Maha Sammelan
Ishu Masih Maata-Pita ki Shakti hai
April 2023 maha sammelan


Ishu Masih Maata-Pita ki Shakti hai

Apne bachcho ko Ishu Masih mein vishwaas badhane mein madat kijiye, Uske susamaachar aur Uske Girjaghar se prem karein, jeevan bhar dharmee raasta chunne ke liye taiyaar kare.

Ek samay ke baat hai, ek pita sanjha ke bishopric meeting ke liye nikalne waala tha. Uske chaar saal ki beti uske saamne khadi ho gaee, pajamas(sone waale kapde) pahan kar Mormon Dharamshaastra kahaniyon ko haath mein liye.

“Aapko kyon meeting me jaana padtha hai?” usne poocha.

“Kyonki mai bishopric me ek salaahkaar hoon,” usne jawaab diya.

“Par tum mere pita ho!” unki beti ne virodh kiya.

Woh uske saamne ghutne par hua. “Priye,” usne kaha, “Mai jaanta hoon ki tum chaahte ho ki mai tumko padkar sunaoon aur tumko sone me madad karoon, lekin aaj raat mujhe bishop kee madat karne jaana hai.”

Uski beti ne jawaab diya, “Kya bishop ke paas pita nahi hai jo use sone me madat kar sake?”

Ham un anginat sadasyon ke liye sada aabhaari hain jo pratidin Ishu Masih ke Girja me lagan se sewa karte hain. Aapke balidaan sach me pavitra hai.

Lekin jaisa ki yah ladki samajh rahi thee, kuch utna hi paak hai—jise badla nahi jaa sakta—ek bachche ka paalan-poshan jo maata-pita karte hai. Wah swarg ke pattern ko darshaata hai.1 Hamaare Pita jo Swarg me hai, hamaare Divye Maata-pita, nishchit roop se aanandit hote hoge jab uske bachchon ko unke maata-pita prithvee par padhaate aur paalte hain.2

Maata-pita, aap apne bachcho ko paalne ke liye jo kuch bhi kar rahe hai uske liye dhanyevaad. Aur bachchon, apne maata-pita ko paalne ke liye aap jo kuchh bhee kar rahe hain, uske liye dhanyavaad, kyonki jaisa ki har maata-pita jaante hain, ham aksar apne bachchon se vishvaas, aasha aur daan ke baare mein utna hee seekhte hain jitna ve hamse seekhte hain!3

Maata-Pita ko Ek Paak Kartavvye Mila Hai

Kya aapne kabhee socha hai ki hamaare Pita jo Swarg me hai, dhartee par ek bachche ko bhejta hai toh wah kitna bhaaree jokhim uthaata hai? Yah Unke aatmik putra aur putriya hai. Unke paas anginat kshamta hai. Pahele se achchaai, anugrah aur sachchai ke gauravshaalee praanee banne hai unhein. Aur phir bhee ve pooree tarah se asahaay(helpless) hokar prthvee par aate hain, madat ke liye rone ke alawa aur kuch bhi nahi kar paathe hai. Parmeshwar kee upasthiti mein unke samay par parda hota hai, saath mein us gyaan ke saath ki ve vaastav mein kaun hain aur ve kaun ban sakte hain. Veh jeevan, prem, Parmeshwar aur uskee yojna ke baare mein apnee samajh is aadhaar par banaate hain ki ve apne aaspaas ke logon se kya dekhte hain—vishesh roop se unke maata-pita, jo, imandaari se, abhee bhee cheezon ko khud samajhne kee koshish kar rahe hain.

Tasveer
Navjaat shishu

Parmeshwar ne maata-pita ko “pavitr kartavvye diya hai ki ve apne bachchon ka prem aur dhaarmikta mein paalan-poshan karien, unkee shaareerik aur aadhyaatmik zarooraton ko poora karen, aur unhen … Parmeshwar kee aagyaon ka paalan karna sikhaen.”4

Yah sabse achchhe maata-pita ko bhee raat mein jagae rakhne ke liye kaafee hai.

Mera sandesh sabhee maata-pita ke liye yah hai:

Prabhu tumse prem kartey hai.

Woh tumhaare saath hai.

Woh tumhaare bagal mein khada hai.

Apne bachchon ko sahee raasta dikhaanee mein vah aapki taakat hain.

Is vishesh aadhikaar aur zimmedari ko saahas aur khushi se swikaar karein. Swargiye aasheeshon ke is srot ko kisee aur ko saupe nahin. Siddhaanton aur susamaachar values ke bheetar, aap woh hai jo apne bachcho ko daenik nirnayon ka maarg dikhaaenge. Apne bachcho ko Ishu Masih mein vishwaas badhane mein madat kijiye, Uske susamaachar aur Uske Girjaghar se prem karein, jeevan bhar dharmee raasta chunne ke liye taiyaar kare. Vaastav mein, yah maata-pita ke liye Parmeshwar kee yojna hai.

Shaitaan aapka virodh karega, aapko vichalit karega, aapka himmat thodne ki koshish karega.

Par har ek bachche ne swarg kee seedhee ke roop mein Masih ka Prakaash praapt kiya hai. Aur Uddharkarta tumhaari madat karega, tumhe marg dikhayega, aur protsaahit karega. Uski madat lein. Prabhu se pooche!

Tasveer
Hamare Prabhu Ishu Masih

Jaise Ishu Masih yuwaaon ka shakti hai, waise hi Ishu Masih maata-pitaaon ki shakti hai.

Woh Pyar ko Badhaata hai

Kabhi-kabhi hamen aashcharye ho sakta hai ki kya koee aur hamaare bachchon ka maargadarshan karne aur unhen padhaane mein behatar yogye ho sakta hai. Lekin isse koee fark nahin padta ki aap kitna aparyaapt(inadequate) mehasoos kar sakte hain, aapke paas kuchh aisa hai jo aapko vishisht roop se yogye banaata hai: apne bachche ke liye aapka pyaar.

Ek bachche ke liye maata-pita ka pyaar brahmaand kee sabse mazboot taakaton mein se ek hai. Yah is dharti par kuchh cheezon mein se ek hai jo vaastav mein shaashvat(eternal) ho saktee hai.

Ab, shaayad aapko lage ki aapke bachcho ke saath aapka rishta aadarsh se kam hai. Yaheen par Uddhaarkarta kee shakti kaam aatee hai. Woh beemaaron ko changai deta hai, aur woh rishton ko bhi changai de sakta hai. Woh roti aur machlee dugna karta hai, aur Woh aapke ghar mein prem aur aanand ko badha saktaa hai.

Apne bachchon ke liye aapka pyaar sachchaee sikhaane aur vishvaas banaane ke liye ek samriddh vaataavaran banaata hai. Apne ghar ko praathna, seekh, aur vishwaas ka ghar banaen; kushi ke anubhavon ka ghar; apnapan ka sthaan, Parmeshwar ka ghar.5 Aur “hirday kee pooree shakti ke saath pita se praarthna karen, ki [tum] [Uske] prem se bhar jao, jis par vah [pradaan karta hai] … Unke Putra ke peecha karne waale, Ishu Masih.”6

Woh chhote aur saral prayaason ko badaata hai.

Ek aur taakat jo tumhaare paas hai, maata-pita ke taur pe, roz, chal rahe prabhaav ka avsar hai. Saathiyon, shikshakon aur media prabhaaviton ka aana-jaana laga rahata hai. Lekin aap apne bachche ke jeevan mein sabse nirantar, sthir prabhaav ho sakte hain.

Duniya mein aapke bachche jitnee tej awaaze sunte hain, uskee tulna mein aapke prayaas chhote lag sakte hain. Kayi baar aisa mehsoos hota hai ki aap bahut kuchh poora nahi kar paa rahe hain. Lekin yaad rakho “chhote saadhanon se Prabhu badee cheezein kar sakta hai.”7 Ek home evening mein, ek gospel baatcheet mein, ya ek achchha uddharan aapke bachche ke jeevan ko ek pal mein nahin badal sakta hai, kya baarish kee ek se adhik boond se paudha turant ug jaata hai. Lekin din prati din chotee aur saadhaaran cheezon ko karne se, kabhi kabhaar dher saara dhaarmik gyaan dene se achchi tarah aapke bachchon ka poshan karta hai.8

Woh Prabhu ka raasta hai. Woh aapse aur aapke bachche se dheemee, dheemee aawaaz mein baat karta hai, gadgadaahat kee aavaaz se nahin.9 Usne Namaan ko kisee “bade kaam se” theek nahin kiya parantu saraltha se, baar-baar dhone ke maadhyam se.10 Israel ke bachchon ne jangal mein bateron(jungli chidiyon) ko khaane ka aanand liya, lekin jis cheez ne unhen jeevit rakkha wah manna ka chhota aur saral chamatkaar tha—unke roz ka roti.11

Bhaiyon aur bahanon, rozee roti sabse achchhee banti hai aur ghar par hee parosa jaata hai. Vishwaas aur gawahi ko saamaanye aur praakrtik tareekon se sarv utham roop se badhaava diya jaata hai, ek samay mein ek niwaala, chhote aur saral kshanon mein, daenik jeevan ke nirantar bahaao mein.12

Har pal ek seekhne ka pal hai. Har ek shabd aur kriya chunaao karne ke liye ek maargadarshak ho sakta hai.13

Ho sakta hai ki aapko apne prayaason ka tatkaal prabhaav dikhaee na de. Lekin haar mat maano. “Sabhee cheezein apne samay par honee chaahiye,” Prabhu ne kaha. “Isliye, achchaai karne se nahi thakna chahiye, kyunki [tum] ek mahaan kaam ke buniyaad shuru kar rahe ho.”14 Parmeshwar ke anmol bachchon ko yah seekhne mein madat karne se bada aur kya kaam ho sakta hai ki woh vaastav mein kaun hain aur Ishu Masih mein apne vishvaas ka nirmaan karen, Uske susamachaar, aur Uske Girjaghar ka? Ishu Masih aapke lagaataar prayaason ko aasheesh dega aur badhaega.

Woh Revelation Deta Hai

Maata-pita ka samarthan karne ka ek aur shaktishaalee tareeka Prabhu istemaal karta hai vyaktigat revelation ka uphaar. Parmeshwar maata-pita ko maargdarshaane ke liye Apnee Aatma undelne ke liye utsuk hai.

Jaisa ki aap praathnaasheel aur Aatma ke prati sanvedansheel(sensative) hain, Woh aapko chhipe hue khatron se aagaah karega.15 Woh aapke bachchon ke uphaaron, unke shaktiyon, aur unke ankahee chintaon ko prakat karega.16 Parmeshwar aapke bachchon ko dekhne mein aapkee sahaayta karega jaise Woh unhein dekhta hai—unke baaharee roop se pare aur unke dilon mein.17

Parmeshwar ki madat se, aap apne bachchon ko shuddh aur swargiye tareeke se jaanna seekh sakte hain. Mai aapko vyaktigat revelation dwara apne parivaar ka maargadarshan karne ke liye Parmeshwar ke prastaav ko swikaar karne ke liye aamantrit karta hoon. Apni praathnaon mein uska maargdarshan praapt karein.18

Ek Shaktishaali Parivartan

Shaayad Ishu Masih maata-pita ko jo sabse mahatvapoorn sahaayta pradaan karta hai woh hrday ka “mahaan parivartan” hai.19 Woh ek chamatkaar hai jiski ham sab ko zaroorat hai.

Ek pal ke liye, is sthiti kee kalpana keejiye: Ki aap Girjaghar mein hai, parivaaron ke vishay mein ek bhaashan sunn rahe hai. Speaker ek sampoorn ghar aur us se bhee adhik sampoorn parivaar ka varnan karta hai. Jahan pati-patni kabhee nahin jhagadte. Jab homework karne ka samay aata hai tab hi bachche shaastr padhna band karte hai. Aur woh geet “Love One Another”20 peeche se bajj raha hai. Isse pahale ki bhashankarta us baat tak pahunchta jab har koee khushee-khushee bathroom saaf karne mein shaamil ho jaae, aap pahele se soch rahe hai, “Mera parivaar toh nikkamma hai.”

Priye bhaaiyo aur bahanon, aaram karo(relax)! Sabhi log sabha mein yahi soch rahe hai! Sach toh yah hai ki, sabhee maata-pita achchhe nahin hone kee chinta karte hain.

Saubhagye se, maata-pita ke liye madat ka ek divy srot(source) hai: Woh hai Ishu Masih. Wah hamare hrday ka mahaan parivartan hai.

Jaise aap Uddhaarkarta aur Unki shikshaon ko apnaate ho, Woh aapko aapkee kamzori dikhaega. Yadi aap Ishu Masih par ek vinamr hrday se bharosa karte hain, to Woh kamzor cheezon ko mazboot bana dega.21 Woh chamatkaaron ka Parmeshwar hai.

Kya iska matlab hai ki aap aur aapka parivaar chitr-paripoorn(picture-perfect) honge? Nahin. Lekin tum behtar banoge. Rakshak kee kripa se, thoda-thoda karke, aap un visheshtaon ko aur adhik viksit karenge jinkee maata-pita ko aavashyakta hai: Parmeshwar aur Uske bachchon ke liye pyaar, dhaerye, begarzi, Masih mein vishwaas, aur sahi chunaao karne ka saahas.

Ishu Masih apne Girjaghar ke dwara Sahaayta Pradaan Karte hai

Ishu Masih mein vishwaas banaane ka hamara prayaas ghar kendrit hai, vyakti par kendrit hai. Aur yah Girjaghar samarthit hai. Pavitr shaastron aur prophet ke shabdon ko uplabdh karne ke alaawa, Masih ka Girjaghar maata-pita aur bachchon ko sahee raasta chunne mein madat karne ke liye kaee sansaadhan pradaan karte hai:

Tasveer
For the Strength of Youth: A Guide for Making Choices
  • For the Strength of Youth: A Guide for Making Choices aapko kya karein ya kya na karein kee soochee nahin deta hai. Yah Ishu Masih ke jeevan aur shikshaon par kendrit chunaav karne mein madad karne ke liye anant sachchaai sikhaata hai. Use apne bachchon ke saath padhiye. Unhe unke baare mein baat karne ka mauka doh. Unkee madat karein ki ye anant aur divye sachchaai unkee pasand ka maargadarshan karein.22

  • FSY sammelan ek aur adbhut sansaadhan hain. Mujhe ummeed hai ki har yuva isme shaamil hoga. Mai in sammelanon mein salaahkaaron(mentors) aur counselors ke roop mein shaamil hone ke liye young single adults ko aamantrit karta hoon. Mai maata-pita ko us dhaarmik gati ke nirmaan ke liye aamantrit karta hoon jo unke yuva FSY sammelanon se ghar laate hain.

  • Bachche aur yuva Ishu Masih ka Girjaghar Antim-Dino ke Santo ka mein shikshak, salaahkaar, aur sanrakshak hain. Vishwaas aur gawahi ke nirmaan aur samarthan ke liye aksar aap ek mahatvapoorn kshan mein ek yuva vyakti ke jeevan mein pravesh karte hain. Aap me se kuch single adults(aviwaahit baalig) hai. Kuch ke apne bachche nahin huwe. Parmeshwar ke santaanon ke liye aapkee aanandpoorn sewa Parmeshwar kee drshti mein pavitr hai.23

Chamatkaar Par Bharosa Mat Hatana

Mere pyare doston, mere pyaare bhaaiyon aur bahano, ek bachche mein vishwaas paeda karna kuch hadh tak ek phool ko badhne mein madat karne jaisa hai. Aap ise lamba banaane ke liye tane(daar) ko kheench nahin sakte. Kali ko jaldee khilne ke liye aap uske bud ko khol nahin sakte. Aur aap phool ko nazarandaaz nahi kar skte hain aur yah apeksha nahin kar sakte hain ki yah jald se bhaari se khiljaae.

Badtee peedhee ke liye aap jo kar sakte hain aur karna chaahate hai woh hai paushtik, upjaao mittee pradaan karna bahate swargye jal tak ke pahunch ke saath. Jangali ped hatane aur aisee koi bhi cheez hata den jo swarg ke dhoop ko roke. Vikaas ke liye sarvuttam mumkin sthitiyaan banaein. Dhaeryepoorvak ubharti hui peedhi ko prerit raasta chunne dein, aur Parmeshwar ko apna chamatkaar karne dein. Parinaam adhik sundar aur adhik aashcharyejanak aur kisee bhee cheez kee tulna mein adhik aanandmay hoga jo aap kewal apne aap se kar sakte hain.

Swarg ke Pita ke yojna mein, parivaaron ke rishte hamesha ke liye hona chahiye. Yahi kaaran hai ki, ek maata-pita ke roop mein, aap kabhi haar nahin maante, bhale hee aapko is baat par garv na ho ki beete dino mein kya kya hua tha.

Ishu Masih jo, Maahir Changa-karne-waala aur Uddhaarkarta hai ke saath, hamesha ek nayi shuruaat ho sakti hai; Woh hamesha aashaa deta hai.

Ishu Masih parivaaron ki shakti hai.

Ishu Masih yuwaaon ki shakti hai.

Ishu Masih maata-pita ki shakti hai.

Iski gawahi mai Ishu Masih ke naam se deta hoon, amen.

Notes

  1. “Lagbhag har maata-pita mein janmjaat apne bachchon ko naitik gun sikhaane kee ichchha hotee hai. Yeh Swarg ke Pita ke yojna ke ek avashyak hissa hai. Yah swargye pita kee yojna ke chamatkaar ka hissa hai. Parivaar shaashvat kshetron kee basic sangathanaatmak unit hain, aur isliye vah chaahata hai ki ve bhee prithvee par basic unit hon. Phir bhee saansaarik parivaar paripoorn se bahut door hain, ve Bhagwaan ke bachchon ko prithvee par ekmaatr prem ke saath duniya mein svaagat karne ka sabse achchha mauka dete hain jo swarg mein mehasoos kiye gae pyaar ke kareeb aata hai—maata-pita ka pyaar. Parivaar bhee naitik gunon aur sachche siddhaanton ko sanrakshit karne aur paarit karne ka sabse achchha tareeka hai jo hamen Bhagwaan kee upasthiti mein waapas le jaane kee sambhaavna rakhte hain” (Henry B. Eyring, “Gathering the Family of God,” Liahona, May 2017, 20).

  2. Beshak, ham jaante hain ki Parmeshwar kee ichchha hamesha “prthvee par, jaisee swarg mein pooree hotee hai” nahin hotee hai” (Matthew 6:10). Parmeshwar ke aadarsh kee tulna mein nashvar pitrtv nishchit roop se feeka hai. Vah ise avashye dekhta hai. Use paarivaarik rishton mein sabhee dukhon aur dil ke dard par rona chaahiye. Aur phir bhee unhonne parivaar ko nahin chhoda hai. Aur Woh nahi chodhega, kyunki Parmeshwar ne ek vishaal yojna banaya hai Apne bachchon ki anant bhavishye ke liye, Us yojna me mukhye sthaan parivaar ka hai.

  3. Dekhiye Matthew 18:1–5; Mosiah 3:19.

  4. The Family: A Proclamation to the World,” ChurchofJesusChrist.org; Doctrine and Covenants 68:25–28 bhi dekhiye.

  5. Dekhiye “Learning at Home Is Founded on Relationships,” Teaching in the Savior’s Way: Un sabhee ke liye jo Ghar aur Church mein shiksha dete hain (2022), 30–31; Doctrine and Covenants 109:8 bhi dekhiye.

  6. Moroni 7:48.

  7. 1 Nephi 16:29; Alma 37:6–7 bhi dekhiye.

  8. Dekhiye “Learning at Home Consists of Small, Simple, Consistent Efforts,” Teaching in the Savior’s Way, 31. President David O. McKay sikhaata hai: “Hame yah nahin sochna chaahiye, kyonki kuchh [cheezein] … chhotee aur tuchch lagti hain, [ki] woh mahatvaheen hain. Akhirkaar, jeevan chhotee-chhotee cheezon se bana hai. Hamaara jeevan, hamaara astitv, shaareerik roop se, chhote dil kee dhadkan se bana hai. Hamaara jeevan, hamaara astitv, shaareerik roop se, chhote dil kee dhadkan se bana hai. Mahaan soory brahmaand mein ek shaktishaalee shakti hai, lekin ham [uskee] kirnon ka aasheervaad praapt karte hain kyonki ve chhote beem ke roop mein hamaare paas aate hain, jo kul milaakar poore vishv ko dhoop se bhar dete hain. Andheree raat ko chhote-chhote sitaaron kee tarah timatimaate hue sukhad bana diya jaata hai; aur isliye sachcha Esaai jeevan is ghante, is minat—ghar mein kiye gae chhote-chhote Masih-jaise kaaryon se bana hai”(Teachings of Presidents of the Church: David O. McKay [2003], 219).

  9. Dekhiye Helaman 5:30.

  10. Dekhiye 2 Kings 5:9–14.

  11. Dekhiye Exodus 16.

  12. Dekhiye “Preparing Your Children for a Lifetime on God’s Covenant Path,” Come, Follow Me—For Individuals and Families: New Testament 2023, appendix (sirf dijital).

  13. Dekhiye “Learning at Home Can Be Planned but Also Spontaneous,” Teaching in the Savior’s Way, 31; 1 Peter 3:15.

  14. Doctrine and Covenants 64:32–33.

  15. Dekhiye Matthew 2:13.

  16. Dekhiye Alma 40:1; 41:1; 42:1.

  17. Dekhiye 1 Samuel 16:7.

  18. Dekhiye 1 Nephi 15:8.

  19. Alma 5:13.

  20. Dekhiye “Love One Another,” Hymns, no. 308.

  21. Dekhiye Ether 12:27.

  22. “Bachchon ke maamle mein naitik maargdarshan dene kee zimmedaari maata-pita kee hotee hai. Weh pratyek bachche ke swabhaav, samajh aur buddhimatta ko jaante hain. Maata-pita apne pratyek bachche ke saath achcha vaartalaabh sthaapit karne aur banae rakhne ke liye jeevan bhar kharch karte hain. Weh apnee santaanon ke kalyaan aur bhalaee ke baare me antim naitik nirnay lene ke liye sabse achchi sthiti me hain” (James E. Faust, “The Weightier Matters of the Law: Judgment, Mercy, and Faith,” Ensign, Nov. 1997, 54).

  23. Ullekh ke laayak doh anye sansaadhan: Is saal ke digital version mein Come, Follow Me resource includes a new section titled “Preparing Your Children for a Lifetime on God’s Covenant Path.” Yah bachchon ko baptisma aur any vachano aur dharamvidhiyon ke liye taiyaar karne mein madat karne ke liye saral, ghar-kendrit vichaaron ka sujhaav deta hai. Aur naya revised(sanshodhit) Teaching in the Savior’s Way has a section titled “Home and Family” yah varnan karta hai ki kaise Masih ke samaan shikshan ke siddhaant ghar par laagoo hote hain (dekhiye pages 30–31).