Maha Sammelan
Chalo Achchaai ko Apna Saadhaaran Banae
October 2022 maha sammelan


Chalo Achchaai ko Apna Saadhaaran Banae

Yadi ham bhalai karne mein drdh aur achal hain, to hamare reeti-rivaaj hamen vachan ke maarg par bane rahane mein madad karenge.

Hum Girjaghar me apan kartavvyon ke liye hamesha aabhaari rahega, jisse hamme vibhinn desho me jaa ke rehne ka maoka mila. Humne in desho me se har ek me ek mahaan vividhta aur vibhinn reeti-riwaajo aur paramparaaon waale asaadharan logon ko paaya.

Hum log sab ke reeti-riwaaj aur paramparaaen niji hai, hamare parivaar se hai, ya us samudaae se aati hai jisme hum rehte hain, aur hum un sabhi ko banae rakhne ki aasha karte hai jo susamachaar ke siddhaanton ke rup me anuroop hai. Vachaano ke maarg pe tike rehne ke hamare prayaason ke liye reeti-riwajo aur paramparaaon ko sampaadit karna avashyak hai, aur jo ek baadha hai, unhe hamein aswikaar kar dena chahiye.

Ek pratha kisi vyakti, sanskriti, ya parampara ke liye sochne ka abhyaas ya lagataar karne aur aadat padhne ka tarika hai. Aksar, hum jo sochte hai aur aadat ho jaane ke tarike se karte hain hum use saadhaaran ke roop me pehchaante hai.

Hamme ih spasht kare ke anumati dein: Meri pyaari patni, Patricia, ko naariyal paani peena aur fir naariyal khaana pasand hai. Puebla, Mexico ki hamari pehli yaatra ke daoraan, hum ek aysi jagah gaye jahaan hum ne ek naariyal khareeda. Paani peene ke baad, meri patni ne unse naariyal kaatne aur uska maas khaane ke liye laane ko kaha. Jab woh aaya, tab woh laal rang ka tha. Unhonne uspe mircha chidhak diya tha! Mircha ke saath meetha naariyal! Yeh hamein bahut ajeeb laga. Lekin baad me hamein pata chala ki ajeeb meri patni aur mai the, jo mircha ke saath naariyal nahi khaate the. Mexico me, haalaanki, yeh asaadharan nahi hai; yeh bilkul saadhaaran hai.

Ek aur maoke par hum kuch doston ke saath Brazil me khaana khaa rahe the, aur unhonne hamein avocado diya. Jaise hi hum us par namak chidakne waale the, hamare doston ne humse kaha, “Tum kya kar rahe ho!? Humne pehle se avocado pe cheeni daal di hai!” Cheeni ke saath avocado! Yeh hamein bahut ajeeb laga. Lekin tab hamein pata chala ki ajeeb meri patni aur mai the, jo cheeni ke saath avocado nahi khaate the. Par Brazil mein, avocado ke upar sugar chodna aam baat hai.

Kuch logon ke liye jo saadhaaran hai woh dusron ke liye ajeeb ho sakta hai, jo unke reeti-riwajo aur paramparaaon par nirbhar karta hai.

Hamare jiwan me kaun se reeti-riwaaj aaur paramparaaen saadhaaran hai?

President Nelson ne kaha hai: “Aaj hum aksar ‘ek naye saadhaaran’ ke baare me sunte hain. Agar aap vaastao me ek naye saadhaaran ko apnaana chahate hai, toh mai aapko apne dil, dimaag aur aatma ko tezi se hamare Swargiye Pita aur Unke Putr, Ishu Masih ki or mudne ke liye amantrit karta hoon. Ise apnanaya saadhaaran samjoh” (“A New Normal,” Liahona, Nov. 2020, 118).

Yah nimantran sabhi ke liye hai. Yah koi maaine nahi raktha ki hum gareeb hai ya ameer, shikshit hai ya ashikshit, boodha ya jawan, bimaar ya sehadmand. Vah hamen apne jeevan mein “saadhaaran” cheezon ko covenants ke maarg par banae rakhne mein madat karne ke liye aamantrit karta hai.

Kisi bhi desh mein woh sab nahi hai jo achchha ya prashansniye hai. Isliye, jaisa ki Paul aur Profat Joseph Smith ne sikhaaya:

Agar vahan koi acchi, pyaari, acchi jaankari deni vali yah prashansa layak hogi tho, hum in cheezon ko dhundthe hai” (Articles of Faith 1:13).

“Agar koi bhi prashansa hai, tho in cheezon ke bhaare mein socho” (Philippians 4:8).

Yaad rakho ki yah ek updesh hai, na ki keval ek tippanee(commentary).

Mai chaahata hoon ki ham sabhi apne reeti-rivaajon par dhyaan dein aur kis tarah se ve hamaare parivaaron ko prabhaavit kar rahe hain.

Girjaghar ke sadasyon ke liye saadharan hone waalee adbhut aadaton mein ye chaar cheez hain:

  1. Khud se aur apne parivaar ke saath shaastra pado. Apan aatma Prabhu Ishu Masih ke paas rakhe ke liye, sabhi logo ki zimmedaari hai ki weh shastra seekhe. Maata-pitaaon ke zimmedaari hai ki weh apne bachcho ko shastra sikhaye (dekhiye Doctrine and Covenants 68:25; 93:40).

  2. Khud ki aur parivaar ke saath praathna. Uddharkarta hamesha aagya deta hai ki ham praathna karein (dekhiye Doctrine and Covenants 19:38). Praathna hamein apne Swargiye Pita ke saath Unke Putr, Ishu Masih ke naam par niji roop se baat karne ki anumati deti hai.

  3. Prabhubhoj sabha me har saptaah shaamil ho (dekhiye 3 Nephi 18:1–12; Moroni 6:5–6). Prabhubhoj(sacrament) hum lete hai Ishu Masih ko yaad karein. Is dharamvidhi(ordinance) me, Girjaghar ke sadasye apne vachano ko renew karte hai ki weh hamesha Uddharkarta ka naam lenge, use hamesha yaad karenge, aur unke aagyaon ka paalan karenge (dekhiye Doctrine and Covenants 20:77, 79

  4. Mandir aur parivaar ke itihaas ke kaam mein baar-baar bhaag lena. Yeh kaam ek zariya hai parivaaro ko ek saath anant jeevan ke liye jodne ka (dekhiye Doctrine and Covenants 128:15).

Ham kaisa mehsoos karte hai jab ham in chaar cheezon ke baare mein sunte hai? Kya woh hamare saadharan jiwan ka hissa hai?

Dher anye paramparaaen hain jo hamaare dwaara apnaai gayi saadhaaranta ka hissa ho sakte hai, is prakaar Parmeshwar ko hamaare jeevan mein prabal hone dete hai.

Ham kaise nirdhaarit kar sakte hain ki hamaare jeevan me aur hamaare parivaar me saadhaaran cheezein kya hongi? Shaastra me, ham ek mahaan uddhararan paate hai; Mosiah 5:15me, batlaata hai: “Mai chaahata hoon ki tum drdh aur achal raho, hamesha achchhe kaam karte raho.”

Mujhe yeh shabd bahut pyaare lagte hai, kyunki ham jaante hai ki jo cheezien hamaare jiwan mein saadhaaran ho jaati hain, wahi ham baar-baar dohraate hai. Agar ham bhalaee karne mein drdh aur achal hain, to hamaare reeti-rivaaj susamachaar ke siddhaanton ke anusaar honge aur weh hamein vachanon ke maarg par bane rehne mein madat karenge.

President Nelson ne bhi salaah di hai: “Roz pashchataap karne se apne naye saadharan ko apnae. Mann, vachan aur karm mein badkar shuddh hone ka prayaas karein. Dusro ki dekhrekh karo. Anant(eternal) drshtikon rakhein. Apne calling ko achchi tarah pura karein. Aur jo koi bhi chunautiyaan aaye, mere pyaare bhaiyo aur baheno, har din jiyo taaki tumapne banane waale se milne ke liye aur adhik taiyaar raho” (“A New Normal,” 118).

Ab na toh meri patni, Patricia, ke liye aur na toh mere liye mirch ke saath naariyal khaana koee ajeeb baat hai—vaastav mein, hamein yah pasand hai. Halaanki, swaad ki bhaavna ki tulna me unnat jiwan kuch adhik shresht hai; yah shirshak anantta(eternity) se sambandhit vishay hai.

Mai praathna karta hoon ki hamari saadharanta hamein “kabhi-na-khatm hone-waali khushi” ki us stithi ka anubhav karne ki anumati de sakti hai, jiski pratigya un logon se ki jaati hai jo Parmeshwar ki aagyaaon ko maante hai (Mosiah 2:41aur yeh karte hue, hum yeh keh sakte hai, “Aur aisa hua ki hum khush ho kar jeene lage” (2 Nephi 5:27).

Mere bhaaiyon aur bahanon, main un 15 logon ki gawahi deta hoon jinhen hum prophets, paegambar, aur praktikarta maante hai, jinme hamare pyaare profat President Russell M. Nelson bhi shaamil hai. Mai gawahi deta hoon ki hoon ki Ishu Masih ka Girjaghar Antim-dino ke Santo ka hi ek sachcha Girjaghar hai. Mai vishesh rup se Ishu Masih, hamare Rakshak aur Muktidaata ki gawahi deta hoon, Ishu Masih ke naam se, amen.