Maha Sammelan
Unke Jaisa Uttam Bano
October 2022 maha sammelan


Unke Jaisa Uttam Bano

Parmeshwar ki kripa se hi hamaari poornata sambhav hai.

Hamare Swarg ke Pita aur hamare Uddhaarkarta, Ishu Masih, ke paas wah shakti hai ki woh hame bachaa sake are badal sake. Weh hame Unke jaisa banne mein madat kar sakte hai.

Kuch saal pehle, hamara ek pota, Aaron, ko swaasth samasya shuru hui. Vah thak gaya, kaafi chot ke nishaan the, aur svasth nahin dikh rahe the. Medical testing ke baad, unhen gambheer aplastic anemia ka pata chala, ek aisi bimaari jisme unke asthi majja(bone marrow) ne red blood cells, white blood cells aur platelets banana band kar diya. Ilaaj aur upchaar ke bina, uska khoon theek se jam nahin sakta(clot) ya infecshan se lad nahin saka isliye thoda girne se bhi, chot ya bimaariya bhi jaldi se jeevan ke liye khatra ban sakti thi.

Kuch waqt baad, khatre se door rakhne ke liye Aaron ko niyamit roop se platelet and khoon chadaya gaya. Doctors ne samjhaaya ki bimaari ka ekmaatr ilaaj bone marrow transplant hoga, aur safalta ka sabse achcha mauka tab hoga jab daan karta bhaai ya bahan hoga. Yadi uska ek bhai-bahan ek sahi match hoga, toh transplant se jaan bach sakti hai. Unke chaar chhote bhaiyon ko test kiya gaya, aur usme se ek, Maxwell, ko sahi match maana gaya.

Yahaan tak ki daankarta ekdam sahi match hone par bhi, ek bone marrow translplant abhi bhi kuch gambheer khatre paeda kar sakta hai. Is prakriya ke liye aavashyak tha ki Aaron ke rog-grast bone marrow mein iski apni cells ko uske bhai Maxwell ke asthi majja se stem cell praapt karne se pahale chemotherapy aur vikiran ke sanyojan se nasht kar diya jae. Phir Aaron ki kamzor pratiraksha immune system ke kaaran, unhen kai haftoh tak aspataal mein aur phir kai maheeno tak vishesh protocols, pratibandhon aur dawaaon ke saath ghar par alag rehne ki zaroorat thi.

Transplant se aasha-ki-gayi parinaam yah tha ki Aaron ka shareer donor cells ko aswikaar nahin karega aur Maxwell ki cells dheere-dheere Aaron ke shareer mein aavashyak red aur white blood cells aur platelets ko banaegi. Ek safal donor transplant ek bahut hi vaastavik shareerik parivartan ka kaaran banta hai. Aascharye se, ek doctor ne samjhaaya ki agar Aaron ne apraadh kiya aur apraadh ke jagah par khoon chhod diya, to pulis uske bhai Maxwell ko giraftaar kar sakti hai. Aisa isliye hai kyonki Aaron ka rakt Maxwell ki transplant se aaega aur usmen Maxwell ka DNA hoga, aur yah uske puri jeevan ke liye hoga.

Aaron ko apne bhai ke lahoo se bachae jaane se Ishu Masih ke praeshchit lahoo aur ham par Uske Praeshchit ke prabhaao ke baare mein kai vichaar aae the. Main aaj us par dhyaan dena chahata hu, jeevandaayee(life-giving) parivartan par jo tab hota hai jab ham Prabhu ko apne andar chamatkaar karne ki anumati dete hai.1

Aaron ke paas utna shakti nahi tha jisse woh apne rog se chutkaara paa sake. Uska shareer blood cells nahi banna paa raha tha jisse uski zindagi bachh sake. Chaahe unhonne khud se kuchh bhi kiya ho, vah apne bone marrow ko theek nahin kar sakta tha. Jaise Aaron khud ka ilaaj nahi kar paaya, waise hi hum khud ko bachaa nahi sakte. Chaahe ham kitne bhi kaabil, padhe-likhe, budhimaan ya majboot kyon na ho, ham apne aap ko apne paapon se saaf nahin kar sakte, apne shareer ko amar avastha mein nahin badal sakte, ya khud ko unnat nahin kar sakte. Yah keval Uddhaarkarta Ishu Masih aur Unke anant Praeshchit ke dwaara hi sambhav hai. “Swarg ke neeche koi doosra raasta nahin hai aur na hi koi naam diya gaya hai jisse manushye ko Parmeshwar ke raajye mein bachaaya jaa sake.”2 Yah Uska praeshchit karne waala lahoo hai jo hamen shuddh aur pavitr karta hai.3

Bhale Aaron kkhud ko changa nahi kar saka, transplant ko asar karne ke liye use woh karne ki ichcha rakhna tha jo daactar use karne ko kehte the—ekdam kathin, chunaotipurn kaarye bhi. Haalanki hum khud ko bachaa nahi sakte, jab ham Prabhu ki ichchha ke adheen hote hain aur apne vachano ka paalan karte hain, to hamaare mukti ka maarg khul jaata hai.4 Aaron ki blood cells ke DNA ki ajeeb prakriya ki tarah, ham apne dilon ko badal sakte hain,5 uski chhavi(image) ko hamaare chehare par rakh sakte hain,6 aur Masih mein naye praani ban sakte hain.7

Alma ne Zarahemla ke logon ko pichhli peedhee ki yaad dilai jo parivartit(converted) ho chuki thi. Apne pita ke baat ko, Alma ne samjhaya “uske vishwaas ke kaaran uske dil mein ek shaktishaali parivartan hua.”8 Usne phir pucha, “Kya tumne is bade badlaav ko anubhav kiya?”9 Yah woh log nahin the jinhone apna dil ko khud badla. Prabhu ne vaastavik parivartan kiya. Alma isko lekar bahut spasht tha. Usne kaha, “Dekho, usne unke dilo ko badla.”10 Weh “khud ko vash mein kiya aur apne bharose ko sahi aur jeevit Bhagwaan mein rakha … [aur] ant tak wafaadaar the … [aur] weh bach gaye.”11 Log apne dilon ko kholne aur vishwaas karne ke liye taiyaar the, aur tab Prabhu ne unke hirday ko badal diya. Aur kitna mahaan badlaao wah tha! Alma naam ke in do aadmiyon ke dil badalne se pahale aur baad mein unke jeevan mein antar ke baare mein sochon.12

Hum Parmeshwar ke bachche hai rajasyee bhagye(majestic destiny) ke saath. Hum badal sakte hai unke jaisa banne ke liye aur “aanand ki paripoornata paa sakte hai.”13 Shaitaan, doosri or, humme khud ki tarah dukhi karega.14 Humaare paas yogyeta(ability) hai ki ham kis ke raah pe chale.15 Jab ham Shaitaan ka paalan karte hai, ham use shakti dete hai.16 Jab ham Bhagwaan ka paalan karte hai, wah hume shakti deta hai.

Uddhaarkarta ne sikhaya ki “hamme uttam hona chahiye.”17 Yeh kitna kathin lag sakta hai. Mai saaf rup se apne niji kamzoriyon ko dekh sakta hoon aur apne aap aur uttam banne tak ka faasla ke baare me pata hai. Hame sochne ki aadat hai ki hame apne aap ko uttam karna chahiye, par yeh mumkin nahi hai. Sansaar ki har ek khud ki-sahaayata pustak mein diye gae har ek sujhaao ka paalan karne se yeh nahin ho sakta. Keval ek hi raasta aur ek hi naam hai jisse poornata aati hai. Ham “naye covenants ke madhyasth(mediator) Ishu ke dwaara siddh kiye gaye hain, jis ne aapke liye hi lohoo bahaane ke dvaara yah siddh praeshchit kiya.”18 Parmeshwar ki kripa se hi hamaari poornata sambhav hai.

Kya aap kalpana kar sakte hain ki hamaare yuva pote Aaron ke liye yah maan lena kitna bhaari raha hoga ki use apne transplant se judi sabhi chikitsa(associated) prakriyaon ko khud samajhna aur karna hoga? Hamein yeh nahi soch lena chahiye ki hamein wahi karna hai jo Uddhaarkarta kar sakta hai hamare uttam banne ke chamatkaari kriya me.

Jaise Moroni ne apne records ko samaapt kiya, usne sikhaya, “haan, Masih ke paas aao, aur usmen siddh ho jao, … aur yadi tum apne aap ko sabhi abhakti se inkaar karte hai, aur apni saari shakti, mann aur shakti se Parmeshwar se prem karte hai, to kya uska anugrah tumhaare liye paryaapt hai, ki uske anugrah se tum Masih mein paripoorn ho sakte ho.”19 Yeh ketna dilaasa denewaala aur zabardast sach hai! Unka kripa mere liye kaafi hai. Unka kripa tumhaare liye kaafi hai. Unka anugrah un sabhi ke liye paryaapt hai jo “kaam karte hain aur bhaari bojh se dabe hain.”20

Aaron jaise medical treatments ke saath, parinaam ko lekar hamesha kuch anishchitata(uncertainty ) bana rahata tha. Vaastav mein, Aaron ko doosre transplant ki zaroorat thi, jab pahale waale mein jatilataen(complications) thi. Shukra hai, hirday ke aadhyaatmik parivartan ke saath, hamen aashcharye karne ki zaroorat nahin hai ki kya aisa hoga. Jab ham uski ichchha ke anusaar jeete hain, “uske gunon par poori tarah se bharosa karte hain jo bachaane mein taqatwar hai,”21 Uddhaarkarta ke lahoo dwaara shuddh kiye jaane aur antatah usmen poorn hone kee 100 pratishat guarantee hai. Wah “nyaaye ka Parmeshwar hai, aur jhoot [nahi] bol sakta.”22

Ismen koi sandeh nahin hai ki parivartan ki is prakriya mein samay lagta hai aur is jeevan ke baad tak poora nahin hoga, lekin vaada pakka hai. Jab Parmeshwar ke vaadon ki poorti door lagti hai, tab bhi ham un vaadon ko sweekaar karte hain, yah jaante hue ki ve poore honge.23

Aaron ke swaasth mein chamatkaari badlaav se hamaare parivaar mein bahut khushi aai. Kalpana karen ki jab hamaren aatmao mein shaktishaali parivartan hota hai tho swarg mein kaisi khushi hoti hogi.

Hamare Swarg ke Pita aur hamare Uddhaarkarta, Ishu Masih, hame pyar karte hai aur unhone kripaa poorvak hamen badalne aur hamen poorn karne ki peshakash(offer) ki hai. Weh yah karna chahate hai. Yah Unke kaam aur mahima ka kendr hai.24 Main gawahi deta hu ki Unke paas aisa karne ki shakti hai kyonki ham Unke paas vishwaas mein aate hain. Ishu Masih ke naam se, amen.