Maha Sammelan
Ishu Masih ka Anusaran karen Vishwaas ke Kadamon se
October 2022 maha sammelan


Ishu Masih ka Anusaran karen Vishwaas ke Kadamon se

Woh aaj hamen mushkil samay mein thaam sakta hai. Usne ise shuruaati aguwaaon ke liye kiya tha, aur Woh ab ham mein se pratyek ke liye karta hai.

Gaayak mandali, “Faith in Every Footstep” gaane ke liye dhanyevaad. Us geet ka sangeet aur shabd 1996 mein Bhaai Newell Dayley1 dwara 1847 mein Salt Lake Valley mein shuruaati aguwaaon(pioneers) ke aagaman ki 150th saal gira ke utsav ki taeyaari ke liye likhe gae the.

Halaanki yah geet us utsav ki taeyaari mein likha gaya tha, lekin iska sandesh puri duniya par laagu hota hai.

Mainne hamesha koras ko pasand kiya hai:

Har kadam par vishwaas ke saath, ham Masih, Prabhu ka anusaran karte hain;

Aur uske shuddh prem se aasha se bharkar, ham ek mann se gaate hain.2

Bhaaiyon aur bahanon, main gawahi deta hoon ki jab ham vishwaas ke kadamon ke saath Ishu Masih ka anusaran karte hain, toh aasha hoti hai. Prabhu Ishu Masih me aasha hai. Is jiwan mein sabhi ke liye aasha hai. Hamari galatiyon, hamare dukhon, hamare sangharshon, aur hamare parikshanon aur pareshaaniyon ko dur karne ki aasha hai. Paschataap aur chama kiye jaane aur dusron ko chama karne mein aasha hai. Main gawahi deta hoon ki Masih mein aasha aur shaanti hai. Woh aaj hamen mushkil samay mein thaam sakta hai. Usne aysa shuruaatiaguwaaon ke liye kiya tha, aur Woh ab ham mein se pratyek ke liye karta hai.

Is saal Salt Lake Valley mein shuruaati aguwaaon ke aagaman kee 175th saal gira hai, jisne mujhe apne purvajon par chintan karne ke liye prerit kiya hai, jinmen se kuch Nauvoo se Salt Lake Valley tak chale the. Mere pardada-daadi hain jo apni yuva-avastha mein maidaanee ilaakon(plains) mein chale the. Henry Ballard 20 saal ke the;3 Margaret McNeil 13 ka;4 aur Joseph F. Smith, jo baad mein Girjaghar ke chate President bane, jab weh Salt Lake Valley pahunche to sirf 9 saal ke the.5

Unhen raaste mein har tarah ke anubhaavon ka saamna karna pada, jaise ki kadaake ki sardee, bimaari, aur paryaapt bhojan aur kapadon ki kamee. Uddharan ke liye, jab Henry Ballard ne Salt Lake Valley me prawesh kiya, toh woh “Vaada Bhumi(Promised Land)” ko dekhkar anandit hua, lekin is dar me rehta tha ki koi use dekh na le kyunki uske pehne huwe kapde itne kharaab ho gaye the ki woh uske shareer ko nahi dhakta tha. Andhera hone tak woh din bhar jhaadiyon ke peeche chipaa raha. Phir woh ek ghar pe gaya aur kapdo ki bheek maangi taaki woh apni yaatra jaari rakh sake aur apne maata-pita ka pata laga sake. Woh Parmeshwar ka shukrguzaar tha ki woh apne bhavishye ke ghar me surakshit pahunch gaya tha.6

Mere pardada-dadi ne apni har ek pariksha ke daoraan vishwaas ke kadamo ke saath Ishu Masih ka anusaran kiya. Kabhi haar na maanne ke liye main unka aabhaari hoon. Unke vishwaas ke kadamon ne mujhe aur aane waali peedhiyon ko aashirvaad diya hai, jaise aaj aapke vishwaas ke kadam aapki bhaavee peedhi ko aashirvaad denge.

Aguwaaon shabd noun aur verb donon hai. Ek noun ke roop mein iska matlab us vyakti se ho sakta hai jo kisi nae kshetr ka pata lagaane ya basane waale pahale logon mein se hai. Ek kriya ke roop mein, iska arth dusron ke anusaran ke liye raasta kholna ya taeyaar karna ho sakta hai.7

Jab main un shuraati aguwaaon ke baare mein sochta hoon jinhonne dusron ke liye raasta taeyaar kiya hai, main sabse pahale Prophet Joseph Smith ke baare mein sochta hoon. Joseph ek aguwaa tha kyunki uske vishwaas ke kadamon ne use pedon ke ek jangal tak pahuchaya, jaha usne praathna mein ghutne teke aur hamare liye Ishu Masih ke susamaachaar ki purnata ka maarg khol diya. “1820 ki us bahaar(spring) ke subah ko Parmeshwar se maangne”8 ke Joseph ke vishwaas ne Ishu Masih ke susamaachaar ki paripurnata ki Punahsthaapna ka maarg khol diya jismen prophets aur devdut ko ek baar phir se prithvi par sewa karne ke liye bulaaya gaya tha.9 Main gawahi deta hoon ki Joseph Smith Parmeshwar ka prophet hai. Mujhe pata hai ki unke vishwaas-bhare kadamon ne unhein Pita Parmeshwar aur Unke Priye Putr, Ishu Masih kee upasthiti mein ghutne tekne ke liye prerit kiya.

Prophet Joseph ke vishwaas ke kadamonn ne unhein Mormon Dharamshaastr ko aage laane mein Prabhu ka saadhan banane mein saksham banaaya, jo ki Ishu ka ek aur gawahi aur Unki praeshchit ki kripa hai.

Joseph Smith ke vishwaas aur dridhata ke maadhyam se avishwaasaniye kathinai aur virodh ka saamna karte hue, vah ek baar phir se duniya ke liye Ishu Masih ke Girjaghar ki sthaapna mein Prabhu ke haathon mein ek saadhan banne mein saksham tha.

Pichle maha sammelan ke dauraan, mainne bataaya ki kaise purn-samay ki mishanari sewa ne mujhe aashish dee. Jab mainne apane Swargiye Pita kee uddhaar ki mahimaamay yojna, Joseph Smith ka Pehla Drishye, aur Mormon Dharamshaastr ke unke anuwaad ke baare mein padhaya to mujhe aashish milee. In punahsthaapit shikshaon aur siddhaant ne un logon ko sikhane mein mere vishwaas ke kadamon ko nirdeshit kiya jo susamaachaar ki Punahsthaapna ke sandesh ko sunane ke ichchuk the.

Hamare mishanari aaj aadhunik samay ke aguwaa hain kyunki weh is gauravshaali sandesh ko duniya bhar ke logon ke saath baatte hain, is prakaar hamare Swargiye Pita ke bachchon ke liye Unhein aur Unke Putr, Ishu Masih ko jaanane ka maarg kholte hain. Ishu Masih ke susmaachaar ko swikaar karne se pratyek vyakti ke liye Girjaghar aur mandir ki vidhiyon aur aashishon ki taeyaari karne aur unhein praapt karne ka maarg khul jaata hai.

Pichle maha sammelan, President Russell M. Nelson ne pushti kee ki “Prabhu ne pratyek yogye, saksham yuvak ko ek mishan kee taeyaari aur sewa karne ke liye kaha hai” aur “ek mishan bhi ek shaktishaali, par ichachanusaar, maoka hai” “yuva aur saksham bahano” ke liye.10

Priye jawaan purush aur jawaan mahilaaon, aapke vishwaas ke kadamon aapko mishan ki sewa karne ke liye Prabhu ke nimantran ka paalan karne mein madad karenge—aadhunik samay ke aguwaaon banne ke liye—Parmeshwar ke bachchon ke liye vaachan ke maarg ko khojne aur us par bane rahane ka maarg kholkar jo Uski mahima ki or upasthiti mein waapas le jaega.

President Nelson Girjaghar mein aguwaa rahe hain. Ek Devdut ke roop mein unhonne yaatra ki hai aur susamaachaar ke prachaar ke liye kai deshon ko khola hai. Girjaghar ke prophet aur President banne ke kuch samay baad, unhonne hum se revelaishan praapt karne ki hamari aadhyaatmik kshamata ko badhaane ka vachan diya.11 Woh hamen sikhaata raheta hai ki ham apni gawaahion ko mazboot karen. Jawaan baaligon ke liye ek sabha mein, unhonne kaha:

“Main aap se apni gawaahi ka jimwaari lene ke liye vinati karta hoon. Iske liye kaam karein. Ise apnaao. Iski dekhbaal karen. Iska paalan-poshan karen taaki yah badhe. …

“[Tab] apne jiwan mein hone waale chamatkaaron ko dekhein.”12

Woh hamen sikha rahe hain ki aadhyaatmik roop se adhik aatmanirbhar kaise banen. Usne kaha ki “aane waale dinon me, mumkin nahi rahi aatmik rup se sambhal paana bina Pavitr Aatma ke maargdarshan, aguwaai, sahanubhuti, aur lagataar prabhaao ke.”13

Main jaanta hoon ki President Thomas S. Monson aaj is dharti par Parmeshwar ka prophet hai.

Hamara Rakshak, Ishu Masih, maarg ko taeyaar karne mein param aguwaa hai. Vaastav mein, Weh hi uddhaar ki yojna ko pura karne ke liye “maarg”14 hai taaki ham pashchataap kar saken aur us par vishwaas karke, apne Swargiye Pita ke paas laut saken.

Ishu ne kaha “Maarg, satye, aur jiwan main hi hoon: bina mere koi Pita ke paas nahi pahunch sakta.”15 Usne hamen aaraam rahit nahin chodne ka vaada kiya hai; vah hamari parikshaon mein hamare paas aaega.16 Usne hamen “pure mann se [usake] paas aane ke liye aamantrit kiya hai, aur [Woh] [hamein] changa karega.”17

Main gawaahi deta hoon ki Woh hamare Rakshak hai aur Muktidaata hai, hamara Wakeel hai Pita ke saath. Hamare Swargiye Pita ne har kadam par vishwaas ke saath apne priye putr, Ishu Masih ka anusaran karke hamare liye Unke paas lautne ka maarg khol diya hai.

Mere par-daada aur anye shuruaati aguwaaon ko kai baadhaon ka saamna karna pada kyunki weh waganon, handcarts, aur Salt Lake Valley mein chal ke aae the. Ham bhi apne jiwan ke maadhyam se apni vyaktigat yaatra mein chunautiyon ka saamna karenge. Ham unche pahaadiyon par aur gahere himpaat(snowdrifts) me handcarts ya dhare huwe waganon ko nahin chala rahe hain; ham koshish kar rahe hain jaise unhonne aadhyaatmik roop se hamare samay ke behkaawon aur chunautiyon par vijay praapt karne ke liye kiya tha. Hamare paas chalne ke liye trails hain; hamare paas pahaadiyaan hain—aur kabhi-kabhi parwatein—chadhane ke liye. Haalaanki aaj ki parikshaen shuruaati aguwaaon ki parikshaon se bhinn hain, phir bhi weh hamare liye kam chunautipurn nahin hain.

Prophet ka anusaran karna aur vishwaasi ki vaachan ke maarg par apne pairon ko mazbooti se rakhna mahatvapurn hai jaisa ki shuruaati aguwaaon ke liye tha.

Aaie ham har kadam par vishwaas ke saath Ishu Masih ka anusaran karen. Hamein Prabhu ki sewa karni chahiye aur ek dusre ki sewa karni chahiye. Hamein apni vaachano ko rakhne aur unka sammaan karne ke dwara khud ko aadhyaatmik roop se mazboot karne ki aavashyakta hai. Hamein aagyaon ka paalan karne ki atiaavashyakta ki bhaavna nahin khonee chahiye. Shaetaan hamari pratibaddhata aur Parmeshwar aur Prabhu Ishu Masih ke prati hamare prem ko kam karne kee koshish karta hai. Kripaya yaad rakhein ki agar koi raasta bhatak jaae, to ham apne Rakshak ke liye kabhi khienge nahi. Pashchataap ke aashirvaad ke saath, ham Uski or mud sakte hain. Jab ham vaachan ke maarg par bane rahane ka prayaas karte hain to woh hamein sikhne, badhne, aur badalne mein madad karega.

Ham Ishu Masih ke kadamon ka anusaran karein aur apne har kadam par vishwaas ke saath, Us par dhyaan kendrit karein, apne pairon ko vaachan ke maarg par mazbooti se lagae rakhein.

Notes

  1. Dekhiye K. Newell Dayley, “Faith in Every Footstep,” Ensign, Jan. 1997, 15; Liahona, Feb. 1997, 22–23.

  2. Dayley, “Faith in Every Footstep,” Ensign, Jan. 1997, 15; Liahona, Feb. 1997, 23.

  3. Dekhiye Henry Ballard diary, L. Tom Perry Special Collections, Harold B. Lee Library, Brigham Young University, Provo, Utah, archives.lib.byu.edu/repositories/ltpsc/resources/upb_msssc998.

  4. Dekhiye “A ‘Small Glimpse’ into Pioneer Experiences,” Church News, June 15, 1996, thechurchnews.com.

  5. Dekhiye Teachings of Presidents of the Church: Joseph F. Smith (1998), xiv.

  6. Dekhiye Douglas O. Crookston, ed., Henry Ballard: The Story of a Courageous Pioneer, 1832–1908 (1994), 14–15.

  7. Dekhiye Merriam-Webster.com Dictionary, “pioneer.”

  8. James 1:5.

  9. Dekhiye Joseph Smith—History 1:5–20.

  10. Russell M. Nelson, “Preaching the Gospel of Peace,” Liahona, May 2022, 6; pehle jo zor diya gaya tha woh hata diya gaya hai.

  11. Russell M. Nelson, “Revelation for the Church, Revelation for Our Lives,” Liahona, May 2018, 96.

  12. Russell M. Nelson, “Choices for Eternity” (worldwide devotional for young adults, May 15, 2022), broadcasts.ChurchofJesusChrist.org.

  13. Russell M. Nelson, “Revelation for the Church, Revelation for Our Lives,” 96.

  14. John 14:6.

  15. John 14:6.

  16. Dekhiye John 14:16–18.

  17. 3 Nephi 18:32.