Maha Sammelan
Dekhrekh Karna
April 2023 maha sammelan


Dekhrekh Karna

Aao ham aage badhein aur hamaare Uddharkarta kee tarah dekhbhaal karein, vishesh roop se unke liye jinhen hamein pyaar aur dekhrekh ke kaarye ke dwaara kaam mila hai.

Pyaare bhaaiyo aur bahano, doston, maha sammelan me aapka swaagat hai!

Pichle October ke maha sammelan ke baad, Bahan Gong aur main hello kahane aur aapke susamaachaar ke anubhavon ko sunne ke liye Sammelan Kendr mein ghoome.

Hamaare Mexico ke sadasyon ne kaha, “Hoy es el tiempo de Méxicoi.”

Tasveer
Gilly aur Mary Elder aur Bahan Gong ke saathe

Hamne jaana ki Gilly aur Mary dost hai England se. Jab Mary Girjaghar mein shaamil hui, usne apne rahane waale jagah ko kho di. Gilly ne uddaarta poorwak Mary ko apne saath rahene ka nimantran diya. Poore vishwaas ke saath, Gily kahete hai, “Maine kabhi shak nahi kiya ki Prabhu mere saath hai.” Sammelan mein, Gilly ne khushaal poornamilan ki us bahan arimishan se jisne use 47 saal pahele baptisma diya tha.

Tasveer
Jeff aur Melissa Elder aur Bahan Gong ke saathe

Jeff aur uski patni, Melissa, maha sammelan me paheli baar bhaag le rahe the. Jeff peshevar baseball khelta tha (vah ek pakadne vaala tha) aur ab ek physician anesthesiologist hai. Usne mujhe bataya, “Mere ascharye ke liye, Main baptisma ki or bad raha hu kyonki yah jeene ka sabse praamaanik aur sachchaa tareeka lag raha hai.”

Isse pahale, Melissa ne Jeff ke dekh rekh karne waale bhaiyon se maafi manga tha, “Jeff ‘safed shirts’ apne ghar par nahi chahata tha.” Dekhrekh karne waale bhaai ne kaha, “Main raasta khoj lunga.” Ab woh aur Jeff achche dost hai. Jeff ke baptism mein, main Antm-din Santo ki ek jhund se mila jise Jeff, Melissa aur unki beti Charlotte pyaar karte hain.

Ishu Masih ke chelein hone ke naate, ham dusaron kee sewa karana chaahate hain jaise vah karega kyonki jeevan badalane kee prateeksha kar raha hai.

Jab Peggy ne mujhe bataaya ki uska pati, John, shaadee ke 31 saal baad baptisma lene jaa raha hai, to maine poocha ki kya badal gaya hai.

Peggy ne kaha, “John aur main Naya Niyam padh rahe the Come, Follow Me, aur John ne Girjaghar ke sidhaantoh ke baare me poocha.

Peggy ne kaha, “Kyon na ham mishanaris ko amantrit kare.”

John ne kaha, “Mishanaris nahi—jab tak mere dost nahi aa sakte.” 10 varshon mein, John ke dekhrekh karne waale bhai uske bharosa karne waala dost ban gaye the. (Maine socha, kya hoga agar John ke dekhrekh karne waala bhai ek, doh, ya nao saal mein aane ko band kar deta?)

John ne suna. Usne Mormon Dharamshaastra ko vaastavik iraadoh se padha. Jab mishanaris ne John ko baptisma ke liye nimantran diya, usne haa kaha. Peggy ne kaha, “Main achambhe me apne kursi se gir gaee aur rone lagi.”

John ne kaha, “Jaise hee main Prabhu ke kareeb aata gaya, main badal gaya.” Baad mein, John aur Peggy pavitra mandir mein seal ho gaye. Pichle December ko, John ka 92 varsh mein dehaant ho gaya. Peggy kahati hai, “John hamesha se ek achcha insaan tha, lekin wah ek alag tarike sa baptisma ke baad badal gaya tha.”

Tasveer
Jenny aur Meb

Bahan Gong aur main Meb aur Jenny ko COVID mahamaari ke dauraan vidio me mile the. (Ham ne COVID ke dauraan kayi adbhut dampatiyon aur vyaktiyon se vidio ke maadhyam se mile, ek ek karke praathna poorwak apne stake president ke dwara pehchaan mein laaye gaye.)

Meb aur Jenny ne vinamrtaapoorvak kaha ki unke jeevan mein chintaaon ne unhein aascharyechakit kar diya ki kya unka mandir vivaah bachaaya jaa sakta hai, aur yadi haan, to kaise. Unhe vishwaas tha ki Ishu Masih ka Praeshchit aur unki vaacha kee pratibaddhataen unki madad kar sakti hain.

Kalpana karo meri kushi jab Meb aur Jenny apne nayi temple recommend ko praapt kee aur ek saath Prabhu ke bhavan mein laut aae. Baad mein Meb lagbhag marne waala tha. Wah kya asheesh hai Meb aur Jenny ne Prabhu aur ek doosare ke saath vaacha ke rishtoh ko punarsthaapit kiya aur apne chaaron or bahuton ke sevakaee prem ko mahasoos karte hain.

Jaha bhi main jaata hu, main abhaar rop se un logo se seekhta hu jo dekhrekh karte hai aur Rakshak ki tarah dekh bhaal karte hai.

Tasveer
Salvador Elder aur Bahan Gong ke saathe

Peru mein, Bahan Gong aur mainne Salvador aur uske bhai bahan se mila.1 Salvador aur unke bhai bahan anaath hai. Salvador ka janamdin thaa. Girjaghar ke neta aur sadasye jo emaandaari se is parivaar kee seva karte hain, mujhe prerit karte hain. “Shuddh dharm aur nirmal”… wah hai, Ki anaatho aur vidhwaao ke paas jaana,”2 “nirbalon kee sahaayata karna, neeche latakne waale haathon ko upar uthaana, … kamzor ghutnon ko mazboot karna.”3

Hong Kong mein, ek elders koram president vinaypoorvak bataata hai ki kaise unka parishad lagaataar 100(sao)- pratishat quorum ke dekhrekh intarvius aayojit karta hai. “Ham praarthnaapoorvak companionships ka aayojan karte hain taaki har koi kisee ki dekhbhaal kar sake aur uski dekhbhaal kee ja sake,” woh kahate hain. “Ham niyamit roop se sabhi companionship se unke baare mein poochhte hain jinki woh dekhrekh karte hain. Ham boks chek nahin karate hain, ham un ministers kee dekhrekh karte hain jo hamaare logon kee parvaah karte hain.”

Tasveer
Bokolo pariwaar

Kinshasa, Democratic Republic of the Congo mein, President Bokolo bataata hai ki kaise weh log France mein Girjaghar mein shaamil hue. Ek din, jab wah apne patriarchal blessing ko padh raha tha, Aatma ne Bhai Bokolo aur unke parivaar ko DR Congo lautne ke liye prerit kiya. Bhai Bokolo jaanta thaa ki lautne par use bahut se kathinaiyon ka saamna karna padega. Aur unke Girjaghar, Ishu Masih ka Girjaghar Antim-dino ke Santon ka, abhi tak Kinshasa mein nahi sthaapit kiya gaya tha.

Phir bhi, vishwaas mein, jaisa ki kayie anye logon ke paas hai, Bokolos ne Prabhu kee aatma ka anusaran kiya. Kinshasa mein, unhonne dekhrekh ki aur apne aaspaas waalon ko asheervaad diya, chunautiyon ko paar kiya, aadhyaatmik aur laukik(temporal) aasheervaad praapt kiya. Aaj, weh apne desh mein Prabhu ka ghar paa kar kushyaali manate hai.4

Ek convert ko neeji anubhav ke dwara dekhrekh kiya gaya. Jab jawaan purush tha, usne kaha unhonne apne din samudra tath par mauj-masti karte hue bitae. Ek din, unhonne kaha, “Mainne ek aakarshak ladki ko ek sushil(modest) swimsuit mein dekha.” Ashcharye me, woh puchne gaya kyun itni akarshak ladki ek sushil swimsuit pahnegi. Wah Ishu Masih ka Girjaghar Antim-dino ke Santo ka ek sadasye thi aur ek muskurahat ke saath poocha, “Kya aap Raviwaar ko girjaghar aana pasand karenge?” Usne kaha ji haan.

Saalo pahale, Elder L. Tom Perry ne share kiya ki kaise wah aur uska saathi niyamit roop se ek bahan kee dekhrekh karte the jo Boston ke ek ashaant pados mein akele rahati thi. Jab Elder Perry aur uske saathi pahunche, bahan ne saaodhaani se nirdeshit kiya, “Apne temple recommend ko darwaaze ke neeche se dhakele(slide).” Temple recommend dekhne ke baad hee wah kayi taalon ke baad darwaaze ko kholti.5 Beshak, main yah nahin kah raha hoon ki dekhrekh karne waale saathiyon ke liye temple recommend ki aavashyakta hai. Lekin main is vichaar se pyaar karta hoon ki jo anubandh dekh rekh waalo ka sammaan karte hain, ghar kholte hain aur dil kholte hain.

Elder Perry ne vyavaahrik(practical) salaah bhi dee. Usne kaha, “Saathiyon ko uchit sankhya mein assignments deh, prarthnapoorvak chunna gaya, bhaugolik(geographically) roop se klastar kiya gaya jahaan upayukt ho isliye yaatra ke samay ka achchhee tarah se upyog kiya jaata hai, wah salaah dete hai.” Usne salaah diya, “Unse shuruat karo jinhe zyada milne ki zaroorat hai. Yatraon ka swaagat karne aur achchee pratikriya dene kee sabse adhik sambhaaona waale logon se nirmaan karein.” Usne khatm karte hue kaha “Vishwaasyogye sangati chamatkaar laati hai.”

Bada aur mahaan dekhrekh6 aata hai jab ham praathna karte hai “Masih ka shudh prem”7 aur Aatma ka paalan karne se. Yah elders quorum aur Sahayak Sanstha presidencies ke roop mein bhee aata hai, Bishop ke nirdeshan mein, dekh rekhkarne waalo ka prayaas ki nigraani karna, saath mein dekhrekh jodo ko kaam dena. Kripya hamaare yuva purshon aur yuvatiyon ko saath dene aur anubhavee dekh rekh karne waale bhaaiyon aur bahanon dwaara salaah diye jaane ka avasar dein. Aur kripya hamaaree yuva ubharte peedhee dekhrekh karne waale bhai aur bahan saathiyon ko prerit karein.

Girjaghar ke kuch jagaho par, hamaare paas dekhrekh me faasla hota hai. Adhik log kahate hain ki weh dekhrekh karte hai na ki unki dekhrekh kee jaa rahi hai. Ham checklist ke leke chinta nahi chahate hai. Lekin aksar hamein bada holl ya kaaryekram mein ek emandaar hello se zyaada kee zaroorat hoti hai “Kya main aapki madat kar sakta hu?” parking sthal mein. Bahut se jagaho par, ham wahan pahunch sakte hai, doosron ko samjhe ki woh kaha hai, aur sambandh tak banaate hain jab ham niyamit roop se sadasyon se unke ghar pe milte hain. Prerna se bhara nimantran jiwan badal deta hai. Jab nimantran hamein pavitr vachano ko banaane aur rakhne mein madad karta hai, ham Prabhu aur ek doosre ke kareeb aate hai.

Yah kaha jaata hai ki jo dekhrekh ke sahi maaine ko samajhte hai weh pahele se aur zyaada karte hai, jabki jo nahin samajhte woh kam karte hain. Aaiye ham aur adhik karein, jaise hamaare Uddhaarkarta karega. Jaise hamaare hymn kahate hai, wah hai “kartavvye aur prem ka ek ashirvaad.”8

Ward councils, elders quorums aur Sahayak Sansthaaen(Relief Societies), kripya Achche Charwaaha ki baat sunein aur Use madat kare “jo kho gaya hai use dhoonde, … unhe waapas laao jo raasta bhatak gae, … jo toota tha use sambhaalo, … joh bimaar the unhe taakat doh.”9 Ham “anjaane mein swargyedoot” ka manoranjhan kar sakte hai10 jaise ham Uskee room(inn) mein sabke liye jagah banaate hain,11

Prerna bhara dekhrekh parivaaron aur vyaktiyon ko asheesh deti hai; yeh ward aur branches ko bhee mazboot karte hai. Apne ward ya branch ko aadhyaatmik ecosystem tantr ke roop mein sochein. Mormon Dharamshaastra kee bhaavna mein jaitoon(olive) ke pedh ka roopak(allegory) hai, bageeche ka Prabhu aur uske sevak keemtee fal laate hain aur sabhee pedon kee taakat aur kamzoriyon ko ek saath jodkar pratyek ped ko mazboot karte hain.12 Bageeche ke Prabhu aur sevak baar baar poochte hai, “Main aur kya kar sakta hu?”13 Saath mein, weh dilon aur gharo, ward aur branches ko asheervaad dete hai, prerna bhare nirantar dekhrekh ke maadhyam se.14

Tasveer
Jadon aur shaakhaon ko aapas mein jodna

Dekhrekh karna—charwaaha giri karna—hamaare bageeche ko “ek shareer”15—ek pavitr grove banaata hai. Hamaare grove mein pratyek ped ek jeevit parivaar ka ped hai. Jaden aur shaakhaen aapas mein jude hue hai. Dekhrekh peediyon ko ashirvaad deti hai. Jab sewa is zaroorat hoti hai, bhudhimaan bishops, elders koram aur Sahayak Sanstha ki presidencies poochte hai, “Dekhrekh waali jodiya kaun hai?” Ward councils and dekhrekh ke intarvius na keval chunautiyon ya samasyaon ke baare mein poochte hain balki hamaare jeevan mein Prabhu kee kayi komal dayaon ko dekhne aur aanandit hone ke liye aankhon se dekhte hain jaise ham sevakaee karate hain jaise Woh karega.

Hamaara Uddhaarkarta hamaara uttam udhaaharan hai.16 Kyonki Woh achcha hai, Woh achcha karte jaa sakta hai.17 Wah ek aur 99 ko aashish deta hai. Wah dekhrekh kar raha hai. Ham Ishu Masih ke samaan adhik ban jaate hain jab ham “inme se … sabse chhote se chhote” ke saath waisa hee karte hain jaisa ki ham uske saath karte hain,18 jab ham apne padosiyon ko apne jaisa prem karte hai,19 jab ham “ek doosre se prem karte hai; jaise maine tumse prem kiya,”20 aur jab “jo koee tum mein bada hona chaahiye wah tumhaara sewak bane.”21

Ishu Masih dekhrekh karta hai. Swargyedoot dekhrekh karta hai.22 Ishu Masih ke peeche jaane waale “ek doosre ka dekhrekh karte hai,”23 “jo anand rahate hai unke saath anand mein rahe, jo rote hai unke saath ro,”24 “pahera dena [aur] … dhaarmikta se sambandhi cheezon ke saath [logon] ka poshan karein,”25 “yaad rakhe … gareebo aur zarooratmando ko, beemar aur peeditoh ko,”26 hamaare dekhrekh ke dwaara Uska naam jaana jaye.27 Jab ham Unke tarah dekhrekh karte hai, ham Unke chamatkaaron ke sakshi ban jaate hai, Uski ashirvaadon.28 Ham “ek adhik utkrsht(excellent) sewakaai praapt karte hai.”29

Ham shareerik roop se thak sakte hai. Lekin Unkee sewa mein ham “bhalaai ke kaam karne se nahin thakte.”30 Ham apni lagan se sabse behtar karte hain, hamaare paas jitnee shakti hai, usse adhik tej mat daudo,31 par bharosa rakho, jaise Devdut Paul sikhlaata hai, ki “Parmeshwar kushi se denewaale se prem karta hai.”32 Kyonki Parmeshwar “boney waale ko beej deta hai, aur dono aapkobhojan deta hai, aur jitna beej boya hai use dugna karte hai.”33 Dusre shabdo meh, Parmeshwar “har cheej ko sabhee udaarta se dher karte hain.”34 Jo “bahut bote hain, weh bahutaayat se kaatenge bhee.”35

Jaha bhee ham hai is Easter season mein, aao ham aage badhein aur hamaare Uddharkarta kee tarah dekhbhaal karein, vishesh roop se unke liye jinhen hamein pyaar aur dekhrekh ke kaarye ke dwaara kaam mila hai. Aisa karne mein, kaash ham Uske aur ek-doosare ke kareeb aaye, Uske jaise aur Ishu Masih ke anuyaayee banane se Woh hamen chaahata hai. Unke pavitra naam se, Ishu Maseeh, amen.