Maha Sammelan
Gareebo aur Sankatgrast Logon ki Madad Karna
October 2022 maha sammelan


Gareebo aur Sankatgrast Logon ki Madad Karna

Ishu Masih ka Girjaghar zarooratmando ki sewa karne ke liye pratibadh hai, aur yeh us prayaas me dusron ke saath sehyog karneke liye bhi pratibadh hai.

Bhaaiyo aur bahano, hamare priye President Russell M. Nelson ih sabha me thodi der me hum se baat karenge. Usne mujhe kaha pehla bhashankarta hone ke liye.

Mera vishay aaj is baat se sambandhit hai ki Ishu Masih ka Girjaghar Antim-dino ke Santo ka aur uske sadasye gareebo aur sankatgrast logon ke liye kya dete hai aur kya karte hai. Mai anye achche logon dwara bhi isi tarah dene ki baat karunga. Zarooratmando ko dena sabhi Abrahamic dharmo me aur anye me bhi ek siddhaant hai.

Kuch mahine pehle, Ishu Masih ka Girjaghar Antim-dino ke Santo ka ne pehli baar duniya bhar me hamare maanviye kaaryon ki seema ki suchna di.1 Duniya bhar ke 188 deshon me zarooratmand logon ke liye hamara 2021 ka kharch $906 million tha—lagbhag ek billion dollar. Iske alaawa, hamare sadasyon ne isi kaaran se 6 million ghante se adhik ke mehnat ko khud se diya.

Beshak, ye aakde hamare dene aur madad karne ki adhuri report hai. We niji sewaaon ko shaamik nahi karte hai jo hamare sadasye niji rup se dete hai kyunki we ek dusre ko bulaae gaye padon aur swanye ichchak sadasye-se-sadasye dewa me dekhrekh ke rup me karte hai. Aur hamari 2021 ki report me is baat ka koi ullekh nahi hai ki hamare sadasye anginit daan waale sangathano ke maadhyam se niji rup se kya karte hai jo aupchaarik rup se hamare Girjaghar se jude nahi hai. Hum inhi se shuru karega.

1831 me, punahsthaapit Girjaghar ke aayojan ke do saal se bhi kam samay ke baad, Prabhu ne Apne sadasyon ka maargdarshan karne ke liye yeh revelaishan diya aur, mujhe vishwaas hai, Unke sabhi bachche, duniya bhar me:

“Dekho, yeh baat nahi ki mai sab baato me aagya doon; kyunki jo sab vastuwo me viwash hai, woh aalsi toh hai, par budhimaan daas nahi; ….

“Mai yeh kehta hoon, aapko is achche kaarye mein chintit ho kar shaamil hona chahiye, aur kai cheez apne ichcha anusaar karna chahiye jo zyaada achchai laaye;

“Kyunki shakti unme hai, isliye woh khud ke liye kaarye karte hai. Aur jetna zyaada manushye achchaai karenge woh kisi bhi tarah apna inaam na khoenge.”2

Ek Devdut ke rup me 38 se zyaada saalon se, aur 30 se zyaada saal ke peshewar naukri me, maine sangathano aur vyaktiyon dwara kayi udaar prayaason ko dekha hai jo is revelaishan ko “ek achche kaaran” ke rup me varnit karte hai aur “bahut adhik dhaarmikta laane[aenge] ke liye.” Duniya bhar me, hamari apni seemaaon se pare aur mare saamaanye gyaan se pare aysi sewa ke anginit uddhaaran hai. Iske baare me sochte huwe, hum Mormon Dharamshaastr ke profat-raaja Benjamin ke yaad karta, jiske updesh me yeh anant sachchaai shaamil tha: “Jab tum apne saathiyon ki sewa me hote ho toh sirf apne Parmeshwar ki sewa me hote ho.”3

Hamare saathiyon ke liye bahut kalyaan aur maanviye sewa Ishu Masih ka Girjaghar Antim-dino ke Santo ka dwara sikhaaya aur abhyaas kiya jaata hai. Uddharan ke liye, hum har mahine ki pehli taareekh ko upwaas rakhte hai aur apni sabhaaon me zarooratmando ki madad karne ke liye kam se kam bina khaae huwe bhojan ke baraabar ka yogdaan karte hai. Girjaghar duniya bhar me maanviye aur anye sewaaon ke liye bhi bahut bada yogdaan deta hai.

Hamara Girjaghar seedhe taor par jo kuch bhi karta hai, uske baawajood duniya bhar me Parmeshwar ke bachcho ke liye adhikaansh maanviye sewa un logon aur sangathano dwara ki jaati hai jinka hamare Girjaghar se koi aupchaarik sambandh nahi hai. Jaisa ki hamare ek Devdut ne kaha: “Parmeshwar apne mahaan aur adbhut kaarye ki siddhi ke liye ek se adhik logon ka upyog kar raha hai. … Yeh kisi ek vyakti ke liye bahut vishaal, bahut kathin hai.”4 Punahsthaapit Girjaghar ke sadasyon ke rup me, hamein dusron ki sewa ke baare me adhik chaokanna aur abhaari rehne ki avashyakta hai.

Ishu Masih ka Girjaghar zarooratmando ki sewa karne ke liye pratibadh hai, aur yeh us prayaas me dusron ke saath sehyog karne ke liye bhi pratibadh hai. Hum ne haal hi me United Nations World Food Programme ko ek bada tohfa diya hai. Hamare maanaveey kaaryon ke kai dashakon mein, do sangathan pramukh sahayogee ke roop mein saamane aae hain:darjano deshon me Red Cross aur Red Crescent agenciyon ke saath pariyojinaaon ne prakritik aapdaaon(natural disasters) aur sangharshon ke daoraan Parmeshwar ke bachcho ko mahatwapurn raahat pradaan ki hai. Isi tarah, hamare paas Catholic Relief Sewaaon ke saath sahayta ka ek lamba record hai. In sangathano ne hamein vishwa-stariye raahat ke baare me bahut kuch sikhaaya hai.

Muslim Aid, Water for People, aur IsraAid anye sangathano ke saath bhi hum ne kuch hi naam rakhne ke liye upyogi sehyog kiya hai. Jabki har ek maanviye sangathan ke paas visheshgyaan ke apne chetr hai, hum Parmeshwar ke bachchon ke beech dukhon ko door karne ke saamaanye lakshye ko sheya karte hai. Yeh sab Uske bachchon ke liye Parmeshwar ke kaarye ka hissa hai.

Aaj ka revelaishan sikhaata hai ki hamara Rakshak, Ishu Masih,“sachchi jyoti hai jo sansaar me aane waale har ek manushye ko prakaashmaan karti hai.”5 Isi kaaran, Parmeshwar ke sabhi bachcho ko unke gyaan aur chamta ke anusaar Unki aur ek dusre ki sewa karne ke liye prakaashmaan kiya jaata hai.

Mormon Dharamshaastr sikhaati hai ki “har woh cheez jo bhalaai karne ke liye, aur Parmeshwar se pyaar karne aur Uski sewa karne ke liye amantrit aur lubhaati hai, woh Parmeshwar se prerit hai.”6

Jaari hai:

“Kyunki dekho, Masih ka Aatma har ek manushye ko diya jaata hai, ki woh bhalaai ko buraai me se jaan le; isliye, mai tumhe nyaaye karne ka maarg dikhaata hoon; kyunki jo wastu bhalaai karne aur Masih me vishwaas karne ke liye nimantrit karti hai, woh Masih ki saamarth aur wardaan ke dwara bheji jaati hai; …

“Aur ab, mere bhaaiyon tum us prakaash ko jaante ho jiske dwara tum nyaaye kar sakte ho, kaun sa prakaash Masih ka prakaash hai.”7

Yahan Parmeshwar ke bachchon ke kuch uddharan hai jo bhojan, chikitsa dekhbhaal aur shikshan ke pramukh chetron me Parmeshwar ke anye bachchon ki madad karte hai.

Das saal pehle, Kanhdari naam ke Sikh dampati jo United Arab Emirates me the, ne khud se ek badhiya koshish shuru kiya bhookhe logon ko khilaane ka. Guru Nanak Darbar Sikh mandir ke zariye, woh abhi 30,000 se zyaada shaakha haari bhojan har saptaah-anth un sabhi ko dete hai jo aate hai unke yahan, chaahe jo bhi dharm ya jaat ke ho. Dr. Kanhdari kehte hai, “Hum maante hai ki sabhi ek hai; hum ek Parmeshwar ke bachche hai, aur hum yahan maanav jaati ki sewa ke liye aate hai.”8

Zarooratmandon ke liye medical aur dental nigraani ek aur uddhaaran hai. Chicago me, mai ek Syrian-American critical care physician, Dr. Zaher Sahloul se mila. Woh MedGlobal ke sansthaapako me se ek hai, jo Syrian yudh jaise sankato me dusro ki madad karne ke liye apne samay, kaushal, gyaan, aur netritav ko apni ichcha se dene ke liye chikitsa peshewaron ka aayojan karta hai, jahan Dr. Sahloul ne naagriko ko chikitsa dekhbhaal dene me apni jaan jokhim me daal di thi. MedGlobal aur isi tarah ke sangathan (kayi Antim-din Sant peshewaro sahit) pradarshit karte hai ki Parmeshwar duniya bhar me gareebo ko avashyak raahat laane ke liye vishwaas ke peshewaro ko prerit kar rahe hai.9

Parmeshwar ke kayi niswaarth bachche duniya bhar me bhi sikhaane ke prayaaso me shaamil hai. Ek achcha uddharan, jo hamare maanviye prayaaso ke maadhyam se hamei jaana jaata hai, Mr. Gabriel ke naam se jaane jaane waale ek vyakti ki gatividhi hai, jo kayi maoko par vibhinn sangharsho se sharnaarthi raha hai. Unhonne haal hi me dekha ki Purvi Africa me saekdo hazaaro sharnaarthi bachcho ko apni aashaaon aur apne dimaag ko sakriye rakhne ke liye madad ki zaroorat hai. Unhonne sharnaarthi aabaadi me anye shikshako ko “tree schools” kaha, jahan bachcho ko ek pedh ki chaaya ke niche paath ke liye ikattha kiya gaya tha. Unhonne dusro ko sangathit karne ya nirdeshit karne ki prateeksha nahi ki, lekin vyaktigat rup se un koshishon ka netritav kiya jinhonne visthaapan ke tanaaopurn saalo ke daoraan hazaaro primary skool ke bachcho ko sikhaane ke aosar pradaan kiye hai.

Beshak, in teen uddhaarano ka matlab yeh nahi hai ki sangathano ya vyaktiyon dwara jo kuch bhi kaha ya kiya gaya hai woh achcha hai ya Parmeshwar ka hai. In uddhaarano se pata chalta hai ki Parmeshwar kayi sangathano aur vyaktiyon ko bahut prerit karta hai. Yeh yah bhi darshaata hai ki Ishu Masih ke punarsthaapit Girjaghar ke adhik sadasyon ko dusro dwara kiye gaye achche kaaryon ko pehchaanna chahiye aur iska samarthan karna chaahiye kyunki hamare paas aysa karne ka samay aur saadhan hai.

Girjaghar dwara samarthit sewa ke kuch uddhaaran yahan diye gaye hai aur jinhe hamare log aur sangathan bhi samay aur dhan ke vyaktigat daan ke saath samarthan karte hai.

Mai dhaarmik swatantrata se shuru karta hoon. Iske samarthan me hum apne hitton ko sewa karte hai, lekin anye dharmo ke hitton ki bhi. Jaisa ki hamare pehle President, Joseph Smith ne sikhaaya, “Hum Param Pita Parmeshwar ki bhakti ke swabhagya ka dawa karte hai, apne vichaar aur khayalat ke anusaar, aur sabhi manushya ko yah swabhagya dete hai ki vah jaha chahe, jaise chahe aur jise chahe unki bhakti kar sakte hai.”10

Punahsthaapit Girjaghar ke maanviye aur anye daan ke anye uddharan ko hamare sadasyon dwara apne ichcha se samarthit hai, hamare prasiddh skool, collej, aur universities aur hamare kam-gyaat lekin ab prakashit bade daan hai jo vinaash aur avayvastha se peedit logon ko raahat ke liye hai, bawandar aur bhukamp jaisi prkritik aapdaaon se.

Anye daan sambandhi gatividhiyaan jo hamare sadasye khud se diye daan aur prayaaso se samarthan karte hai, suchi me bahut adhik hai, lekin in kuch ka ullekh karne se unki vividhta aur mahatwa ka pata chalega:nasalwaad aur anye purva-grahon ka mukaabla karna, beemaariyon ko rokne aur theek ke tarike par shodh karna, viklaango ki madad karna, samarthan karna sangeet aur museum sangathan, aur sabhi ke liye naetik aur bhaotik vaataavaan me sudhaar.

Ishu Masih ka Girjaghar Antim-dino ke Santo ke sabhi maanviye koshish Mormon ki Dharamshaastr me likhi dharmi logon ke uddhaaran ka anusaran karne ka prayaas karte hai: “Aur is prakaar, apni zyaada ke samay me, unhone kisi bhi vyakti ko nahi bheja jo nanga tha, ya jo bhukha, ya jo pyaasa, ya jo beemaar tha, … aur woh … sabhi ke liye udaar the, dono bhudhe aur jawaan, dono bandi aur aazaar, dono purush aur mahila, chaahe girjaghar se baahar ho ya girjaghar me.”11

Main Ishu Masih kee gawahi deta hoon, jiska prakaash aur Aatma duniya bhar mein gareebon aur sankatagrast logon kee madad karne ke liye Parmeshwar ke sabhi bachchon ka maargadarshan karta hai. Ishu Masih ke naam se, amen.