha, ki Uddhaarkarta ko jaanna Pita ko bhi jaane jaesa hai. Putra ko dekhna Pita ko dekhne jaesa hai (dekhiye John 14:9). Putra ko sunna Pita ko sunne jayesa hai (dekhiye John 5:36). Woh Apne Pita ke jaesa ban gaya tha. Pita Us mein hai aur Woh Pita mein ek hai (dekhiye John 17:21–22). Wah sahi tarah se jaanta tha Use kis tarah karan tha.

Uske prerit bhare uddhaaran humein shakti de jhut ke chungal se bachne mein dusron se ya khud ke ghamand se. Main asha karta hoon ki Uske uddharan se hume himmat milega darenge nahi ya un ko khush nahi karenge jo hume darayenge. Main asha karta hoon ki Uske uddhaaran se hum prerit honge sachche karam karne mein jitna bhi ho gumnaam rup se, aur “insaan se izzat nahi chahenge” (D&C 121:35). Aur main asha karta hoon ki Uska anokha uddhaaran hume humesha madad kare yaad rakhne mein jo “pehla aur mahaan aagya hai” ko ” (Matthew 22:38).Jab dusre Parmeshwar ke aagyaon ka anaadar karne ke liye ijaazat ko chahatein hain, main asha karta hoon ki hum humesha yaaad karein ki kis ke chelein hum hain, aur kis taraf hum kartein hain, mera prarthna hai Ishu Maseeh ke naam se, amen.

Vivran

  1. C. S. Lewis, The Screwtape Letters, rev. ed. (1982), 137–38.

  2. Harold B. Lee, in Mine Errand from the Lord: Selections from the Sermons and Writings of Boyd K. Packer (2008), 356.

  3. Neal A. Maxwell, “Repentance,” Ensign, Nov. 1991, 32.

  4. Jeffrey R. Holland, “The Call to Be Christlike,” Ensign, June 2014, 33; Liahona, June 2014, 35.