Maha Sammelan
Vachano ke Dwara Parmeshwar kee Shakti ko Paana
April 2023 maha sammelan


Vachano ke Dwara Parmeshwar kee Shakti ko Paana

Jab aap vachanbadh maarg par chalte hain, baptisma se lekar mandir tak aur jeevan bhar, mai aapko praakrtik saansaarik bahaao ke khilaaph jaane kee shakti ka vaada karta hoon.

Pichle November, mujhe Belém Brazil Mandir ko samarpit karne ka saubhaagye mila tha. Northern Brazil mein Girjaghar ke samarpit sadasyon ke saath hona ek khushi ki baat thee. Us samay, mujhe pata chala ki Belém us jagah ke kareeb hai jahan duniya kee sabse shaktishaalee nadee, Amazon Nadee, samudar se judti hai.

Nadee kee taakat ke baavajood, saal mein do baar kuchh apraakrtik hota hai. Jab sooraj, chaand aur prithvee ek line mein hote hain ek tarah se, to paanee ke praakrtik bahaao ke baavajood, ek shaktishaalee lahar nadee mein aati hai. Che(6) meter oonchee laharen1 dhaara ke pratikool pachaas kilomeetar bahatee huee2 upri disha me ke baare me likha gaya hai. Yah ghatana, jise zyada kar ke tidal bore ke naam se jaana jaata hai, ko sthaaneey roop se pororoca, ya “mahaan garajna” ke naam se bulaya jaata hai, kyonki yah zor aavaaz banata hai. Hum sahee dhang se samaapt kar sakte hain ki shaktishaalee Amazon ko bhee swargiye shaktiyon ke aage jhukana chaahiye.

Amazon ki tarah, hamare jeevan me ek praakrtik bahaao hai; hum wahi karte hai jo swabhaavik roop se aata hai. Amazon ki tarah, swarg ke madad se hum apraakrtik dikhne waali cheezein kar sakte hain. Akhir me, yah hamare liye swabhaavik nahi hai ki hum vinamr, vineet, ya apni ichcha ko Parmeshwar ke saamne prastut karne ke liye raazi ho. Phir bhi sirf yahi kar ke hum badal sakte hain, laut kar bhagvaan ke chaaya, aur apne shaswat naseeb ko praapt kar sakte hai.

Amazon ke vipreet, hum chun sakte hai ki kya hum swargiye shaktiyon ke saamne jhukein ya “bahaao ke saath chalein.”3 Bahaao ke vipreet jaana mushkil ho sakta hai. Lekin jab hum “Pawitr Aatma ke aakarshan” ke aage jhuk jaate hai aur prakritik aadmi ya aurat ki swaarth ko door kar dete hain,4 hum apne rakshak ke zindagi badalne ki taaqat haasil kar sakte hai, mushkil kaam karne ki taaqat.

President Russell M. Nelson ne hamein ye karna sikhaya hai. Usne vaada kiya hai ki, “Har woh vyakti jo baptisma ke phont aur mandiron me vachano ko leta hai—aur unhein paalan karta hai—Ishu Masih ki shakti tak ki pahunch badha chuka hai … [uthaane ke liye] hamein is gire huwe duniya se.”5 Doosre shabdon me, hum Parmeshwar ki shakti ko paa sakte hai, lekin tabhee jab hum pavitr vachano ke dwara Usse judte hain.

Prithvi ke banne se pehle, Parmeshwar ne vachano ko tantr ke roop me sthaapit kiya jiske dwara hum, Unke bachche, apneaap ko Unse jodh paaenge. Anant, na badalne waala kaanoon ke aadhaar par, Parmeshwar ne gaer-parakramy sharton ko nirdharit kiya jisse hum roopantrit, bachae gae aur unnat kiye gaye hai. Is jiwan me, hum in vachano ko purohiti dharamvidhiyon me bhaag lekar aur jo Parmeshwar humse karne ke liye kehta hai use karne ka vaada karke karte hai, aur badle me, Parmeshwar hamein kuch ashirwaadon ka vada karte hain.6

Ek vachan ek pratigya hai jiske liye hamein taiyaar rehna chahiye, spasht roop se samajhna chahiye, aur poori tarah sammaan karna chahiye.7 Parmeshwar ke saath ek vachan ko banana, yoohi ek vaada karne se alag hai. Sabse pehle, purohiti adhikaar zaroori hai. Dusra, ek kamzor vaada me hamein praakrtik bahaao ke khinchaao se oopar uthaane ke jodne waali taaqat nahi hoti hai. Hum ek vachan tabhee banate hain jab hum ise poora karne ke liye asaadhaaran roop se khud ko ise puraa karne ka iraada rakhte hain.8 Hum Parmeshwar kee vachanbadh santaan aur Uske raajye ke uttaradhikaari bante hain, vishesh roop se tab jab hum khud ko puuree tarah se vachan ke saath dekhte hain.

Woh shabd vachanbadh maarg kuch vachanon ke baare me hai jiske dwara hum Masih ke paas aate hai aur Unse judte hai. Is vachan ke bandhan ke dwara, hum Unki anant shakti ko paa sakte hai. Yeh maarg Ishu Masih me vishwaas aur pashchataap ke saath shuru hota hai, iske baad baptisma aur Pavitr Aatma milta hai.9 Ishu Masih ne hamein baptisma lekar dikhaya ki kaise maarg me daakhil hona hai.10 Mark aur Luke mein Naye Niyam ke susamaachaar ke anusaar, Swargiye Pita ne Ishu ke baptisme par seedhe baat kee, “Too mera priy Putr hai; main Tujh se prasann hoon.” Jab hum baptisma ke dwaara vachanbadh maarg par chalte hain, to mai kalpana kar sakta hoon ki Swargiye Pita hum mein se pratyek ke lie ek samaan baat kah rahe hain: “Too mera priy bachcha hai jisase Mai prasann hoon. Jaate rehna.”11

Baptisma ke samay aur jab hum prabhubhoj grahan karte hain,12 hum gawahi dete hain ki hum Ishu Masih ka naam apne upar lene ke liye raazi hain.13 Iss sandarbh me, aaiye hum Puraane Niyam kee aagya ko dhyaan me rakhein, “Too apne Prabhu Parmeshwar ka naam bekaar me naa lena.”14 Hamare adhunik kaano ke liye, yeh Parmeshwar ke naam ka ashradhaa-purwak upyog karne ke prati rukawat jaisa lagta hai. Is aagya me yeh kaha jaata hai ki, lekin iska aadesh aur gehra hai. Jon Hebrew shabd anuwaad kara ge hai “lena (take)” ke liye uske matlab hai “upar karna” ya “uthaana,” jaise koi ek jhanda ko upar karta ki woh pehchaana jaae ek insaan ya insaandal ke saath.15 Jon shabd anuwaad kara ge hai “bekaar (vain)” ke liye uske matlab hai “khokla” ya “bematlab ka.”16 Iss prakaar Prabhu ka naam na lene ke aagya ka arth ho sakta hai, “Aapko Ishu Masih ke chele ke roop mein pehchaan deni nahi chaahiye jab tak ki aap Use sahee se pesh karne ka iraada nahin rakhte.”

Hum Unke shishye ban jaate hain aur uchit roop se Unko pesh karte hain jab hum vachano ke dwaara jaanboojhkar aur vriddhisheel roop se apne aap pe Ishu Masih ka naam lete hain. Humaare vachanein hamein vachanbadh maarg par bane rahne ke shakti de hain kyonki Ishu Masih aur humaare Swagiye Pita ke saath humaara sambandh badal gaya hai. Hum Unse ek vachan ke bandhan se jude hue hain.

Vachanbadh maarg mandir ke dharmvidhiyon ke or le jaata hai, jaise ki mandir(temple) endowment.17 Endowment pavitr vachano ka Parmeshwar ka uphaar hai jo hamein Unse pooree tarah jodta hai. Endowment me, hum vachan lete hai, pehle, ki Parmeshwar ke aagyaaon ka paalan karne ki koshish karenge; dusra, tute hirday aur shokhart aatma se pashchataap karenge; teera, Ishu Masih ke susamachaar ko jiyenge. Hum aysa karte hai Unme vishwaas aazmaane se, Parmeshwar ke saath vachano ko bana kar jab hum uddhaar aur unnati ke dharamvidhiyon ko paate hai, aur koshish karte hai un do mahaan aagyaaon ka paalan karne ko Parmeshwar aur padosi se prem. Hum, chautha, shudhtta ko kaayam rakhne ke vachan ka paalan karenge aur, paachwa, khud ko aur jo kuch ka Prabhu ne hamein asheesh diya hai ko samarpit karte hai Unke Girjaghar ko badhane me.18

Mandir ke vachano ko banane aur paalan karne se, hum Prabhu ke uddeshyon ke baare me adhik seekhte hain aur Pavitr Aatma kee poornata praapt karte hain.19 Hamein apne jeevan ke liye disha miltee hai. Hum apne shishyetav me purn viksit hote hain taaki hum sada, apirichit bachche na rahein.20 Balki, hum ek anant drshtikon ke saath jeete hain aur Parmeshwar aur doosron ke seva karne ke liye adhik prerit hote hain. Hum maransheelta mein apne uddeshyon ko poora karne ke liye zyaada kshamata praapt karte hain. Hamein buraai se suraksha milta hai,21 aur hum galti karte hai to hamein behkaawa ka virodh karne aur pashchataap karne ke adhik shakti praapt hotee hai.22 Jab hum ladkhadaate hain, to Parmeshwar ke saath hamare vachano ki yaad hamein maarg pe laotne me madad karti hai. Parmeshwar ke shakti se judhkar, hum apne aap ka pororoca ban jaate hain, jo jeevan bhar aur anant kaal tak duniya ke pravaah ke khilaaph jaane mein saksham hote hain. Anth me, hamari niyati badal jaatee hai kyunki vachanbadh maarg utkarsh aur anant jeevan ke or le jaata hai.23

Baptisma ke phont aur mandiron me bane vachano ko nibhaana bhee hamein maransheelta ke parikshaaon aur dil ke dard ka saamna karne ki shakti pradaan karta hai.24 In vachano se juda siddhaant hamare maarg ko aasaan karta hai aur aasha, aaraam, aur shaanti pradaan karta hai.

Mere aaji-aaja Lena Sofia aur Matts Leander Renlund ne 1912 me Finland me Girjaghar me shaamil hone par apnee baptisma sambandhit vachan ke maadhyam se Parmeshwar ki shakti praapt kee. Woh Finland me Girjaghar ke pehle shaakha(branch) ka hissa bankar khush the.

Paanch saal baad Leander tuberculosis se guzar gaye jab Lena apne daswe bachche ke saath garbhwatee thee. Woh bachcha, mera pita, Leander ke mrtyu ke do maheene baad paida hua tha. Lena ne aakhirkar na kewal apne pati ko balki apne das bachchon me se aath ko bhi dafnaya. Ek gareeb vidhwa ke roop me, woh sagharsh kartee rahee. 20 saal tak unhein raat ko achchee neend nahi milee. Woh din me, apne parivaar ke liye bhojan uplabdh karne ke liye mehnat kartee thee. Raat mein, woh parivaar ke marne waale sadasyon ki dekhbhaal kartee thee. Yeh kalpana karna kathin hai ki usne kaise sab kiya hoga.

Lena drdh rahee kyunki woh jaantee thee ki uske mare huwe pati aur bachche anant kaal tak uske ho sakte hain. Anant parivaaron sahit mandir ke aasheeshon ke siddhaant ne use shaanti dee kyunki woh sealing(bandhne) ki shakti par bharosa kartee thee. Maransheelta me rehte huwe, use na toh uskee endowment milee aur na hee use Leander ke saath bandhne ka maoka, par Leander uske jeevan mein ek mahatvapoorn prabhaao aur bhavishye ke liye uskee mahaan aasha ka hissa bana raha.

1938 me, Lena ne abhilekh prastut kiye taaki uske mrt parivaar ke sadasyon ke liye mandir ke dharamvidhiyaan kee jaa sakein, jinme se kuch sabse pehle Finland se prastit kee gaayi theen. Uske marne ke baad, uske, Leander aur uske mare huwe bachchon ke liye anye logon dwara mandir ke dharamvidhiyaan kee gaayi. Proxy dwara, woh endow hui, Lena aur Leander ko ek doosare ke saath seal kar diya gaya tha, aur unke mare huwe bachchon aur mere pita ko unke saath seal kar diya gaya tha. Doosaron ke tarah, Lena “vishwas me mar gayi, vaadon ko praapt nahi kiya, lekin unhein door se dekha, … [tha] unhein manaa liya, aur unhein gale laga liya.”25

Lena aise jeetee thee jaise ki usne apne jeevan mein in vachanon ko pahile hee bana liya ho. Vah jaantee thee ki uske baptisma aur prabhubhoj sambandhi vachano ne use Rakshak se joda tha. Usne “[Rakshak ke] pavitr sthaan kee meethee laalsa [uske] ujaad hriday me aasha laai.”26 Lena ne ise Parmeshwar ke mahaan daya me se ek maana ki usne apne jeevan me traajediyon ka anubhav karne se pahale anant parivaaron ke baare mein seekha. Vaachan ke dwaara, usne sahan karne aur apnee chunautiyon aur kathinaiyon ke dabaanewaale khinchaav se oopar uthane ke liye Parmeshwar ke shakti praapt kee.

Jab aap vachanbadh maarg par chalte hain, baptisma se lekar mandir tak aur jeevan bhar, mai aapko praakrtik saansaarik bahaao ke khilaaph jaane kee shakti ka vaada karta hoon—seekhne ki shakti, pashchaataap karne aur pavitr hone ki shakti, aur aasha, sahanubhuti, yahan tak ki anand paane ki shakti jab tum zindagi ke chunaotiyon ka saamna karoge. Mai aapko aur aapke parivaar ko virodhee ke prabhaav se suraksha ka vaada karta hoon, khaaskar jab aap mandir ko apne jeevan me ek pramukh sthaan denge.

Jab aap Masih ke paas aate hain aur vachan ke dwaara Usse aur humaare Swargiye Pita se judte hain, to kuch apraakrtik hota hai. Aap parivartit hote hain aur Ishu Masih me poorn bante hain.27 Aap Parmeshwar ke vachanbadh bachche aur Uske raajye ke uttaradhikaaree ban jaate hai.28 Mai kalpana kar sakta hoon ki Woh aapse keh raha hai, “Too mera priye bachcha hai jisse mai prasann hoon. Aao aapka ghar pe swaagat hai.” Ishu Masih ke naam se, amen.

Not

  1. Lagbhag 20 feet.

  2. Lagbhag

  3. Hum chun sakte hai kyunki Parmeshwar ne hamein chunne aur khud kuch karne ka maoka diya. Dekhiye Guide to the Scriptures, “Agency,” scriptures.ChurchofJesusChrist.org; 2 Nephi 2:27; Moses 7:32.

  4. Dekhiye Mosiah 3:19.

  5. Russell M. Nelson, “Overcome the World and Find Rest,” Liahona, Nov. 2022, 96, 97.

  6. Dekhiye Guide to the Scriptures, “Covenant,” scriptures.ChurchofJesusChrist.org.

  7. Kabhi kabhi sab galti karte hain, parantu Parmeshwar humaare galtiyon par dheeraj dharta hai, aur vachan todhkar bhee humein pashchataap ka vardaan deta hai. Jaise Elder Richard G. Scott ne sikhaya tha, “Prabhu kamzoriyon ko vidroh ke tulna me alag tarah se [dekhta] hai … [kyunki] jab Prabhu kamzoriyon ke baat karta hai, toh yah hamesha daya ke saath hota hai” (“Personal Strength through the Atonement of Jesus Christ,” Liahona, Nov. 2013, 83). Isliye, hamein Rakshak ke hamari kamzoriyon me madad karne ke chamta par sandeh nahi karna chahiye. Haalaaki, jaanboojkar baad me pashchataap karne ke liye kathor yojna ke saath ek vachan ko todna—doosare shabdon me, pehle se soche gaye paap aur pashchataap—Prabhu ke liye ghrnaaspad hai (dekhiye Hebrews 6:4–6).

  8. Dekhiye Robert Bolt, A Man for All Seasons: A Play in Two Acts (1990), xiii–xiv, 140.

  9. Dekhiye 2 Nephi 31:17–18.

  10. Dekhiye 2 Nephi 31:4–15.

  11. Luke ne likha hai, “Aur Pavitr Aatma kabootar ke roop me us par utra, aur yah aakaashvaani hui, ki Tuu mera priye Putr hai; mai tujh se prasann hoon” (Luke 3:22). Mark ne likha hai, “Aur yah aakaashvaani huee, ki too mera priye Putra hai, jis se mai prasann hoon” (Mark 1:11). William Tyndale ka anuwaad King James Version se bhi zyaada ujwal aur niji hai. Unke anuwaad me, Swargiye Pita ke aavaaz kahatee hai, “Too mere priye Putr hai jismein hamme khushi hai” (Brian Moynahan, God’s Bestseller: William Tyndale, Thomas More, and the Writing of the English Bible—A Story of Martyrdom and Betrayal [2002], 58 mein). Sirf Matthew ne likha hai ki woh avaaz sab ke liye tha, yeh kehte huwe, “Aur ab ek avaaz aai aasmaan se, kehte huwe, Yeh mera priye Putr hai, jismein mai prasann hoon” (Matthew 3:17). John ka Susamachaar me hi sirf likha hai John Baptisma dene waale ke dwara baptisma ki baat: “Aur maine dekha, aur gawaahi deta hoon ki yeh Parmeshwar ka Putr hai” (John 1:34).

  12. Dekhiye 2 Nephi 31:13; Doctrine and Covenants 20:77.

  13. President Dallin H. Oaks ne “raazi” shabd ke mahatv ko samajhaaya jab ham prabhubhoj ke saath apni baptisma sambandhee anubandh ko naveenkrt karte hain: “yah mahatvapoorn hai ki jab ham prabhubhoj mein bhaag lete hain to hum yah nahin dekhate hain ki Ishu Masih ka naam hum apne oopar lete hain. Hum gawahi dete hai ki hum aysa karne ki ichcha rakhte hai. [Dekhiye Doctrine and Covenants 20:77] Yeh hakikat ki hum sirf apnee raazi hone ki gawahi dete hain ki kuch aur hona chahiye isse pehle ki hum vaastav me sabse mahatvapoorn arth me pavitr naam ko apne oopar le lein” (“Taking upon Us the Name of Jesus Christ,” Ensign, May 1985, 81). Yeh “kuch aur” ka matlab hai mandir ke ashirvaadein aur bhavishye me unnati paana.

  14. Exodus 20:7.

  15. Dekhiye James Strong, The New Strong’s Exhaustive Concordance of the Bible (2010), Hebrew dictionary section, paej 192, number 5375.

  16. Dekhiye Strong, The New Strong’s Expanded Exhaustive Concordance of the Bible, Hebrew dictionary section, page 273, number 7723.

  17. Elder David A. Bednar ne sikhaya: “Baptisma ka vachan saaf roop se ek bhavishye ke ghatna ya ghatnaaon ki sochta hai aur mandir ka raah dekhta hai. … Apne oopar Ishu Masih ka naam lene ki pratikriya jo ki baptisma ke paani me shuru hua Prabhu ke ghar me jaari rehta aur badhta hai. Jab hum baptisma ke paani me khade hote hai, hum mandir ki or dekhte hai. Jaisehum prabhubhoj lete hai, hum mandir ki or dekhte hai. Hum kasam khaate hai hamein Rakshak ko yaad rakhne ki aur Unke aagyaaon ka paalan karne ki ek taeyaari ki tarah aage chal ke pavitr dharamvidhiyon ko mandir me karne ke liye aur sabsi oonchi ashirvaad paane ke liye jo uplabdh hai Prabhu Ishu Masih ke naam aur adhikaar ke dwara. Isliye, pavitr mandir ke dharamvidhiyon hum aur puri tarah se apne oopar Ishu Masih ka naam lete hain” (“Honorably Hold a Name and Standing,” Liahona, May 2009, 98). Yeh pratikriya shayad khatm nahi hoti hai jab tak “hum uski tarah naa bante” (Moroni 7:48), jsb hum poori tarah badal chuke hote hai.

  18. Jaisa ki General Handbook: Serving in The Church of Jesus Christ of Latter-day Saints, 27.2 (ChurchofJesusChrist.org) mein likha hai, vachanein hai taaki aagyaakaarita ka kaanoon jiya jaae, balidaan ka kaanoon ka paalan ho, Ishu Masih ke susamachaar ke kaanoon ka paalan ho, shudhta ke niyam ka paalan ho, aur apna sab kuch saompne ka kaanoon nibhaae; David A. Bednar, “Let This House Be Built unto My Name,” Liahona, May 2020, 84–87 bhi dekhiye.

  19. Dekhiye Doctrine and Covenants 109:14–15. Elder D. Todd Christofferson ne sikhaya, “‘Pavitr Aatma ka poornata’ me shaamil hai woh jo Ishu ne kaha tha ‘woh vaada jo hum aapko dete hai anant jiwan ka, selestial raajye ki mahima bhi; jo mahima Pehlauthe janme ke girjaghar ka hai, Parmeshwar ka bhi, sabse pavitr, Apne Putr Ishu Masih ke zariye’ (D&C 88:4–5)” (“Vachano ki Shakti,” Liahona, May 2009, 23, note 5).

  20. Dekhiye Doctrine and Covenants 109:15.

  21. Dekhiye Doctrine and Covenants 109:22, 25–26.

  22. Dekhiye Doctrine and Covenants 109:21.

  23. Dekhiye Doctrine and Covenants 109:15, 22; Russell M. Nelson, “The Power of Spiritual Momentum,” Liahona, May 2022, 98.

  24. Dekhiye Russell M. Nelson, “Overcome the World and Find Rest,” 96; Doctrine and Covenants 84:20. Vishesh roop se, President Nelson ne kaha, “Har baar jab aap Aatma ki prernaon ki talaash karte hain aur uska paalan karte hain, har baar jab aap kuch achcha karte hain—cheezein jo ‘prakritik manushye’ nahin karega—aap duniya par vijay praapt kar rahe hain.” (“Overcome the World and Find Rest,” 97).

  25. Hebrews 11:13.

  26. Redeemer of Israel,” Hymns, no. 6, verse 5. Yeh Lena Sofia Renlund ka manpasand geet tha.

  27. Dekhiye Moroni 10:30–33.

  28. Dekhiye Doctrine and Covenants 132:19–20.