Maha Sammelan
Sabse Mahaan Easter Kahani Jo Batai Gayi
April 2023 maha sammelan


Sabse Mahaan Easter Kahani Jo Batai Gayi

Mai aapko Mormon Dharamshaastr ko ek naye prakash me dekhne aur us gehri gawahi par vichaar karne ke liye amantrit karta hoon jo jee uthe Masih ki vaastavikta ki hai.

First Presidency Letter Easter par

Aapko yaad hoga ki aap ne kayi hafton pehle apne ward ya braanch me First Presidency se ek letter padha tha. Us letter ne ghoshna kee ki agle Raviwaar—Easter Raviwaar—sabhi wards aur branches ko kewal prabhubhoj sabha ke liye milna hai, is sabse mahatwapoorn chutti ko manaane ke liye parivaaron ke roop mein ghar par bhakti ke liye zyaada samay dena chahiye.1

First Presidency’s ke letter ne mera dhyaan akarshit kiya, aur isne mujhe us tarike par vichaar karne ke liye prerit kiya jis tarah se hamare parivaar ne saalon se Easter manaaya hai. Jitna zyaada maine apne utsavon ke baare mein socha, utna hi maine khud ko ashcharyechakit paaya ki kya hum anjaane mein is utsav ke sahi matlab ko kam kar rahe hain, jo Ishu Masih me sabhi vishwaasiyon ke liye bahut mahatwapoorn hai.

Badadin aur Easter Parampara

Un vichaaron ne mujhe Easter ki tulna me jis tarah se humne Badadin manaya hai, uske beech ke antar par vichaar karne ke liye prerit kiya. December ke daoraan, hum kisi tarah “Jingal Bells,” Badadin ke stockings, aur anye adhik vichaarsheel paramparaaon ke saath-saath uphaaron ka maza shaamil karne ka prabandhan karte hai—jaise ki zarooratmand logon ki dekhbhaal karna, hamare pasandida Badadin ke carol aur geet gaana, aur nishchit roop se shaastron ko kholna aur Luke 2me Badadin ki kahani padhna. Har saal jab hum ek badi puraani Baibal se is pyaari kahani ko padhte hai, toh hamara parivaar wahi karta hai jo shaayad aapka parivaar karta hai—hamare sir aur kandho par taoliye ke saath kapde pahanna aur Joseph, Mary, aur un logon ka pratinidhitva karne ke liye baathrobe daan karna jo shishu Ishu ki pooja karna aaye the, hum Rakshak ke janm ki bahumulye Badadin ki kahani ko phir se dikhaate hai.

Haalaanki, Easter par hamare parivaar ka utsav kuch alag raha hai. Mujhe lagta hai ki hamare parivaar ne Easter ke, Masih-kendrit bhaag ko pradaan karne ke liye “girjaghar jaane” par adhik bharosa kiya hai; aur phir ek parivaar ke roop me, hum Easter-se-sambandhit anye paramparaaon me hissa lene ke liye ektrit huwe hai. Mujhe apne bachcho ko dekhna bahut pasand hai aur ab hamare pote-potiyaan Easter ande ka khoj karte hain aur apne Easter katoriyon me khudaai karte hai.

Lekin First Presidency letter ek jagane-waala pukaar tha. Na kewal unhonne hum sabhi ko yeh sunishchit karne ke liye amantrit kiya ki is prithvi par hone waali sabse mahatwapurn ghatna ka hamara utsav—Ishu Masih ka Praeshchit aur Punahsthaapna—Prabhu ke bhakti aur sammaan ko shaamil karein, unhonne hamein apne ke saath adhik samay bhi diya aysa karne ke liye Easter Raviwaar ko.

Tasveer
Rakshak Jee Utha

Profat Joseph Smith ke yeh shabd Easter ke aas paas ki ghatnaaon ke mahatwa me atirikt sandarbh jodte hai: “Hamare dharam ke mul siddhaant Ishu Masih ke vishay me Devduton aur Profats ki gawahi hai, ki Woh mera, dafnaaya gaya, aur phir se teesre din jee utham aur swarg chala gaya; aur anye sabhi cheezein jo hamare dharm se sambandhit hai, kewal iske upaang(appendages) hai.”2

Lesa aur mainne un tareeko par charcha ki hai jinse hamara parivaar Easter ke maosam me behtar kar sakta hai. Shaayad hum ne khud se jo sawaal pucha hai, woh ek aysa hai jis par hum sabhi vichaar kar sakte hai: Hum Ishu Masih ke Punarjiwan ki shiksha aur utsav, Easter ki kahani ko usi santulan, purnata aur Ishu Masih ke janm, Badadin ki kahani, ki gehri dhaarmik parampara ke saath kaise prastut karte hai?

Aysa lagta hai ki hum sab prayaas kar rahe hai. Mai adhik Masih-kendrit Easter ki or Antim-dino ke Santo ke beech badhte huwe prayaas ko dekhta hoon. Isme Palm Sunday aur Good Friday ki ek badi aur adhik vichaarsheel maanyata shaamil hai jaisa ki hamare kuch Isaai bhaai karte hai. Hum duniya bhar ke deshon ki sanskritiyon aur prathaaon me paai jaane waali upyukt Masih-kendrit Easter paramparaaon ko bhi apna sakte hai.

Naya Niyam ke vidhwaan N. T. Wright ne sujhaao diya: “Hamein Easter ko rachnaatmak tariko se manaane ke liye kadam uthaane chahiye: kala, saahitya, bachcho ke khel, kavita, sangeet, naach, tyohaar, ghantiyaan, vishesh sangeet kaaryekram. … Yeh hamara sabse bada tyohaar hai. Badadin ko door le jaaye, aur baaibal ke shabdon me aap Matthew aur Luke ke saamne do adhyaaye kho dete hain, aur kuch nahi. Easter ko hata dein, aur aapke paas Naya Niyam nahi hai; aapke paas Isaai dharm nahi hai.”3

Easter, Baaibal, aur Mormon Dharamshaastr.

Hum Baibal ki saraahna karte hain kyonki yah hamein Ishu Masih ke janm, sewakaee, Soolee par chadhne, aur Punarjiwan ke baare mein sikhaatee hai. Bagicge waale Kabr(Tomb) par Easter kee subha ek swarg doot dwara kahe gaye shabdon kee tulna mein koi bhi teen shabd puree maanav jaati ke liye adhik aasha aur anant parinaam nahi dete hain: “Woh jee utha” ke milaan me.4 Hum Naya Niyam shaastr ke liye bahut abhaari hain jo Judea aur Galilee me Easter samaroh ki kahani ko sanrakshit karta hai.

Jaisa ki Lesa aur maine apne parivaar ke Easter utsav ko aur adhik Masih-kendrit hone ke liye vistaarit karne ke tareekon par vichaar karna aur talaash jaaree rakha, hum ne charcha kee ki hum apne parivaar ke liye kaun si shaastr padhne ki parampara ka parichay de sakte hain—yadi aap chaahein, toh Easter ke liye Luke 2 sahi laga.

Aur phir hamare paas yeh swargiye ghoshna thee: Naya Niyam mein Easter ke baare me mahatwapoorn verses ke alaawa, hum Antim-din Santo ke roop me ek sabse ullekhniye Easter uphaar mila hai hame! Anokhe gawah ka ek uphaar, Easter chamatkaar ka ek aur gawaah kehta hai shaayad puri Isaai dharm me sabse shaandaar Easter shaastr shaamil hai. Mai nishchint roop se Mormon Dharamshaastr ka jikr kar raha hoon, aur adhik vishesh roop se, Ishu Masih ke Nayi Duniya me niwaasiyon ke saamne prakat hone ke baare me, Unki punarjiwit mahima me.

Profat Joseph Smith ne Mormon Dharamshaastr ko “kisi bhi pustak me sabse sahi,”5 aur 3 Nephi 11se shuru karte huwe, yeh Rakshak ka Easter sewakee, Nephitiyon ke liye punarjiwit Masih ki yaatra ki shaandaar kahani bataati hai. Yeh Easter shaastr toh Prabhu Ishu Masih ke Punarjiwan ka gawahi dete hai.

In adhyaayon me, Masih barah devduton ko bulaata hai, Pahaad par Apne Adesh me jaise sikhaya tha waise sikhaata hai, yeh ghoshna karta hai ki usne Moses ke kaanoon ko pura kiya hai, aur Israel ke aakhri-dino ki sabha ke baare me bhavishyevaani karta hai. Woh beemaaro ko changa karta hai aur logon ke liye itne shaandaar tarike se praathna karta hai ki “koi jeebh bil nahi sakti, aur na koi manushye ka mann itni badi aur adbhut baaton ki kalpana kar sakta hai, jaisa hum ne Ishu ko bolte dekha aur suna hai; aur koi bhi us anand ki kalpana nahi kar sakta jo us samay hamari aatma me bhar gaya jab hum ne use hamare liye Pita se praathna karte suna.”6

Tasveer
Ishu Masih Nephites par prakat kee

Yeh Easter, hamara parivaar 3 Nephi 11 ke pehle 17 versespar dhyaan kendrit karne jaa raha hai, jisse aap parichit hai. Aap Bountiful jagah me mandir ke chaaron or badi bheed ko yaad karte hai jinhonne Pita Parmeshwar ki aawaaz suni aur Ishu Masih ko sabse sundar Easter nimantran dene ke liye swarg se utarta dekha:

“Uthoh aur mere paas aao, … ki tum mere haathon aur mere paeron mein keelon ke nishaan mehsoos kar sako, ki tum jaan sako ki main … saaree prithvee ka Parmeshwar hoon, aur jagat ke paapon ke liye vadh kiya gaya hoon.

“Aur … bheed aage badha … ek ke baad ek … aur apne ankho se dekha aur apne haathon se mehsoos kiya, … aur sakshee di, ki yeh woh hai. …

“Aur … woh ek chitt ho kar chilla uthe, yah kahate huwe::

“Hosanna! Sabse Unche Parmeshwar ka naam dhanye hai! Aur woh Ishu ke paaon pe gir pade, aur Uski pooja ki.”7

Kalpana ki jiye: mandir par Nephitiyon ne vaastav me jee uthe Prabhu ke haathon ko chhua tha! Hum 3 Nephi ke in adhyaayon ko apni Easter parampara ka utna hi hissa banaane ki ummeed karte hai jitna ki hamari Badadin parampara ka Luke 2 hai. Vaastav me, Mormon Dharamshaastr ab tak ki bataai gayi sabse badi Easter kahani ko batlaata hai. Ise ab tak nahi kahi gayi sabse badi Easter kahani na banne dein.

Mai aapko Mormon Dharamshaastr ko ek naye prakash me dekhne aur us gehri gawahi par vichaar karne ke liye amantrit karta hoon jo yeh jee uthe Masih ki vaastavikta ke saath-saath Masih ke siddhaant ki upjaaupan aur gehraai ki hai.

Mormon Dharamshaastr Ishu Masih ki Gawahi deta hai

Hum pooch sakte hai, Easter par Mormon Dharamshaastr ka paath padhne se kaise hamare aur hamare priyejano ke jiwan ko saarthak tarike se ashirwaad milega? Ek se adhik ko ehsaas ho sakta hai. Kisi bhi samay hum Mormon Dharamshaastr se padhte aur adhyan karte hain, hum ullekhniye parinaamo ki apeksha kar sakte hai.

Haal hi me, Lesa aur mai ek priye mitr, ek vishwaasi mahila ke viewing(at funeral) par gaye, jiska jiwan beemaari se chota ho gaya tha. Hum uske parivaar aur kareebi doston ke saath ikattha huwe, is khubsoorat aatma ki sukhad yaadon ke baare me baat ki jisne hamare jiwan ko dhanye kiya tha.

Anye logon ke saath baatcheet karte huwe caasket se kuch duri par khada, maine dekha ki do chote Primary-umra ki ladkiyaan caasket ke paas aati hai aur apni pyaari chaachi ko antim sammaan dene ke liye apne paao-ki-ungli(tip-toes) pe khadi hui—sirf caasket ke kinaare tak unki aankhe pahunchi. Aas-paas koi aur nahi hone ke kaaran, Lesa dhire se unke bagal me jaa kar ghutno pe baeth gayi taaki unhe sahanubhuti aur kuch seekh de sake. Usne poocha woh kaise the aur yadi woh jaante the unki chaachi abhi kahan hai. Unhonne apne dukh ko baanta, lekin tab Parmeshwar ki in anmol betiyon ne, apni aankhon me aatmvishwaas liye huwe, kaha ki weh jaanti thi ki unki chaachi ab khush hai aur woh Ishu ke saath ho sakti hai.

Is choti umr me, unhonne khushi ki mahaan yojna me shaanti paai aur apne bachcho ki tarah gehri vaastvikta aur Rakshak ke Punarjiwan ki saral sundarta ki gawahi di. Ishu Masih aur anant jiwan me vishwaas ka beej bone waale pyaar karne waale maata-pita, parivaar aur Primary leadaron ki vichaarsheel shikshaaon ke kaaran weh apne dil me yeh jaante the. Apne umra se zyaada samajhdaar, in yuva ladkiyon dwara samjhe gaye kayi sachchaai Easter sandesh aur punarjiwit Rakshak ki swakaai aur Mormon Dharamshaastr me batae gaye prophets ke shabdon dwara hamare paas aate hain.

Maine dekha hai jab President Russell M. Nelson kisi aesi vyakti ko Mormon Dharamshaastr ka uphaar dete hai jo hamari dharm ka nahi hai, jisme duniya ke leadar bhi shaamil hai, toh woh aksar 3 Nephi ki or mudte hai aur Nephitiyon ko punarjiwit Masih ke prakat hone ke baare me padhate hai. Aesa karne me, jiwit prophet vaastav me jiwit Masih ki gawahi de raha hai.

Hum Ishu Masih ke gawaah ke roop me tab tak khade nahi ho sakte jab tak hum Uski gawahi nahi de sakte. Mormon Dharamshaastr Ishu Masih ki ek gawaah hai kyunki iske pawitr panno me, ek ke baad ek profat na kewal yeh gawahi dete hain ki Masih aaenge, balki yah ki Woh aaye the.

Uski kaaran se

Mere haath me Mormon Dharamshaastr ke pehli edition ki ek copy hai. Aesa karna hamesha mujhe prerit karta hai. Mere adhikaansh buzurg jiwan me, mai mohit, mantrmugdh, aur mera dhyaan khinch gaya jab chota Joseph Smith ne shaastr ki is pavitr pustak ko anuwaadit aur prakaashit kiya. Jo chamatkaar huwe the, woh sochne par majboor kar dene waale hai.

Lekin sirf is liye yeh pustak mujhe prabhaawit nahi karti hai. Aesa isliye hai kyunki yeh pustak is prithvi par prakaashit kisi bhi anye pustak se adhik, Ishu Masih ke jiwan, sewakee, shikshaaon, Praeshchit, aur Punarjiwan ki gawahi deti hai. Mere pyaare bhaaiyo aur bahano, Ishu Masih ke baare me is pustak se niyamit adhyan karne se aapka jiwan badal jaaega. Yeh aapki aankhein kholega nayi sambhaaonaaon ke liye. Yeh aapki aasha ko badhaega aur aapko paropkaar se bhar dega. Sabse badhkar, yeh Ishu Masih me aapke vishwaas ko nirmit aur mazboot karega aur aapko ek nishchit gyaan ke saath ashirwaad dega ki Woh aur hamare Pita aapko jaante hain, aapse pyaar karte hain, aur chahate hai ki aap capital H ke saath apna heavenly home(ghar) waapas laote.

Priye bhaaiyo aur bahano, woh samay aa gaya hai, jiski bhavishyevaani puraane propheton ne ki thi, “jab ek Rakshak ka gyaan har desh, jaati, bhaasha, aur logon me fael jaaega.”8 Hum is bhavishyevaani ko pura hote apne aankhon ke saamne dekh rahe hai, Mormon Dharamshaastr me paai jane waaali Ishu Masih ki gawahi ke zariye.

Tasveer
Prabhu Ishu Masih

Koi aur kitaab yeh dikhaane ke liye isse zyaada karti hai:

  • Ishu Masih ke kaaran sab kuch badal gaya.

  • Uski wajah se, sab kuch behtar hai.

  • Uske kaaran, jiwan sambhaalne laayak hai—khaas kar ke dardnaak pal.

  • Uski wajah se, sab kuch sambhav hai.

Ek punarjiwit Rakshak ke rup me Unki yaatra, Pita Parmeshwar dwara prastut ki gayi, yeh ek sabse shaandaar aur vijayi Easter sandesh hai. Yeh hamare parivaar ke sadasyon ko hamare Rakshak aur Muktidaata ke rup me Ishu Masih ki vyaktigat gawahi praapt karne me madad karega, jisne mrityu ke bandhan ko todh diya.

Mai Mormon Dharamshaastr ki sachchaai aur jiwit Parmeshwar ke Putr ke rup me Ishu Masih ki apni gawahi ke saath samaapt karta hoon. Ishu Masih ke naam se, amen.

Not

  1. Dekhiye First Presidency letter, Feb. 15, 2023.

  2. Teachings of Presidents of the Church: Joseph Smith (2007), 49 par zor diya gaya.

  3. N. T. Wright, Surprised by Hope: Rethinking Heaven, the Resurrection, and the Mission of the Church (2008), 256.

  4. Matthew 28:6.

  5. Teachings: Joseph Smith, 64.

  6. 3 Nephi 17:17.

  7. Dekhiye 3 Nephi 11:1–17.

  8. Mosiah 3:20.