Maha Sammelan
“Mere Anand Kee Tarah Atee Uttam Aur Meetee Baat Kuch Aur Nahi Ho Sakti”
April 2023 maha sammelan


“Mere Anand Kee Tarah Atee Uttam Aur Meetee Baat Kuch Aur Nahi Ho Sakti”

Pratidin pashchatap karna aur Ishu Masih ke paas aana anand ka anubhav karne ka tareeka hai—hamare kalpana se pare anand.

Uskee mrit(mortal )dekhrekh me, Rakshak ne Parmeshwar ke sabhee bachchon ke liye mahan daya dikhaee—khaaskar uske liye jo dukhi the ya jo ab imaandar nahi hai. Jab Phareesiyon se burai hua kee paapiyon ke saath meelna aur bhojan karne ke liye, Ishu ne teen jan-pahechan perabals ko sikhaate hue jawab diya.1 Ih har ek perabals me, Usne bhatake hue logon kee talaash karne ke mahatv par zor diya, aur khushi mehsoos karta hai jab laut aaye. Udhaaran ke liye, khoee huee bhed ke perabal me, Usne kaha,“[Bada] kee isee reetee se ek man phiranewaale paapi ke vishaye me bhee swarg me itna hi anaand hoga.”2

Aaj hamaar ichcha hai anand aur pashchaataap ke beech sambandh ke mazboot karna—ati khaas taur par, woh anaand jon tab aata hai jab ham pashchataap karte hai aur anand kee bhavna hame anubhav hoti hai jaisa ki ham dusron ko Masih ke paas aane aur unke jiwan me Unke praeshchit balidaan ko praapt karne ke liye aamantrit karate hai.

Ham Hai Kee Ham Khush Rahe[Ham Ko Bhavishye Aur Vartamaan Me Anand Kee Praapit Ho

Dharamshaastra me, anand aamtaur pe shabd ka matlab santosh ke beetane vaale samay se bahut adhik hai ya khushee kee bhaavna bhee. Ih context me anand ek eeshvariye gun hai, iskee purnata me paaya jaata hai jab ham Parmeshwar kee upasthiti me rehne ke liye waapas lautthee hai.3 Yah adhik gehra, uncha, sthaayee hai, aur jiwan badalne waala kisee bhee anand ya aaraam kee tulna me yah duniya pesh kar saktee hai.

Hamen anand lene ke liye banaya gaya tha. Ek premi Swargiye Pita kee santaan ke roop me yah hamari niyati naseeb hai . Woh Apna anand hamare saath baantna chahata hai. Profat Lehi ne sikhaya ki ham me se har ek ke liye Parmeshwar kee yojna yah hai ki ham “anand praapt karen.”4 Kyunki ham duniya me rehte hain jo bura se bharee hui hai, anand aksar nayab lagti hai. Toh bhi agle hi verse me, Lehi kehte jaata hai ki “Masiha [aaya] … [hamein] mukti dilaane patan se.”5 Rakshak Ishu Masih se hamen mukti miltee hai, anand ko mumkeem karta hai.

Susmachaar ka sandesh aasha ka sandesh hai, “mahaan anand ka shubh samaachaar,”6 aur jisse sabhee shaanti ka anubhav kar sakte hain aur anand ke avasaron ka anubhav kar sakte hain aur aane vaale jiwan me anand kee paripurnata praapt kar sakte hain.7

Jon anand kee ham baat karte hain vah vishvaasiyon ke liye ek uphaar hai, phir bhee yah ek keemat ke saath aata hai. Anand sasta nahi hai yayun hi nahi diya jaata hai. Balki, ise “[Ishu] Masih ke bahamulye lahoo se” chukaya gaya hai.8 Agar ham vaastav me sachche, ishvaariye anand ke mulye ko samajhte hain, ham kisee bhee saansaarik sampatti ka tyaag(sekreefais) karne me sankoch nahin karenge ya ise praapt karne ke liye koi aavashyak jiwan parivartan karen.

Mormon Dharamshaastra me ek shaktishaalee lekin vinamr raaja ne ise samjha. “Hamme konchi kare ke padi,” usne pucha, “ki hum Parmeshwar me janam lei, apan hriday se i dusht tika hua aatma ke nikaal ke, aur uske Aatma ke apnaai, ki hum anand praapt kari … ? Dekho, u bolis, hum apan sab sampati de dega, haan, hum apan raajye bhi de dega, ki hum i mahaan anand praapt kare paai.”9

Raaja ke prashn ke uttar me mishanari Aaron ne kaha, “Agar tumhe is baatki ichcha hai, … Parmeshwar ke aage jhuke … [aur] apne paapon par pashchatap kare.”10 Pashchatap aanand ka maarg hai11 kyunki yahi woh maarg hai jo Rakshak Ishu Masih kee or le jaata hai.12

Sachche man se Pashchataap karne se Anand Milti hai

Kuch logon ke liye, pashchaataap ko anand ke maarg ke roop me sochna virodhaabhaasee(contrdictory) lag sakta hai. Pashchataap, kabhi-kabhi dardnaak aur kathin ho sakta hai. Yeh swikaar karne kee aavashyakata hai ki hamare kuch soch aur kaarye—yaha tak ​​ki hamare kuch vichaar—galat rahe hain. Pashchatap ke liye bhee badlaav kee aavashyakata hotee hai, jo kai baar baechein(uncomfortbale) ho sakta hai. Lekin anand aur aaraam ek hee cheej nahin hai. Paap—aatmasantosh ke paap bhee—hamare anand ko seemit karta hai.

Jaisa ki psalmist ne bataya hai, “kadachitt raat ko Rona pade, parantu sabere anand pahuchega.”13 Jab ham apne paapon ka pashchatap karte hain, hamen aage aane vaale mahan anand par dhyaan dena chahiye. Raateinn lambee lag sakti hain, parantu sabera avashy hota hai, aur, oh, shaanti kitni uttam hai aur jab Rakshak ka Praeshchit hamein paap aur peeda se mukt karta hai to ham prakashmaan anand mehsoos karte hain.

Mere Anand Kee Tarah Atee Uttam Aur Meethee Baat Kuch Aur Nahi Ho Sakti

Mormon ki Pustak me Alma ke anubhav par vichaar karen. Woh “anant dukh se peedit tha” aur usake aatma ko sabhi paapon kee yantran ne athyadheek diya. Lekin ek baar jab woh daya ke liye Rakshak kee or muda, to woh “[apane] peedit ko phir yaad nahin rakh saka.”14

“Aur o, usne kaha,” “aur kya hee shest prakashmainne dekha; haan, … mere anand ki tarah atee uttam aur meetee baat kuch aur nahi.”15

Ih prakaar ka anand unhen uplabdh hai jo pashchaataap ke dwara Ishu Masih ke paas aate hain.16 Jaise President Russell M.Nelson ne sikhaya:

“Pashchatap Ishu Masih ke Praeshchit kee shakti tak hamari pravesh ko anumati deta hai. …

“Jab hum pashchataap kare ke chun leta, hum long badle ke chun leta! Hum Rakshak ke maoka deta hai hum log ke aur behtar rup se badle ke. Hum aatmik rup se badhe ke aur anand paawe ke chunta hai—Unke zariye mukti ki anand. Jab hum pashchataap kare ke chunta hai, hum long aur zyaada Ishu Masih ke rakam bane ke chunta!”17

Pashchatap anand laata hai kyunki yah hamare hrdayon ko Pavitr Aatma ke prabhaav ko praapt karne ke liye taeyaar karta hai . Pavitr Aatma se bhar jaane ka matlab hai anand se bhar jaana. Aur anand se bhar jaane ka matlab hai Pavitr Aatma se bhar jaana.18 Hamara anand badhta hai jaise ham roz kaarye karta hain Aatma ko apne jiwan me laane ke liye. Jaisa profat Mormon dwara sikhaya gaya tha: “Phir bhee vrat rakhne aur prarthna kiya karte aur deenta me aur Masih[me], ke [unke]vishwaas me dardh hote jaa rahe the jisse unki aatma me anand aur santosh yaha tak bhar utha tha.”19 Prabhu un sabhee ko vaada karta hai, “Main aapko … mera Aatma pradaan karunga, jo tumhara dhyaan ko raushni karega, jo tumhara aatma ko khushi se bharega.”20

Dusron ko Pashchatap Karne Me Madad Karne ka Anand

Sachche man se pash‍chatap karne se milnewaale anand ko mehsoos karne ke baad, ham svaabhaavik taur par us anand ko dusron ke saath baatana chahate hain. Aur jab ham aysa karte hain, to hamara anand badh jaata hai. Yahi Alma ke saath hua.

“Aur mera mahima yahi hai,” usne bataya, “ki kuch aatmaon ko pashchatap me laane ke liye Parmeshwar ke haath ka mai sambhawat ek saadhan ban saku; aur yahi mera anand hai.

“Aur sunno, jab main apne bahut se bandhuo ko pashchatap karte aur apne Prabhu Parmeshwar ke paas aate dekhta hoon tab meri aatma anand se bhar uthtee hain aur main yaad karta hoon ki Prabhu ne mere liye kya kiya hain, haan, tab main uske dayamae us haath ka bhee samran karta hoon jisse usne meri aur faelaya hain.”21

Dusron ko pashchatap karne me madad karna Rakshak ke prati hamari krtagyata kee svaabhaavik abhivyakti hai, aur yah bade aanand ka srot hai. Prabhu ne vaada karis:

“Agar aisa ho ki tum … lae, mujh me ek aatma, mere Pita ke raajye me kitna mahaan tumhara khushee hoga!

“Aur ab, agar tumhara khushee mahaan hoga us aatma ke saath jise tumne mere paas mere Pita ke raajye me lae ho, kitna mahan tumhara khushee hoga agar tum mere paas kai aatmaon ko laoge!”22

Usko kitni Khushi Milti hai us Aatma mein Jo Pashchataap karta hai

Har baar jab ham apne jiwan me Unke praeshchit ke balidaan ka ashirvaad praapt karte hain toh Rakshak ko jo anand mehsoos karni chahiye uskee kalpana karne kee koshish karna mujhe madadgaar lagta hai.23 Jaise President Nelson ne udhaaran diya,24 Apostal Paul ne Hebrews ko likhee apani Patree me is komal antardrshti ko baataya “Har ek … paap ko door kar do jo hamen itnee aasaanee se gher lete hain, … Ishu kee or dekhte raho jo hamare vishwaas ka karta aur siddh karne vaala hai jisne us anand ke liye jo uske aage dhara tha, kroos ka dukh saha … aur Parmeshwar ke sinhaasan ke daahine ja baitha.”25 Ham aksar Gethsemane aur Calvary ke dard aur peeda ke baare me baat karte hain, lekin shaayad hee kabhee ham us mahan anand ke baare me baat karte hain jab Rakshak ne hamare liye Apna jiwan arpit kiya tha. Spasht roop se, Uska dard aur Uska kasht hamare liye tha, taaki ham Uski saath Parmeshwar kee upasthiti me lautane kee khushee ka anubhav kar saken.

Praacheen America me logon ko shiksha dene ke baad, Rakshak ne yah kahate hue unake prati apana mahan prem vyakt kiya:

“Ab, dekho, tumhare karan mera anand bahut badh gaya hai, yaha tak ki poornata tak … ; haan, aur yaha tak ​​ki ita bhee anandit hota hai, aur sabhee pavitr swargdut bhee. …

“… [Tum] me hamar paas anand kee paripurnata hai.”26

Masih ke paas Aao aur Usaka Anand Praapt Karo

Bhaaiyon aur bahanon, main apni vyaktigat gawahi ko baatna chahata hue samaapt karta hoon, jise main ek pavitr upahaar maanta hoon. Ham gawahi deta ki Ishu Masih is duniya ke Rakshak aur Muktidata hai. Mujhe pata hai ki woh ham me se pratyek se pyaar karta hai. Unka ekmaatr dhyaan, Unka “kaarye aur [Unkee] mahima,”27 hamen Unmen anand kee paripurnata praapt karne me madad karne ke liye hai. Main ek vyaktigat gavaah hoon ki pratidin pashchatap karna aur Ishu Masih ke paas aana anand ka anubhav karne ka tareeka hai—hamare kalpana se pare anand.28 Isiliye ham yaha prthvee par hain. Yahi karan hai ki Parmeshwar ne hamare liye sukh kee Apnee mahan yojna taeyaar kee. Ishu Masih vaastav me “raasta, sachchaee aur jiwan” hai29 aur swarg ke neeche diya gaya ekamaatr “naam jisake dwara manushy ko Parmeshwar ke raajy me bachaaya ja sakta ha.”30 Main yah gawahi Ishu Masih ke pavitra naam se deta hoon, amen.